MuslimGirl thumbnail
Posted: 11 years ago
Yaaden!

Everyone of us feels the same.

jab ham chotey hote hain sbse ziada buri lgne wali cheez school aur danda pakrii hoi, bara sa chashma lga k khari teacher hoti hai...lekin jb hm school chor k college life mai enter hote hain tab hmen wohi school bht yad ata hai...wohi teacher yad ker k hm hastey bhi hain aur wohi canteen yad kr k rona bhi ajata hai...

uske baad jb hm college chor k university life mai enter hojate hain tou kuch puraney dost sath hote hain tou kuch kahin aur chale jate hain...us waqt hmen college ki khatti meethi baaten satatii hain,

us ke baad jb uni life se bhi farig hojatey hain tou hr koi apni apni practical life mai mast hjata hai...kisi ki shadi hojati hai, koi abroad furthur studies k lye chala jata hai, koi job kr leta hai ya phir koi hmari traah apne doston ko yad krta rhta hai aur hr waqt har pall unhi yaadon mai hush rhta hai jo hmne uni ki classes bunk krne mai, ya cafeteria mai samosey aur chutni khaney mai ya phir annual functions aur birthday parties celebrate krne mai spend kii thi...!!

Time bht jaldi guzr jata hai ... hr koi hmesha hmare sath nhi rehta...kuch baqi reh jata hai tou wo hai sirf 

YAADEN..! :)