Dialogues :D - Page 2

Posted: 11 years ago
"Ashar : Mai maazi ki har baat bhula kar, tumhe phir apnane ke liye tayyar hoon. Main kabhi tumse koi wazahat koi safayi nahi mangoonga, Maazi ki kisi baat ka hawala nahi lunga. Najanay mein Aala zarf ho ya Begairat, Lekin main tumhe maaf karne ke liye tayyar hoon.

Khirad : Lekin maine aapse maafi mangi kab?

Ashar : Mangni chahiye thi tumhe, Mai tumse maafi magney ko nahi keh raha Khirad. Mai tumhe khud maaf kar raha hoon.

Khirad : Aapki is aala zarfi ka shukariya.. Ab hum chale?"


- Fawad Afzal Khan & Mahira Khan as Ashar & Khirad [Humsafar]
Posted: 11 years ago
"Mujhe sach mein nahi pata, par tum jo kuch bhi kar rahe ho, bas rok do. Bada ajeeb lagta hai jab tum mere paas hote ho, mere saath hote ho.To pata nahi meri sansein atak jaati hai, meri dhadkane tez ho jaati hai, aur jab tum aise dekhte ho.. Mujhe tumse pyar ho raha hai. Haan mujhe tumse pyar ho raha hai.. Balki, Mujhe tumse pyar ho gaya hai. Mujhe yeh nahi pata kab, kahan, kaise kab hua, bas itna jaanti hoon, mujhe tumse pyar hai."

- Drashti Dhami as Madhubala (MEIEJ)
Posted: 11 years ago
"Jise aap pabandi keh rahi hai, usey hum tehzeeb kehte hai. Numayish pashchim ki ada hai, sharm purab ka gehna"

- Karan Singh Grover as Asad Ahmed Khan (QH)
Posted: 11 years ago
"Jinhe khamoshiyon ki aadat hoti hai, unhe tanhaiya achhi lagti hain"

- Karan Singh Grover as Asad Ahmed Khan (QH)
Posted: 11 years ago
aww u remind all the good times when we watched kth and repeat these scenes 100 times ..! and never bored!

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

2 Participants 14 Replies 2238Views

Topic started by snowflake.

Last replied by Jugnu_244

loader
loader
up-open TOP