Sher O Shayri

Shayri ( My Collection) - Page 3

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Jism Tarpa Khaak Par Tanha, Rooh Karti Rahi Safar Tanha 
Neend Walo'n Ko Khabar Kya Iski, Kon Jaga Hai Rat Bhar Tanha 
Log Soyein Kaheen Band Kamro'n Main, Chand Bhatakta Hai Da-Ba-Dar Tanha 
Sath Deta Hai Kon Manzil Tak, Sath Chalti Hai Rehguzar Tanha 
Shehr Ka Shehr Bujha Jata Hai, Ja Raha Hai Wo Apnay Ghar Tanha 
Aey Gham-E-Zindagi Ke Raat Ke Chand, Dhoond Mujhko Nagar Nagar Tanha 
Wo Jo Hansta Tha Ehl-E-Dil Pe Kabhi, Ro Para Khud Ko Dekh Kar Tanha 
Bhool Kar Apnay Husn Ke Adaab, Meray Dil Main Kabhi Utar Tanha 
Ye Khudao'n Ka Daur Hai, Is Main Reh Gaya Faqat Bashar Tanha 
Yad Aye Hazaar Shehr Mujhay, Jab Bhi Dekha Koi Khandar Tanha 
Is Bharay Shehr Main 'Mohsin' Anjuman Tha Koi Magar Tanha...!!

Created

Last reply

Replies

939

Views

56197

Users

13

Likes

2039

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Wo Qayamat Ho, Sitara Ho Ke Dil 
Kuch Na Kuch Hijr Main Tootay To Sahi 
Hum Wahan Par Hi Basa Lein Khud Ko 
Wo Kabhi Raah Main Rokay To Sahi 
Sabsay Hat Kar Hi Manana Hai Usay 
Hamsay Ik Bar Wo Roothay To Sahi 
Dil Usi Waqt Sanmbhal Jayega 
Dil Ka Ehwaal Wo Poochay To Sahi 
Uski Nafrat Bhi Mohabbat Hogi 
Meray Baray Main Wo Sochay To Sahi 
Uskay Sab Jhoot Bhi Sach Hain 'Mohsin' 
Shart Itni Hai Wo Bolay To Sahi...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Ik Diya Dil Main Jalana Bhi Bujha Bhi Dena 
Yaad Karna Bhi Usay Roz Bhula Bhi Dena 
Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hai Ya Nafrat Uski 
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena 
Phir Na Milnay Ko Bicharta To Hoon Tujhsay Lekin 
Murr Ke Dekhoon To Palatnay Ki Dua Bhi Dena 
Khat Bhi Likhna Isay Mayoos Bhi Rehna Is Se 
Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Saza Bhi Dena 
Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Ganwara Lekin 
Jee Main Aye To Ye Deewar Gira Bhi Dena 
Is Se Mansoob Bhi Kar Lena Puranay Qissay 
Iskay Baalo'n Main Naya Phool Saja Bhi Dena 
Surat-E-Naqsh-E-Qadam Dasht Main Rehna 'Mohsin' 
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pata Bhi Dena...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kaash Us Se Mera Furqat Ka Hi Rishta Niklay 
Raasta Koi Kisi Tarha Wahan Ja Niklay 
Lutf Lautayengay Ab Sookhtay Honton Ka Usay 
Ek Muddat Se Tamannaa Thi Wo Pyasa Niklay 
Phool Sa Tha Jo Tera Saath Teray Saath Gaya 
Ab To Jab Niklay Kabhi Shaam Ko Tanha Niklay 
Hum Faqeerana Mijaazon Ki Na Poocho 
Hamnay Sehraa Main Pukara Hai To Dariya Niklay 
Pehlay Ek Ghaav Tha Ab Sara Badan Chalni Hai 
Ye Shifa Bakhshi Ye Tum Kaisay Maseeha Niklay 
Mat Kuredo Na Kuredo Meri Yaadon Ke Alaav 
Kya Khabar Phir Wo Sulagta Hua Lamha Niklay 
Hamnay Roka To Bahut Phir Bhi Yun Niklay Aansoo 
Jaisay Patthar Ka Jigar Cheer Kar Jharna Niklay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Uskay Anay Ki Khabar Suntay Hi Tayyari Ki 
Mainay Jee Bhar Ke Gulabon Ki Kharidari Ki 
Halat-E-Hijr Main Filhal Sukoon Milnay Laga 
Nasha-E-Dard Ne Awaz Nahi Bhari Ki 
Warna Ye Log Mujhay Tumsay Juda Kar Detay 
Mainay Danista Mohabbat Main Adakari Ki 
Ishq Main Mera Bhi Deewangi Maslak Hai 
Mainay Is Wastay Majnu Ki Tarafdari Ki 
Phool Khiltay Hi Koi Bichra Hua Yaad Aya 
Mainay Khushi Ke Mausam Main Ashkbari Ki...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Tan Pe Orrhay Hue Sadiyo'n Ka Dhua'n Sham-E-Firaaq 
Dil Main Utri Hai Ajab Sokhta Jan Sham-E-Firaaq 
Khwab Ki Raakh Sametay Gi Bikhar Jayegi 
Soorat-E-Shola-E-Khursheed Rukha'n Sham-E-Firaaq 
Baais-E-Raunaq-E-Arbaab-E-Junoo'n Veerani 
Haasil-E-Wehshat-E-Aashufta-Saran Sham-E-Firaaq 
Teray Meray Sabhi Iqraar Waheen Bikhray Thay 
Sar Jhukaye Hue Bethi Hai Jahan Sham-E-Firaaq 
Apnay Maathay Pe Saja Le Teray Rukhsar Ka Chand 
Itni Khush-Bakht-O-Falak-Naaz Kahan Sham-E-Firaaq 
Dhaltay Dhaltay Bhi Sitaro'n Ka Lahu Mangti Hai 
Meri Bujhti Hui Ankho'n Main Rawaan Sham-E-Firaaq 
Ab To Malboos Badal Kaakul-E-Be-Rabt Sanwaar 
Bujh Gayeen Shehr Ki Sab Roshniyan Sham-E-Firaaq 
Kitni Sadiyo'n Ki Thakan Is Ne Sameti 'Mohsin' 
Ye Alag Baat Ke Ab Tak Hai Jawan Sham-E-Firaaq...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kal Rat Bazm Main Jo Mila Gulbadan Sa Tha 
Khushboo Se Uskay Lafz Thay Chehra Chaman Sa Tha 
Dekha Usay To Bol Paray Uskay Khad-O-Khal 
Poocha Usay To Chup Sa Raha, Kam Sukhan Sa Tha 
Tanhaiyo'n Ki Rutt Main Bhi Lagta Tha Mutmae'n 
Wo Shakhs Apnay Ap Main Ek Anjuman Sa Tha 
Socha Usay To Mai Kayi Rango'n Main Kho Gaya 
Alam Tamam Uskay Haseen Peyrahan Sa Tha 
Jo Shaakh, Shaakh Thi Wo Usi Ke Labo'n Se Thi 
Jo Phool Khil Gaya Tha Wo Usi Ke Dehan Sa Tha 
Wo Saadgi Pehen Ke Bhi Dil Main Utar Gaya 
Uski Har Ek Ada Main Ajab Bholapan Sa Tha 
Asaan Samjh Rahay Thay Usay Shehr-E-Jan Ke Log 
Mushkil Tha Is Qadar Ke Meray Apnay Fun Sa Tha 
Wo Guftgu Thi Uski, Usi Ke Liye Hi Thi 
Kehnay Ko Yun To Main Bhi Shareek-E-Sukhan Sa Tha 
Taray Thay Chandni Main Ke Tohmat Ke Daagh Thay 
'Mohsin' Kal Aasman Bhi Meray Kafan Sa Tha...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kab Talak Shab Ke Andheray Main Sehar Ko Tarsay 
Wo Musafir Jo Bharay Shehr Main Ghar Ko Tarsay 
Aankh Thehray Hue Paani Se Bhi Katraati Hai 
Dil Wo Rehru Ke Samandar Ke Safar Ko Tarsay 
Mujhko Us Qehat Ke Mausam Se Bacha Rab-E-Sukhan 
Jab Koi Ehl-E-Hunar, Arz-E-Hunar Ko Tarsay 
Ab Ke Is Taur Musallat Hua Andhera Har Suu 
Hijr Ki Raat Meray Deeda-E-Tar Ko Tarsay 
Umr Itni To Ata Kar Meray Fun Ko Khaaliq 
Mera Dushman Meray Marnay Ki Khabar Ko Tarsay 
Usko Paa Kar Bhi Usay Dhoond Rahi Hain Ankhein 
Jaisay Pani Main Koi Seep Gohar Ko Tarsay 
Na Shanasayi Ke Mausam Ka Asar To Dekho 
Aaiina Khaal-O-Khadd-E-Aaiinagar Ko Tarsay 
Ek Duniya Hai Ke Basti Hai Teri Ankho'n Main 
Wo To Hum Thay Jo Teri Ek Nazar Ko Tarsay 
Shor-E-Sursar Main Jo Sar Sabz Rahi Hai 'Mohsin' 
Mausam-E-Gul Main Wohi Shakh Samar Ko Tarsay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Bahut Khamosh Reh Kar Jo Sazayein Mujhko Deta Tha 
Baray Khamosh Lehjay Main Sadayein Mujhko Deta Tha 
Kabhi Jo Dard Ki Aatish Mujhay Sulganay Lagti Thi 
Wo Apni Saans Ki Mehki Hawayein Mujhko Deta Tha 
Usay Main Ajnabi Samjha Magar Har Morr Par 'Mohsin' 
Wo Apnay Nam Ki Sari Duayein Mujhko Deta Tha...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Main Kyun Na Tark-E-Talluq Ki Ibteda Karta 
Wo Door Dais Ka Baasi Tha Kya Wafa Karta 
Wo Meray Zabt Ka Andaza Karnay Aaya Tha 
Main Hans Ke Zakhm Na Khata To Aur Kya Karta 
Hazaar Aainay Khano'n Main Bhi Na Paa Saka 
Wo Aaina Jo Mujhay Khud Se Aashna Karta 
Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna 
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sun Liya Karta 
Meri Zameen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jati 
Main Rifaton Main Tujhay Aasman Sa Karta 
Gham-E-Jahan Ki Mohabbat Lubha Rahi Thi Mujhay 
Main Kis Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta 
Agar Zuban Na Kat'ti To Shehr Main 'Mohsin' 
Main Patthro'n Ko Bhi Ek Roz Hamnawa Karta...!!!