InShi FF Rab Ne Bana di Jodi chapter 11 pg 33 - Page 6

Created

Last reply

Replies

232

Views

15502

Users

17

Likes

187

Frequent Posters

ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Originally posted by: ratibob007

Awesome update.

thanks
Surish thumbnail
Posted: 10 years ago


google logogoogle logogoogle logogoogle logogoogle logogoogle logogoogle logo

Resmy.Dayan thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
👏
Edited by Resmy.Dayan - 10 years ago
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago

thanks bahot mast hain ye 😆
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Originally posted by: Resmy.Dayan

nice...


thanks
Bharu11 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
vry nice update ketaki...Rishi's entry ws cool...
sry fr late reply..
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Originally posted by: Bharu11

vry nice update ketaki...Rishi's entry ws cool...
sry fr late reply..


thanks
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Originally posted by: sreevijayan

awesome update sweety...


thanks
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Originally posted by: AshFdo

👍🏼


thanks
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Chapter 3
At Evening
SN
Ishan upset ho kar bahar sope pe baitha tha. Indira office se wapas aati hain aur Ishan ko dekhti hain.

Indira : Kya hua Ishan? Tum aise muh latkake kyun bethe ho?

Ishan : Dekho na bus humare school me jo poetry competition abhi hone wali thi na wo postpon kar di. Maine kitne achhese taiyari ki thi lekin ab mera moodhi chala gaya hain. Mujhe nahi participate karna ab.

Indira : Are yeh kya bat hui bhai? Dekho Ishan tumne itne achhese taiyari ki hain na tab ab tum aise piche nahi hat sakte. Aur socho competition postpon hui hain toh tumhe aur time mila hain toh aur jor se taiyari karo. Aur kehte hain na jo hota hain wo achhe ke liye hota hain. To ab tum aur practice karo fir dekhna tumhi jeetoge. Chalo ab apne chehre pe yun (uske chehre pe smile karwake) aise smile karo. Aise sham ke waqt muh utarkar baithnewale mujhe bilkul pasand nahi hain. Ishan turant smile karta hain.

Kuch din bad
AT Dm
Rishi ke wapas aane ke bad pure ke pure DM ko jaise koi nayi raunakhi aayi thi. Sameer aur Rishi ki nok jhok aur fir Simmi aur Akhil ki nok jhok in sab se DM pura khil utha tha. Rishi ke wapas aane ki khushi me uske sare friends ne usse  grand welcome party di thi. Rishi bhi India me puri tarahse settle hua.

Kuch din bad Rishi Mumbai ke Diwan office me jaoin hota hain. Wo apne nayi nayi ideas se sabko impress karta hain. Office ki sari ladkiyan apne naye boss se bahot khush hoti hain aur humesha usse impress karneki koshish karti hain. Rishi bhi in sab baton ko enjoy karta hain. Bechara Sameer in sab batonse irritate hota hain lekin kabhi kabhi Rishi ki tang bhi khichta hain.

Ek din Sameer Delhi jane ki taiyari karta hain. Rishi uske kamre me aata hain.

Rishi : Bhai Delhi ki packing kar rahe ho?

Sam : Haan kyun? Kuch kam tha kya?

Rishi : Aap Delhi jaoge fir me yaha bahot boar ho jaunga.

Sam : Lekin kya kar sakte hain bro? Jana toh padega na. Aur tumhe toh yaha rukna hoga. Agar tum bhi aaye mere sath toh yaha ki meeting ka kya hoga? Dad ko bhi madad chahiye ne tumhari.

Rishi : Waise ek idea kar sakte hain na bhai. Dekho yaha ki meeting ho jane ke bad me turant waha Delhi aaunga. Wo kya hain na asal me mujhe humara Delhi wala office bhi toh dekhna hain na.

Sam : Delhiwala office dekhna hain ya Shwetase milna hain haa?

Rishi : Are haan Shweta bhi toh Delhi me hi rehti hain na to usse bhi mil lunga.

Sam : Aise behave kar raha hain jaiseki tumhe patahi nahi hain ki wo Delhime hain. Kyun? Bahot yad aa rahi hain na uski? Kaho toh Ma Dad se bat karu Shweta aur tumhare rishte ki? Aur waisebhi Dad toh tumhare bachpan se hi toh chahte the ki tumhara aur Shweta ka rishta bane aur fir uske Papa bhi toh Dad ke dost hain na fir toh kya aise yun(chutki baja kar) bat banegi tumhari.

Rishi : Kya bhai? Aap yeh bat achhese jante ho ki mera Shwetase aisa koi bhi rishta nahi hain. Wo to sirf meri achhi dost hain aur usse jyada kuch nahi.

Sam : Rally?

Rishi : Bhaiya please aap ko pata hain iss bat pe me bahot serious hu.

Sam : Hey bro chill yar...Bhai se seedha bhaiya pe mat aao. I know it very well ki mera bhai aisa kuch sochtahi nahi hain Shweta ke bareme. Chalo ab mujhe packing karne do aur bad me Natashase bhi toh milne jana hain. Fir pure hafte tak hum nahi milnewale hain.

Rishi : Achaa,.,,achaa aise muh mat banao bhai. Chalo me madad kar deta hu aapki taki packing jaldse ho jaye aur aap bhabhi se jaldi milne ja sake. Aur dono packing karte hain.

Agle din Sameer Delhi chala jata hain. Rishi aur Akhil Mumbaime apni meeting khatm karte hain. Akhil Rishi ke kamse bahot khush hota hain. Ghar aane ke bad Rishi Akhil aur Simmi ko Delhi jane ki bat karta hain.

Akhil : Tujhe Delhi kyun jana hain beta?

Rishi : Dad wo mujhe Delhi ka office bhi dekhna hain aur Delhi me mere kuch friends hain unse bhi toh milna hain.

Simmi : Aaj subah hi Sam chala gaya aur ab tum bhi jaoge? Hum dono ko kitna boar hoga?

Rishi : Are maa me kaha humesha ke liye jaa raha hu? Bhai ke sath hi toh me aa jaunga na wapas. Please aap dono man jayiye na please.

Akhil : Thik hain. Me kal ki subah ki flight ki booking kar deta hu tumhari aur Sam ko bhi bol deta hu.

Rishi : Dad aap flight ki booking kara do. Bhaise me bat karta hu. Thanks Maa aur Dad..

Akhil Rishi ki flight ki booking kar deta hain. Rishi apna saman pack karne ke liye apne room me jata hain. Simmi uske liye black coffee lekar aati hain.

Simmi : Packing ho gayi beta?

Rishi : Haa maa. Almost ho gayi hain.

Simmi : Beta tumse ek bat puchu? Sach bataoge na?

Rishi : Haa maa. Pucho na. Aur waise bhi me kaha aapse jhut bol pata hu? Aap toh mera jhut aise turanr pakar leti ho.

Simmi : Beta US me tumhari koi...I mean tumhe US me koi ladki...

Rishi : Maa nahi aisi koi bat nahi hain. Meri US me koi girlfriend nahi hain. Lekin kyun Maa?

Simmi : Are kuch nahi wo toh me bas aisehi puch rahi thi. Tum apni packing jaldi khatm karo aur neeche dinner ke liye aa jao. Me khana lagwa deti hu.

Rishi : Thik hain maa. Aur wo apni packing puri karta hain.

AT SN
Indira : Bhabhi khana lagaya nahi abhi tak?

Sunaina : Ji...ji abhi laga deti hu. Wo aaj thori bahar gayi thi na toh aane me der ho gayi. Lekin abhi turant laga deti hu.

Indira : Yeh Mandira kaha hain? Officese aayi hu tabse usko nahi dekha hain.

Sunaina : Are woh toh apne saheli ke ghar notes lane gayi thi. Baki ka tum mummyjise puch lo. Me khana lagati hu.

Kutumb : Are woh Indira Mandira ka phone aaya tha wo saheli ke gharse nikal chuki hain. Abhi aati hi hogi.

Indira : Achha thik hain. Bhabhi kal mujhe subah jaldi office jana hain. Wo Mumbaise humare boss aanewale hain kal. Toh mujhe kal subhah jaldi jana hain toh aap ya bhaisaab kal Ishan ko school chodne jayenge.

Sunaina : Main?? Main toh wo...

Indira : Samaj gayi. Aapko ghar ke kamonse aur khanese fursat kaha hain? Aap apne pati ko bol di utna toh wo apne bete ke liye kar sakte hain na?

Munna : Haan kar sakta hu me. Me apne bete ki puri jimmedari in apne khandhe pe utha sakta hu. Tumhe utni fikar karneki jarurat nahi hain.

Indira : Jimmedari jab uthayenge tab dekhungi me. Filhal kal usko school jarur chodke aana. Samjhe na aap? Bhabhi chalo jaldi khana lagao.

Sunaina : Haan Indira khana ready hain. Aa jao sab.

Indira : Ishaan chalo jaldi khana khane niche aa jao. Aur sab khana khate hain.