Chapter 2
At SN
Kutumb : Indira,
beta, Indira mujhe 2000 rs. dona. Wo kya hain na mujhe humare paswale
mandir me panditjise hawan karwana hain ghar ke shanti ke liye.
Indira : Kya? 2000 rs?? Nahi maa itne paise nahi hain mere pass.
Kutumb : Sirf
2000 rs toh mange hain maine. Kya tumhe wo utne bhi jyada lag rahe
hain? Are ghar ke shanti ke liye hi hawan kar rahi hu na mere liye thode
hi mang rahi hu?
Indira : Maa aise hawan karnese
shanti milti na toh duniya me log hawanhi karte rehte. Khair mujhe aapse
subhah subah koi behes nahi karni hain aur nahi mera modd kharab karna
hain. Me aapko paise nahi de sakti.
Munna : Are
mummy tum bhi na isse paise mang rahi ho? Are ye aisi thodi na paise
degi. Me hu na me tumhe paise dunga. Tumhara beta hain na mummy fir tum
tension kyun le rahi ho?
Indira : Are wa bhaisaab
aaj aapko beta hone ka farz yad aaya ye sunkar bahot achha laga. Lekin
kya hain na bhaisaab sirf badi badi batonse kam nahi hota hain uske liye
hath bhi chalane padte hain aur kuch kam karna padta hain. Jo aapne
kabhi kiya nahi hain.
Munna : Tumhe kya lagta hain haa me kabhi kam nahi kar sakta kya? Me kam karke dikhaunga. Dekhna tum.
Indira : Dekhte hain. Abhi ke liye toh mujhe office jana hain. Agar aap logonke sath me behes karne bethi na toh ho gaya mera kam. Aur wo Ishaan ko awaj deti hain. Ishaan chalo der ho rahi hain.
At Airport
Akhil : Abhi tak flight kyun nahi aayi? Sam tumne pucha na? Flight right time pe hain na?
Sameer : Uff..oh dad aap bhi na..Pure 20 min me 15 bar ye puch chuke hain aur me keh keh kar thak gaya hu ki flight time pe hain.
Tabhi unko flight ki announcement sunai deti hain.
Sameer : Dekho dad ho gaya aapka intezaar khatm. Ab kuchhi der me aapka shehjada aayega apna saman leke.
Rishi
sari formalities puri karke aata hain. Usko dekh kar airport ki sari
ladkiyan apna kam chodkar Rishi ki taraf hi dekhne lagti hain. Rishi in
sari batonko bahot enjoy karta hain. Wo apne family ki taraf aata hain
aur Akhil ke per chune lagta hain lekin Akhil usse hug karta hain. Fir
Rishi Simmi ke pas aata hain. Wo bhi usse hug karti hain. Rishi Sameer
ke pas aata hain.
Rishi : Hey bro...kaisa hain tu?
Sameer : Me mast hu. Tu kaisa hain?
Rishi : Mast.
Simmi : Kitne patle ho gaye ho Rishi tum?
Rishi : Maa aap bhi na..Aur wo Akhil ke taraf dekhta hain. Are dad aap aise kya dekh rahe ho?
Akhil : Kuch nahi apne bete ko pure 2 saal bad jo dekh raha hu na. Isiliye jee bhar ke dekh raha hu.
Rishi : Kya dad aap bhi na. Chalo ab jaldi ghar chalte hain. Bahot thak chuka hu safar me.
Aur wo sare ghar ke liye nikalte hain.
At Chandani Chawk :
Ishaan : Bua humare school me poetry competition hain na toh aap aaohi dekhne ko?
Indira : Sorry
beta. Lekin me try jarur karungi. Wo actually na humare office me kam
bahot pending hain na. Aur kuch dino bad boss bhi aanewale hain toh
isiliye thori jyada busy hu me.
Ishaan : No
problem bua. Me janta hu bua aap bahot thak jati ho na har roj bahot
sara kam kar kar ke. Dekhna bua jab me bada hounga na tab me aapki bahot
care karunga.
Indira : Achaa..dekhte hain. Waise jaldi chalo Ishaan. Late ho raha hain.
At Mumbai :
Sab DF ghar pahuchte hain. Simmi Rishi ki aarti karti hain aur najar utarti hain. Tabhi unko ek ladki ki awaj aati hain.
Ladki : Aap sab bhul gaye na mujhe?
Sab log peeche dekhte hain.
Rishi : Are Natasha tum?? Oh sorry ab toh tum meri honewali bhabhi ho toh Natasha bhabhi aap yaha?
Natasha : Kya Rishi tum bhi. Pata hain me tumhari bhabhi honewali hu lekin hui toh nahi na abhi?
Sameer : Are Natasha tum toh aaj Bhopal janewali thi na friend ki shadi me?
Natasha : Haa Sameer janewali thi lekin wo kya hain na kisine mujhe yaha blackmail karke rok liya.
Sameer : Black mail?? Kisine??
Natasha : Aur kaun karega Sameer? Yeh tumhara bhai..
Sameer : Rishi tumne???
Rishi : Haan fir?? Pure do sal bad me yaha aanewala tha aur meri bhabhi hi mera welcome na kare aisa toh ho sakta hain kya?
Sameer : (apne parents se) Dekha aapne abhi se in devar bhabhi ki union ho gayi. Ab batao meri kaun sunega inke aage?
Sab log iss bat pe haste hain aur sab andar jate hain.
comment:
p_commentcount