Hitler Didi

Inshi ff : Pyar to hona hi tha chapter 46 pg no 139 - Page 2

ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Other Characters:

Diwan Family

Mr. Shekhar Diwan : Rishi's Father. The owner of the DM & Diwan Builders.

Mrs. Simmi Diwan : Rishi's Mother. Ye bahot pyari leady hain. Housewife hain.

Mr. Sameer Diwan : Rishi's brother. Sameer apne papa ko unke business mein madad karta hain.

Mrs. Priya Diwan : Sameer's wife. 

Master Deepak : Sameer's child. Isko sab pyar se Dipu bulate hain.

Ms. Deepika : Sameer's second child. Isko sab pyarse munni bulate hain.

Sharma Family 

Mr. Inder Sharma : Indira's Father. Ye ek bank me manager the. Lekin ab retired ho gaye hain.

Mr. Vidhit Sharma : Indira's brother & Rishi's friend.

Created

Last reply

Replies

983

Views

69118

Users

35

Likes

767

Frequent Posters

-Shwetha- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Good concept. Carry on.

CV's have not give us the opportunity to see the Diwans track. Atleast lets see them here.
-Neha04- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 11 years ago
i cant wait yaar  jaldi update do

AshFdo thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Great concept!! hope it goes well!! πŸ˜Š
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Chapter 1

At DM

At Dining table

Sekhar :Subah ke 9 baj gaye hain. Abhi tak Rishi breakfast karne nahi aaya?

Simmi : Are vo kal rat ko late aaya tha. Isiliye abhi tak so raha hain.

Sekhar : Late kyun?

Simmi : Kal uska friend hain na Vidhit Sharma usne US se Rishi ke liye kuch saman bhijwaya hain jo Rishi US se lana bhul gaya tha. Isiliye wo airport gaya tha rat ko.

Sekhar : Iss bachhe ka kya hone wala hain future mein kya malum?

Sameer : Kyun aap aisa kyu bol rahe hain Dad. Jo hoga achha hi hoga Rishi ka. Wo itna achhese padhkar architect ban gaya hain. To usse kya problem hain humare office me kam karne ki?

Sekhar : Kya malum beta? Lekin wo chahta hain ki use US mehi job mile. Wo India to sirf humare kehne se aaya hain na. Ye bat to tum achhi tarah jante ho. 

Priya : Papaji aap fikar mat karo Rishi ki. Ek bar wo yaha settle hua na to fir wo US ko jane ki bat bhi nahi karega,

Sekhar , Simmi , Sameer : Kaise?

Priya:  Aap kaise bhi karke ek bar Rishi ko office join karne ke liye boliye.  

Aur wo uski idea sabko batati hain.

Simmi : Mujhe Priya ki bato me dam lag raha hain. Aap Rishi ko office joint karne ke liye mana lo.

Shekhar : Thik hain. I will try my level best.

Tabhi waha pe bachhe aa jate hain. 

Deepika :Ye Mumma papa & Dada dadi kya decide kar rahe hain?  

Deepak : Kya malum? Chalo puchte hain.

Deepika : Are chhodo na. Badon ki bato mein hum kya bolenge aur agar mumma ko gussa aaya toh!!!!

Deepak : Ha tum sahi keh rahi ho. Chalo hum Rishi chachu ke pass chalte hain.

At Rishi's bedroom 

Rishi uthkar apne bed pe aisehi aramse leta rehta hain.

Bachhe : Chachu kya hum ander aaye?

Rishi : Turant uthkar: Are meri badmash company ke badmasho aa jao na. Maine aapse kitni bar kaha hain ki aap dono ko mere kamre mein aane ke liye permission lene ki koi jarurat nahi hain. Chalo aa ja o jaldi jaldi.

Rishi un dono ko apne god me bithata hain. 

Deepak : Chachu aap to humse mile bhi nahi achhi tarah. Aap pichle Diwali vacation ke bad abhi aaye ho US se.

Rishi : Are me to tumse milne ke liye taras raha tha. Jab me yaha wapas Delhi aaya to mujhe Sam ne bataya ki aap dono aur bhabhi sab log babhi ke mayke gaye ho 3 din se. Aur jab aap sab aaye rat ko tab me airport gaya tha kuch saman lane ke liye. 

Deepika : Ok Chachu.. Lekin aap ab humme promise karo ki aap humme chodkar kabhi nahi jaoge.

Rishi sochne lagta hain. 

Deepak : Kya hua Chachu? Promise karo na..

Tabhi Priya unko breakfast ke liye neeche bulati hain.

Rishi : Chalo baccho. Jaldi jaldi chalo. Bahot bhuk lagi hain mujhe. 

Aur wo sab neeche break fast ke liya jate hain.

At Sharma Niwas

Inder : Are bubli abhi tak nahi uthi? Aisa kaise possible ho sakta hain? Wo to sab kam time pe hi karti hain.

Inder Indira ko awaj dene keliye upar jata hain tabhi Indira apne job pe jane ke liye taiyar hokar neeche aati hain.

Indira : Papa pranam.

Inder : Khush raho beta. Chalo jaldi jaldi chalo. Maine tumhare liye garma garam pakode banaye hain breakfast mein.

Indira : Kya papa aap bhi na. Aap ne kyun banaya aaj humari maid nahi aayi kya? 

Inder : Are aayi thi. Usne tumhara tiffin bhi pack kar diya. Lekin mujhe hi aaj mood aaya pakode banane ka. Isiliye maine usse bhej diya wapas.

Indira : Kya papa? Aap bhi na?

Inder : To kya karu bubbli? Ab kitne din tu mere sath rehne wali hain?

Indira : Matlab?

Inder : Are matlab ab teri shadi bhi to karni hain na. Pehle se hi kitne sare rishtey aa rahe hain tere liye. Ab kissi na kisiko to tu pasand kare gi hi na. Aur mujhe apne damad se jaldi milna hain aur uske bat mere pote poti ko bhi to dekhna hain na.

Indira : Papa aap bhi na phirse shuru hogaye? Aap jante ho na ki Chandani Chawk ki Hitler didi ko koi ladka pata nahi sakta.

Inder : Dekh Indira tu ye apni Hitlergiri jyada mat jharna. Warna tere rishte ke liye bahot problem ho jayegi.

Indira : Papa chalo ab mujhe office jane ke liye der ho rahi hain. 

Aur wo Inder se bye bolkar nikal bhi jati hain.


Edited by dsj12 - 11 years ago
Bharu11 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
very nice update. Thanks for pm.
....Diya.... thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 11 years ago
nice update ketki...grt start..
...fari... thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
nice part
aww deepak n deepika r choo cute😳
Badala thumbnail
Posted: 11 years ago
Deepak and deepika are so loveable... In bade log k plan se achha toh bachcho ka plan hau... Simple promise karwa lo... πŸ˜‰

Anyways, thanks for the pm and its an interesting start.
-Shwetha- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Nice Part.

Looking forward for update.