Posted: 14 years ago
 

 
Ab jab sabko pata hai ke DuSha ki vivah ke uprant yeh pehli deewali hai...toh iska palan toh ab rajkiya hi hoga...
Deepavali ki pehla din Dhanteras hota hai...aur Dhanteras ke liye Hashthinapur ki mahal bilkul dulhan ki jaise sajayi gayi hai...Shakuntala pehli baar deepavali ko itni dhumdham se palan hota dekh bahut khush hai...lekin sath mein use ashram mein apne sakhiyon Anusuya aur Priyamvada aur khash karke Karan ki bahut yaad ati hai...aur phir apne pita Rishi kanva ki bhi yaad ati hai...
 
Lekin yeh baat apni dil mein chhupa kar woh mahal mein puja ki sari tayariyan mein badi rani maa ko sahayata karti hai...aur ab mahal mein Mata Laxmi aur Shri Ganeshji ki puja arambh honevali hai...Dushyant bhi puja ke liye aa chuke hein....phir kya hota hai???
Watch out for the next post....
Edited by Rituparnaa - 14 years ago
Posted: 14 years ago
 

Ab mahal mein sab log milke Maa Laxmi aur Ganeshji ki puja karte hein...aur Badi Ranimaa ki kehne par Shakuntala apni sumadhur sur mein Maa ki aarti karti hai...aur uski aarti pe Dushyant ke samet wahan upasthit sare log mohit ho jatey hein...aarti ke uprant sab prasad sevan karte hein...aur Dhanteras ki puja itni acchi tarah se hone se apni khusi jatete hein...
 
Aur phir Deepavali ki dityiya diwas yani ke Chhoti deepavali ki subah DuSha puja ke liye tayar ho rahe hein tabhi achanak ek bartabah wahan upasthit hota hai...use dekh Dushyant puchhte hein...
 
Is samay kya samachar laye ho?Kya tumhen nahin pata ke hum aaj deepavali ke dusre din ke puja ke liye Maa Bhawani ki mandir ja rahey hein?
 
Phir agey DuSha ko kya samachar milta hai???
Watch out for next post.......
 
Edited by Rituparnaa - 14 years ago
Posted: 14 years ago

Shakuntala is decorating the castle room with diyas. She is thinking how she used to celebrate diwali in her aashram but she is happy that now this is her first diwali in royal castle as a wife of maharaj dush.

As she was putting diyas she saw dush too keeping diyas on other corner of the room. She rans there and says aap yahan...
Dush smiles: hum ne socha ki kyun na maharani shakuntala ke kaam mai kuch haath batayein.
Shakun smiles and says hum kar lengey....
Dush: wo to hum jaantey hain par aaj hum aap se ek pal ke liye bhi dur nahi jayenge.  Aaj Jis tarha ye diye se pura mahal prakashit hain issi tarha humare jewan mai chamak tum hi se hai.
Shakun blushes and dush comes close to her and gave her hug.

Edited by munyr123 - 14 years ago
Posted: 14 years ago

Aur tab woh bartabah bolta hai..

Khsyama karen Maharaj...par yeh barta aap tak pahunchana bahut jaroori tha isi liye humen asamay aap ke paas ana pada..

Dushyant kehte hein..

Thik hai...ab yeh batao ke samachar kya hai aur kahan se barta laye ho?

Yeh sunke woh kehta hai..

Maharaj samachar Rishi Kanva ki ashram se aya hai ke...tabhi Shakuntala adhir hokar puchh baithti hai...ashram se barta aya hai...wohan sab kuchh kushal mangal toh hai?...kahin koi asubh sambad toh nahin hai na??

Aur woh bartabah ab sir jhukaye kehta hai..
 
Khsyama karen Maharani...baat yeh hai..ashram se yeh khabar aya hai ke Rishi Kanva ki tabiyat do dinon se thik nahin hai...aur woh baar baar aap hi ko yaad kar rahen hain....aur unhone yeh bhi ichha jatayi hai ke agar Maharaj Dushyant ko koi apatti na hon toh aap kuchh din ashram mein unke sath gujare...
Edited by Rituparnaa - 14 years ago
Posted: 14 years ago

Ab apni Pita ki asusthata ki khabar se Shakuntala dukhi ho jati hai...aur uski ankhon mein pani aa jati hai..

Yeh dekh Dushaynt Shakuntala ki haath apni haath mein leke kehte hein..
 
Shakuntala tum bilkul bhi pareshaan mat ho...hum Maa Bhawani ki mandir mein puja khatam karne ke baad Rishi Kanva se milne unke ashram chalenge....aur Maa Bhawani ki ashiravaad rahi toh woh bahut jald thik ho jayenge...aur agar tum wahan kuchh din rehna chaho to reh sakti ho humen is mein koi apatti nahin hai..
 
Yeh sunke Shakuntala ko kuchh tassali hoti hai...aur phir woh Mandir jane ke liye tayar hoti hai...
Posted: 14 years ago

Phir DuSha mandir mein puja khatam karke Mata ki ashirvaad lete hein aur ashram ki taraf rukh karte hein...

Ab ashram mein kya hota hai???

DuSha ashram main vivah uprant apni pehli diwali kaise manate hein???Jan ne ke liye ...

Watch out for the next post.............
Edited by Rituparnaa - 14 years ago
Posted: 14 years ago
Aur jab Maharaj Dushyant aur Shakuntala Rishi Kanva ki ashram mein pahunchte hein toh wahan sab log deepavali ki subh agaman ke tayari mein lege hue hote hein...

 
Dwar pe Anusuya, Priyamvada aur Karan DuSha ki aarti utarte hein....aur unhe ashram ke andar leke jatey hein....par Shakuntala ko toh apni pita ki chinta hoti hai...woh kisi aur se baat kiye bina hi Rishi Kanva ki kamre ke taraf daud padti hai...aur jab Rishi Kanva Shaku ko dekhte hein toh woh apni khushi sambhal nahin pate aur sajya se uthne ki chesta karte hein lekin Shaku unhe aisa karne hi nahin deti aur daud ke unki gale lipat jati hai...aur rone lagti hai....yeh sab dekh kar unke pichhe pichhe ane wale Anu,Priya,Karan n Dushyant ki bhi ankhen bhar ati hai...lekin tabhi Rishi Kanva Shaku ki ansu apni hathon se ponchh lete hei aur kehte hein ke woh ab bilkul thik hai...unhe toh bas apni putri ki yaad mein kuchh thoda tabiyat kharap ho gayee thi lekin ab jab ke woh aa gayee hai toh apne aap ko susth mehsush kar rahe hein...
Posted: 14 years ago
Dush's mother: humein pata chala hai ki tum humari bahu ke saath aashram ja rahe ho?
Dush: haan maa wo rishi kanva bohot bemaar hai toh hum ne socha ki hum unse milney jaye
Maharaj: tum dono ko turant wahan jaana chahiye par haan humari ye iccha hai ki tum dono jaldi wapis laut au. Tum dono ki bagair humare jevan mai andhera hai.
Dush: hum bohot jald laut ayenge
Maharani gave a very beautiful saree to shak as diwali gift.
Shak was happy. She touch the feet of maharani n maharaj n after getting their aashirwad they went towards aashram.
Posted: 14 years ago

Rishi Kanva ki baat sunke bhi Shaku ko viswas nahin hota hai toh Karan bolta hai ke Rishivar thik keh rahen hein...woh sachmuch shku ki yaadon mein bimaar pad gaye the...

Abtak chup rehne wale Dush ab kehte hein...

Rishivar Pranam....humen aapki bimari ke vare mein jaan ke bahut dukh hua tha...lekin ab aap ki baat sunke kuchh aswast anubhav kar rahen hein...

Rishi Kanva Dush ko ahirvaad dene ke paschat kehte hein...

Maharaj Dushyant hum aap ka abhari hein jo aap ne hamari bimari ke chalte Shakuntala ko khud leke ashram mein badhare hein...aur aaj toh bahut hi subh Deepavali ka din hai...mein aap se aaj ki raat yahan ashram mein hum sab ke deepavali manane ke liye nimantran karta hun...asha hai aap meri baat talenge nahin...

Aur sun kar Anu n Priya bahut khush ho jati hein...aur woh log bhi Dushyant ko unke sath Deepavali manane ke liye anurodh karte hein..

Ab Dushyant Rishi Kanva ki baat ki samman karte hue Deepavali ashram mein manane ke liye raji hote hein...aur in sab baton mein sabse jyada khush Shakuntala hoti hai...

Shaku ko khush dekh Dush bhi man hi man muskurate hein...

Phir sab log khane ke liye prasthan karte hein...

Posted: 14 years ago
@ ritu...u have written a very emotional n touching scene...

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

2 Participants 32 Replies 5476Views

Topic started by Rituparnaa

Last replied by Rituparnaa

loader
loader
up-open TOP