Hitler Didi

INSHI FF : Love chapter 25 pg 45 Last chapter - Page 4

-Paulomi- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
achcha tha vaise bhi har update interesting ho zaruri nehi hai ye to situation oe sepend karta hai😊 

Created

Last reply

Replies

282

Views

26639

Users

33

Likes

369

Frequent Posters

Bharu11 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Thanks for the pm.Nice update.
It is not boring.Waiting for next update.
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
thanks all of you. mujhe laga ye chapter boar ho gaya hoga. lekin aapke posts padhkar achcha laga.
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Chapter 6

Next morning : 

Rishi : Shreemati ji , Aap ne ghar walonko bata diya hain na ki hum aaj rat ko Diwan Mansion me jane wale hain.

Indira : Nahi Rishi abhi tak kuch nahi bataya. Ek to sare log shadi ki rasmo me busy hain aur upar se dar lag raha hain ki wo log kaise react karenge is bat par.

Rishi : Are darne ki kya bat hain ? Unko to khushi hogi ki unki Indira apne sasural me ja rahi hain.

Indira: Ha wo to hain lekin aap munna bhaisab ko to jante ho na. Wo pehele jaise bartav to nahi karenge na. abhi abhi wo sudharne lage hain lekin un par mera bharvasa nahi hain. Kya malum kaise react karenge wo sab ? Aur Ishan ka kya? Wo to mujhe jane hi nahi dega!!

Rishi : Aap bhi faltu ki fikar kar rahi ho. Chalo hum unko abhi bata dete hain ye bat.

Indira : Thik hain chaliye. Jab aap sath hote hain na Rishi tab mujhe kisi bat ki fikar nahi hoti hain.

Rishi : Chaliye.

shadi ke rasmo me thoda time tha. sabhi log apne apne kamre me aaram kar rahe the.
Indira sabko aawaj de kar angan me bulati hain.

Munna bhaisab : Kya hua Indira ? Tu thik to hain ? 

Indira : Ha bhaiya me thik hu. Maa kaha hain? Wo nahi aayi?

Kutumb aur Inder Sharma aa jate hain.

Kutumb : Kya bat hain Indira?

Indira : Ma mujhe aap sabko ek bat batani thi.

Munna : Ha bolo na jaldi. Aise time mat laga.

Indira : Wo me aur Rishi aaj rat Mandira ki bidai hone ke bad Diwan Mansion mein rehene jane wale hain.

Sab shocked ho jate hain : Kya? 

Indira aur Rishi apne kano pe hath rak dete hain.

Munna : Ye kya bol rahi hain Chote?

Rishi : Ha bhaisab. Indira sahi bol rahi hain.

Kutumb : Indira sach me tum log uss ghar me rehne ke liye jane wale ho?

Indira : ha maa.

Kutumb : Lekin beta aisi halat me tum vaha akele kaise ...?

Indira : Are maa ye kya bola apne ? Me waha pw akeli kaha hu? Rishi ye aap ke damad hain na mere sath. Jab tak ye mere sath hain na maa mujhe kisi bat ki jarurat ya fir fikar nahi hoti. Aap tension mat lo.

Aur wise bhi maa ab hum mane ya na mane lekin wohi mera sasural hain na.

Jab maine dekha ki dulari bua ne Ishan ko kidnap kiya tha to bhabhi ki kya halat hui thi. Tabhi mujhe laga ki Simmi Diwan bhi to ek maa hi hain na. Unko bhi to Rishi ki fikar hoti hogi na?
Aur me uss ghar ki bahu hun to mere bhi to kuch farz hain na.

Kutumb : (uske ankho mein pani aata hain) Meri Bachi!!! Tu bahot khush rahogi beta udhar. Me na thodi der sirf apne bare me hi soch rahi thi. 

Kutumb Rishi ke pass aati hain. 

Kutumb : Main janti hu ki ye mera damad Meri beti ki har khwaish puri karega. Iss par koi aach bhi nahi aane dega. Mujhe maf karde na Rishi Beta me thodi der ke liye bhul hi gayi thi. Kya karu maa ka jo dil hain na!!!

Rishi : Are auntyji ye kaisi bat kar rahi ho aap? Me janta hu maa ko apne bachon ki fikar to hoti hi hain.

Sunaina : Indira jab tu apne sasural me jayegi to humme to bhul nahi jaogi na.

Indira : Aap bhi na bhabhi kaisi bat kar rahi ho ? me aapko kaise bhul sakti hun?

Kutumb : (Inder Sharma ke yahan dekh kar) : Suniye ji aaj ka din bahot shubh hain. Humari dono pariyan aaj apne apne sasural jane wali hain.

Inder Sharma : Sahi bola tumne. Ye mera khush naseeb hi to hain.

tabhi waha pe Ishan aata hain. 

Ishan : Kaun kaha jane wala hain papa?

Munna : Ye tumhare Rishi Phuphaji hain na wo tumhari bua ko unke ghar me lekar jane wale hain.

Ishan : Lekin Rishi Puphaji aur Bua ka ghar to yahi baju mein hi hain na. Wo to Amma dadiji ke ghar par hi to rehte hain na.

Inder Sharma : Are wo to waha pe kiraya de kar rehte the na lekin aaj wo apne khud ke ghar yani ki Diwan Mansion me rehne jane wale hain.

Ishan : Kya ? 

Wo Inshi se bat karta hain.

Me aap dono ko kahi jane nahi dunga. Samjhe aap buaji aur phuphaji..

Indira : Ishan beta meri bat suno na beta..
Lekin Ishan udhar se bhag jata hain.

Rishi : Rukiye Shreemati ji me usko samjhata hun. Aap pareshan mat hoiye. 

Rishi Ishan ke kamre mein aata hain.

Rishi : Are hero ye kya bat hui? Tum apne Rishi bhaiya aur Indira bua ko aise rote huye bye karega?

Ishan : Lekin me aapko jane hi nahi dunga.

Rishi : Ishan hum kaha bahot dur jane wale hain. Yahi to hain Delhi me. Aur me tujhe milne ke liye roj aaunga na tere school ke bahar. Indira ko bhi lekar aaunga.

Ishan : Lekin aap kyun ja rahe ho?

Rishi : Wo kya hain na Ishan ab humme bahot bare bare kam karne hain. Tumhari bua ka illaj bhi to karwana hain na. To jo hospital hain na wo Diwan Mansion se pass hain. Aur Dr ne bua ko travelling karna allowed nahi kiya hain jyada. Isiliye hum udhar jane wale hain.

Ishan : Thik hain. Lekin mujhe 3 promises chahiye aapse. 

Rishi : Han bolo na.

Ishan: 1. Aap dono mujhe milne ke liye roj aayenge.

Rishi : Haa jarur.

Ishan : 2. Aap mujhse har roj rat ko phone par bat karenge.

Rishi : Ok.

Ishan : 3. Aur aap meri bua ka achchi tarah khayal rakhenge. Wo kya hain na Phuphaji me bahot chota dikhta hun lekin maine dekha hain ki bua ne bahot sare problems ko face kiya hain. Pehle mere papa, dadi, dada, Mandira bua sab unko bahot bolte the. Fir jabse aap aaye ho na Bua bahot khush reheti hain. Aapne hi bua ko hasaya tha. 

Mujhe guarantee hain ki aap meri bua ko kabhi bhi kuch bhi nahi hone denge.

Rishi jab ye sunta hain tab uski aankhein bhar aati hain.

Rishi : Ishan , Me tumse wada karta hu ki Indira ko me kuch nahi hone dunga.

Indira ye sab bate bahar se sunti hain. Uski aankhein bhar aati hain.

Ishan : Chalo Phuphaji me aapko apke packing me madad karta hun.

Rishi : Ek minute Ishan kya tumhe kuch nahi chahiye?

Ishan : Matlab ?

Rishi Ishan ke samne ek bahot bari Dairy milk deta hain.

Ishan (happily) : Thanks phuphaji.

aur wo  dono packing karne ke liye chale jate hain. 
Edited by dsj12 - 11 years ago
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
hopes so you will enjoy it 😊Edited by dsj12 - 11 years ago
loveinshi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
nice update..
 
loved Rishaan convo..😳
Bharu11 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
very nice.I liked rishi and ishan's convo.

ratibob007 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Good one.
Thanks for the pm.
dnyanu thumbnail
Posted: 11 years ago
well done 👍🏼. 
Rishi aur Ishan ka conversation bahot achha tha. 👏
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
thanks all of you. 

ha jaldi update karungi.
Edited by dsj12 - 11 years ago