*~Lovely Ishq+Dard+Udas shayri~* |#2| - Page 6

Posted: 12 years ago
Mohabbat Main Wo Nafrat Ke Diye Bhi Sath Rakhta Hai
Wo Mujh Se Pyar Karta Hai Gilay Bhi Sath Rakhta Hai
Bazahir Wo Baray Shehron Mein Ik Tanha Musafir Hai
Wo Apni Zaat Mein Kuch Qaflay Bhi Sath Rakhta Hai
Wo Mujh Ko Sochta Hai Aur Taluq Bhi Nahi Rakhta
Qarib Aata Hai Laikin Faslay Bhi Sath Rakhta Hai
Posted: 12 years ago
Uss Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jatey Hain
Gar Wafaon Mein Sadaqat Bhi Ho Shiddat Bhi
Phir To Ehsas Se Pather Bhi Pighal Jate Hain
Uski Ankhon K Nashy Mein Hoon Jab Se Dooba
Lar Kharaty Hain Kadam Or Sanbhal Jate Hain
Posted: 12 years ago
Thank u aamna :)




Mukaddar K Sitaron Per
Zamanay K Esharon Per
Udasi K Kinaron Per
Kabhe Veran Shehraon Per
Kabhe Sunsan Rahon Per
Kabhi Hairon Ankhon Main
Kabhi Bayjan Lamhon Main
Tumhari Yad Chupkay Say
Koi Sargoshi Kerti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
Do Ansu Tot Girtay Hain
Main Palkon Ko Jhukata Hon
Bazahir Muskurata Hon
Faqat Itna He Kah Pata Hon
Mujhey Kitna Sataty Ho
MUJHEY TUM YAD ATAY HO
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..
Posted: 12 years ago
Mere QADAM
RUK se ga'y
PHOOL BIKTAY DEKH ker!

Main AKSAR usay KEHTA tha MUHABBAT PHOOL hoti hay...!!!
Posted: 12 years ago
kya baat hai fruity awesome..!
 
------
 
Nazar Mai Zulmat Badan mai Thandak
Jamal Kitna Ajeeb Sa Tha,

Mai uski chahat mai Ghar se Nikla to
Haal Kitna Ajeeb Sa Tha,

Na Maine Use Khatoot Likhe
Na Usne Meri Panaah Chahi,

Dono ko Apni Bekhudi Pay
Malal Kitna Ajeeb Sa Tha,

Wo Apni Raaton Mai Chand Dekhe
Mai Apni Raaton Mai Usko Sochon,

Badalte Lamho mai Soch Ka Ye
Visaal Kitna Ajeeb Sa Tha,

Safar Akele hi Kat lo Gey?
Maine Pocha To Ro Dia Wo,

Jawab Kitna Ajeeb Sa Tha,
Sawal Kitna Ajeeb Sa Tha..
 
Posted: 12 years ago
Meri Taqdeer se Pooch Meri Qismat ka Faisla.
Meri Muskurahat pe na ja mere Dard ko Talaash ker

Meri Aankhon se pooch mere Intizaar ki Inteha.
Mere Itminaan pe na ja mere Sabar ko Talaash ker

Mere Pyar se pooch mere Pyar ka Aalam.
Meri Soorat pe na ja meri Seerat ko Talaash ker..!!
Posted: 12 years ago
Yeh Kaisi Khwaish hai.
Dil Mai Chhaai Bekaraari Si,
Yeh kaisi Khwaish hai.
Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Yeh kaisi Shaam Aayi hai.
Badle hue Khayaalat hai Magar,
Phir wohi Tanhaai hai.
Aawaara, Banjaara, Anjaana sa,
Yeh Safar bhi Saudaii Hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har Haal Mey Ruswaaii hai..
Posted: 12 years ago
Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain
kabhi kuch dey k jaatey hain
kabhi sub cheen laitey hain
kabhi beychain kartey hain
kabhi jeena sikhaatey hain
kabhi bantey hain jub aansoo
umar bhar lahoo rulaatey hain
kabhi lub ki hunsi bun kar
nayi dunya sajaatey hain
kabhi meethi kasak ban kar
anjaani khalish bun kar
makeen-e-dil yeh bantey hain
kisi soorat nahin mit'tey
jo in say door bhaago tou
kaheen jaaney nahin detay
naa zinda rehnay detay hain
naa yeh aazaad kartey hain
nahin jiski dawa koi
yeh aisa dard hotey hain
magar yeh bhi ik haqeeqat hay
hur aik ko to nahin miltey
barey nayaab hotey hain
Dukh anmol hotey hain!!
Posted: 12 years ago
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga 

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga..!!
Posted: 12 years ago
Ye ishq nahin asan ye tohfa hai khuda ka,
bandhan hai ye dilon ka ye hakikat hai zindagi ka,
ye ishq nahin asan ye nasha hai Mohabbat ka,
Ye jaan hai iss dil ka arman hai ye zindagi ka..

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

22 Participants 1189 Replies 310925Views

Topic started by ..imperfect..

Last replied by Forgotten-Toy

loader
loader
up-open TOP