Sher O Shayri

Shayri ( My Collection) - Page 7

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kaash Aa Jaye, Mujhay Jan Se Guzartay Dekhay 
Us Ki Khwahish Thi Kabhi Mujhko Bikhartay Dekhay 
Wo Saleeqay Se Hua Humsay Gurezaan Warna 
Log To Saaf Mohabbat Se Mukartay Dekhay 
Tumnay Dekha Hai Nikalta Hua Sooraj Logo 
Tumnay Kuch Khwab Suhanay Nahi Martay Dekhay 
Ek Sehmay Hue Saahil Ki Tarha Ankho'n Ne 
Kitnay Charhtay Hue Toofan Utartay Dekhay 
Waqt Hota Hai Har Ek Zakhm Ka Marham 'Mohsin' 
Phir Bhi Kuch Zakhm Thay Aisay Jo Na Bhartay Dekhay...!!!
Edited by AttitudePrince - 11 years ago

Created

Last reply

Replies

939

Views

56205

Users

13

Likes

2039

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Saray Waado'n Ko Bhula Sakta Hoon Magar Rehnay Do 
Main Tumhay Chor Ke Ja Sakta Hoon Magar Rehnay Do 
Tum Jo Har Mor Par Keh Detay Ho Khuda Hafiz 
Faisla Main Bhi Suna Sakta Hoon Magar Rehnay Do 
Tumnay Jo Baat Kahi Dil Ko Dukhanay Wali 
Mai Us Par Muskura Sakta Hoon Magar Rehnay Do 
Sharam Ayegi Tumhay Warna Tumharay Waday 
Main Tumhay Yaad Dila Sakta Hoon Magar Rehnay Do...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Koi Nayi Chot Phir Se Khao, Udaas Logo 
Kaha Tha Kisnay Ke Muskurao, Udaas Logo 
Guzar Raheen Hain Gali Se Phir Matami Hawayein 
Kiwaar Kholo, Diye Bujhao, Udaas Logo 
Jo Raat Maqtal Main Baal Kholay Utar Rahi Thi 
Wo Raat Kaisi Rahi? Sunao, Udaas Logo 
Kahan Talak Baam-O-Dar Chiraghan Kiye Rakhogay 
Bicharnay Walo Ko Bhool Jao, Udaas Logo 
Ujaar Jungle, Dari Fiza, Haanpti Hawayein 
Yaheen Kaheen Bastiyan Basao, Udaas Logo 
Ye Kisnay Sehmi Hui Fiza Main Hamay Pukara 
Aur Ye Kisnay Awaaz Di Ke, Aao, Udaas Logo 
Ye Jan Ganwanay Ki Rutt Yunhi Rayengan Na Jaye 
Sar-E-Sina Koi Sar Sajao, Udaas Logo 
Usi Ki Baato'n Se Tabiyat Sambhal Sakegi 
Kaheen Se 'Mohsin' Ko Dhoond Lao, Udaas Logo...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Haalat Ke Qadmo'n Pe Qalandar Nahi Girta 
Tootay Bhi Jo Taara To Zameen Par Nahi Girta 
Samjho Wahan Phaldaar Shajar Koi Nahi Hai 
Wo Sehan Ke Jis Main Koi Patthar Nahi Girtaa 
Itna To Hua Fayeda Baarish Ki Kami Se 
Is Shehr Main Ab Koi Phisal Kar Nahi Girta 
Inaam Ke Laalach Main Likhay Madh'a Kisi Ki 
Itna To Kabhi Koi Sukhanwar Nahi Girta 
Us Banda-E-Khud'daar Pe Nabiyo'n Ka Hai Saaya 
Jo Bhook Main Bhi Luqma-E-Tar Par Nahi Girta 
Karna Hai Jo Sar Marka-E-Zeest To Sun Le 
Be-Baazo-E-Haider, Dar-E-Khaibar Nahi Girtaa 
Qayam Hai "Qateel" Ab Ye Meray Sar Ke Sa'aton Par 
Bhunchaal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahi Girta...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Chehray Pe Meray Zulf Ko Phailao Kisi Din 
Kya Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din 
Raazo'n Ki Tarha Utro Meray Dil Main Kisi Shab 
Dastak Pe Meray Haath Ki Khul Jao Kisi Din 
Pedo'n Ki Tarha Husn Ki Baarish Main Naha Loon 
Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Ghir Aao Kisi Din 
Khushboo Ki Tarha Guzro Meray Dil Ki Gali Se 
Phoolo'n Ki Tarha Mujh Pe Bikhar Jao Kisi Din 
Phir Haath Ko Khairaat Milay Band-E-Qaba Ki 
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Dohrao Kisi Din 
Guzarein Jo Meray Ghar Se To Ruk Jayein Sitaray 
Is Tarha Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din 
Main Apni Har Ik Saans Usi Raat Ko De Doon 
Sar Rakh Ke Meray Seenay Pe, So Jao Kisi Din...!!! 
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Phir Is Duniya Se Ummeed-E-Wafa Hai 
Tujhay Aey Zindagi Kya Ho Gaya Hai 
Badi Zaalim Nihayat Bewafa Hai 
Ye Duniya Phir Bhi Kitni Khush-Numa Hai 
Har Ik Apnay Hi Gham Main Mubtila Hai 
Kisi Ke Dard Se Kon Aashna Hai 
Kahan Hoon Shad? Main To Shad Sa Hoon 
Wo Shad-E-Khush-Nava To Mar Chuka Hai...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Aa Ke Le Jaye Meri Ankho'n Ka Pani Mujhsay 
Kyun Hasad Karti Hai Karti Hai Dariya Ki Rawani Mujhsay 
Gosht Nakhun Ka Alag Kar Ke Dikhaya Mainay 
Usnay Poochay Thay Judaayi Ke Ma'ani Mujhsay 
Teri Khushboo Ki Lehed Par Main Tanha Tha 
Ro Pari Mil Ke Gull-E-Raat Ki Raani Mujhsay 
Khatam Honay Laga Jab Khoon Bhi Ashko'n Ki Tarha 
Kar Gaye Khwab Meray Naqal Makani Mujhsay 
Sirf Ek Shakhs Ke Gham Main Mujhay Barbaad Na Kar 
Roz Rotay Hue Kehti Hai Jawani Mujhsay...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Wahan Na To Phool Khiltay Hain Na Hi Mausam Badaltay Hain 
Wahan To Kuch Nahi Hota Jahan Par Tum Nahi Hoti 
Yahan Waisay To Har Sogha'at Aasaani Se Milti Hai 
Mera Bas Dil Nahi Lagta Jahan Par Tum Nahi Hoti 
Yahan To Log Sadiyo'on Ko Bhi Lamho'on Main Badaltay Hain 
Mera Ek Pal Nahi Kat'ta Jahan Par Tum Nahi Hoti 
Sabab Ronay Ka Wo Poochein To Bas Itna Keh Dena 
Mujhay Hansna Nahi Aata Jahan Par Tum Nahi Hoti…!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Jin Raaho Pe Ek Umr Teray Saath Raha Hoon 
Kuch Roz Se Wo Rastay Sunsaan Bahut Hain 
Mil Jao Kabhi Laut Ke Phir Aao'on Na Shayad 
Kamzor Hoon Main Raah Main Toofan Bahut Hain 
Ik Tum Hi Nahi Meri Judayi Main Pareshan 
Hum Bhi To Teri Chah Main Veeran Bahut Hain 
Ik Tark-E-Talluq Pe Usay Main Kaisay Bhula Do'n 
Mujh Par Abhi Us Shakhs Ke Ehsaan Bahut Hain 
Bhar Jaayein Na Ankhein To Main Ek Baat Batao'n 
Ab Tujhsay Bichar Janay Ke Imkaan Bahut Hain...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Yahan Chahato'n Ka Sila Nahi 
Yahan Dosti Ka Maza Nahi 
Yahan Janay Kaisi Hawa Chali 
Rahi Dosto'n Main Wafa Nahi 
Yahan Jal Gaya Mera Aashiyaana 
Abhi Badlo'n Ko Pata Nahi 
Teray Dar Par Dastak De Sako'n 
Ye Haq To Tumnay Diya Nahi 
Main Raahi Hoon Raah-E-Ummed Ka 
Mujhay Manzilo'n Ka Pata Nahi 
Be-Bas Hoon Jahan Main Is Qadar 
Jaisay Mera Koi Khuda Nahi 
Meri Saadgi Mera Jurm Hai 
Koi Aur Meri Khata Nahi...!!!