Beautiful Poetry Collection - Page 6

Posted: 10 years ago
~Nasir Kazmi Poetry~

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi

Ay Dil Kise Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab
Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi

Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi

Dil Ko Kahan Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab
Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi

Josh-e-Junoon Main Dard Ki Tugyaniyon K Saath
Ashkon Main Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi

Tere Qareeb Reh k Bhi Dil Mutmayin Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi

Kuch apna Hosh Tha Na Tumhara Khayaal Tha
Yun Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi

Ay Dost Ham Ne Tark-e-Muhabbat Ke Bawajood
Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

~AMJAD ISLAM AMJAD~

~Dilon se mehr-o-wafaa, aankh se hayaa nikle~

Dilon se mehr-o-wafaa, aankh se hayaa nikle,
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle,

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo'n ko,
Hum aik khawb mein doobey to jaa'bjaa* nikle,

Ajab nahin inhi dar'warsan main phool khilain,
Koi bahaar ka qaasid* idhar jo aa nikle,

Wohi falak* tha, wohi raat thi, wohi mausam,
Magar hamare sitare judaa judaa nikle,

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai,
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle,

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad,
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle..

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Ehsaan Danish~
~Kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar~

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Nasir Kazmi Poetry~

Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi
Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi

Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi

Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi

Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi

Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi

Yaad Aati Hai Door Ki Baatain
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi

Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi

Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

Khwaja Mir Dard Poetry

Na koi ilzaam, Na koi tanz, Na koi ruswai Mir,
din bohat hogaye yaron ne koi inayat nahi ki...

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

Ada Jafri Poetry

Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,
Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..


Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Iftikhar Arif Poetry~

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa'iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Faiz Ahmad Faiz Poetry~

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge

Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge

Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge

Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge

Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge

Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge

Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago
~Ehsaan Danish~
~Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise~

Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise
Sath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise

Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise

Ishq Ko Shirk Ke Had Tak Na Bada
Yun Na Mil Hum Se Khuda Ho Jaise

Maut Bhi Aayi To Is Naz Ke Sath
Mujhape Ehsaan Kiya Ho Jaise

Aise Anjan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise

Hichakiyan Raat Ko Aati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yaad Kiya Ho Jaise

Zindagi Bit Rahi Hai "Danish"
Ek Bejurm Saza Ho Jaise

Edited by chandni00 - 10 years ago
Posted: 10 years ago

EHSAAN DANISH

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k

Edited by chandni00 - 10 years ago

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Sad Shayari Collection in Hindi सैड शायरी - Shayari Skill

pencil Nishant0123   stackexchange 0   eye 371

Nishant0123 0 371 5 months ago Nishant0123

Topic Info

6 Participants 191 Replies 32052Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by ..Zindagi..

loader
loader
up-open TOP