FF: Kya Dil Mein Hai.. 7th EPISODE STARTED 02/08!!

ArHi_4ever thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago

This is my first attempt at an FF. I have just been having withdrawal symptoms with KDMH not starting again inspite of it being 6 months!!

Please read and let me know whether I should continue or its not too good an idea!! :)
 
 
 
EPISODE 1 - Part 1

 

Rahul says, "Kyun? Yeh phone Naina ka kyun nahi ho sakta, Aman?

 

Aman seems very flustered and blurts out, "Kyunki Naina ka phone maine destroy kiya tha!!"

 

Everyone is shocked at this revelation. Gayu is staring down is disbelief with tears in her eyes wondering, "Meine jeevan mein zaroor koi paap kiye honge ke mera beta aisa kar sakta hai. Pehle ghar chhod kar chala gaya aur phir kisi ka khoon' Aman mera beta kaise ho sakta hai!!". Silent tears are running down her face.

 

Rahul disgustedly looks at Aman and then angrily takes hold of his collar and asks him, "Kya bigada tha Naina ne tumhara, Aman ke tumne use maar dala?? Tumne ek baar bhi socha nahi ke tum kya kar rahe ho? Jis ladki ko tum bachpan se jaante ho, jo tumhare apne bhai se  pyaar karti thi, ussi ladki ko'"

 

Before Aman could reply, Kakun cuts in saying, "Rahul, jo insan apni patni ko maar sakta hai, woh tumhari hone wali patni ko kyun nahi maar sakta?". Gayu exclaims, "Kakun, yeh tum kya'?". Kakun turns towards Gayu and with downcast eyes replies, "Mujhe maaf kar deejiye mummy ji par yahi sach hai. Aman ne khud yeh kabool kiya hai ki usi ne Swati ko maara tha kyunki Papa use door bhejna chahte the. Who use jaate hue dekh nahi sakta tha, is liye Aman ne Swati ko is duniya se door bhej diya".

 

Rahul has a pained expression while he hears Kakun and thinks to himself, "Meine yeh kya kar diya Kakun? Mein toh sochta tha ke meine tumhe tumhari khushiyon se milaya hai lekin tumhari zindagi toh aur bhi ulajh gayi. Mein tumhe tumhari khushiyan lautaunga Kakun. Tumhare aason mein mere dil mein jama ho rahe hai aur mein Aman se uske ek ek katre ka badla lounga. Mein nahi jaanta ke kab tak tumhe saza kaatni padhegi, mere tumhari zindagi mein aane ke liye. Chain ka ek pal nahi naseeb hua tumhe jis din se mein tumse mila houn."

 

Kakun is looking at Rahul and through her eyes tries to him and says, "Mein ek pal ke liye bhi tumhari meri zindagi mein aane ke liye dukhi nahi houn, Rahul. Tum tab meri zindagi the aur aaj bhi ho. Apne aap ko dosh mat do. Mein tumse kaise naraaz ho sakti houn, tumse kaise rooth sakti houn. Tumne mujhe pyaar karna sikhaya. Mujhe jeena sikhaya. Humara chaand hume is museebat se bhi nikal lega. Tum bharosa rakho humare pyaar par."

 

Rahul has tears in his eyes since he was able to understand each word that Kakun has just uttered, "Usi ka toh bharosa hai, Kakun warna toh mein kab ka mar chuka hota". Kakun's hand suddenly moves towards his lips and she tells him very firmly, "Aaj socha hai, dobara kabhi aisi baat na sochna na karna. Mein apni behen kho chuki Rahul tumhe kho nahi sakti". Rahul holds on to her hand and wipes her tears away slowly. Naina sees this from a distance and is hurt, but tells herself, "Mein aise pyaar ke beech mein kaise aa sakti houn, Rahul. Yeh to mera hai hi nahi. Mein tumhe aur Kakun ko zaroor milaoungi. Yeh mera vaada hai aur jahan tak Aman ka sawaal hai usse toh mein court mein dekh hi loungi."

 

All this while Devi was standing behind trying to contain her anger, the hurt and the tears but she could not believe that 2 of her daughters had suffered at the hands of one man and she could not save either of them. She yells out, "Aman Punj!!" The entire family turn towards her knowing how she must be feeling. She continues angrily, "Tumne meri beti ko maar dala. Kakun se shaadi kar ke usse jee te ji maar dala. Mein tumhe nahi chodoungi. Tum meri sab se ache dost ke bete ho lekin aaj who bhi mera saath dengi, Aman. Tumhe barbaad karne mein, mein koi kasar nahi chodoungi. Insan jo karta hai usse uski saza toh bhukatni padhti hai. Tumne ek Naina ko mujhse cheena hai, uska badla tumse meri doosri Naina legi. Khoon ke aasoon ro get um jis tarah meri betiyaan roi hai!!"

 

Aman has been seeing all this and is hardly concerned over his fate, "Aap aur mujhe khoon ke aasoon rulayengi! Mrs. Devi Bhasin, mein Aman Punj, Amritsar ka naami lawyer houn. Aap mera kuch nahi bigaad sakti. Kakun meri patni hai aur mein jaisa kahounga who waisa karengi. Aap ke samne who kuch bhi kahe lekin court mein woh mera saath hi dengi, kyun Kakun warna?

 

End of Part 1

 

 

Part 2

 

Kakun snaps back at him and instantly says, "Warna kya, Aman? Tumhara dimaag toh kharab hai hi. Ab lagta hai paagal bhi ho gaye ho. Mein mar jaoungi lekin tumhara saath nahi doungi. Itna yaad rakhna. Aur jahan tak patni hone ka sawaal hai, who toh kuch waqt ki baat hai. Yeh rishta mein aaj sab ke same todti houn".

 

Aman angrily walk towards her and holds her hand behind back very rudely and asks her, "Kya kaha tumne, Kakun??"

 

Rahul rushes to Kakun's side and forcefully takes Aman's hand off her wrist, "Aman, Kakun ko haath lagane ki koshish bhi mat karna. Kakun ne aaj din tak sach ka hi saath diya hai aur who aaj bhi degi. Aur jaise usne kaha ki woh yeh pati patni ka rishta tod chuki hai".

 

Aman laughs and says, "Toh kya ab tumse shaadi karegi, Rahul. Ek Naina mar gayi aur doosri Naina ko.." As he says this Gayu walks towards Aman and slaps him across his face, "Nikal jao mere ghar se Aman. Aur yaha aane ki galati mat karna warna bohot pachtaoge. Mein chahti houn ke mein tumhe kabhi nahi dekhoun!! Chale jao!!!"

 

DP takes him by his collar and throws him out the scene freezes on his angry face.

 

Kakun is standing outside staring at the moon with her eyes full of tears when Rahul walks up towards her and captures the tear rolling down her cheek. He says, "Yeh kya, Kakun? Tumhari aankhon mein aasoon kyun? Tumne is parivar ko sach bataya, unki aankhen kholi aur ek gunehgaar ka asli chehra sabko bataya. Tum ro kyun rahi ho?

 

Kakun sighs and replies, "Yahi toh baat mujhe sata rahi hai, Rahul. Tumne mujhe bachaya kyun?". Rahul is shocked at this statement and questions Kakun, " Kakun, mein apni aankhon ke saamne apni zindagi ko jaate hue kaise dekhta? Meine tumhe kaha hai, agar hum jeeyege to saath jeeyege marenge toh saath marenge. To mein tumhe kis tarah apne se door jaane deta."

 

Kakun looks at him struggling for words that would explain the dilemma of what was going on, "Rahul, yeh saath jeena toh nahi hai na? Mujhe is ghar se jodne wali kadi Aman tha aur woh ja chuka hai. Mujhe bhi yaha se jaane hoga. Bohot der ho gayi, Rahul. Tum kisi aur ke ho chuke ho".

 

Rahul understands what Kakun was trying to say and touches her cheek with the back of his hand and says, "Tum mere liye is ghar mein aayi thi Kakun aur jab tak mein is ghar mein houn tum kahi nahi jaogi. Meine tumhari zindagi mein aise toofan laaye hai ke tum aaj din tak unke asar mein tadap rahi ho. Lekin mein inko tumhari zindagi se nikaal dounga, yakeen jaano."

 

Kakun believes him but know very well that Rahul won't be able to manage this since he is married to Naina who is not to blame for their strange twisted fate. She tells Rahul, "Rahul, tum meri baat kyun nahi samajhte? Mera jaana zaroori hai. Is liye meine kaha tha ke mera mar jaana hi behtar hota, na tumhe aur gharwalo ko sach pata chalta, na humare beech yeh baat hoti. Tum Naina ke saath ek achi zindagi bitate!"

 

Rahul gets angry but composes himself and pulls her close to himself and tell her clearly, "Kakun, tum meri zindagi ho. Samajh rahi ho tum yeh baat? Mein kisi ke saath achi zindagi bitau aur woh bhi jaante hue ke ek baar phir mere hi kisi parivaar wale ne tumhare aankhon mein dukh bhar diye. Aman tumhari zindagi barbaad karne nikla tha aur tum mujhe kehti ho ke kisi ko is baare mein pata na chale. Kyun? Jo hua hai wahi sahi hai." He takes her even closer and continues, "Chahe jo ho Kakun, tum meri ho. Yeh chaand gawah hai ke tum aur mein ek hai aur hume koi juda nahi kar sakta, yeh mera vaada hai tumse."

 

Kakun replies crying bitterly at his words, "Mein nahi jaati ke aage kya hoga Rahul? Humari zindagi aur kaunsi mushkil khadi karegi. Lekin ek baat hamesha yaar rakhna, Rahul mein tumse bohot pyaar karti houn aur zindagi bhar karoungi." She finishes this statement and completely breaks down. Rahul hugs her and kisses her forehead and says, "Mein janta houn Kakun, yakeen jaano mein sab kuch janta houn." And he starts to cry himself.

 

End of Part 2

Part 3

 

Kakun turns her head to look at him crying and feels shattered at his helplessness. She takes hold of his hand, looks into his eyes and says, "Rahul, please ro mat. Mein tumhe is tarah nahi dekh sakti. Kabhi kabhi sochti houn ke agar mein tumhari zindagi mein aati hi nahi to sab kuch theek hota. Tum Naina ke saath khush rehte. Aman mujhse nahi milta. Yeh sab nahi hota. Mein toh ek bura saaya sabit hui hai na?"

 

Rahul holds on to her hand firmly, "Ek nazariye se dekho toh ha, yeh sab kuch hota hi nahi agar tum nahi hoti. Lekin doosri taraf se dekho toh tumhe pata hai ke tumhari meri aankhon mein kya ehmiyat hai, Kakun? Tumhare aane se pehle mein kitna khudgarz tha. Meine pyaar karna kisse seekha? Tumse. Meine doosro ko apne se pehle rakhna kaise seekha? Tumse. Mere parivaar ne tumhare saath kitna bura kiya lekin tumne kitne pyaar se apna liya. Humari zindagi mein mushkilein aayi hai Kakun lekin agar koi mujhe yeh pichle din dobara guzaarne ko kahe toh mein kuch nahi badlounga sivaye us din ke jab meine humare divorce papers sign kiye. Mein kitna badnaseeb houn Kakun ke meine tumhe jaane diya."

 

At this point, Naina walks in with pain clearly written in her eyes but a smile on her face and says, "Haan Rahul, yeh toh baat sahi hai ke yeh galati hui hai tumse ke tumne Kakun ko jaane diya. Lekin woh hamesha ke liye nahi tha kyunki woh ab wapas aa rahi hai."

 

Kakun looks up with a shocked expression, "Naina'". Naina smiles and says, "Tumne kya socha Kakun ke mein tumhari dost hone ka daava karoungi aur phir use nibhaoungi nahi. Mein is rishte ke beech mein nahi aa sakti. Rahul aur mein bohot ache dost hai aur humari shaadi ke peeche sab se bada kaaran yahi tha ke tum Aman ke saath aage badh sako. Uske baare mein baat nahi karna chahti, uski saza toh Aman ko mein hi dilvaoungi. Lekin filhaal ke liye yeh lo."

 

She hands over some papers to Rahul and tells him, "Mein tumhari patni hone se pehle tumhari dost thi aur yeh rishta sab se zaroori hai, Rahul. Har kisi ko yeh mauka nahi milta ke woh apne dost ki khushiyon se usse mila de lekin dekho, mein yeh kar sakti houn. Yeh humare divorce papers hai. Meine sign kar diye hai."

 

Rahul and Kakun are shocked at this statement and the episode end on both of them looking at each other

 

End of Episode

 

EPISODE 2 - Part 1

 

Episode continues from Kakun and Rahul's shocked expression to what Naina says. Kakun quickly says, "Naina aisa nahi ho sakta. Yakeen jaano. Mein khud yeh hone nahi doungi."

 

Naina looks up at her and says, "Kyun Kakun? Kya yeh sach nahi hai ke tum Rahul se pyaar karti ho? Kya yeh sach nahi ke tumhare rishte mein kadam kadam par mushkilein aayi ho aur tum dono sivaye unka saamna karne ke aur kuch nahi kiya? Batao Kakun."

 

Kakun is very touched by Naina's concern but being the person she is who always put everyone else in front of her, she cries and tells Naina, "Tumhari baat sach hai, Naina. Lekin kisi ke gham par khushiyan khadi nahi ki jaati. Haan, ek pal ke liye Rahul aur mujhe tumhare is faisle se bohot khushi hogi. Lekin tumhara kya? Tum bhi Rahul se pyaar karti ho is liye tumne usse shaadi ki. Kuch ummeede le kar tum is ghar mein aayi aur mein apne liye yeh sab kuchal doun. Yeh mujhse nahi hoga, Naina. Bilkul bhi nahi."

 

Naina is taken aback by the determinations in Kakun's voice and before she says anything, Rahul interrupts and says, "Mein kuch kahoun, Kakun? Zindagi mein kab tak apni khushiyon ka gala ghot kar doosro ko such dogi? Jeene ka hak tumhe bhi hai. Hasne ka hak tumhe bhi hai. Meine tumhare aankhon mein dard aur takleef ke kuch nahi dekha. Mein manta houn ke mera Naina se rishta hai lekin jo rishta mera tumhare saath hai woh bohot zyada gehra hai."

 

With a silent tear rolling down his cheek, he sighs and continues, "Mein woh zindagi jeena chahta jo mein kabhi nahi jee paya tumhare saath. Khushi dekhna chahta houn tumhare chehre par. Mein vaada karta houn, Kakun tumhari aankhon mein aansoon kabhi nahi aayenge. Tumhari kasam."

Kakun starts crying insanely at these words because he was actually describing the hopes in his heart. Naina gestures to Rahul to take care of her and walks away. Rahul seats her down and kneels in front of her, "Tumhari aankhen yeh kehti hai, Kakun ke mere khwaab tumhare khwaab hai. Humari manzil ek hai aur aage humara raasta bhi ek hi hoga. I love you, Kakun. Bolo, thamogi mera haath?"

 

He holds out his hand with full faith that time round everything will be fine. Kakun stares at his hand very intently and slowly places her hand on his and smiles for the first time in many days. His eyes light up seeing her smiling and he kisses her forehead. He moves back and they just sit looking at each other not being able to believe that this dream will actually translate to reality.

End of Part 1 

 

Part 2

 

Scene shifts to Gayu, DP, Devi and he husband sitting in the lounge looking aghast at the evening's developments. Gayu starts up the conversation looking at Devi, "Mein shayad maaf karne ke bhi layak nahi houn na, Devi? Mere ek bete tumhari beti se pyaar karke uska dil tod diya aur doosre bete ne ussi ladki ko maar dala. Meri samajh mein nahi aata ke mein kya karoun, kya kahoun? Lafz kam padh jayege tumse maafi mange ke liye. Kabhi socha nahi tha ke hamari ummeedon ka itna bura anjaam hoga."

 

Devi has tears in her eyes and understands that Gayu is feeling as bad as she is since she always treated Naina with so much love and affection. She tells Gayu, "Tum yeh kaisi baate kar rahi ho Gayu? Tumhe itne saalo se jaanti houn, kya mujhe itna nahi pata ke aaj jitni dard aur takleef aaj mujhe hui hai, uska ehsaas tumhe bhi hai. Mein tumse naraaz nahi houn Gayu lekin Aman ne jo kiya hai uske liye mein usse saza zaroon dilwaoungi. Usne Naina aur Kakun ke saath jo kiya, woh bardaasht ke bahar hai!"

 

DP cuts in saying, "Mujhe toh poori galati is ladki Kakun ki lagti hai."

 

All look at him in utter shock and Devi and Gayu both exclaim, "DP!", "Bhaisaab, yeh aap kis tarah keh sakte hai?"

 

DP looks unshaken and just continues, "Mein sahi keh raha houn. Jab se yeh ladki is ghar mein aayi hai, dekho kya ho gaya hai? Aman apne ghar walo se bagawat par utar aya, Rahul ne Naina ko chod diya, Naina ki maut, Rahul ka haal. Yeh sab iss ladki ki wajah se hi hua hai."

 

They are unaware of the fact that Kakun is standing near the door listening to all this with her eyes full of tears thinking, "Mein jo sochti houn wahi toh Papa keh rahe hai. Sahi hi toh hai, iss parivaar ke saare dukhon ki zimmedaar mein houn. Mujhe jaana hoga. Rahul ko samajhna hoga ki hamara mel iss janam mein toh nahi ho sakta." She wipes her tears and turns around only to bump into Rahul who was standing right behind her all the time. He takes her hand, she asks him to leave it however, he just holds on to it more firmly and walks in to the room.

 

Everyone turns around to look at them and is startled looking at Rahul holding Kakun's hand like that. Rahul looks extremely annoyed and stares at DP. He says, "Wah Papa wah. Aapka jawab nahi. Koi aur ilzaam daalne ke liye nahi mila toh Kakun par daal do, hai na? Jo ladki aapki parivaar ki izzat bacha kar baithi thi aur sach bolne ki jagah apne aap ko hi maarne nikli thi, uske baare mein aap aisa baat karte hai. Kya meine ise kaafi dard nahi de diya ke ab aap ur de rahe hai?!?"

 

DP questions Rahul, "Aisa kya dard de diya hai tumne is ladki ko?"

 

Rahul is fuming at the idea of DP treating the woman that he loves and who has done so much for him in such a trivial way, "Kya dard diya hai? Yahi toh baat hai Papa ke sivaye Devi aunty aur mere koi nahi jaanta ke humne Kakun ko kya dard diya hai."

 

Kakun does not want him to say anything and stops him saying, "Rahul, please yeh mat karo. In logo ko aur pareshani mat do."

 

Rahul looks at her and wants to stop but cant because he feels that the truth should be out, "Nahi Kakun aaj mujhe mat roko. Mein sab ko batana chahte ke meine tumhe kitni takleef di hai. Aur uske bawajood bhi tum yaha khadi mere hi saath, mera haath thaame hue. Aap sab janna chahte hai na, toh suniye!"

 

Rahul describes everything from Naina's plan to Rahul's trip to Ghosh Badi to the fake marriage and then the subsequent trouble that Kakun was put into because of Naina and him to him trying to send her back repeatedly to Naina's plan with her aunt in Kolkata.

 

Everyone is just standing there lost for words and with eyes full of new found love and respect whose life Rahul, Naina and Aman had completely ruined. Gayu walks towards her, kisses her on her forehead and hugs her crying bitterly.

 

End of Part 2

 

Part 3

 

DP is looking very uncomfortable and distraught at what he has done. He just walks towards Gayu and Kakun and folds his hands looking down. Kakun is shocked at this gesture and holds on to both of his hands saying, "Yeh kya Papa. Bade choton se maafi nahi mangte. Mein aapki beti houn, hai na? Toh phir aapko yeh karne ki zaroorat kyun padhi?" Rahul looks at her very affectionately knowing that this is exactly how Kakun would react. He says in his head, "You're mine, Kakun."

 

DP says, "Beta humne tumhare saath bohot bura kiya hai. Tum hume maaf kaise kar sakti ho?"

 

Kakun has a slight smile on her face and says, "Papa aapko pata hi apne hi apne ko takleef dete hai aur jab dard hota toh wohi aakar aapke aasoon bhi pochte hai. Aisa hi toh ho raha hai na? Aap bilkul fikr mat kijiye, mujhe aap mein se kisi se shikwa nahi hai. Sach."

 

DP smiles and replies, "Thank you, beta. Tum hamare parivaar ka sabse ahem hissa ho."

 

Gayu looks angrily at Rahul and tells him, "Meine kuch toh galat kiya hai na, Rahul ke mere dono beton ne ek ladki ke saath aisa kiya. Ek ne usse jhoota vaada kar ke usse tod diya aur doosre ne uski zindagi barbaad ka di. Kya yahi sikhaya tha meine tumhe ke apne kisi maksad ke liya kisi ki zindagi ko tabah kar do."

 

Rahul's eyes are downcast and he cant say anything because he knows that his mother is right, he had seriously sinned and was questioning the fact whether he even deserves a girl like Kakun.

 

Kakun looks at him not replying and answers herself, "Mummy ji, aapka gussa jayaz hai lekin please meri baat maniye jo kuch bhi Rahul ne kiya woh tab bhi pyaar ke liye tha aur aaj bhi pyaar ke liye hi hai. Agar Naina aur Rahul woh plot ke liye yeh sab kuch nahi karte toh mein Rahul se, aap sab se kaise milti. In beete hue maheenon mein meri zindagi mein bohot saare mod aaye, takleefein aayi, dard mila lekin aaj mujhe in sab se koi parvaah nahi kyunki aap sab mere saath hai, Rahul mere saath hai. Mujhe aur kuch nahi chahiye."

 

Gayu touches her head and says, "Jeeti raho Kakun. Tumhari khushiyon ko kisi iske baad nazar na lage. Aur tumhare jaise bahu sabko mile."

 

Kakun smiles and looks at Rahul. He is standing behind DP, smiles widely and gestures that he loves her, first pointing towards himself, then clamping his hand on his heart and then pointing to her. Kakun blushes and looks down really pleased.

 

Naina see this from a distance with a satisfied look on her face and walks away. Rahul sees Naina leaving and the episode ends on his face.

End of Part 3 and episode

EPISODE 3 ' Part 1

 

Naina is standing near the window in her room resting her head against the frame. She is remembering the events of the day staring in one direction. Aman's confession, Rahul and Kakun together, Rahul telling Kakun that he loves her and also the, I love you said in sign language.

 

She sighs and says to herself, "Kabhi kabhi hamari zindagi kaisi ajeeb si dastaan likhti hai. Rahul aur mera milne ka nateeja agar judaai hi thi toh hum mile hi kyun? Lekin sache pyaar ki hamesha jeet hoti hai. Aur sacha pyaar do tarfa hota hai. Chahe mein jitna bhi chahoun, mein is baat se mouh kaise modoun ke mein Rahul se bohot pyaar karti houn. Shayad yeh baat aaj din tak meine apne aap se bhi nahi kahi." And silent tears start flowing from her eyes.

 

Rahul comes up from behind and raises his hand to her shoulder and brings it down thinking it may not be appropriate at this stage. He quietly says, "Naina.." Naina is pleased to hear his voice but does not want him to see her crying therefore replies in a controlled voice, "Haan Rahul. Kya baat hai?"

 

Rahul understands the pain in her voice and tells her, "Tumne hi kaha tha ke mein tumhara pati hone se pehle tumhara dost houn, hai na? Toh phir apne dost se aankhen kyun chura rahi ho? Galati tumse nahi mujhse hui hai, Naina."

 

Naina turns around slowly to face him and replies, "Galati? Kaisi galati Rahul? Tumhare aur Kakun ke pyaar ki mein kitni izzat karti houn tum nahi jante. Tum dono ne kis tarah se yeh waqt kaata hain uska andaaza hain mujhe. Mein jhoot nahi boloungi ke mujhe tumhe khone ka gham nahi. Kyunki gham to hoga na? Lekin gham ke peeche khushi, do pyaar karne walo ko milane ka ehsaas, is ghar mein khushiyan dobara aane ki asha. Yeh sab hote hue mein kitne samay tak dukhi rahoungi. Sab theek hoga, Rahul. Mujhe vishwaas hai."

 

Rahul has a confused expression on his face listening to Naina, "Tum itni aasani se mujhe maaf kaise kar sakti ho, Naina? Meine sirf tumhara hi nahi, sabka dil dukhaya hai. Tum mujhe saza nahi dogi?"

 

Naina holds Rahul's hand and says, "Mujhe lagta hai tumhe apne hak se zyada saza mili hi, Rahul. Naina ka mar jaana, Kakun ki Aman se shaadi, jail mein case, parivaar mein anban. Ab mujhe lagta hai, tumhara khushiyon par hak hai. Yeh bohot andheri raat ka savera hone wala hai, Rahul. Apne aap ko aur ilzaam mat do. Tumhare aur Kakun ke saath ab aage acha hi hoga. Kyunki har pareeksha ka ant hota hai."

 

Rahul smiles at Naina and replies, "I hope, Naina. Mein poore dil se yeh asha karti houn ke ab aage acha hi ho. Kakun ki zindagi mein mera khushiyan laana bohot zaroori hai. Aur mein uski khushi ke liye kuch bhi karounga. Kuch bhi. Aur un cheezo mein sab se pehle mera lakshya hai Aman ko saza dilwaana."

 

Naina looks at him and firmly says, "Haan Rahul, mein tumhare saath houn. Aman ke paapon ka ghada bhar gaya hai. Ab uska waqt badlega aur bohot buri tarah se badlega."

 

End of Part 1

 

Part 2

 

The scene starts in front of Aman's house where Aman is standing with a menacing expression on his face. He looks unperturbed by the chaos he has caused and is just playing with his keys in his hand. He turns around to look at Naina standing in front of him quite angrily.

 

Aman is taken aback but smiles at her, "Mrs. Naina Rahul Punj. Oh I am sorry, woh toh badal gaya hoga na? Ab toh Kakun, Mrs. Rahul Punj hogi, kyun? Tum bhi Naina kaha jaakar phas gayi? Ek Naina ka haal dekhne se tumne kuch seekha nahi? Rahul ka koi bhi Naina se mel nahi ho sakta. Uski zindagi mein toh sirf Kakun ki hi jagah hai jo meri biwi hai. Kya khandaan hai? Don't you think?"

 

Naina flashes her eyes at him and starts angrily, "Tumne bhi kaunsa mahaan kaam kiya hai? Kakun ko bachane ki kya zaroorat thi tumhe?"

 

Of all the things that Aman had expected this was not one of them, "Naina, Kakun meri patni hai!". Naina laughs and says, "Kis patni ki baat kar rahe ho, who jo already tumhare bhai ke haath pakad kar poore ghar mein ghoom rahi hai. Tum mar bhi jaoge na uske liye phir bhi woh tumse pyar nahi karegi, Aman Punj. Uska kal, aaj aur aane wala kal Rahul ke naam likha hua hai. Samjhe is baat ko tum?"

 

Aman is angry at what she says but knows that it is right. He is confused at why he is talking to her and says, "Yeh baate tum mujhe kyun bata rahi ho? Tum toh unke saath ho na?"

 

Naina turns her face away from him and with a very mean expression and voice replies, "Tumhe nahi pata Aman. Dushman ka dushman dost hota hai. Mera Kakun se koi lagaav nahi. Mera concern Rahul se hai aur agar uske liya Kakun ki jaan chali jaati hai toh mujhe kya farak padhta hai, hai na? Mujhe tumhari madad ki zaroorat hai Kakun ko Rahul ki zindagi se hi nahi is duniya se bhi uthane mein. Tumhara aur mera badla poora ho jayega. Mujhe Rahul mil jayega aur tum Rahul se uski zindagi cheen loge. Kakun Punj, no more."

 

Aman is going over what she is saying in his mind and says, "Very smart, Naina. Lekin mein Kakun ko kyun maaroun, Rahul ko kyun nahi?"

 

Naina smiles and says, "Simple Aman. Rahul ko maar kar tum waise bhi Kakun ko kho doge kyunki woh jaanti hai agar tum Naina B ka khoon kar sakte ho toh Rahul ka kyun nahi? Woh tumhe kabhi nahi apnaegi, ulta tumhe jail bhijwa degi. Iska kya faida? Kakun ko maar kart um Rahul ko jeete jee maar doge. Yeh badla aur acha hoga, hai na?

 

Aman smiles wickedly and says, "Not bad, Naina. Lawyer toh tum achi ho hi, criminal usse achi hogi, I am sure this will be one interesting game."

 

Naina holds out her hand and says, "Yes, Aman. It sure will be one hell of an interesting game for you and me!"

 

He turns around and Naina looks to her right where Rahul is standing with a camera filming their entire dialogue. She gives him a thumbs up sign and he gives her one back smiling.

 End of Part 2

Part 3

 

Kakun is walking along the house and looks towards the terrace smiling and remembering the cute moments between Rahul and her out there. The scene where he accepts her as his wife, where he hugs her after Gayu yells at her for not taking care of Aman, where he tells her to come away with him on the night she gets engaged to Aman.

 

She sees someone standing on the terrace with his back faced towards her. She is elated thinking its Rahul and rushes up the stairs and stands behind him. She raises her hand to touch him but freezes mid-way to see its Aman who turns around to face her. She screams as he puts his hand on her mouth to stop her from talking or calling out for help. He has a dagger in his hand and shows it to her. Her eyes widen in fear and she starts shaking her head. Aman smiles evilly at her reaction and starts to move the dagger to her face. She closes her eyes thinking this is the end.

 

"Rahul!!" Kakun wakes up from her sleep with drops of sweat on her forehead screaming out Rahul's name. Rahul is passing by and hears his name and runs to Kakun's room. He finds Kakun screaming and crying away and gets very worried seeing her this way. He rushes to her side and holds her in his arms whilst her eyes are still closed thinking that Aman is in front of her. He tries to calm her down and says, "Kakun, mein yahi houn. Aankhen toh kholo. Dekho mein yahi houn, tumhare paas. Meine vaada kiya hai ki mein hamesha tumhare saath hi rahounga. Please Kakun, calm down please."

 

Kakun finally opens her eyes and looks at Rahul with relief and hugs him tightly. He hugs her back and smiles naughtily saying, "Hmm.. Kakun tum toh bohot smart ho gayi ho nahi? Arre hug hi chahiye thi toh keh deti yeh cheekna chillana kyun?" And he laughs while she moves back looking cutely annoyed and still flustered from the nightmare and replies, "Rahul, tum bhi na! Yaha meri jaan nikli jaa rahi hai aur tumhe mazaak soojh rahi hai?" Rahul takes her face in his palms and tells her, "Tumhari jaan kaise niklegi Kakun. Mera dil tumhare paas hai, jab tak meri saase chal rahi hai tumhe kuch nahi hoga. Agar mein chala gaya toh baat alag hai."

 

Kakun holds on to his hand and tell him, "Rahul please aisi baatein mat karo. Mazaak mein bhi nahi. Mein tumhare bina rehne ki bohot koshish ki thi jab meri shaadi Aman ke saath hone wali thi. Aaj mein sach ke sakti houn ki un dino mein har ek lamha tumhari yaad mein jaata tha. Jahan tum tadap rahe the waha par mein til til mar rahi thi. Jis tarah mein tumse baat kar rahi thi uski wajah se apne aap se nafrat karne lagi thi."

 

Rahul is patting her face lovingly and says, "Tumhe pata hai, Kakun. Tab bhi mujhe tumhari nafrat mein pyar dikhayi deti thi. Meine tumhe kaha than a tumhe jhoot bolna nahi aata. Tumhara chehra aaine ki tarah hai. Jo dil mein, wahi chehre par. Mein sab samajh raha tha lekin uski wajah Naina thi yeh pata nahi tha is liye apne aap ko bohot bebas paata tha. Lekin ab sab theek hai. Mujhe tum yeh batao, tum is tarah chillati hui kyun uthi."

 

Kakun is nervous to tell him what she had seen as she know that Rahul will get worried about it. She tries to cover up by saying, "Woh.. Umm.. Kuch nahi Rahul. Fikr mat karo." Rahul lifts her chin up to face him and says, "Abs ach batao Kakun. Jis Kakun ko mein janta houn woh neeche tab hi dekhti hai jab woh jhoot bolne ki koshish karti hai. Batao mujhe, baat kya hai."

 

Kakun sighs and tells him what she saw ending it with, "Mujhe bohot dar lagta hai, Rahul. Kahi yeh khushi mujhse dobara chhin gayi toh mein jee nahi paoungi. Please is baar mujhe khud se alag mat hone dena. Warna mein bikhar jaoungi." She just breaks down hugging him and crying away.

 

Rahul has a worried look on his face and thinks, "Aman ka Naina se aisi ghatiya baat par agree karna ke woh Kakun ko maar de aur phir Kakun ka yeh khwaab. Iska kya matllab hai? Mujhe Kakun ka khayal rakhna hoga. Mein usse kahi chod nahi sakta. Shayad Naina ke paas bhi nahi. Nahi Kakun, is baar tum kahi nahi jaogi. I swear. Tum sirf aur sirf meri ho. Naina ke saath jo hua woh Kakun ke saath nahi hoga. Chahe phir uske liye mujhe Aman ke saath kuch bhi karna padhe, kuch bhi." He closes his eyes and kisses Kakun's forehead and the scene closes on his determined face.

 

End of Episode

Episode 4 ' Part 1

 

Rahul is sleeping in his room looking quite peaceful. Kakun passes by and sees him very lovingly through the small portion of the door. She opens the door and enters his room. She slowly walks towards him smiling and sits down next to him. Rahul realises that she has come in but pretends to be asleep to just see what she does. Kakun however just keeps looking at him sleeping.She pats his hand slowly and is about to get up when Rahul grabs her wrist and her bangle breaks as always.

 

She is surprised yet happy to have this moment with Rahul again and touches the cut from the bangle saying, "Ab tum mere zindagi mein sahi mayino mein wapas aaye ho, Rahul." Rahul kisses the cut and says, "I am sorry." Kakun smiles and replies, "Pyar ki nishani hai, Rahul. Is mein maafi kaisi."

 

She tries to leave but he has held on to her hand and comes closer to her. She looks down shying away and says, "Rahul koi aa jayega." He cutely frowns at her and says, " Kakun, tumhe koi andaaza hai ke tum mujhe kitne arse baad mili ho aur mujhe koi fark nahi padhta agar yaha bebe bhi khadi ho toh!" Kakun smiles at him and says, "Woh to mujhe bhi nahi padhta, Rahul." Rahul raises one eyebrow and says, "Not bad. Tum toh already sudhar rahi ho. Dekhna jald hi ek dam mere jaisi ho jaogi."

 

She laughs whole heartedly and Rahul is mesmerized at the change in her features and just keeps staring at her and moves forward to kiss her cheek and she is caught unaware. She turns towards him and turns her other cheek forward and winks at his shocked expression. He kisses her on the other cheek as well. He moved back and looked at her as she came forward and hugged him really tight, "Tumhe pata hai Rahul, kehte hai ke kabhi kabhi zindagi mein ek pal aisa aata hai ke saari qainat is mein sama jaati hain. Mere liye yeh pal ab hai jahan hamara dil ek hai. Is pal ke baad agar mein mar bhi gayi toh mujhe koi dukh nahi hoga."

 

Rahul has a lone tear trickling down his cheek and Kakun moves to kiss it away just like the way he used to. Rahul starts smiling widely and says, "Kakun, meine zindagi mein koi bohot acha kaam kiya hoga ke mujhe tum mil gayi, I swear. Itne pyaar ka haqdaar mein toh apne aap ko manta bhi nahi." Kakun sits close to him taking his arms around herself and says, "Tum har khushi ke haqdaar ho. Hum aaj jaha hai yeh hamari taqdeer hai, Rahul. Mein tumhare bina utni hi adhoori houn jitne tum mere bina ho. Hum dono ek doosre ke liye the, hai aur rahenge. Yeh baat hamesha yaad rakhna. Lekin ek sach hai jo jab tak mein tumhe nahi batati, yeh rishta sacha nahi hoga."

 

Rahul moves back to see her and says, "Yeh kya keh rahi ho Kakun." Kakun's eyes well up as she says, "Haan Rahul, meri khushiyon mein, mein tumhe kuch bata nahi payi.. " and she narrates the entire episode of Aman and her on the day he got married to Naina. Rahul listens astounded and angrily to everything and is about to stand up saying, "Mein use maar dalounga Kakun. I will kill that bloody man." Kakun holds him back, "Mein tumhara gussa samajhti houn Rahul. Lekin mere liye yeh janna zaroori hai ke tumhari aankhon mein wahi houn ke ab sab kuch badal gaya." Rahul is taken aback at her question and says, "Pagal ho gayi ho, Kakun. Yeh baat kuch bhi bahi badalta. Mere bhai ki galati sazaa mein tumhe nahi use hi dounga. Mere pyaar ko aaj ke baad koi nahi badal sakta, I swear to you. Tum meri ho Kakun. Sirf meri'" And they both hug each other crying away at their fate and happiness.

Part 2

 

Naina is in her office staring into space going over her wedding with Rahul thinking, "Jis insan se pyaar karo uske saath dosti nibhana kitna mushkil hota hai. Maine keh toh diya ki mein Rahul ka saath doungi lekin usse roz dekhna mujhse nahi hoga. Shayad mujhe Kakun ke zariye Rahul tak pohochna hoga. I am sorry, Rahul, lekin yehi hum dono ke liye acha hai."

 
She picks up the phone to dial Kakun and see Aman walking towards her office. She messages Rahul straight away, "Aman in office. Come soon." She stands up putting on a fake evil smile and walk towards him, "Aman, jawab nahi tumhara. Tum poori duniya mein announcement karne wala ho ke mein tumhara saath de rahi houn. Agar Rahul ko pata chala toh hum dono jail ke peeche honge samjhe?" Aman tells her off saying, "Mujhe na Rahul ki parvaah hai na apne parivaar ki." Ayesha nastily replies, "Lekin mujhe hai. Itna yaad rakhna mein tumhara saath sirf Rahul ko pane ke liye kar rahi houn. Warna tum jaise insan se baat karna bhi mujhe manzoor nahi hai."
 
At this point Rahul comes near the office and stands at an angle where he cant be seen by Aman. Aman tells Naina, "Mein yaha apna plan batane aaya tha, Kakun ko maarne ka." Ayesha is looking the other side, she presses a button and sees Rahul flinch at Aman's words. She is really sad but turns around and says, "Arre wah. That's quick hai na. Jis ladki se itna pyaar karte the uske maarne ka plan banana ke liye tumhe do din bhi nahi lage." Aman shrugs his shoulders and replies, "Mein Kakun se pyaar zaroor karta houn lekin usko saza milegi mera pyar na lautane ki. Pata nahi usne Rahul mein aisa kya dekh liya ke usse koi nazar nahi aata. Meine uske liye itna sab kuch kiya, uski jaan bachayi, uska khayal rakha, uska saath diya. Aur anth mein kuch nahi!! Bas Rahul, Rahul! Ab bohot ho gaya. Uska waqt aa gaya hai, Naina Oberoi."

 

Rahul is shaking his head in disbelief and thinking, "Itni nafrat kaha se aa gayi tum mein Aman. Kakun ko maarne ka plan banaya tumne, uski zindagi bigaadne mein koi kasar nahi chodi. Ab tum dekhte jao. Mein kya karta houn."

 

Naina is pleased that he is letting so much on since it will be useful to pin him down in court. She asks him, "Toh phir tum karne kya wale ho?" Aman smiles viciously and says, "Kakun ki zindagi mein zeher ghol dounga. Mein kuch aisa karounga ke Rahul nafrat karega usse. Til til maarne ka yahi ek raasta hai. Rahul ki nafrat Kakun bardaasht nahi kar sakti. Jeeteji maarne mein aur maza aayega." Ayesha looks at him questioningly and says, "Aman, kya tumhe pata nahi hai ke Rahul Kakun ke khilaaf kuch bhi nahi sunega. Balki woh tumhari chutti kar dega. Kaafi kacche khiladi ho!." And she laughs.

 

Aman rushes to her side and holds her hand behind her back holding her. She looks towards Rahul who is going to come in but she holds her hand slightly up stopping him and closes her eyes indicating she is ok. Aman moves to her ear and says, "Ae Naina, mein ek Naina ko toh maar chuka ho. Apni aukaad mein reh warna Naina Bhasin aur Oberoi ka saamna parlok mein hoga. Samjhi." Naina pretends to be scared and says, "I am sorry Aman. Mein aage se kuch aisa nahi boloungi. Tumhara saath zaroor doungi, seriously." He leaves her hand and nods his head feeling proud of how he scared Naina.He turns towards the wall while Naina looks at Rahul. He gestures towards her asking how she is. She indicates she is ok, smiles slightly and points towards a hidden camera that she had got installed in her office to capture an instance like that. Rahul looks surprised and relieved seeing that. He mouths, "I owe you!". She smiles and says, "Oh you surely do!"

 

Meanwhile, Aman breaks out of his reverie and tells her, "Mein tumhe thodi der mein phone karounga. Phir tum wahi karna jo mein kahounga, got it?." Naina replies in affirmative and nods. He leaves and Rahul hides behind the door.

 

Rahul comes once he see Aman gone and rushes to Naina's side, "Tum theek toh ho na? I am so sorry, Naina. I am really very sorry." Naina smiles and says, "Rahul, agli baar se maafi nahi maangna please warna mein naraaz ho jaoungi. Mujhe bas yeh dekh kar maza aa raha hai ke Aman apne gusse mein apna Lawyer hona bhoul gaya hai. Itne slip ups. Mein yeh case mein dobara use hara doungi."

 

Rahul smiles and looks at her saying, "Thank you." She smiles back and just keeps staring and then suddenly breaks away looking the other side saying, "God, help me!!"

 

Part 3

 

Kakun is waiting for Rahul thinking why he left her in such a hurry and whether he is ok. Her eyes are downcast and there are tears in her eyes, "Meine shayad Rahul ko Aman ke baare mein bata kar acha nahi kiya. Kitna gussa tha uski aankhon mein, woh yeh dard bardaasht nahi kar payega. Aur mujhe kya haq hai ke mein uski zindagi ke saath kheloun. Naina hi sahi hai Rahul ke liye. Mein nahi, Rahul, mein nahi." She walks up the stairs to her room and takes her bag out and begins to put her clothes in.

 

Rahul is thinking he will take Kakun for a nice evening out and goes towards her room. He walks in and is shocked to see her packing. He questions her right away, "Yeh tum kya kar rahi ho, Kakun? Yeh bag kyun?" Kakun looks at him, looks away and answers, "Mein ja rahi houn, Rahul. Mein tumhare liye sahi ladki nahi houn, yeh tum bhi janti ho aur mein bhi." Rahul is pained and angry, he holds on to her hand turns her to look around, "Agar jo tum keh rahi ho woh sahi hai toh meri aankhon mein aankhein daal kar kaho. Doosri taraf kyun dekh rahi ho, Kakun? Batao kyun? Aur yeh tumhari soch hai, meri nahi. Mein sirf itna janta houn ke agar Rahul ka dil kisi ke liye dhadakta hai, toh woh tum ho. Jaana chahti ho na? Jao, lekin usse pehle.."

 

He picks up a knife from the table and places it on his wrist. Kakun is stunned to see this, "Rahul, pagal ho gaye ho kya? Chodo usse, please chod do." Rahul is undeterred and continues, "Nahi Kakun. Kya ho gaya? Jab mein Ghosh badi se jaa raha tha, tumne bhi toh yahi kiya. Agar tum meri zindagi mein nahi ho, toh mujhe jeene mein koi dilchaspi nahi hai." Kakun is snatching it away from his hand but he holds on to it and then takes her really close to himself and says in her ears, "Meri zindagi tumhare haath mein hai, Kakun. Aaj ya tum mujhse vaada karo ke tum dobara mujhe chodne ki baat nahi karogi ya mujhe marte hue dekho." Kakun stares at him, "Rahul, please yeh pagalpan chod do. Mein.. Mein tumhari zindagi barbaad nahi kar sakti. Mera yakeen karo. Put it down, Rahul." She manages to free his grip and starts to walk away.

 

He turns her around and holds on to the back of her head and with a very possessive and firm tone tells her, "Kakun, please sweetheart meri baat samjho. Tum yeh sab isi liye kar rahi ho kyunki tumhe lagta hai ke jo Aman ke saath hua uske liye zimmedaar tum ho aur is liye tum mere layak nahi ho. Lekin sach toh yeh hai, Kakun ke mujhe is baat par hairaani hai ke is sab mein tum apne aap ko dosh kaise de sakti ho. Tumhari zindagi mein kaise aaya? Zabardasti se. Tumne mujhse pyaar kaise kiya? Mere hi kareeb aane par. Tumse shaadi kisne ki? Meine. Tumhe dhoka kisne diya? Meine. Tumhari zindagi mein Aman Punj aaya kaise? Kyunki tum mujhe Kolkata se Amritsar dhoondne aayi thi. Tumhari aaj joy eh haalat hai, uska pura gunaah mere sar par hai. Phir bhi tum baar baar apne aap ko sazaa deti ho."

 
He pulls her away from him, places his hand on her head and says, "Mein aaj tumhari kasam khaata houn, Kakun, agar aaj ke baad tumne yaha se jaane ki koshish ki ya apne aap ko kasoorwar thehraya, toh mein apni jaan de dounga, I swear Kakun, honestly. Meri zindagi mein tumse pyaar karne ke aur tumhara khayal rakhne ilawa aur koi lakshya nahi. Tum meri manzil ho aur meri zindagi ka har rasta tum se hi shuru ho kar tum par hi khatam ho jaata hai. Agar tum nahi ho toh mere jeene ka koi matlab nahi banta. Samajh rahi ho meri baat?" Kakun nods and begins to cry.

 

He seats her down on her bed not breaking eye contact and kneels in front of her. Takes both her wrists and kisses them delicately. He kisses her forehead and her cheeks. He places her head on the pillow, "I love you, Ms. Kakun Ghosh soon-to-be Punj." He sits next to her, places her head on his chest and holds her tightly in his arms. She smiles teary eyed and tells him, "I love you much more, Mr. Rahul Punj." She buries her head in him and just holds on to him with all her heart. He kisses her all over her face and tells her, "Tumhe kuch nahi hoga, Kakun. Tum kahin nahi jaogi. Yakeen karo, please." She nods finally resigning herself to the fact that Rahul is hers and will always remain hers, no matter what.

 
End of Episode
 

Episode 5 ' Part 1

 

Gayu is sitting in her room thoughtful as DP walks in and sees her. He walks towards her and sits down beside her and asks her what the matter was. Gayu smiles ruefully and replies, "DP, Naina ne toh Rahul aur uske divorce papers par sign kar diya lekin kya Aman Kakun ko chod dega. Mere man mein ek baat hai, aap se pouchoun?" DP looks at her and says, "Gayu, meine aaj din tak tumhe roka hai jo aaj rokounga? Kaho."

 

Gayu continues with her problem, "Mein chahti houn ke Rahul aur Kakun ki shaadi jald se jald ho jaaye. Is se pehle ke kuch aur bura ho aur halaat unh eek doosre se dobara alag kar de mein chahti houn ke woh ek ho jaaye. Yeh toh aap bhi maante hai na DP ke jab do log saath ho toh mushkilo ka saamna aur aasani se hota hai?" He nods. "Toh phir please koi aisa raasta dhoondiye jisse Kakun aur Aman ki shaadi toot jaye. Rahul aur hamare parivaar ne milkar Kakun ki zindagi mein aansoon bhar diye. Naazo se pali ladki ke raah mein sivaye kaato ke aur kuch nahi mila. Mein use uski saari khushiyan lautana chahti houn aur iska ek hi raasta hai, Rahul."

 

DP smiles at her dotingly and says, "Hamara parivaar Bebe ke aashirwaad aur tumhari acchaiyon ki wajah se hi ek saath hai Gayu warna yeh 3 bachon ne is ghar ko tabah karne mein kuch nahi choda. Rahul, Aman aur Tanu ka toh kya kahoun." Gayu is sad to hear this but tells him, "Bache hai DP, galati toh karenge hi lekin hume unhe maaf karna chahiye hai na. Aur mujhe yakeen hai ke Kakun jin achaiyon kit um baat kar rahe ho, unhe hamesha banaye rakhegi, hai na?" DP hugs her and says, "Bilkul Gayu. Kakun hi is ghar ki bahu aur Rahul ki patni ban sakti hai. Wahi yeh ghar ko tumhari tarah sambhal sakti hai. Mein jald se jald Rahul aur Kakun ki shaadi karvane ka koi raasta dhoondta houn lawyer se milkar. Tum befikr raho."

 

Kakun was near the door while DP spoke about Rahul and her getting married and is very pleasantly surprised. She smiles widely and looks down and turns around only to walk into Rahul who looks at her very mischieviously, "Acha toh tum aaj kal logon ki baate bhi sunti ho Kakun bina unke jaane?" Kakun is caught unaware at the question and replies stutteringly, "Mmmeine toh kuch nahi kiya Rahul." Rahul grins again and says, "Ab jhoot bhi bologi! Abhi sun liya toh bol bhi do, Kakun. Mujhse chupaogi?" Kakun gets flustered and replies, "Rahul kuch chupane ke liye hai hi nahi. Mujhe pata nahi, toh tumhe kya batoun?" Rahul pulls her closer and whispers in her ear, "Agar meine sun liya ke Dad aur maa hamari shaadi ki baat kar rahe toh tumne kaise nahi suna, Kakun ji?" Kakun looks up at him and laughs and says, "Matlab jhoot hum dono bol rahe the? Tumne bhi suna. Lekin tumse kisne kaha ke mein shaadi ke liye haan kahoungi?"

 

Rahul is shocked at her statement and can't understand what would make Kakun say something like that, "Kakun ne aisa kyun kaha." He looks at her with a very pained expression. Kakun gets on her toes, kisses his cheeks and runs towards the terrace with Rahul behind her. She nears the swing and he walks towards and turns her around, "Kakun, aur kitni pareeksha logi tum meri. Mein kya karoun tumhare liye ke tumhe yakeen ho ke meri saansen tumhare liye chal rahi hai. Please mujhe batao, kya hua?" Kakun looks into his eyes, "Dekho Rahul, pehli baar hamari shaadi bohot tension bhare haalat mein hui, doosri baar tumhe mujhe bhagakar le jaana chahte the, is baar finally normal tareeke se sab hoga. Agar tum propose nahi karoge toh mein haan kaise keh sakti houn meri jaan?"

 

Rahul laughs out loud and heaves a sigh of relief. He hugs her really cutely, kisses her forehead and her wrists. He seats her down on the swing, gets down on one knee and takes out a small box from his coat. He opens it and asks her, "Kakun, aaj mein Rahul poori tarah se tumhara houn hamesha ke liye. Zindagi mein aage kuch bhi ho, mein tumhare saaye ki tarah tumhare saath chalounga. Tumhare har dukh ko mujhse saamna karke hi guzarna hoga. Mein tumhare saath ke liye, tumhari ek hasi ke liye apni poori zindagi rukne ko tayaar. Kya tum mujhse shaadi karogi?"

 

Kakun has tears in her eyes and Rahul goes to wipe them off. She smiles and tells him, "Ghabrao mat Rahul, yeh toh khushi ke aasoon hai. Sach boloun toh meine tumhe pane ki umeed chod di thi. In pichle dinon mein jo hua uske baad woh umeed jaagi hai. Waqt tumhare baare mein sochte hue kaha nikal jaata hai pata nahi chalta. Mein maanti houn ki in dinon bohot kuch hua lekin agle saath janamon tak mujhe yeh sab haalat se dobara guzarna pade tum tak pohochne ke liye, toh mein guzroungi. I love you and yes, mein aapse shaadi karoungi."

 

Rahul places the ring on her finger, puts his arm around her and says, "Now officially mine.. Ms. Kakun.." She hugs and him and then looks down shying away.

End of Part 1
 

Part 2

 

Kakun is walking towards Aman's house thinking, "Aaj jo bhi ho mujhe maloom karna hi hoga ki aakhir Aman ab chahta kya hai. Mere saath jo bhi ho lekin agar usne Rahul ko takleef pohchane ki koshish ki, toh mein usse nahi chodoungi."

 

She is about to ring the doorbell but finds the door open and walks through. Aman is facing the other side and without turning around starts talking, "Aha.. Mrs. Kakun Aman Punj. Aaiye, apne ghar mein aaiye. Aapka pati ghar par akela rehta hai aur aap hai ki uske baare mein poochti bhi nahi hai. Anyways, der aaye durust aaye. Ab se tum apne hi ghar mein rahogi. Mujhe nahi acha lagta ke tum parayo ke saath raho jab ki tumhara pati zinda hai."

 

Kakun glares at him but composes herself to say, "Pati. Really Aman? Tum apne aap ko pati ka khitaab kaise de sakte ho? Ek pati patni ka rishta vishwaas, pyaar aur bharose par banta hai. Hamare beech mein yeh cheez nahi hai. Vishwaas us din toota jab mere kehne ke bawajood bhi tumne mujhse shaadi ki. Yaad karo, meine tumhe kaha tha ke ain waqt par hum shaadi nahi karenge lekin tumne halaat aisa paida kiye ke hamari shaadi hui. Jab Naina tumhare raaste mein aayi toh tumne usse maar dala. Us ladki ki behen ko maar dala jisse tum pyaar karne ka daava karte ho. Pyaar mein insan leta nahi deta hai, Aman Punj. Tum ek khudgarz matlabi insan ke ilawa kuch nahi ho. Zindagi mein apne aap ke ilawa tumhe na kuch dikhayi deta hai na sunai deta hai. Pati hone ki toh tum baat mat karo mujhse."

 

Aman listens to her intently when she spoke and takes on a menacing expression and replies, "Kakun, tum politics mein kyun nahi chali jaati. Kitna bolti ho yaar. Yeh koi rally nahi hai, got it? Tum yaha kaise yeh batao?"

 

Kakun cant believe his attitude and then turns away and replies to him, "Mein yahan tumhara haal poochne nahi, tumse jaane aayi ke tum kya chahte ho? Clearly tumhe pata hai ke hum dono ke beech kuch nahi hai. Mein tumhe dekh nahi sakti toh tumhara naam apne naam ke saath jod kar kaise rakhoun? Mein tumse talaaq chahti houn."

 

Aman is utterly shocked and pained to hear this, "Kakun, talaq! Kyun? Mein tumhare bina nahi reh sakta toh tumhe talaaq kaise doun? Batao mujhe. Yeh sab tum us Rahul ke liye kar rahi ho jisne tumse sab kuch cheen liya? Us Rahul ke liye jo Naina ke peeche bhagta rehta tha?"

 

Kakun walks up to him and says, "Mein yeh sab us Rahul ke liye kar rahi houn jis se meine pyaar kiya hai aur jo mujhse pyaar karta hai. Meine yeh us Rahul ke liye kiya jis ne mere liye apni khushiyon ko maar diya, apni zindagi gawane chala tha woh jail mein aur tumne kya kiya? Meri bichdee hui behen jise mein gale lagakar apni behen bula bhi nahi saki use maar dala. Rahul ke dil mein apni galati ke liye pachtava tha lekin tumhari aankhon se uski maut par ek aasoon nahi baha. Aman tum toh insan bhi kehlane ke layak nahi ho! Agar tum mujhe seedhi tarah nahi chodte toh hamari agli mulakat court mein hogi aur agar tum phir bhi mujhe nahi chod sakte toh mein is duniya se hi chali jaoungi jaha par mera Rahul se rishta nahi jud sakta. Faisla tumhara hai."

 

She walks out leaving a dazed Aman. As she leaves the gates she spots Rahul's car and is really worried about what he would think. She falters in her step and is about to fall when Rahul comes and holds her. She is standing in his arms with her eyes closed and slowly opens them looking up at an upset Rahul. He makes her stand straight, just takes her hand, walks her to the bench and seats her down. She is guilty of what she has done and is about to explain herself when Rahul places her hand on her mouth, "Kakun tumhe mujhe explanation dene ki koi zaroorat nahi hai lekin ek sawaal ka jawaab zaroor chahta houn. Tum mujhse apne aap se zyada pyaar karti ho, mere liya kuch bhi kar sakti ho, lekin kya mere liya maut ke mouh mein jaana zaroori hai? Aman ne tumhari behen ko nahi choda, woh tumhe kyun chodega. Tum mujhe keh nahi sakti thi ke tum Aman se milne ja rahi houn. Yeh toh acha hua ke meine tumhe dekh liya aur tumhara peecha karte hue yaha tak aa gaya. Mein tumhe rokna chahta tha lekin usse pehle hi tum andar chali gayi. Agar tumhe kuch ho jaata toh mein kya karta Kakun? Please dobara Aman se khud nahi milna. Mein tumhe darana nahi chahta is liye meine bataya nahi lekin Aman tumhe maarne ki saazish kar raha hai."

 

Kakun is completely shattered hearing this and cant believe her ears. All the scenes of Aman come back to her, their first meeting, the photo frame that he gets of her and Rahul for her, the day she finds out that she kills Naina, the times he tortured her. She cant take it and starts crying bitterly hugging Rahul. Rahul pats her head and says, "Mein janta houn Kakun tumne dhoka khaya. Mujhse hi nahi Aman aur Naina se aur mera yakeen mano tumhe badla zaroor milega. I promise you."

End of Part 2
 

Part 3

 

Aman is sitting in house with a picture of Kakun in his hand and tears in his eyes talking to himself. He sighs and starts off, "Kakun, kaash tum samajh paati ke meine tumse kitna pyaar kiya hai?" His expression hardens as he continues, "Tumhe sirf Rahul nazar aata hai, uska pyaar, uska chehra, uski takleef. Lekin mera kya Kakun mera kya? Meine tumhara saath diya, tumhe tumhare pyaar se milane ki koshish ki, tumhare saath tab khada raha jab koi nahi tha tumhare liye. Lekin Rahul kya aaya woh sab badal gaya. Tumhari aankhon mein mere liye main woh pyaar aur dard dekhna chahta houn jo Rahul ke liye dikhta hai. Lekin chahkar bhi main nahi dekh sakta. Kabhi nahi aur yeh baat mujhe tod deti hai, har lamha, har pal mein marta houn." He breaks down completely.

 

Rahul walks in to the house and Aman is taken aback to see him there. Aman wipes his tears quickly and nastily looks at him and asks, "Rahul, tum log kya turn by turn mujhse milne aa rahe ho. Pehle Kakun, phir tum. Next Naina bhi aa jayegi, hai na? Yeh ho kya raha hai?"

 

Rahul is disappointed to see that Aman is not even apologetic about what he has done and tells him, "Mujhe samajh mein nahi aata Aman ke tu aisa kaise ban gaya. Ab jab tu apne aap se Kakun ki baatein kar raha tha, aisa lagta tha ki tu uski khushi ke liye kuch bhi kar sakta hai lekin tu ne hi uski khushiyan cheeni. Woh logon par bharosa nahi kar sakti, darti ha rishton se, kya tu yahi chahta tha? Itni burayi, itna gussa tujh mein kahan se aaya. Naina toh tere raaste ka kaata thi is liye tune use maar dala lekin Swati tera pyaar thi, teri zindagi aur usse bhi.. Meine apne bhai ko kahin kho diya, ek maa ne apne bete ko kho diya. I feel like I don't even know you anymore."

 

Aman shrugs his shoulders and tells Rahul, "Dekh Rahul, mujhe tum logon ki koi zaroorat nahi hai. Tu ne bhai kho diya toh tera doosra bhai bhi hai aur maa ke paas do bete hai, dad ke paas hai. Ek ke jaane se kya hota hai, don't you think? Aur waise bhi ek khooni ko tum beta kaise maan sakte ho?"

 

Rahul flinches at Aman speaking about Naina's death so jeeringly and gets very angry, "Woh meri sab se achi dost thi dammit. Tu uske saath bada hua tha, Aman. Usse maar dala woh ek baat lekin uska tujhe koi pachtava nahi yeh baat mujhse bardaasht nahi hai. Naina ne jo bhi kiya pyaar mein kiya lekin usne kisi ko maarne ki koshish nahi ki. Sudhar jaa Aman and turn yourself in warna.."

 

Aman looks at him and is not as composed as he was. He just says, "Warna kya Rahul? Tu kya kar lega? Meine tujhe pehle bhi kaha hai kanoon ki dhamki mujhe mat de."

 

Rahul calmly replies, "Theek hai phir Aman. Tu yahi chahta hai na toh yahi sahi. Kakun ki baat yaad hai na tujhe, usne kaha tha ke agar tumne usse nahi choda toh woh apne aap ko maar degi. Tum mujhe court mein hara do aur Kakun ko marte hue uske baad dekh lena. Tumhara badla poora ho jayega aur Kakun bhi. Kakun ke bina mein nahi jee sakta aur mein bhi chala jaounga. Tum phir khushi se apni zindagi jeena jis mein na mein rahounga na Kakun. Right?"

 

Aman is confused with what Rahul is saying and Kakun walks in at the same time. Rahul is shocked to see Kakun there when he had told her not to come in. Kakun gestures to Rahul with her eyes that its ok but Rahul is not convinced and looks very worried. Kakun smirks at Aman and tells him, "Rahul ki baat bilkul sahi hai na Aman? Lekin actually hum itni der tak raah kyun dekhen. Agar mujhe marna hi hai toh aaj kyun nahi?" Rahul looks at her pleadingly and tells her, "Kakun, paagal ho gayi ho kya? Please don't do this, mere liye please yahan aao." He holds out his hand towards her.

 

Kakun looks helplessly at his hand but continues, "Nahi Rahul. Mujhe aaj nahi toh kal marna hi hai, toh aaj kyun nahi? Aman apne iraade se nahi hatega aur mera paas aur koi raasta nahi hai." She takes out a gun from behind her and gives it to Aman. Rahul runs towards her but she manages to hold on to him and whispers to him, "Kuch nahi hoga, Rahul. Mera yakeen karo." She turns to Aman and asks him, "Chalo Aman kya soch rahe ho? Bandook tumhare haath mein, nishana saamne, Rahul kuch nahi karega. Come on shoot me! Go ahead Aman, what's stopping you? Swati ko maar diya, Naina ko maar diya toh mein kya houn? Come on!!"

 

Rahul is watching on helplessly at the scene and cannot understand Kakun. Why was she doing this and walking into trouble? What is she thinking? She takes Aman's hands and places the gun point on her foreheand and closes her eyes. She is astounded when she suddenly cant feel the gun and thinks that Aman is pointing it towards Rahul. She opens her eyes only to see Aman place the gun on his temple smiling away.

 

Both Rahul and Kakun fail to understand what was happening and the scene freezes on their faces in 3 sections.

 

End of Episode

 

Episode 6

 

Kakun and Rahul stare at Aman and are very suspicious of his next move. Kakun starts talking to buy time before something bad happens, "Aman, yeh ek nayi chaal kai kya? Tumhara nishana saamne khada hai aur tum teer ko apni taraf ghuma rahe ho. What are you trying to do?"

 

Aman still has the gun on his temple and there is a very slight trace of a change in his eyes. He is trying to look menacing but is struggling to do so, "Kakun, mein tumhe nahi maar sakta. Yeh sach hai ke meine Swati ko maar dala, meine Naina ko bhi maar diya lekin tumhe maarne ki himmat nahi kar pa raha houn. Aur mein khud nahi samajh pa raha houn ki mujhe kya ho gaya hai?"

 

Rahul is not comfortable about what is happening and says to himself, "Aman jaisa insane itni aasani se nahi badal sakta. Kuch toh galat hai. Kakun kya kar rahi hai? Woh yaha aayi hi kyun?" He walks towards Kakun and places her arm on her shoulder. She looks back at him with eyes full of fear for him and intense love.

 

Aman snaps immediately, "Yahi dard, yahi pyaar, yahi darr jo tum dono ki aankhon mein ek doosre ki zindagi ke liye hai, mein tumhari aankhon mein apne liye dekhna chahta tha, Kakun. Meine tumhare liye sab kuch kiya lekin yeh rishta jo tumhara Rahul ke saath hai woh bana nahi paya. Tumhara dost toh ban gaya lekin tumhara pyar nahi bana. Tumhara humdard bana lekin saathi nahi. Kiski wajah se isi Rahul ki wajah se! Tumhara faayda uthaya isne, apne pyaar ke liye tumhara dil todta gaya aur tum usse pyaar karne ke ilawa aur kuch nahi kar saki."

 

Kakun looks at him and replies back very confidently, "Galati insane se hi hoti hai, Aman. Rahul se galati hui, usne usse sudhaarne ki koshish ki. Tumne kya kiya? Swati ko maarne ke baad Naina ko maar diya. Aur uske baad bhi tumhari saasein chal rahi hai, tumhari zindagi waisi hi hai jaisi thi. Rahul mein insaniyat hai, ek dil hai jo usse ehsaas dilata hai ke usne kuch galat kiya hai, logon ke liye dard hai. Tum mein yeh sab hai? Nahi, bilkul nahi. Toh kahon jo mere dil mein Rahul ke liye hai woh tumhare liye kahan se laoun? Batao, Aman!"

 

Aman glares at her and points the gun towards Rahul, "Toh mein is Rahul ko hi maar deta houn. Kahani khatam kar deta houn tum dono ki amar prem kahani ki!"

 

Kakun is shocked at what Aman was doing and she rushes towards him and holds on to the gun, "Mein tumhe aisa kuch nahi kar doungi Aman. Rahul ko kuch nahi hoga. Us par ungli rakhne se pehle bhi tumhe mujhe maarna hoga. Come on dammit!"

 

Rahul quickly goes to Kakun's side and tries to control her but she seems hysterical at what Aman says. He holds her and tries to calm her down, "Tumhe aur mujhe kuch nahi hoga Kakun. Mein yahin houn. Meine kaha tha hum jiyenge toh saath jiyenge, marenge to saath marenge. Calm down, please."

 

Kakun holds on to him and cries, "Nahi Rahul.. Aman.. Aman tumhe takleef pohchana chahta hai. Mein tumhare bina nahi jee sakti. Please usse roko Rahul. Meri zindagi abhi toh tumhare saath shuru hui hai, usse khatam kaise hone doun? Please Rahul, please."

 

Rahul begins to talk but both her and Kakun and her are shocked to hear a gun shot behind them. They look behind astounded to see Aman falling on the floor with a bullet through his head. Kakun screams and holds on to Rahul who is flabbergasted at the sight himself and the screen freezes on her and him hugging each other fearfully.

End of Part 1

 
Part 2

 

Rahul and Kakun are frozen at the sight in front of them and are in complete disbelief on Aman's action. They have held on each other not knowing to do what next. Aman looks at Kakun very sadly and extends his hand out towards her.

 
She looks at Rahul and he nods for her to go towards Aman but comes along with her. Both sit along his side while he just stares at Kakun. Kakun starts crying and tells Aman, "Kyun Aman? Yeh sab kyun kiya tumne? Hum sab kaha aakar khade ho gaye hai. Tum mere dost the. Meine kabhi yeh lamhe ka gumaan apni zindagi mein nahi kiya tha. Tum Rahul ke bhai ho, is parivaar ka hissa ho. Sab kuch bigad gaya!"

 

Aman is staring at her but is unable to speak. He however shakes his head disagreeing to Kakun saying that everything is over. He points towards Kakun and Rahul and joins his fingers together. Rahul is crying seeing his brother going away in front of his eyes.

 
The three of them look distraught at where they have come. Aman smiles at both of them and goes over all the stuff that he did. There are flashes of him and Swati together, him and Kakun, the friendly moments that they had, the times she turned to him for solace, the times he tortured her to keep Rahul away from her and the way he killed Naina.

 

A tear goes down his cheek and he tells himself, "Mere paapon ka yahi pashchatap hai Rahul aur Kakun ke mein mar jaoun aur rasta khol doun tumhare aur Rahul ke saath ka. Tumhari khushi mein hi meri maafi hai. Jeete ji toh mein tum dono ko ek nahi hone deta kyunki yeh mujhse bardaasht nahi hoga. Lekin markar mein tumhe ek kar sakta houn. Tumhare raaste ka aakhri kaata nikal gaya. Tum dono hamesha khush raho."

 

He breathes heavily for a while and then just takes a last breath with his hand inches away from Kakun. Kakun and Rahul just don't know what to do. Kakun cries and hugs Rahul with all her heart trying to forget all of this as a very bad dream, "Rahul, Aman. Aman ne kya kiya? Apne aap ko maar dala! Woh toh adalat bhi ja sakta tha na. Mummy ji yeh dukh kaise sahengi. Jo bhi hai, Aman beta hai unka. Rahul!!"

 

Rahul pats her head with tears in his eyes, "Shhhh Kakun. Sambhalo apne aap ko. Tum Aman ko maarne toh nahi aayi thi na. Yeh to usne khud kiya hai. Insan apne karmon se nahi bhaag sakta. Aman ko apni saza yahi kaatni thi. Woh jaanta tha ke woh kabhi bhi tumhe chain se jeene nahi dega, isliye usne apne aap ko hi.." He is unable to continue and just sits with his hand around Kakun and wonders what to do next since he cant think at all. He looks completely lost.

 

Their silence is broken by the ring of Rahul's phone and their eyes widen seeing Gayu's number on the screen. Rahul fumbles and nervously asks Kakun, "Mein kya karoun, Kakun. Maa ko kaise bataoun? Aman ke baare mein. Woh sehen nahi kar payegi."

 
Kakun takes the phone from his hand and answers the call. Gayu starts off quickly, "Yeh kya Kakun? Tum aur Rahul bhi na. Ek toh ghar se gayab upar se phone uthane mein bhi itni der. Tumhe pata hai na mujhe kitni fikr lagi rehti hai tum dono ki. Kaha ho beta?"

 

Kakun closes her eyes and musters up the courage to talk to Gayu, "Mummy ji, aap sab please Aman ke ghar aa sakte hai abhi. Aap sab please jaldi aaiye. Mein aapko sab bata doungi. Aap bas aa jaiye." Gayu is worried on the other line and says that they will be there right away wondering why there are at Aman's house.

 

Kakun and Rahul are looking at Aman's body on the floor with the gun in his hand. Gayu, DP, Sid and Preeti walk in and stop in their steps shocked to see Aman. The scene freezes on Gayu's face in complete disbelief.

 

End of Part 2

 

Part 3

 

Gayu stands frozen in her steps unable to comprehend the scene. Kakun rushes to her side and holds on to her. Gayu looks at her and then at Aman and asks Kakun, "Kakun, yeh kya ho gaya? Aman ne yeh .. Aman! Aman! Utho na Aman. Dekho mein aayi houn, Gayu. DP, dekho na. Aman ko uthao, please Aman ko uthao."

 

Rahul walks up to his mother. She looks up at him with eyes full of tears and just breaks down hugging him. Rahul places his hand on her head and tries to calm her down, "Mom, mein janta houn ke aaj mein job hi kahounga, aapka dard kam nahi hoga. Lekin hamara naseeb yeh hai. Doosron ke gharon ki roshni cheen kar Aman apne ghar ka andhera nahi mita sakta tha. Takleef aaj hum sab ko hai, lekin yahi dard hua hoga Swati ke parivaar ko, Devi Aunty ko. Apne aap ko sambhaliye mom, please."

 

DP walks towards Gayu and he pats her head. She turns around to him crying and talking between sobs, "Rahul theek hi toh keh raha hai, DP. Swati aur Naina ki aatma ko aaj shanti mili hogi na. Rahul aur Kakun ki zindagi mein ab khushi aa sakegi. Hamari zindagi mein yeh dukh toh aana hi tha na, Aman ke haathon ya kanoon ke. Bas ab iske baad agar kuch bura hua toh tumhari yeh Gayu mar jayegi, DP, mar jayegi." He hugs her and assures her that everything will be fine for sure.

 

Kakun walks away from them crying, goes towards the gate and just keeps walking on. Rahul notices her and runs behind her. He catches up with her and holds her hand, "Kakun, apne Rahul ko chod kar ab kaha ja rahi ho?" Kakun turns around with her eyes full of tears, "Mujhe maaf kar do Rahul, please. Tum jab meri zindagi mein aaye toh muhjse sirf mera parivaar chout gaya lekin meri wajah se tumhara bhai aaj duniya mein nahi hai. Mein apne aapko maaf kaise karoun?"

 

Rahul holds her face in his hands and kisses her forehead and looks into her eyes, "Aaj bhi apne aap ko hi kasoorwar maanti ho, Kakun? Itna sab kuch hone ke bawajood tum yeh sochti ho ke yeh tumhari galati hai? Agar yeh kisi ki galati hai toh Aman ki aur poore Punj parivaar ki hai. Papa hamesha Aman ko daata karte the yeh soche bina ke isse kya ho sakta hai. Swati Aman ka pagalpan ban gayi aur aahista aahista who barbaad ho gaya uske peeche. Woh sochta tha ke yeh pyar hai lekin na woh Swati se pyaar karta tha na hi tumse. Obession ko pyar ka naam nahi diya jata. Tum mera pyaar ho, aakhri pyaar. Agar tum meri zindagi mein nahi rahi, toh Rahul ka kuch bhi nahi rahega Kakun. Tumhari saansein mujhe jud gayi hai. Aaj ke baad koi bhi hamare beech mein nahi aayega."

 

She raises her hand to touch his face and wipes away the tears in his eyes. She holds his hands in her and looks into his eyes, "Rahul, mein tumhe is baar khud kahi nahi jaane doungi. In kuch maheeno mein har gham seh kar aayi houn. Meri agni pariksha yaha khatam hoti hai. Tum sirf mere ho. Mere saamne ek zindagi jiske har din par mein tumhara naam likh rahi houn. I love you, Rahul. I love you so much." She kisses his cheeks and forehead and hugs him not being able to believe that Rahul is finally hers.

 

Naina smiles at both of them from a distance and wipes the tears of her face and thinks while looking at the full moon, "Kuch maheene pehle aisi hi ek chandni raat mein do pyar karne wale pehli baar mile the (flashback to the scene where Rahul pulls Kakun into the train on their first meeting). Unki zindagi mein kahi utaar chadaav aaye lekin unka pyaar kam nahi hua. Log unhe ek doosre se juda karna chahte the lekin woh ek doosre ki taraf aur khichte gaye (flashback to Naina trying to put Kakun into trouble and Rahul finding out that it was never her fault). Aaj woh dobara mil gaye aur is baar hamesha ke liye.. Sacha pyaar kabhi nahi haarta aur yeh baat Rahul aur Kakun ne saabit kar di. Ishq se badhkar Kya Dil Mein Hai."

 

End of Part 3

 

Episode 7

 

Part 1

 

Devi and Gayu are sitting in the lounge with sarees all around them. Devi is smiling at Gayu thinking, "Mein aaj Kakun ke liye itni khush houn ke mujhe khud ko yakeen nahi hota. Aaj meri Naina ki qurbani rang layi hai. Kakun aur Rahul aaj ek ho jayenge aur hamesha khush rahenge. Lekin ek bechaini si hai dil mein ke ab tak mein Kakun ki maa hone ka haq nahi ada kar payi. Kaise samjhau mein sab ko is baare mein. Gayu Kakun se itna pyar karti hai lekin agar use bhi yeh pata chala ke Kakun … Nahi nahi, Kakun samajh jayegi meine yeh kyun kiya. Mein kisi ko bhi sach nahi bata sakti."

 

She just excuses herself from Gayu and walks towards the terrace where she stands crying at what an unfortunate mother she is. One of her daughters died and she cant tell the world about her other daughter who anyone would be lucky to have. Rahul sees her crying, goes up to her and places his hand on her shoulders, "Devi Aunty, kya baat hai? Aap ro kyun rahi hai? Mein janta houn ke meine Kakun ke saath bohot galat kiya hai lekin please bharosa rakhiye, mein kabhi uski aankhon se aasoon nahi behne dounga. Yeh mera aapse vaada hai."

 

Devi looks at him with tearful eyes and kisses him on this forehead, "Rahul aisi koi baat nahi hai. Kakun ya Naina ke liye tumse acha ladka nahi mil paata. Tum usse sacha pyaar karte ho aur tumhari shaadi is baat ki gawah hogi. Lekin mein kaise.. ?" She looks up at him worriedly and stops. Rahul sighs and tells her, "Mein sab janta houn, Devi Aunty ke aap itni pareshan kyun hai. Mujhe Naina se pehle pata chal gaya tha."

 

Devi is shocked to hear this, "Yeh tum kya keh rahe ho, Naina bhi janti thi?" Rahul nods his head and continues, "Usse pata chal gaya tha is liye us raat woh mujhe milne ki koshish kar rahi thi taki hum shaadi na kare. Us bechari ne Aman par bharosa kiya aur sacha bata di lekin issi baat ki wajah se uski zindagi chali gayi."  Devi is still staring at him in disbelief, "Lekin Rahul yeh sab janne ke bawajood tum Kakun se shaadi kaise kar sakte ho?"

 

Rahul smiles at her understanding her concerns and replies, "Kakun meri zindagi hai, Devi Aunty. Meine jeena, doosron ko apne aap ke pehle daalna aur pyaar nibhana usse seekha hai. Mujhe uske ateet se koi lena dena nahi hai aur is poore kisse mein aapki ya Kakun ki koi galati nahi hai. Woh aapki beti yeh aapki aur meri dono ki khushnaseebi hai, hai na?"

 

She agrees crying continuously as Gayu comes towards her. Devi is shocked to see her and starts talking quickly, "Gayu! Please Gayu mujhe maaf kar do. Meri galati ki saza Kakun ko mat dena. Yeh shaadi mat rokna, please!"

 

Gayu calms her down and tells her, "Mujhe Kakun jaisi bahu dhoondne se bhi nahi mil sakti, Devi. Mein usse jaane kaise doun. Mujhe Rahul ne sab bata diya hai. Agar galati tumhari Ma kit hi toh mein saza tumhein aur Kakun ko kyun doun. Yeh shaadi is baar ho kar rahegi chahe mujhe kisi se bhi ladna pade. Yeh jodi upar wale ne likhi, hum isse kaise badal sakte hai. Tum befikr raho. Bhai saab ko kuch pata nahi chalega."

 

Devi hugs Gayu and keeps thanking her for doing this. Rahul smiles at them and thinks, "Jaise Mom ne kaha Kakun yeh shaadi toh ho kar rahegi. Meri Kakun sirf meri."

End of Part 1

Edited by premmukti4eva - 14 years ago

Created

Last reply

Replies

46

Views

31483

Users

10

Likes

3

Frequent Posters

ArHi_4ever thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago

This is my first attempt at an FF. I have just been having withdrawal symptoms with KDMH not starting again inspite of it being 6 months!!

Please read and let me know whether I should continue or its not too good an idea!! :)
srilu_123 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
hi,
your ff is very good
continue the post
it is really nice
sadaf_5 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
rerally good please continue you brought the rakun spirit again after eading i felt like i just watched rakun, i love them so please carry on...
rbb1 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 9 Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
wow that was great thank you so much, Sadaf is right after reading your ff and Sri'f ff the spirit of KDMH is still with us and we are all hoping that KDMH will be back and it will have a happy ending we all wanted, thank you and cant wait to read your updates
rbb1 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 9 Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
awww that is so sweet thank you for the update, its really nice of Naina to think about Kakun and Rahul, cant wait to read your next update
srilu_123 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
thank u this is really a very good part
we want all happies
from the coming parts
-AMIGAIL-LOVER- thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
OMG OMG wooooooooow👏 sweeet heart thats awesome wooow omg wooow its tooo good love it 🤗🤗🤗keep it up dear thats really great wnat to read more about my rakun🤗awwwww adore them soooooooo much they are the the best jodi ever please update it soon dear its too good once again great and a really awesome👏
 
Rakun all the way!🤗
sadaf_5 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

toatally the update please carry on and update next part i am very despert to read next part.

reshu4eva thumbnail
Posted: 14 years ago
thank u this is really good update please continue the post  loved it  its really awesome keep it up dear thanks again 👏 👏