INSHI FF : Love chapter 25 pg 45 Last chapter - Page 5

Posted: 11 years ago
Chapter 7
At night

Mandira ki shadi ki rasme ho rahi thi. Kanyadan ke waqt inder pandit ji se kuch puchta hain.

Inder : Pandit ji, ye jo meri badi beti hain na Babli iski shadi iss Rishi ke sath hui hain lekin inki shadi mein me kanyadan nahi kar paya hun. to kya me abhi uska kanyadan kar sakta hu kya?

Pandit ji : Jarur yajman. Aap un dono ko mandap mein bula lijiye.

Indira : Sharma ji ye aap kya kar rahe hain?

Inder : Dekh babli aaj tak maine apna bap hone ka koi farz nahi nibhaya lekin me ye kanyadan karke pura farz to nahi nibha paunga lekin mujhe iss bat ka gum to nahi rahega na ki me ye rasam bhi apni beti ki shadi mein nahi nibha paya.

Indira Rishi ki taraf ek bar dekhti hain. Wo samaj jati hain ki ye tarika Riashi ka hi hoga.

Indira (Rishi se) : Aap hi ka idea hain na ye? 

Rishi : Na..Nahi aapko aisa kyun laga?

Indira: Kyunki aap jante ho ki ye mera sapna tha ki meribhi shadi aisi pure rasmo rivajonke sath ho. Aap mujhse koi bhi bat nahi chupa sakte Rishi.

tabhi panditji dono ko mandap mein bulate hain. Inder aur Kutumb Indira ka hath Rishi ke hath me dekar Kanyadan karte hain. 

Shadi ki sari rasme achche se ho jati hain. Mandira ki bidai ka samay aata hain. Wo sabse milne ke bad Indira- Rishi ke pass aati hain. 

Indira : Bahot khush rehena Mandira apne sasural mein. Unlogonko itna pyar dena ki unko lage ki tu bahu nahi beti hi hain unki.

Mandira Rishi ke pass aati hain. 

Rishi : Pappu humare mandy ka khayal rakhna. 

Pappu : Ha Rishi bhaisab. 

Mandira : Rishi jiju, aap humesha didi se bahot pyar karte ho. Meri didi ka aphi khayal rakhte ho. Hum to unhe aaj tak sirf kostehi aaye hain. Lekin aaj me aapse ye bolti hu ki aap please didi ko kuch mat hone dena. Aap didi ko thik karvana. Ab aapse hi humari ummeed hain.

Rishi : Sali saheba aap befikar ho kar apne sasural jayiye ga. Me aapke didi ka pura khayal rakhunga.

Mandira sabko bye bolkar apne sasural me chali jati hain. 



Mandira ki bidai hone ke bad Rishi & Indira apna saman lane ke liye apne kamre me jate hain. Indira bahot emotional ho jati hain.

Rishi : Kya hua Indira?

Indira : Dekho na Rishi, yaha pe humne humari shadishuda zindagi shuru ki thi. Aur aaj yahi jagah me chod kar ja rahi hun.

Rishi : Me samaj sakta hu Indira. Mujhe yahan aakar 1 sal bhi nahi hua. Phir bhi mujhe aisa lag raha hain ki me apna asli ghar chod kar kisi paraye ghar me ja raha hun. Tum to yahi apne 25 sal rahe rahi ho. Tumpar kya gujri hogi me janta hun. Isiliye ek akhiri bar puchta hu kya sach me tum Diwan Mansion me jana chahti ho?

Indira : (firmly) Ha Rishi. 

Rishi : Thik hain. Chalo.

Jab Indira Rishi apna saman lekar niche aate hain. Tab sare SF naraj ho jati hain.

Kutumb : Indira abhi Mandira ki bidai hui tab mujhe aisa laga jaise mere dil ka chain hi nikal gaya. Ab tum dono bhi jaoge to iss ghar ka chain, sakoon, jan sab chali jayegi.

Indira : Maa aap kyun itna naraj ho rahi ho? Aaj to aapki dono betiyan apne apne ghar hi to ja rahi hain na? Chalo ye aasu pucho. Aur muskurake meri bidai karo.

Rishi : Aunty ji  aap bilkul fikar mat kijiye ga. Agar ye yaha aapko milne nahi aayi to me inko jabardasti yaha lekar aaunga. Aap inki chinta bilkul bhi mat karna.

Rishi Sunaina bhabhi ke pass aata hain.

Rishi : Bhabhi , aap apne iss chote bhai ko bhuliyega nahi. Aur ha apke parathonki bahot yad aayegi bhabhi.

Sunaina : Rishi Bhaisab me to nahi bhulungi lekin aap bhi mat bhulna ki aapki ek bahen yahan Chandani Chowk me apne bhaiya ki khushi ki dua jarur karegi.

dono hug karte hain.

Tabhi waha pe Ishan daudta hua aata hain.

Rishi : kahan tha hero tu? Me tujhe kitni der se dundh raha tha.

Ishan : Aap dono ke liye ye chotasa tohfa mere taraf se Phuphaji.

Indira : kya hain isme Ishan ?

Rishi gift kholkar dekhta hain. Ishan unko ek photo frame deta hain. jisme un teeno ki tasveer hoti hain.

Rishi : Bahot achcha hain. Thanks champ.

Tabhi darwaje par ek car aakar khari reheti hain. 

Us me se driver Rishi ke pass aata hain. 

Driver : Ricky bhaiya ye Sir ne aap ke liye bheji hain.

Rishi : Kya?

Driver : Ha bhaiyan. Sir ne kaha hain ki me isme aapko lekar aau. 

Rishi : Thik hain.

Driver Rishi aur Indira ka saman gari mein rakh deta hain. 

Tabhi waha Radhe aa jata hain.

Radhe : Wa wa!! Rishi Bhaiya me to aapse bat hi nahi karne wala. Aap ja rahe ho aur Radhe ko apne ek bar bhi nahi bola na. Me to aapko sagese badhkar samjta tha lekin apne mujhe paraya kiya na.

Rishi : Radhe aisi bat nahi hain bhai. Ab mujhe maf bhi nahi karoge kya?

Radhe : Kya Bhaiya aap bhi!! Me to apko gale lagaunga. Wo dono hug karte hain.

Indira : (sare SF se) : Me janti hu ki maine aap sab logonko bahot sataya hain. Agar mujhse koi bhul ho gayi ho to mujhe maf kar dena. 

Rishi : Indira , ab to uncleji ko papa bol do. Unho ne apni sari jimmedariya sambhalne ka wada kiya hain na. 

Indira : Inder ke pass akar useke gale parke bahot roti hain. Papa iss Babli ko maf kijiye ga. Agar maine aapse koi battamiji ki ho to mujhe maf kiji ye ga.

Inder : Ye kya bat kar rahi ho Babli? Mafi to mujhe mangni chahiye tumse.

Sabki aankho me aasu aa jate hain.

Kutumb : Indira, Ye lo chawal aur apni bidai ki rasam to puri kar beta. Jab hum sab Dulari Bua ke behekave me the tab tune khud ki bidai ki thi lekin aaj ye maa apne beti ki bidai ki rasam puri karegi.

Indira apni bidai ki rasam puri kar leti hain. Aur sabko bye keheti hain. 

Rishi aur Indira dono Car me baith jate hain.

unki car Diwan Mansion ki aur chalne lagti hain.  
Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
me iss update me aur add karne wali hun lekin light chali gyi issiliye isse yahi chodna par raha hain lekin kal update pakka karungi.
Posted: 11 years ago
thanks.Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Thanks for the update and it is very nice.
Posted: 11 years ago
Chapter 8 
Indira aur Rishi car mein baith kar Diwan Mansion mein jane ke liye taiyar hote hain.

Rishi ko tabhi ek call aata hain. Rishi uss mein busy ho jata hain. Indira apne soch mein dub jati hain. Indira window se bahar dekhne lagti hain. Rishi phone pe bat karne ke bat Indira ke taraf dekhta hain.

Rishi (man hi man mein) : Dekhna Indira Diwan Mansion mein jane ke bad me tujhe koi bhi kami mehesus nahi karne dunga. Ab maine tumhari sari sharthe mani hain to ab tumhe treatment bhi shuru karni hi paregi. 

Tabhi Indira driver ko gari rukne ko bolti hain.

Rishi : Kya hua?

Indira : Wo dekho na Rishi wo couple kaise ice-cream kha raha hain!! Chalo na Rishi hum bhi ice-cream khate hain.

Rishi : Indira, time to dekho. Aur vaise bhi jyada thand cheeze tumhe khane ko mana kiya hain na doctor ne.

Indira : Aapko kaise pata? Haan dhyan aaya wo doctor to aapki friend hi hain na. Ms. Shweta Kapoor

Rishi : Haan. usne mujhe bataya hain tumhare diet ke bare me.

Indira : Rishi ek bar ice cream khane se kuch nahi hota na. Plz plz plz mujhe kilaona ice cream plz.

Rishi : Are baba thik hain. Itna emotional drama karne ki kya bat hain? Tum achhi tarah janti ho ki me tumhari koi bhi wish incomplete nahi rakh sakta.

Rishi ice cream lane ke liye utarta hain. uske peeche peeche Indira bhi utarti hain.

Rishi : Are tum kyun bahar aayi? Kitni thand hain bahar. Chalo jake car mein baith jao me abhi ice cream lekar aata hu.

Indira : Rishi aap bhi na bilkul buddu hain. Are ice cream koi gari mein baithkar khata hain kya? Aur itni thand mein aise kapte huye ice cream khane ka jo maza aata hain na by god!!! Chalo khane.

Rishi  Indira ka ye naughty rup dekh kar surprise ho jata hain. Aur usse dekhne lagta hain.

Indira : Aise kya dekh rahe hain aap?

Rishi : Nahi kuch nahi. Dekh raha hun ki meri Hitler Biwi aise bhi behave kar sakti hain. God Indira maine to tumhara ye rup peheli bar dekha hain.

Indira : (thodisi nervous ho jati hain). Rishi sabne mujhe Hitler bana diya tha. Lekin mujhme bhi wo ek ladki hain jo aise moments ko enjoy karna chahti hain. Jo jindagi ko jibhar ke jina chahti hain.

Rishi  ke ankho mein pani aajata hain. Lekin wo khudko rok leta hain.

Rishi : Are shreemati ji aap bhi na kaha kho gayi. Chalo wo ice cream ki gari dusri taraf ja rahi hain. Jaldi chalo.

aur dono bhag kar ice cream khane lagte hain.

 
Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Yaha Shweta ko laana zaruri tha?😑
Posted: 11 years ago
@paulomi and Bharu11 guys chill maro. Aisa kuch nahi hoga jo serial me dikha rahe hain. Yaha pe sirf aur sirf inshi hi rehenge. πŸ˜Š Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Originally posted by dsj12


thanks neha😊
πŸ€—
Posted: 11 years ago
hi.

i m back with next chapter
Posted: 11 years ago
Chapter 9

Ice cream khane ke bad Indira aur Rishi car me baithne ke liye jate hain.

Indira : Kya Rishi aap bhi apni biwi ko apne ghar le ja rahe ho na to apne andaz mein leke jayiye na.

Rishi : (confusingly) Matlab?

Indira : Are baba , Aap mere liye Rishi ho lekin baki ke logonke liye to Ricky Diwan hain na!!

Rishi : Ek minute Indira. Ek correction hain. Actually maine apna nam aaj se hi Mr. Ricky Diwan se Mr. Rishi Diwan kiya hain.

Indira ye sunkar 2 min ke liye shock ho jati hain.
Rishi usse 2 3 bar awaj deta hain. Lekin wo kuch reply nahi karti isiliye wo usko dhakka deta hain.

Indira : Apne nam kyun change kiya? 

Rishi : are aise hi kiya. Aap ko bhi mera nam Rishi hi pasand hain na Ricky nahi.

Indira kuch kehene ki koshish karti hain tabhi Rishi usse bolta hain. Are yar hum kis pe bat kar rahe the aur kaha aakar pahuche. To aap kya keh rehithi shreemati ji? Mera kaunsa style?

Indira : Mujhe Shweta ne bataya tha ki aapko driving karna bahot achha lagta hain. Aur tab jyada jab aapke hath me aapki pasandida gari ho. To kya aap abhi drive nahi karenge?

Rishi : Jaisi hitler biwi ki aagya.

Rishi driver piche baithne ke liye bolta hain. Driver jaldi se raji nahi hota lekin Rishi jab usse order deta hain tab wo jake chupchap baith jata hain.

Rishi aur Indira car me baith jate hain.

Rishi apne andaz me car chalane lagta hain.

Driver : Bhaiya ji aap ko kitne din bad aise car chalate huye dekh raha hun. Ye aapki favourite car hain na. Ye bhi isi din ka intezar kar rahi thi shayad.

Rishi : Ha. Jaise maine isko chora tha waise apne iska khayal rakha hain. Thank you so much for this care.

Driver : Kya aap bhi bhaiya ji!!  Aap abhi bhi nahi sudhare na. Aap mein abhi bhi wo namrata hain. Aap hi hain jo humko itna sanman dete ho.

Rishi : Are aap to mere bujurg hain na fir aapko to sanman dena hi chahiye.

Indira ye sab soch ke bahot proud feel karti hain ki usko Rishi jaisa Pati mila hain. Lekin wo turant upset ho jati hain. Kyunki uski zindagi usse apne Pati se humesha humesha ke liye alag karwane ja rahi hain.

Unki car Diwan Mansion (DM) mein pahoch jati hain.

Driver turant aakar Indira ke yaha ka darwaja kholta hain. Indira jab neeche utarti hain tab wo andhera dekh kar shock ho jati hain.

Indira : Rishi yaha pe itna andhera kyun hain?

Rishi : Mujhe bhi nahi malum Indira. Ek min ruko. 

Wo Driver se puchne ke liye jata hain tabhi DM ki light aati hain. Indira aur Rishi DM ki lighting dekh kar shocked ho jate hain.
Pura ka pura DM lighting se saja hua rehta hain. Yellow , Green , Blue , Red aisi sari light se DM ki ronak aur badh jati hain.

Tabhi vaha pe ek 22 sal ki larki "Surprise" chillate aati hain. Indira usse dekh kar aur confuse ho jati hain. Aur Rishi ki taraf dekhne lagti hain.

Rishi : Are Avantika tum? Kab aayi yaha?

Avantika : Kya bhai aapko kya laga ki aap sirf yaha maa ko bulayenge to me nahi aayungi kya? 
Tabhi wo Indira ki taraf dekhti hain.

Oh ho bhai aap bhi na kam se kam abhi to Bhabhi se meri mulakat karwa dijiye na.

Rishi tabhi Indira se keheta hain. : Indira ye meri cousin hain Avantika. Ye aur Gautami bua aur dadi europe mein rehati hain. Lekin unfortunately kuch sal pehele mere dadi ka dehant hua aur tabse bua aur Avantika Europe mein dono hi rehte hain.

Avantika bahot excite ho jati hain Indira ko dekh kar. Aur wo usse turant hug karti hain. Indira achanak se uski iss harkat se surprised ho jati hain.

Avantika : Bhabhi, Bhaiya ne to meri information aap ko de di. Ab aap batayi ye ki ye decoration kaise laga aapko?

Indira : Baahot achha hain.

Avantika : Thanks bhabhi. Aur aap bhi bahot achhi hain. I love you Bhabhi. Aur me aapko ek aur bat batau?

Indira : Haan bolo na.

Avantika : Aap to khubsurat hain hi lekin us se jyada aap dono ki jodi bahot acchi lagti hain. Made for each other type.

Rishi : Shuru hogayi na tu!!

Achha chal ye bata buaji kaha hain.

Avantika : Are dekho, me to aapko andar le jane ke liye aayi thi lekin adat se majbur jo hu. Yahi pe shuru ho gayi. Lekin ye sab aapki galti hain bhai. 

Rishi : Maine kya kiya hain bhai? 

Avantika : Aap mere liye itni achhi bhabhi leke aaye aur mujhe bataya tak nahi aur kuch galti karni hain kya aapko?   

Rishi : Sorry madam ji. Apne iss bechare bhaiya ko maf kar dijiye ga.

Wo sab haste hain.

Indira : Waise Avantika, Ye jo tumhare bhaiya ne abhi jo shabd bole na khudke bare me wo to pure ke pure galat hain. Maine aaj tak inke jaisa Mr. Bechara kabhi nahi dekha.
Indira aur Avantika dono haste hain. Rishi child jaisa face banata hain.

Rishi : Haan haslo haslo. Ab me kya kar sakta hu jab bhabhi aur nanand ek dusre se mil gayi to mein kya karu?

Tabhi waha pe driver aata hain aur unko batata hain ki aapko Sir ne andar bulaya hain. 

Indira , Rishi , & Avantika DM mein jate hain.
Edited by dsj12 - 11 years ago

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

33 Participants 282 Replies 26627Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by ...fari...

loader
loader
up-open TOP