DuSha's Deepavali Utshab!!! - Page 2

Posted: 14 years ago
Originally posted by Rituparnaa


Rishi Kanva ki baat sunke bhi Shaku ko viswas nahin hota hai toh Karan bolta hai ke Rishivar thik keh rahen hein...woh sachmuch shku ki yaadon mein bimaar pad gaye the...

Abtak chup rehne wale Dush ab kehte hein...

Rishivar Pranam....humen aapki bimari ke vare mein jaan ke bahut dukh hua tha...lekin ab aap ki baat sunke kuchh aswast anubhav kar rahen hein...

Rishi Kanva Dush ko ahirvaad dene ke paschat kehte hein...

Maharaj Dushyant hum aap ka abhari hein jo aap ne hamari bimari ke chalte Shakuntala ko khud leke ashram mein badhare hein...aur aaj toh bahut hi subh Deepavali ka din hai...mein aap se aaj ki raat yahan ashram mein hum sab ke deepavali manane ke liye nimantran karta hun...asha hai aap meri baat talenge nahin...

Aur sun kar Anu n Priya bahut khush ho jati hein...aur woh log bhi Dushyant ko unke sath Deepavali manane ke liye anurodh karte hein..

Ab Dushyant Rishi Kanva ki baat ki samman karte hue Deepavali ashram mein manane ke liye raji hote hein...aur in sab baton mein sabse jyada khush Shakuntala hoti hai...

Shaku ko khush dekh Dush bhi man hi man muskurate hein...

Phir sab log khane ke liye prasthan karte hein...



Thats great ritu 👏...so rishi kanva convinced dush shak to celebrate diwali there....ok what happen next?
Posted: 14 years ago
@Munir
Phir Kya ???Sab log ashram mein Diwali manate hein...aur kahani khatam....
Just kidding!!!
Give me some time...I'll write the next post then...but if you've some idea then you can do the next....
Posted: 14 years ago
Rishi Kanwa: humein bohot khushi hai ki aap ne humare is chotte se aashram mai diwali manana ka nimantra sveekar kiya. Sach mai hum apne aap ko bohot bhagiyeshali samjhtey hain

Priyamvada brought some sweets for dush



Before dush could taste the one, Ansoya brought another plate of sweets n says pehlay ye chakhiye, ye maine banayi hai



Before dush could taste that one, Karan brought another plate and says: mujey yakeen hai ki maharaj dushyant ko sab se acchi mithai  toh yahi lagey gi





Posted: 14 years ago

Oh that is wonderful Munir...plz carry on...I think you can better take the story forward...

Posted: 14 years ago
Mujhe toh sare mithai achhe dikh rahen hein....lekin Dush ab kya karen ...woh akele toh yeh sab khatam nahin kar sakte hein...aur agar le bhi liya toh Hajme ki goli ki jaroorat toh padegi hi...
Posted: 14 years ago
Another aashram girl came and told dush ki ye ladoo toh shakuntala ko bohot pasand hain aap bhi lijiye...



Priyamvada: chalein ab jaldi se khayein aur humein bataye ki aap ko sab se acchi mithai kounsi lagi?

Dush started looking for shak but found she was not there.

Ansoya: kya soch rahe hain maharaj

Dush: wo kuch nahi...

Karan: Aap ko jis ka intezar hai wo bas abhi aajyegi
tab tak aap ye mithai khayein...
and he put a big piece of mithai in his mouth...others did the same.
Posted: 14 years ago
Yummy!!!!!!!
Mouth watering sweets.........cant resist the temptation to have one....
Posted: 14 years ago
Ab itne sare mithaai khane ko padega dekh Dushyant toh kafi pareshaan ho gayey hein...lekin Anu,Priya aur Karan ko bahut maja aa raha tha......
Phir aise halaat mein Shaku apni Dush ko kaise na bachati...
Woh Anu aur Priya se bolti hai...
 
Thik hai koi baat nahin....ab Maharaj Dushyant apni pyari Anu aur Priya ki dil toh nahin tod sakte hein aur khas karke Karan ko toh woh bahut jyada pasand karte hein...phir sab ka dil rakhna bhi toh jaroori hai...isi liye woh sab ki mithaai se bas ek ek hi khayenge...kyun sahi kaha na?
 
Yeh sunke Dushyant pyarbhari najaron se Shaku ko dekhte hein...
Aur Anu,Priya aur Karan sab log has padte hein........aur milke Shaku ki khichaai karte hein...
Karan bolta hai..
Han bhai ab toh Shakuntala bas apni Dushyant ki hi baat sochegi...ab woh Hasthinapur ki maharani jo hein...hum log toh sab vivah ke baad pareye ho gayey....
 
Ab Dush apni Shakuntala ki khichaai dekh kaise chup reh sakte hein...
Woh bich mein bol padte hein..
 
Aise koi baat nahin hai Karan...hum dono hi tum logon se bahut pyar karte hein..isi liye to Rishi Kanva ki bimaari ki baat sunte hai hum ashram chale aye hein...aur agar tum logon ko yeh lagta hai ke yeh sari mithaai kha lene se hi hamara pyar pramanit hoga toh hum woh bhi kar lenge...
Yeh sunke Anu.Priya aur Karan teenon ek sath bolte hai..
 
Nahin nahin Maharaj Dushyant hum sab bas aap logon se majaak kar rehe the...hum logon ko bhi maloom hai ke Shakuntala aur aap hum sab se kitana prem karte hai...ab aap ko jitna achha lagey aap bas utna hi lijiye...aur phir abhi anna bhojan bhi toh karna hai...
Edited by Rituparnaa - 14 years ago
Posted: 14 years ago
woww ritu really very well written..I really like the way shak came to help dush lolzz n then the way dush answered for shak..really goof dialogue n cute scene.👏
Posted: 14 years ago
Ab khali pransasa se nahin chalega Munir ab agey ka post tumhe karna hai.....

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

2 Participants 32 Replies 5466Views

Topic started by Rituparnaa

Last replied by Rituparnaa

loader
loader
up-open TOP