Jahan yaad na aaye teri, Woh tanhaai kis kaam ki. Bigde rishte na bane, To khudaai kis kaam ki. Beshak apni manzil tak jana hai hamein, Lekin jahaan se apne na dikhein, Woh oonchaai kis kaam ki!
Yeh bhi ek dua hai khuda se, Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se, Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe, Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.
Utha hua har hath dua ke liye nahi hota, Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota, Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar, Kasoor hawa ka har baar nahi hota...
Ab ho gaya hai aadmi , Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah, Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!
Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar, Jee le zindagi khushi ki talaash na kar, Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost, Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar
Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum. Na tammana hai kisi ko rulayein hum. Par dua hai us rab se ek hi, Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.
Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo, Ho raat to subah ka intzar karo, Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko, Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.