INSHI FF : Love chapter 25 pg 45 Last chapter - Page 6

Posted: 11 years ago
Thanks for pm.nice update but it is short.
Posted: 11 years ago
🤗Very nice update pls next update jaldi dena.@ but kitna late kiya yaar @ thanks for pm Edited by Avni30 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
chapter 10

 Avantika ki badbad chalti hi rehti hain. Avantika aur Indira milkar Rishi ki tang khichayi band hi nahi karte hain. Rishi kabhi kabhi iss bat se irritate ho jata hain.

Rishi: Are meri matao ab bas bhi karo. Bat karte karte hum gate pe aa pahuche. Avi ye to bata ki bua kaha pe hain? Abhi tak wo bahar kyun nahi aayi?

Avantika : O bhabhi me to aap se ek bat bolna bhul hi gayi.

Indira : wo kya?

Avantika : Bhabhi mujhe sab Avantika hi bulate hain. Mujhe Avi sirf maa, dadi aur bhaiya bulte hain. Kyunki me ye right sirf un logonko deti hu jo mujhe bahot pyar karte hain aur me bhi unse pyar karti hun. Lekin me ye right aapko bhi dena chahti hu bhabhi. To please aaj se aap mujhe Avi hi bulana.

Indira : Ok done. Waise Avi tujhe malum hain meri choti behen hain na Mandira wo bilkul tere jaise hi chulbuli thi. Tumhe dekh kar mujhe uski bahot yad aa rahi hain.

Avantika : To bhabhi aap usko bhi bulao na. Hum teeno milkar bahot masti karenge.

Rishi : Behen wo kya hain na, Meri saliji hain na uski bhi aaj shadi hogayi hain. Aur jaldi se bua ko bolke me teri bhi shadi karvaunga.

Avantika : Are bhai abhi mere shadi ke liye bahot time hain. Pehle me apna education to pura karlu.

Avantika , Rishi aur Indira DM mein main door pe aate hain. Avantika turant andar chali jati hain.

Indira : waise Mr. Rishi Diwan aapki ye jo choti natkhat behen hain na wo bilkul aap ke upar gayi hain. Me humesha sochti thi ki pure Diwan khandan mein sirf aap hi aise ho jo zindagi ko aur kisi bhi problem ko haste haste samna karte ho aur sabko hasi bat te ho. Lekin me galat thi.

Rishi : Are shreemati ji aap to abhi sirf Avi se hi mili ho. Jab aap bua ko milogi na tab dekhna.

Waise me kabse Gautami bua ka intezar kar raha hu bua kahi dikh kyun nahi rahi?

Indira : Rishi aap bhi na!! Andar to chaliye.

Rishi : Ha chalo. Ye Avi kaha gayi kya malum?

Rishi aur Indira dono andar jane ke liye apna pair uthate hain tabhi waha awaj aati hain.

"Ruko"

Inshi ye sunkar shocked ho jate hain.

Indira :Rishi ye kiski awaj hain?

Rishi : Are ye to Gautami bua ki awaj hain.

Gautami kitchen se hath mein puja ki thali lekar aati hain. Aur peeche se Avi kumkum ka lal pani ki thali lekar aati hain.

Gautami : Rishi, tumne shadi karli tabhi mujhe inform nahi kiya aur aaj bahu ko peheli bar DM le aaya hain to uska swagat to pure riti riwajon ke anusar hi hoga na. 

Rishi : I m sorry bua. Indira , Ye meri Gautami bua hain. 

Gautami : Sirf teri nahi aaj se tumhari bhi bua hu Indira. Waise meri bahu ka nam bhi to bahot achha hain "Indira" .

Rishi: Aur bahu bhi. 

Ye sunkar Indira sharmati hain.

Avi : Kya bhai aap bhi na. Bhabhi ko dekho kaise chupchap khari hain.

Gautami : Chalo ab hasi mazak bahot huva. Indira beta ab tum apni gruhpravesh ki rasam to puri karo.

Indira : Ji buaji.

Gautami Rishi aur Indira ki aarati utarti hain. aur ek glassbhar ke chawal uske samne rakh deti hain. 

Gautami : Ab Indira apne right per se iss glass ko push karo. 

Avi : Ye kyun karte hain maa?

Gautami : Taki aane wali bahu ke sath iss ghar me barkat bhi aa jaye. Samjhi?

Avi : Ji maa.

Indira jab apna right per uthati hain tabhi uska balance jata hain aur wo slip hoti hain. Tabhi Rishi usko pakad leta hain.

Avi : Wa kya barkat hain maa. Dekho to!! Maa ghar me barkat to aayegi lekin bhaiya ke zindagi mein jarur jyada aayegi.

Indira Aur Rishi dono ek dusre se aankh nahi mila pate.

Gautami : Chalo Indira aa jao beta.

Indira glass ko dhkka dekar andar aati hain.

Gautami : Ab iss kumkum wali thali me apna right per pehle rakh kar bad me left per rakho. Aur bad me apne right per se ghar ke andar aa jao.

Avi : Ab ye kyun karte hain maa?

Gautami : Issiliye taki ye naya ghar apne nayi malkin ko aur bahu ko jan le. Uski per ke nishan ko apne mitti mein basa le.

Avi : Wow maa. Kya tarika hain na!! Bhabhi sambhalna nahi to phirse...!!!

Rishi : Avi tum chup baitho. Ab me apne biwi ko phirse slip nahi hone dunga. Indira mera hat pakad lo abhi.

Avi : Wa bhaiya kya pyar hain!!!

Indira Rishi ka hath thamkar gruhpravesh karti hain. Wo idhar udhar dekh ne lagti hain.

Gautami : Me janti hu beta tum apne saas sasur ko dekh rahi ho na?

Indira : Apna sar hi manjuri me hilati hain. Aur dukhi ho jati hain. Rishi ke aankh bhi apne ma bao ko dhundhti hain. Wo bhi apne aasu poch leta hain.

Gautami : (unke pass aakar) Are tum log fikar mat karo. Bhaiya bhabhi chupke se ye sari rasme dekh rahe hain apne bed room mein se. Unhone yaha pe CC tv camera lagwaya hain.

Maine chupke se dekh liya tha wo camera lagate samay.

Indira aur Rishi Bua ka asirwad lete hain. 

Gautami : Sada khush raho. Tumhari iss jodi ko kissi ki bhi najar na lage aur humesha aise hi sath rehena. Tum dono ko koi alag kar hi nahi sakta. Meri shubh kamnaye tum dono ke sath hain.
Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Nice update.

I think this is your first ff right?
Posted: 11 years ago
Originally posted by -Paulomi-


Nice update.

I think this is your first ff right?

yes paulomi ye mera 1st ff hain.
Posted: 11 years ago
Chapter 11

Gautami bua ka ye aashirwad sunkar Indira aur Rishi ek dusre ke taraf dekhte hain. 

Rishi ko issi bat par aur umeed mil jati hain. Lekin Indira ki aankhe bhar aati hain. Tab Rishi Indira ko aankhose hausala deta hain. 

Avantika (teasingly) : Wa Maa Kya bat boli hain aapne. Mere bhaiya aur bhabhi ko koi bhi alag  kar hi nahi sakta.

Rishi ko Avantika ki batonka andaz samj aata hain. Wo uske pass jakar uske str me pyar se ek tapli (Sorry dusra shabd nahi malum) marta hain.

Avantika : Kya bhai aapne mara kyun? Sach hi to bola maine.

Rishi : Ha. tune bola sach lekin uska aarth to mujhe malum bada.

Gautami bua aur Indira unki ye masti dekh kar hasne lagte hain.

Gautami : Dekha Indira, Dono shuru hogaye. Waise ye dono jab bhi milte hain tab aise jhagra karne lagte hain. Aur pyar bhi ek dusre ko bahot karte hain. 

Indira : Bhai behen ka rishta to aisahi hota hain na buaji.

Gautami : Tumhare ghar mein kaun kaun hain?

Indira: Bhaiya bhabhi, Maa Papa, aur bhatija. Behen hain Mandira lekin uski aaj hi shadi hui hain.

Gautami : Are wa bahot bada parivar hain tera.  Achha hain. Lekin Indira wo tumhe ek hi bhai hain kya? Wo Ricky se sorry Rishi ke hathon jiska accident hua tha wo ek hi bhai hain tera?

Rishi tab tak waha aa jata hain. Ye bat sunkar wo nervous ho jata hain.

Indira : Buaji actually wo.. Indira Vidhit ke bare me sari bate bua ko bata deti hain.

Gautami ye sunkar shock ho jati hain. 

Gautami : Hey bhagwan kaisa ladka hain ye. Jis behen ne apni sari umeede jiske upar lagai wo khud saga bhai aisi harkat kaise kar sakta hain. shee... I m sorry Indira. Mujhe tumhe dard nahi dena tha.

Indira : Nahi buaji. Jo ho gaya so gaya. Ab hum log unko bhul chuke hain.

Gautami : That's the spirit My child.

Rishi : Chalo na buaji ab baki ki bate kal karte hain. Bahot neend aa rahi hain. 

Avantika : Haa Maa aap bhi na Samajti nahi ho bhai ko ab bahot neend aa rahi hain.

Rishi : Tujhe to me kal subah dekh lunga. Jaa abhi jakar so ja.

Gautami : Haa Indira tum bhi jaldi so ja. Kal subah ghar mein pooja rakhi hain Satyanarayan Bhagwan ki. Tum dono ke shadi ko bahot din hogaye lekin tum pehli bar iss ghar mein aaye ho aur iss ghar ke rivaj ke anusar naye jodi ke hathon pooja karni padti hain. To tum dono dhyan se kal subah jaldi uth jana. 

Indira : Ji bua ji.

Gautami Ur Avantika unko good night bolkar chale jate hain.

Rishi : Chaliye Shreemati ji Me aapko apna kamra to dikhadu. 

Indira : Haan chaliye. 

Inshi kamre me aate hi surprise ho jate hain. Pura kamra candles aur gulab ke phulonse saja hua rehta hain. 

Rishi : Ye jarur Avi ka kam hoga. Waise mahol bahot achha hain . Kyun Shreemati ji?

Indira (man hi man me sharmati hain lekin chehre pe kuch nahi dikhati) : Kya matlab?

Rishi : Mera matlab ye hain ki...

Indira (Cut his words) : Chaliye Rishi bahot der ho gayi hain. Kal subhah jaldi bhi to utna hain na pooja ke liye.

Rishi : Hitler Biwi.

Indira change kar ke aati hain aur sochne lagti hain. 

Rishi : Kya hua Indira?

Indira : Rishi bua ka aashiwad sach hoga ya nahi ye soch rahi hu.

Rishi (pure guarantee ke sath bolta hain) : Indira, Bua ka aashirwad ab sach hokar hi rahega. Pehle tumhe paison ki chinta thi lekin ab wo nahi hain kyunki maine Mr. Deewan se kaha hain ke treatment ke liya jitne bhi paise lagenge utne sare ke sare me unko wapas de dunga. Aur maine kasam bhi kha li hain me bhagwan se bhi ladhunga aur Bhagwan ko bhi tumhe wapas mere pass hi bhejna padega. Wo humko kabhi alag nahi karenge.

Indira Aur Rishi ek dusre ko hug karte hain.

Next Day

Indira Aur Rishi Subah jaldi utkar taiyar ho jate hain.
Avantika aakar Inshi ko bahar bula ti hain.

Gautami Pandit ji se: Pandit ji sari samagri thik to hain na kuch baki nahi reh gaya na. 

Pandit ji : Nahi. Sab saman achhi tarah se hain. Ab aap un dono ko bulakar layi ye taki hum pooja achhe se shuru kar sakte hain.

Gautami : Haan pandit ji. Aur wo Inshi ko bulane ke liye uthati hain. Are ye lo aa gaye wo dono. 
Baitho beta. 

Rishi Aur Indira baith jate hain. Pandit ji pooja shuru karte hain. Pandit ji un dono ko baronka aashirwad lene ko bolte hain. Tabhi waha Mr. Uday & Simmi Diwan aate hain. Inshi Gautami bua ka aashirwad lene ke bad Uday ke pass aate hain. Uday unko(unmindfully) aashirwad dete hain.
Simmi bhi unko (unmindfully) aashirwad deti hain. Pooja puri hone ke bad Pandit ji uko prashad dete hain aur kehte hain ki aaj tum dono jo mango ge bhagwan aapki ichha jarur puri karenge.

Rishi (man mein) : Aap jante hain Bhagwan ji me aapse kya mang ne wala hu. Mujhe mere Indira ko kisi bhi halat me bachana hain. Aur aapko mera sath dena hi padega.

Indira (man me) : Me janti hu ki Rishi mere liye hi prarthana karenge. Lekin Agar me nahi bach payi to Rishi ko jarur hausala dena. Aaj tak apne meri zindagi to aise hi dukhon se bhar di. Lekin Aap ko Rishi ki life ko sukh se hi bharna padega.  

Pooja hone ke bad Simmi Aur Uday apne kamre mein chale jate hain. Jate waqt Simmi apne servant ko break fast bana ne ki order deti hain.

Gautami : Indira Beta , Aaj hum tumhari Rasoyi ki Rasam bhi karne wale hain. 

Rishi : Ye rasam kya hain bua?

Gautami : Iss rasam me nayi bahu pehli bar apne sasural me kuch meetha khane ko banati hain. 

Avantika : Chalo bhabhi. Abhi tak bhai ne aapke hathon ka bahot bar khaya hoga ab humari bari.

Gautami aur avantika Indira ko kitchen me lekar jati hain. Gautami Indira se chulhe ki(Gas ki) pooja karva leti hain. 

Gautami : Indira tum aur Avantika yaha khana banalo me tab tak aati hun.

Indira : Ji buaji.

Avantika : Haa Maa aap fikar mat kijiye me bhabhi ka achhe se khayal rakhungi aur unka hath bhi bat lungi.

Gautami waha se chali jati hain. 

Avantika : Chalo bhabhi kya banana hain aaj?

Indira : Ek bat bata iss ghar me kin kin ko halwa pasand hain?

Avantika : Halwa?!!! Wa bhabhi aap ne to bahot badi bat kahi hain. Hum sabko matlab Uncle Aunty ko bhi halwa pasan hain.

Indira : Good. Chalo hum Halwa hi banate hain.

Gautami Rishi ke pass aati hain.

Rishi : Are bua aap?

Gautami : Haa. Maine socha apne bete ko milkar bahot samay ho gaya to abhi tumse bahot sari bate karu. Rishi me janti hu ki tum dono bahot bade musibat me fas gaye ho. 

Rishi : Haa bua. Me kahan se Start karu batane ko? Rishi Gautami ko Indira ke BT ki sari bate bata deta hain. Wo Gautami ke god me sar rakh kar rone lagta hain.

Gautami : Are beta tum ro kyun rahe ho? Rishi tum bhale hi apna nam badal do lekin Nature to nahi badal sakte na. Tum great Ricky Diwan ho jo kabhi bhi halat se nahi darta. Uska samna has kar karta hain. Tum wohi Ricky Diwan ho jo apne man ki ichha puri karne ke liye kuch bhi karta hain. Aise ladke ko iss tarah rona shobha nahi deta.

Rishi : Haan bua. Actually maine start bhi kiya hain. Bua aapko yad hain wo meri friend Miss. Shweta Kapoor.

Gautami : Haan wohi na jo tumhare sath school se college tak thi. Wo to teri Best friend thi na.

Rishi : Haa bua. Hum dono ek hi college me the. Usne Science side lekar M.B.B.S. hui aur uske bad neurology me docterate degree bhi li. Ussi se me Indira ki treatment shuru ki hain. 

Gautami : Achha hain. Ye bahot achhi bat hain ki Indira ki doctor pehchan ki hain. Uski wajah se hum Uski har progress jan sakte hain.

Rishi : Haan bua maine bhi yehi socha hain.

Gautami : Rishi, Mera aashirwad humesha tere sath tha aur rahega beta. Dekh lena Tum Apni Indira ko bacha hi lega. Ye mera vishwas hain. God bless you beta. 

Rishi Gautami ko hug karta hain.
Edited by dsj12 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
What an update bas isme na kabhi kabhi passionate romance ka tadka lagaa diya karna mast rahegađź‘Ź
Posted: 11 years ago
Nice update đź‘Ź Thanks for pm đź¤—
Posted: 11 years ago
Originally posted by -Paulomi-


What an update bas isme na kabhi kabhi passionate romance ka tadka lagaa diya karna mast rahegađź‘Ź

thanks di. đź¤— 

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

33 Participants 282 Replies 26628Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by ...fari...

loader
loader
up-open TOP