Hote Hote Pyaar Hogaya (Mayur ff)part-8 pg-53 - Page 6

Posted: 14 years ago
loved both yur parts................. they were awesome,,,,,,,,,,, add me to yur pm list plz.............
Posted: 14 years ago
Originally posted by pari.theprinces


loved both yur parts................. they were awesome,,,,,,,,,,, add me to yur pm list plz.............
 
Thanks a lot honey. sure i will pm u
Posted: 14 years ago
Originally posted by myownarea


good one yaar!! 😃
 
Thanks a lot dear
Posted: 14 years ago
it waz realy gud aapi..... 
 
update soon..... 


Posted: 14 years ago
hey i loved nupur's long dialogue all in one breath..hehehe so typical of her...
 
please update soon and pm me too..
 
Posted: 14 years ago
Originally posted by naina4MAYUR


it waz realy gud aapi..... 
 
update soon..... 


 
Main tumse bohot gussa hu. main koi ff likhu or meri choti behen hi itna late comment kare. ye koi baat huyi? byw thanks. (gusse me). he he he
Posted: 14 years ago
Originally posted by parisbynight


hey i loved nupur's long dialogue all in one breath..hehehe so typical of her...
 
please update soon and pm me too..
 
 
Thanks a lot 4 ur lovely comment
Posted: 14 years ago
wowow i really love your part 1 and 2 plzz contuied soon
Posted: 14 years ago
Originally posted by Shafoo


wowow i really love your part 1 and 2 plzz contuied soon
 
Thanks a lot honey
Posted: 14 years ago

part - 3

 

 

 ye meri ff ki 3rd part hai. iss bar bhi fariaa ne mujhe bohot support kiya. meri mistake thik ki. so thank u so much fariaa.

 

At college corridor

 

Mayank and nupur dono baithe ke chips kharaha hai or baate karraha hai

 

N :  Bohot badi badi baate karraha tha na. Mayank is the best. Ab bol. Keya karna hai?

 

M : Gudiya. Tu bhi na. jara sa bhi intezar nehi hota tujhe. Sabar kar. Pata hai na tujhe sabar ka fall mitha hota hai?

 

N : Monkey. Mujhe sabar ka fall mitha nehi, mujhe sabar ka fall samrat chahiye.

 

M : yaar. Who bhi miljayega. Itni jaldi keya hai? Pata nehi uss akdoo me tujhe aisa keya milgaya.

 

N : wohi. Jo tujhe uss chashmish me mili.

 

M : accha thik hai. Thik hai ab phir se ladna maat shuru kardena. Tu ek kaam kar. Aaj raat ko apne ghar me hum sab ko dinner pe invite kar.

 

N : keya? Or tum sab bhookh mango ko khana khilake mujhe keya miljayega?

 

M : dear. Tu srif hum sab ko khana hi nehi khilayegi. Khana bhi khood banayegi.

 

N : keyaaaaaaaaaaaaaa????? Keya kaha tune?

 

M : wohi. Jo tune abhi suna.

 

N : tu pagal hogaya hai keya Monkey? Khana or main?

 

M : ji ha. Khana or tu. Or aise bhi mujhe lagta hai samrat jaise hai na usse to aise gharelu type ladkiya hi pasand hai. Simple. Sweet or responsible. Jise ghar samhalna ata ho. Khana banana aata ho. Samjhi?

 

N : (thinking) ye baat to thik hai. Per main keise khana bana sakti hu?

 

M : kiyu? Tu apne pyaar ke liye itna nehi kar sakti? Agar samrat Shajahan ne apne pyaar ke liey Tajmahal banasakta hai to keya tu srif khana nehi bana sakti?

 

N : Monkey. Mere khana banane se Tajmahel banane ka keya lena dena? Or btw samrat Shajahan ne Tajmahel apne haato se nehi banaya tha per khana mujhe apne haato se banana hai.

M : To keya huya? Oh bhi hojayega.

 

N : idea!!!! Moneky. Ek kaam karte hai. Ramu kaka se khana banate hai or samrat se kahenge ke khana maine banaya hai. Keya kehta hai?

 

M : Tujhe pata haina mujhe ye sab jhoot bilkul accha nehi lagta?

 

N : ha ha . tu to satya badi raja harishchandra hai na. loafer, criminal, gangster, kaminey.

 

M : Tu keya filmo ka promotion karrahi hai?

 

N : idiot kahika.

 

M : or do bar bhi idiot bol le. Phir 3 idiot film ka bhi promotion hojayega.

 

N : per mujhe khana banana kaha aata hai?

 

M : jaanta hu. Ab chal. Book store chalte hai.

 

N: book store? Book store me keya karenge? Monkey hume khana banana hai? Ek min. kahi tu kitabo ka fry, kitabo ka vharta or kitabo ki curry banane ka to nehi sochraha hai na? monkey, tera to pata nehi tu kuch bhi kha sakta hai by god. Per mujhe nehi lagta ke baki sab log ye sabkuch kha payenge.

 

M : Gudiya pls apne dimaag ka istemaal maat karna. Jayada hai bhi nehi. Hum log book store jayenge. Woha se recipe book kharidenge or ussi ki hisab se khana banayenge.

 

N : to aisa bolna tha na?

 

M : Tere samne agar kisi ko apne muh kholne ka mouka mile to hi bolega na?

 

N : ha ha sab baate to main hi karti hu na? or tu to jaise moun brat rakhta hai?

 

M : accha. Accha meri maa. Ab chal.

 

Nupur's house . At kitchen

 

Nupur vegetable katrahi hai. Phir mayank aata hai. Hato me phn.

 

M : Gudiya maine sab ko phn kardiya hai. Sab time pe ajayenge. Or sanjivani me bhi phn kardiya hai.

 

N : Sanjivani me kiyu? (confused)

 

M : advance ambulance booking ke liey. Agar tera banaya huya khana khake hum sab bimar padjaye to hospital le jane me der nehi hogi.

N : keya kaha tune monkey. Aaj tujhe mai nehi chodoongi. ( vegetable, spoon jo bhi milta hai mayank ke taraf fekne lagti hai)

 

M : are keya karrahi hai? Pagal hogayi hai keya? Are band kar ye sab. Dekh mujhe lag jayega.

 

N : lagane ki hi kousish karrahi hu.

 

M : keya? Abhi dekha ta hu tujhe. (wo bhi cheeje nupur ke taraf fekne lagta hai)

 

Suddenly

 

N : ouch. Uffffffffo. Meri aakhe.

 

M : sorry. Sorry. Sorry. Main dekhta hu.

 

N : nehi koi jaroorat nehi hai. Tu haat.

 

M : arre mujhe dekhne de na.

 

Then mayank remove the dust from nupurs eyes. Mayank sopped nupurs eyes. But suddenly mayank was stiff. He couldn't move his eyes from nupurs engelic face. Something undiscribed feelings was slying in his mind.

 

Then background music started (heartbeat tone – from kaal ho na ho)

 

Maynk apne aapko samajh nehi pata or nupur ko chod ke bahar chala aata hai.

 

M : (himself)ye mujhe keya hogaya tha? Itni ajeeb fellings kiyu horaha tha? Bachpaan se lekar aaj tak kitne baar gudiya ke kareeb aya. Pr aaj uske kareeb jakar aisa kiyu laga? Dhakan aise teej kiyu hogaya tha? (confused).

 

At Night.

N : sab tyaar hai. Ufff. Bohot kaam karliya.

 

M : oye? Tu akeli nehi hai. Maine bhi bohot kaam kiya hai. Ahsaan faramosh.

 

N : arre. Maine kab mana kiya. Kiya na. tune bhi bohot kaam kiya.(pointing at her watch) OMG. 8 bajgaye. Sab ate hi honge. Main ready ho jati hu.

 

Nupur apne kamre jati hai. Or tabhi door bell bajti hai. Mayank jakar darwaza kholta hai.

 

M : hi guys.

 

Uday. Benji. Diya. CJ. Samrat, gunjaan sab ghar aakar baith te hai.

 

U : hi mayank

 

D : per nups kaha hai? Hume invite karke khood gayab hogayi hai.

M : nehi oh apne kamre me hai. Abhi aati hi hogi.

 

Tabhi nupur aati hai. Ussne red skirt pehna huya hai. She looks so beautiful

 

CJ : are nups. Tu to bohot acchi lagrahi hai.

 

N : thanks (blushing)

 

M : ha gudiya. Tu bohot acchi lagrahi hai.

 

D & B : yah. U  look so pretty. .

 

But samrat chup hai. Oh kuch nehi kehraha hai. Usse dekhkar aisa lagta bhi nehi hai ke ussne nupur ko notice kiya.

 

N : (herself) per jiske liye ready huyi hu. Oh to kuch keh bhi nehi raha hai. Such me khadoos hai.

 

M : yaar tum sab ke liye ek surprise hai.

 

ALL : keya?

 

M : oh yehi hai ke aaj ka dinner nupur ne apne hato se banaya hai.

 

ALL : keay????????? (shoked)

 

U : marr gaye. Maine to dinner ki chakkar me sham se kuch nehi khaya. Per lagta hai aaj bukha hi rehna padega.

 

N : uday!!!!!! (angry tone)

 

M : nehi guys. Khana bohot accha bana hai.

 

U : wo to hume tabhi pata chalega jab hume khana khane ko milega. Keya ab hum khana kha sakte hai? Mere pet me to chuhe daud rahe hai.

 

D : dodo. Ye koi nayi baat nehi hai.

 

N & M : chalo na . hum sab dinner ke liye chalte hai.

 

At dinning table

 

U : wow. Raajma, palak paneer, kofte, butter chicken, daal makhni bohot kuch banaya hai tumne nupur.

 

CJ : ha nupur. Hume to pata bhi nehi tha ke tumhe khana banane ka bhi shokh hai.

 

N : (herself) karna padta hai. Pyaar ke liye bohot papar belne padte hai.

 

D : keya kaha?

 

M : kuch nehi. Tum log shuru karona.

 

N : are samrat. Tum to kuch le hi nehi rahe ho. Raajma lona. Tumhari fovo hai. Main janti hu.

 

U : nupur sab usse maat de dena. Kiyuki raajma mujhe bhi pasand hai.

 

N : keya ye bataoge uday ke tumhe konsi cheej pasand nehi hai?

 

U : ummmmmmmmm. Sochna padega. Khana khane ke baad aram se sochoonga.

 

Tabhi mayank palak paneer test karta hai or kehta hai

 

M : ummmmmmmmmm. Ye paneer to bohot hi testy hai. Ye to main or kisiko khane nehi doonga. (puri dish apne taraf karleta hai)

 

N : keya karraha hai? Palak paneer to samrat ko bhi pasand hai. (whisper)

 

M : hoga. Per ye to main nehi doonga. Tu usse kuch or khilana.(whisper)

 

N : monkey (angry)

 

M : maine kaha na . main nehi doonga.

 

U& B : Mayank hume thoda sa to de de.

 

M : sorry guys. Jara sa bhi nehi.

 

U : thik hai pher tujhe or kuch nehi milega.

 

M : fine . koi baat nehi. Main srif yehi khaoonga. Such me gudiya tune keya mast palak paneer banaya hai.

 

Mayank pura ka pura palak paneer kha leta hai.

 

M : sam aaj nupur ne bohot testy khana banaya hai? Hai na?

 

S : ha. Khana bohot testy tha.

 

M : bohot keya? Bohot bohot bohot testy tha.mujhe to lagta hai ke har ladki ko khana banana ana chahiye. Nupur to jisse bhi shaadi karegi who ladka bohot khush naseeb hoga. Kiyu samrat tumhe keya lagta hai. Keya tum nehi chate ho ke tumhari patni bhi itni acchi khana banaye?

 

S : (smiling softly). Actually main aisa nehi sochta ke har ladki ko khana banana ana chahiye. Meri patni ko Agar khana banana ata ho to thik hai agar nehi bhi ata ho to bhi thik hai. Kiyuki mujhe koi khana bananewali nehi chahiye. Mujhe to ek aisa partner chahiye jo sukh, dukh har cheej me mere sath rahe. Jo meri kaami ko pura kare. Or jiske kami ko main pura karoo. Or in sabke liye khana banana jaroori nehi hai.

 

Suddenly mayank & nupur dono ki face se smile gayab ho jata hai.

 

G : jo bhi ho. Tumne bohot accha khana banaya hai nupur.

 

N : thanks. ( bohot koushish karke apne face pe smile lati hai)

 

D : guys. Mujhe lagta hai ab hume chalna chahiye. Bohot raat hogayi hai.

 

B : ha cahlo. Cahlte hai.

 

Pehr ek ek karke sab chale jaate hai. Or nupur mayank ko marne lagti hai or kehti hai

 

N : Bandar. Ullu kahika. Mayank is the best. Tu or tera plan. Kuch kaam waam to karta hai nehi.

 

M : gudiya pls. shant ho jaa.

 

N : keya shant ho jau. Ek to dopeher se kaam karrahi hu. Or keya sunne ko milraha ha " mujhe koi khana bananewali nehi chahiye, mujhe to partner chahiye' (making a face). Partner my foot. Sab teri wajaise huyaa hai.

 

M : maine? Maine keya kiya?

 

N : sab tera kasoor hai. Tera ye idea hi bakhwas tha. Keya khakh impress huya samrat.

 

M : mujhe keya paata tha tera ye samrat khadoos hone ke sath sath akal se bhi paydal hai. Dkh ek plan kaam nehi kiya to keya huya? Mere pass or bohot sari plan hai.

 

N : mujhe nehi sunni teri ye bakwas plan.

 

M :gudiya pls. gussa thuk de.

 

N : kaha thuku? Tere muh per?

 

M : gudiya pls. tu baith. Main tere liye coffee banake lata hu. Pher aram se baat karenge.

 

Mayank coffee banane chala jata hai.

 

N : dekhti hu ye palak paneer keisa bana hai. Acchi hi bani hogi. Monkey ne itne pyaar se jo khaya.

 

Thoda sa lekar test karti hai.

 

N : ummmmmmmmm. Ye keya hai? Iss me to namak vara pada hai. Ye to jaher banahuya hai. Monkey ne isse pura keise khaliya? Lagta hai sab mera mazak na bana paye issily monkey ne ye jeher jaisa khana akele hi khaliya or kisi ko khane nehi diya.

 

Then background music started (heartbeat tone – from kaal ho na ho)

 

N : (herself) Monkey kitna accha hai. Hamesha mera sath deta hai. Kahi samrat mera mazak na udaye issilye ussne ye sada sa khana pura khaliya. Or mujhe kuch pata bhi nehi chalne diya. Usske jaisa dost to neseeb walo ko hi milta hai. (smiling).

 

Ye main keya sochrahi hu? Mujeh to samrat ke bare me soch na chahiye na (confused)?

 

per jo bhi ho. "Mera monkey hai bohot pyara." (smiling face)

 

 

 

Hey guys. Pls do read nd comment on it. Tumlogoki comment ki bohot importance hai meri liye. or i think ye bohot long hai so bore maat hona.

 

With love

 

Tapoor

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
⭐New⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 1

pencil Rizz-ington   stackexchange 25   eye 3722

Rizz-ington 25 3722 21 days ago Rizz-ington
Tum se hi (part 4)

pencil Srishti_124   stackexchange 3   eye 468

Srishti_124 3 468 1 months ago Srishti_124
Tum se hi(part-3)

pencil Srishti_124   stackexchange 3   eye 352

Srishti_124 3 352 2 months ago coderlady
Tum se hi(part-2)

pencil Srishti_124   stackexchange 1   eye 362

Srishti_124 1 362 2 months ago coderlady
Tum se hi (part 1)

pencil Srishti_124   stackexchange 2   eye 447

Srishti_124 2 447 2 months ago coderlady

Topic Info

76 Participants 642 Replies 43559Views

Topic started by Angle.

Last replied by tasnim.

loader
loader
up-open TOP