INSHI FF-Tera Mera Saath Rahe (ch-29,pg-124) - Page 6

Posted: 10 years ago
Originally posted by shwetha297


Nice update seema & Ketu :)
Loved it :) <3
di maine kuch nahi kiya hain sirf copy marke paste kar diya hain 😆
Posted: 10 years ago
Originally posted by -Paulomi-



maine ye ketu ko bola hai ke usey bolne ki zarurat nehi hai pata hai ye update usne nehi likha hai
ok 😆
Posted: 10 years ago
superb!! it is an emotional update...papa-beti bonding is awesome...
Posted: 10 years ago
soo nice ...
superb...👏
Posted: 10 years ago
Nice...
padhkar emotionl ho gayi 😭Edited by kotharisneha - 10 years ago
Posted: 10 years ago
CHAPTER-3


The doorbell f SN rang n munna runs to open d door.he shocks to see Simmi Diwan standing at d door.
Munna- O teri...simmi diwan


(Kutumb from inside- arey kya hua munna kaun hai)

Munna runs inside and shouts- oye chotte teri ma...Simmi Diwan aai hai.

Sunaina- kya Simmi Diwan...lekin wo to jail mein thi na

Kutumb- arey haan Rishi beta teri maa ko to jail hui thi na

Inder- Lekin unhe to 6 mahine ki saza hui thi to shayad jail se chut gai hongi. Lekin yahan kyun aai hai. Kahin phir se to koi tufaan nahi khada karne aai,meri beti to ab nahi rahi,lekin kahin...kahin...jo kuch bhi inke saath hua uska badla ab ye kahin Rishi-Indira ki bachchi se to nahi legi.

Kutumb- haan...Rishi beta mujhe to darr lag raha hai... meri beti ne tumhare bhai aur tumhari maa ko saza dilwai thi isiliye ab kahin wo tumhari bachchi se is baat ka badla na le

Munna- Oye...chotte kuch to bol yaar...aise chup-chap mat baitha reh.kya devdas bana baitha hai.thodi tension le...teri maa aai hai.

Sunaina- Mai to kehti hoon mummy ji hum na unhe andar hi nahi aane dete.yahan se bhaga dete hai.keh denge ki Rishi bhaisaab yahan nahi rehte,wo yahan se chodkar ja chuke hain.
[Suddenly,Simi enters d house]

Simmi- uski koi jarurat nahi hai...mai andar aa chuki hoon.
(seeing her in front f them everyone stare at her with open mouth and shocking expressions. Rishi on hearing Simmi's voice comes out f his trance f thoughts and get up from his place and move towards her mother].

Simmi- (look towards RishiRicky

Rishi- Maa aap...aap yahan kya karne aai hain. Itna sab hone ke baad bhi aap yahan.

Simmi- mai jaanti hoon beta maine jo bhi kiya tha galat kiya tha aur uski saza mujhe mil chuki hai.(staring at SF) aur mai yahan par koi tufaan khada karne nahi aai hoon.mai to yahan apne bete aur apni poti ko unke asli ghar le jaane aai hoon.

Rishi- Maa...aapse ek request hai ki please aap meri beti ko apne kisi bhi ghatiya matter mein mat ghasite. Wo meri bachchi hai, nanhi si jaan hai..abhi..abhi to wo is duniya mein aai hai, aur aap ho ki... please maa aap meri beti se dur rahiye.(giving Ricky's devilish looks) aur agar kisine bhi meri beti ki taraf aankh uthakar bhi dekha ya use zara sa bi nuksaan pohochane ki koshish ki to mai uska itna bura hashra karunga phir wo chahe koi bhi ho.

Simmi- Ricky tu ye sab kya keh raha hai.mai jaanti hoon ki maine bohot si galatiyan ki hain aur tere bhai ki galatiyon ko nazarandaaz kiya aur use badhawa diya. Maine tumpar kabhi dhyan nahi diya. Lekin 6 mahine jail mein rehne ke baad mujhe pata chala ki family kya hoti hai. Beta hone ke bawjood mai kitni akeli thi. Mujhe tab ye ehsaas hua ki maine kya khoya hai. Ghar mein tere dad bilkul akele ho gaye the. Unhe wo ghar aur mujhe wo jail kaatne ko daudta tha. Beta aur bahu hone ke bawjood bhi hum dono kitne akele pad gaye the. Please mujhe maaf kar de aur ab mere saath apne ghar chal.

Rishi- Apna ghar!!! ..kaunsa apna ghar????  Wo ghar jisse aapne mujhe kabka nikal diya hai...phir wo mera ghar kaise hua maa...bataiye na. Aur haan maa agar aap soch rahi hain ki mera koi ghar nahi hai isiliye mujhe apne saath le jaana chahti hain to mai aapko bata doon ki ye jo abhi mai jahan reh raha hoon wo hai mera ghar.bhale hi aapke liye ye chota sa ghar hoga par mere liye bohot bada hai.is ghar ne hi mujhe apnaya hai,is ghar ne mujhe wo pyar diya jo kabhi mujhe aapke ghar mein nahi mila. Jis pyar ke liye mai bachpan se lekar aajtak tadpa tha, wo pyar mujhe isi ghar mein aake milke hai. Yahan ke logo ne mujhe apnaya hai naaki meri kisi bhi kaam mein nakamyaabi dekhkar mujhe thukraya hai. Phir yehi ghar mera hua na...naaki wo ghar jahan aap mujhe abhi le jana chahti hain.

Simmi- mai jaanti hoon Ricky ki tu mujhse aur apne dad se bohot naraaz hai aur shayad hona bhi chahiye,kyonki humne tere saath bachpan se lekar abtak bohot bura behave kiya hai. Kabhi tujhe apne bete jaisa pyar nahi diya. Humesha sautelo se bhi battar bartav kiya tere saath. Lekin ab hum jaan chuke hain ki humne jo bhi kiya wo bohot galat tha.aur tere dad aur mai iska prayshchit bhi karne ke liye taiyaar hain. Mai jaan gai hoon ki paisa hi sab kuch nahi hota...agar apne parivar ka pyar mil jaye to tumhe saari khushiyan mil jaati hai. Humare dono bete humse door the aur tab hume realise hua ki humne kitni badi galti ki hai.
(joining her hands in front f Rishi wid guilt feeling) mujhe maaf kar de Ricky. Please mujhe maaf kar de aur mere saath apne ghar chal.

Kutumb- Rishi beta mujhe lagta hai tere maa-baap ko apni galti ka ehesaas ho gaya hai aur galtiyan to har insaan se hoti hai na. Jab bachche galti karte hain to ma-baap unhe harhaal mein maaf kar dete hain to bachcho ka bhi farz hona chahiye ki wo apne ma-baap ki galatiyon ko nazarandaz kare.kehte hain.  Jab insaan ko apni galti ka ehesaas ho jaye to wo hi uske liye sabse badi saza hoti hai. Aur ek baar apni ma ki taraf dekh unhe dekhke kya tujhe nahi lagta ki unhe apni galti ka ehesaas ho chuka hai. Mujhe nahi pata ki inhone tere saath bachpan mein kaisa bartaav kiya,par tu mujhe bata ki ab tu bhi ek baap ban gaya hai, agar kabhi teri beti tujhse nafrat karne lagegi aur tujhe chodke chali jayegi to tujhe kaisa lagega.kya tu sehen kar paayega uski nafrat.


Rishi- (wid disbelief look) maa ye aap kya keh rahi hain??

Kutumb- Rishi mai sirf itna keh rahi hoon ke teri maa apne bete ke saamne haath jodke usse maafi maang rahi hai aur is waqt tera sirf ye farz hai ki tu bhi apni peechli baaton ko bhula de.

Rishi- (looks 2wards Simmi and then move 2wards her and with moist eyes n wid almost crying voice) - maa...

Simmi- (looks up to him)

Rishi- (tears r making way from his eyes n with a sad tone,holding her mother' s hand) maa...I...I am...sorry maa.

Simmi- (wiping his tears n cupping his face wid her one palm) tu kyun sorry bol raha hai beta. Tune thodi na kuch galat kiya hai... sorry to mujhe aur tere dad ko tujhse maangni chahiye, Indira se maangani chahiye.hume maaf kar de beta.

Rishi- (holding her hand) nahi maa aap sorry kyun bol rahi hain... aap to mujhse badi hain na aur aap to maa hai. phir mai kaise dekh sakta hoon ki meri maa mere saamne haath jodke khadi ho.(in a crying tone) agar aap mujhse maafi maafi mangegi to shayad mai kabhi apneaap ko maaf nahi kar paunga.

Simmi- (cupping his face wid both hands) jis bete ko humne kabhi apno jaisa pyar nahi diya,aaj wo aisi baatein kar raha hai.
(Turning otherside) sach mein kitne badnaseeb the hum jo tujh jaise bete ko thukra diya. mai jaanti hoon maine yahan aane mein bohot der kar di hai lekin ab aur der nahi karna chahti. Ricky tu mere saath apne ghar chalega na.agar tu nahi chalega to mai samjhungi ki tune abhi bhi mujhe maaf nahi kiya hai. Bata beta chalega na tu Diwan Mansion.

Rishi- (wiping his tears) lekin maa...dad..

Simmi- (turn 2wards him) tu apne dad ki chinta mat kar. Infact wo to tera besabri se intezaar kar rahe honge. Mai jaanti hoon tu ye puchna chah raha hoga ki wo mere saath yahan kyun nahi aaye. Kyonki beta, kyonki jo kuch bhi tere saath hua uske liye wo bohot guilty feel kar rahe the. aur tujhe face karne ki himmat nahi juta paa rahe the. tu ghar chal phir sab samajh jayega.

Rishi- thik hai maa mai aapke saath us ghar mein chalne ke liye taiyaar hoon.

Simmi- Ricky chalne se pehle mujhe apni beti se nahi milwaega kya!

Rishi- (a slight smile appears on his face.he took his little sweetheart in his arms move towards her mother n showed to her) ye dekhiye maa...meri aur indira ki beti...aapki poti.
Simmi- (taking her granddaughter in her armskitni pyari bachchi hai. Iski shakal to bilkul iski maa par gai hai...(excitinglyaur iski aankhen to Ricky bilkul teri tarah hai.
Pata hai Ricky hari aankhen bohot kam logo ko hoti hain aur humare ghar mein to do-do ko hain.
Kaash aaj Indira bhi hoti, to mai apni bahu ka bade dhum-dham se swagat karti uske ghar... apne ghar mein

Rishi- (becomes sad on hearing this) maa...mujhe khushi hai ki aapne Indira ko apni bahu mana.

Simmi- Ricky maine bohot galatiyan ki hain lekin ab mai unhe sudharana chahti hoon.

Rishi- (in affirmation gesture nodded his head)

Simmi- ab beta jaldi chalne ki taiyaari kar tu jaldi se apna samaan pack kar le, tere dad tera aur apni poti ka intezaar kar rahe hain.
(Rishi packs all his belongings n orders SF not to open the lock of barsaati aur touch anything there,he himself will visit there time-to-time n will take care f it.he den bid goodbye to everyone n leave fr DM).

After reaching DM,Simmi took her grandaughter in her arms very carefully n tell Rishi not to worry.
They enters d house. But as soon as he enters the house a voice came from inside.

Voice- ruk jao

Rishi- (looks towards her mother,who assured him not to worry)
Rishi looks towards the direction from where the voice came n move towards that. Rishi bends to touch the feet. But as soon as Rishi bends, two hands lifts him up from his shoulders and hugs him.

Rishi- D..dad
(dat voice was f none other than Rishi's father- mr. Akhil Diwan[A.D.],who is a businessman and the owner f diwan group f companies)

A.D.- Ricky (n he weeps)

Rishi- (with teary eyes n crying tone) Da...Da..Dad aaj...aapne mujhe...mujhe pehli baar hug kiya.aaj pehli baar mujhe (words are not forming by his tongue due to the emotional turmoil which he is going through right now)

A.D.- wiping his tears n joining  hands in front of him n begging his pardon) mujhe maaf kar de Ricky jo kuch bhi maine tere saath kiya. agar mai tere saath bura bartav nahi karta to tujhe kabhi ye ghar chodke nahi jana padta. Meri wajah se tujhe itna dukh sehna pada. I am sorry.

Rishi- (with teary eyes n nodding his head) nahi dad aap please  aise mat boliye. Mai aapse aur maa se bilkul bhi naraaj nahi hoon. aur ab aapko kabhi bhi chodke nahi jaunga. I promise u dad.

A.D.- (looking up 2 him) tu sach keh raha hai Ricky.

Rishi- haan dad mai aapko kabhi chodke nahi jaunga. Mujhe ehsaas ho gaya hai ki mai kitna galat tha. Main aapko chodkar chala gaya lekin ye kabhi nahi socha ki mere bina aapka kya hoga.  I am sorry dad. ho sake to mujhe maaf kar dijiye.

A.D.- (again hugs Rishi n console him).
(wiping his tears n smiling slightly) achcha ab ye sab chod aur meri grandaughter kahan hai usse mila mujhe.

Rishi- ya dad...sure aap bhi dekhiye...aakhir aap to dadu hai uske.
A.D.- (taking her in his arms) aww...ole...dadu paas aai hai meri gudiya.sach mein meri poti kitni lucky hai humare liye...haina Simmi...aaj kahin na kahin humari potti ki wajah se hume humara beta wapis mil gaya.(looking towards d baby) thank you beta aaj aapke dadu na bohot khush hain. aaj aapki wajah se unke sar se mano sara bojh hi hat gaya hai.thanku so much...humari zindagi mein aane ke liye.

[And this is how Rishi with his daughter get welcome in Diwan Mansion by his parents Mr. & Mrs. Diwan realised dere mistakes n whole heartedlly accepted RICKY  and showered all dere love to him which was missing since all dese years. Rishi joined DIWAN GROUP OF COMPANY n work there as he also realized that he is d only one who has to look after d whole DIWAN EMPIRE though he follows his passion too means he never let die d artist inside him n thus he side by side follows dat too. In diwan mansion naming ceremony for RISHI-INDIRA's daughter was done n as per Rishi's request her name AHANA RICKY DIWAN was announced.]


Edited by designersaini - 9 years ago
Posted: 10 years ago
sry ye chapter bohot late ho gaya.
Posted: 10 years ago
me 1st hu 
😭 😭 very emotional hain...
Ahana ki aankhe Rishi jaisi hain hari hari..wow...
Aakhir kar hume papa d milhi gaye 😆 😆 Aur Simmi bhi sudhar gayi..wow...
mast update di...👏 😃
Edited by Ketaki19 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
Originally posted by designersaini


sry ye chapter bohot late ho gaya.

koi nahi...ab agla jaldi do 😆

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

25 Participants 935 Replies 69129Views

Topic started by designersaini

Last replied by designersaini

loader
loader
up-open TOP