Sher O Shayri

Beautiful Poetry Collection

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago











~A beautiful collection of  Urdu poetry of my most favorite poets~


~poetry~

~Hai dua yaad magar harf e dua yaad  nahi~

~saghar siddiqui~

Hai dua yaad magar harf e dua yaad  nahi
Mere Naghmaat ko andaz e wafaa yaad nahi

hum ne jin ke leye rahun mein bichaya tha lahu
hum se kehte hain wohi ehed e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarh katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

mein ne palkun se darr e yar pe dasatak di hai
mein wo sa'il hun jise koi sadaa yaad nahi

kesy bhar ayen sar e shaam kisi ki ankhein
kese tharai charaghun ki ziaa yaad nahi

sirf dhundhlaty sitarun ki chamak dekhi hai
kab hua koun hua mujh se juda yaad nahi

Aao ik Sajda krein aalam e madhooshi mein
Log kehte hain k saghar ko khuda yaad nahi..







Edited by Chandni.. - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

191

Views

32081

Users

6

Likes

143

Frequent Posters

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                                                   ~poetry~
                                           ~parveen shakir~
~Aks -e- Khushboo Hoon Bekharnay Say Na Rokay Koee~


Aks -e- Khushboo Hoon Bekharnay Say Na Rokay Koee
Or Bekhar Jaoon Tu Mujh Ko Na Samaitay Koee

Kaanp Uthate Hoon Main Yah Soch Kay Tanhaee Main
Meray Cheray Pay Tera Naam Na Parh Lay Koee

Jis Tarah Khowab Meray Ho Gay Hain Rayza Rayza
Is Tarah Na Kabhi Toot Kay Bikhray Koee

Main Tu Us Din Say Harasa Hoon Kah Jab Hukam Melay
KhushK Pholoon Ko Ketaboon Main Na Rakhay Koee

Ab Tu Is Rah Say Wo Shaks Bhi Nahi Guzarta
Ab Kis Umeed Pay Darwazay Say Jhankay Koee

koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
dil ki galyaan' bari sunsan hain aye koi

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                                                               ~poetry~
~Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse~
                               ~MOHSIN NAQVI~

Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse
Wo Musafir Jo Bhare Shehar Mein Ghar Ko Tarse

Ankh Thehray Hoye Pani Se Bhi Kaktrati Hai
Dil Wo Rehro Kay Samandar Kay Safar Ko Tarsay

Mujh Ko Us Qahat Kay Mousam Se Bacha Ya Rab Sukhan
Jab Koi Ahl E Hunar Arz E Hunar Ko Tarsay

Ab Kay Is Toor Muslat Howa Andhera Her So
Hijar Ki Raat Mere Dida Tar Ko Tarsay

Umar Itni Tu Ata Ker Mere Fun Ko Khaliq
Mera Dushman Mere Marne Ki Khabar Ko Tarsay

Usko Pa Ker Bhi Usay Dhond Rahi Hein Ankhain
Jese Pani Mein Koi Seep Gohar Ko Tarsay

Na Shanasai Kay Mousam Ka Asar Tu Dekho
Ayina Khal O Khad E Ayina Ko Tarse

Aik Dunia Hai Kay Basti Hai Teri Ankhon Mein
Wo Tu Hum Thay Jo Teri Aik Nazar Ko Tarsay

Shor E Sar Sar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsay


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                       ~poetry~
~Ye jo diwane se do char nazar ate hain~
                ~Saghar Sidiqui~


Ye jo diwane se do char nazar ate hain
In mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain

Teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
Werna ye log to bedar nazar ate hain

Dur tak koi sitara hai na koi jugnu
Marg-e-ummid k asar nazar ate hain

Mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
Ap phulon k kharidar nazar ate hain

Kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
Aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain

Hashr mein kaun gawahi meri dega 'Sagar'
Sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago

                                         ~poetry~
~Har aashna mein kahaN khooy-e-mahramaana woh~
           ~Ahmad Faraz (4rm Chand our mein)~


Har aashna mein kahaN khooy-e-mahramaana woh
K be-wafaa tha magar dost tha puraanaa woh

KahaN se layein ab aaNkhein use K rakhta tha
AdaawatoN mein bhi andaaz mukhlisaana woh

Jo abr tha to use tooT kar barasnaa tha
Yeh kya K aag laga kar hua rawaanaa woh

Pukaarte hain mah-o-saal manziloN ki tarah
Laga hai tosan-e-hasti ko taziyaanaa woh

Hamein bhi Gham-talabi ka nahi raha yaaraa
Tere bhi rang nahi gardish-e-zamaana woh

Ab apni khaahishein kya kya use rulaati haiN
Yeh baat hum ne kahi thi magar na maana woh

Yehi kaheiNge K bus soorat-aashnaayi thi
Jo ahd tooT gaya! yaad kya dilaana woh

Us ek shakl mein kya kya na sooratein dekhiN
Nigaar tha nazar aayaa nigaar khaana woh

Faraz' khawaab si ghaflat dikhaayi deti hai
Jo log jaan-e-jahaaN the hue fasaana woh



Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Guftugoo band na ho, baat se baat chaley~

Guftugoo band na ho, baat se baat chaley
Subha tak shaam-e-mulaqaat chaley
Ham pe hanstee huee ye taaroN bhari raat chaley

HoN jo alfaaz k haathoN meiN haiN sang-e-dushnaam
Tanz chhalkayey to chhalkaaya karey zehr k jaam
Teekhi nazreiN hoN, tursh abru-e-Khumdaar rahey


Ban pa.Day jaisey bhee dil seenoN meiN baydaar rahey
Baybasi harf ko zanjeer bapa kar na sakey
Koyi qaatil ho magar qatl-e-nawa kar na sakey


Subha tak Dhal k koyi harf-e-wafa aayey ga
Ishq aayey ga, basad laGhzish-e-pa aayey ga
NazreN jhuk jaayaiN gi, dil dha.DkaiN gey, lab kaaNpeiN gey
Khaamushi bosa-e-lab ban k mehak jaayey gee
Sirf GhunchoN k chaTakney ki sada aayey gee

Aur phir harf o nawa kee na zaroorat hogee
Chashm-o-abru k ishaaroN meiN mohabbat hogee
Nafrat uTh jaayey gee, mehmaan murawwat hogee 

Haath meiN haath liyey, saara jahaaN saath liyey
Tuhfa-e-dard liyey, pyaar kee sauGhaat liyey


RaigzaaroN se adawat k guzar jaayaiN gey
KhooN k daryaaoN se ham paar utar jaayeiN gey

Guftugoo band na ho, baat se baat chaley
Subha tak sham-e-mulaqaat chaley
Ham pe hanstee huee ye taaroN bhari raat chaley


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Taaron Bhari Ye Raat Hai Aur Main Udaas Hoon, 
Chandni Se Mulaqat Hai Aur Main Udaas Hoon, 

Har Taraf Lagi Hai Phoolon Ki Ronakein, 
Chaaron Taraf Pyaar Hai Aur Main Udaas Hoon, 

Tere Tasavvur Se Hua Hai Mere Mann Mein Ujala, 
Utra Hai Chaand Samundar Mein Aur Main Udaas Hoon, 

Yaad Aaye Wo Lamhaat Wo Pyaari Mulakat, 
Milte Hai Do Dil Pyaar Se Aur Main Udaas Hoon, 

Jab Chha Gayi Kaali Ghata Aru Aa Gaya Barsat Ka Mausam, 
Rimjhim Rimjhim Barsaat Hai Aur Main Udaas Hoon...
Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Dil Ki Wadi Mein Chahat ka Mousam hai...~

Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke 

Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha 

Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai 

Aur yaadon ki daaliyon par 

Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain 

Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi 

Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher 

Mauj dar mauj, behti huwi zindagi 

Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi 

Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai 

Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai 

Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa 

Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai 

Aur yaadon ki daaliyon par 

Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain

(4rm veer zara movie)



Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Insha~
~Chal "Insha" apnay gaon mein

Chal "Insha" apnay gaon mein
Yahan ujlay ujlay roop Boht
Per asli km Behroop Boht

Us paid k neechy kia rukna
Jahan saya km ho dhoop Boht

Chal "Insha" apny gaon mein
Bethen gy sukh ki chhaon mein

kyun teri Ankh sawali hy
Yahan hr ik Bat nirali hy

Is dais Basera mat krna
Yahan muflis hona gaali hy

Chal Insha apny Gaon mein
Jahan sachy rishty yaron k

Jahan wadey pky pyaron k
jahan ghongat zewar naron k...

jahan jharne komal sur wale...
jahan saz bajen bin taron k...

Kre sjda wafa b paon mein
Chal "insha" apne gaon mein.!
Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago

~Faiz Ahmad Faiz Poetry~

~Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay~

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay

Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna "Faiz"
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay


Edited by chandni00 - 10 years ago