Beautiful Poetry Collection - Page 2

Posted: 10 years ago

~Bahar aai ~

~Faiz ahmad faiz~


Bahar aai to jaise yak baar
Llaut aaye hain phir adam se
Wo khwaab saarey, shabaab saare
Jo tere honton pe mar mite the
Jo mit ke har baar phir jiye the
Nnikhar gaye hain gulaab saare
Jo tere yaadon se mushk-bu hain
Jo tere ushshaaq kaa lahu hain

Ubal paRe hain azaab saare
Malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhe
Khumaar-e-aaghosh-e-mahwashaan bhe
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
Ttere hamaare
Ssawal saare, Jawaab saare
Bbahaar aai to khul gaye hain
Naye sire se hisaab saare


-

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

~FAIZ AHMAD FAIZ~

~Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge~

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge

Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge

Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge

Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge

Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge

Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge

Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge


Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Bahar kya,ab khazan bhi mujy galay lagaye to kuch na kar paye~

                                              "Mohsin Naqvi"

Bahar kya,ab khazan bhi mujy galay lagaye to kuch na kar paye
Mein barg-e-shehra hon,yun bhi mujh ko hawa uraye to kuch na paye

Mein pastion mein bhi bara khush hon,zameen k malbos mein jara hon
Mashal-e-naqs-e-qadam para hon,koyi mataye to kuch na paye

Tamam rasmen he toor di hein,keh mein nay aankhen he phor di hein
Zamana ab muj ko,mera aayena bhi dakhaye to kuch na paye

Ajeeb khawahish hay mery dil mein,kabhi to meri sada ko sun kr
Nazar jhukaye to khof khaye,nazar uthaye to kuch na paye

Mein apni be-mai'gi chupa kr,kawar apnay khulay rakhon ga
K mery ghar mein udaas mosam ki sham aaye to kuch na paye

Tu aashna hay na ajnabi,tera mera pyar hay sar'sari
Magar yeh kya rasm-e-dosti hay,k to roth jaye to kuch na kr paye

Usay ganwa kr usay pher panay ka shoq dil mein youn hay Mohsin
K jaisay pani peh dayira sa koyi bnaye to kuch na paye

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
                                                          ~Mohsin Naqvi~

                  ~Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai ~


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai 
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai 

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal 
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai 

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh 
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai 

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai 
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai 

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi " magar!! 
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai 

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho 
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai...


Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

                                                        ~Faiz ahmad faiz~

                   ~Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad~


Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?

Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?

Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad

Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad

Un Se Jo Kehnay Gaye Thay "Faiz" Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad


Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
 ~Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti.. ~

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti.. 
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai .. 

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai .. 
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein.. 

Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi.. 
Nahi aise nahi hoga .. 

Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein.. 
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye.. 

To bas itna samaj lena , 
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai.. 

Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai .. 
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai .. 

Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai .. 
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti.. 

Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti...!!!

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
                                                                   ~Mohsin Naqvi~
                                          ~Usko fursat hi nahi ~


Usko fursat hi nahi 
waqt nikaly Mohsin 
Aisy hoty hain bhala 
Chahny waly Mohsin 

Yaad k dasht me phirta hon 
Main nangy paon 
Dekh to aa k kabi 
Paon k chhaly Mohsin 

Kho gai subho ki umeed 
or ab lgta hai 
Hum nahi hon gay 
K jb hon gy ujaly Mohsin 

Wo jo ik shakhs 
Mtaa-e-dil-o-jan tha 
Na raha 
Ab bhala kon mery 
Dard sambhaly Mohsin

    Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
                                 ~Parveen Shakir~

              "Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi...!"

                               "Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi...!"

              "Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par...!"

                                "Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi...!"

              "Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main...!"

                                "Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!

                Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!

                                 "Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi...!"


Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
                                  ~Saghar Sidiqui~

            main talkhi e hayaat se ghabra k pee gaya
                          gham ki sayaah raat se ghabra k pee gaya

             itni daqeeq shai_ koi kaisay samajh sakay
                         yazdaan k waqiyaat se ghabra k pee gaya

             chalkay huwe thay jaam parehsaan thi zulf e yaar
                        kuch aisay hadsaat se ghabra k pee gaya

            main aadmi huun koi farishta nahin hazoor
                       main aaj apni zaat se ghabra k pee gaya
 
             duniya e hadsaat hai ik dard naak geet
                       duniya e hadsaat se ghabra k pee gaya
 
            kaante to khair kante hain un se gila hi kia
                        phoolon ki wardaat se ghabra k pee gaya

           saghar woh keh rahay thay k pee lijiye hazooor
                       un ki guzarishaat se ghabra k pee gaya

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
                  ~PARVEEN SHAKIR~
~Kariyaa-e Jaan Main Koi Phool Khilaane Aaye~

Kariyaa-e Jaan Main Koi Phool Khilaane Aaye
Wo Mere Dil Pe Naya Zakhm Lagaane Aaye

Mere Veeraan Darichon Main Bhi Khushboo Jaage
Wo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye

Us Se Ik Baar To Roothoon Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Wo Mujh Ko Manaane Aaye

Isi Kooche Main Kai Us K Shanaasaa Bhi To Hain

Wo Kisi Aur Se Milne K Bahaane Aaye

Ab Na Poochhon Gi Main Khoye Hue Khvabon Ka Pataa
Wo Agar Aaye To Kuchh Bhi Na Bataane Aaye

Zabt Ki Shahar-Panaahon Ki Mere Maalik Khair
Gham Ka Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye.


Edited by chandni00 - 10 years ago

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Sad Shayari Collection in Hindi सैड शायरी - Shayari Skill

pencil Nishant0123   stackexchange 0   eye 377

Nishant0123 0 377 5 months ago Nishant0123

Topic Info

6 Participants 191 Replies 32063Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by ..Zindagi..

loader
loader
up-open TOP