"Kashish - Bade afsoos ki baat hai sujal.. ki tum is baat ko kabhi na samaj paaye ki pyaar taakat se nahi..balki kamzori se hota hai...hamesha saamne waale ki kamzoriyon par pyaar aata hai..taakat se toh sirf dara jaata hai..pyaar kiya nahi jaata..sundar aankein kabhi kisi ko apna nahi bana sakti..lekin unhi aanko se gira ek aaso..kisi ko aapki oor khench sakta hai..
Pyaar us insaan se nahi hota..jo duniya se jeetne ka dum rakta ho..pyaar us insaan se hota hai..jo jeetna nahi janta..lekin har din, har pal..duniya se ladta hai ..pyaar uski har haar par aata hai sujal..insaan hamesha insaan ki kamzoriyon se pyaar karta hai..khud ki bhi..aur dusro ke bhi"
- Aamna Sharif as Kashish [KTH]