Sher O Shayri

Ghazals Section

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago


~~This is collection of my most favourite ghazals lyrics of my favourite singers with possible video link..~~



1.Ghazal
Ghulam Ali Sahab
"Yeh dil yeh pagal dil mera"
poet: Mohsin Naqvi


ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

ik tu ke sadiyon se mere, Humraah bhi Humraz bhi
ik main ke tere naam se ...na aashna Aawargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

Ye dard ki tanhaiya,ye dasht ka viraan safar
Hum log to ukta gaye apni suna "AWARGI"

Kal raat tanha chand ko, dekha tha maine khwab me
Mohsin mujhe raas ayigi shayad sada "AWARGI"

Ye dil ye pagal dil mera,kyu bujh gaya "AWARGI"




Edited by chandni00 - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

8

Views

4793

Users

1

Frequent Posters

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
    2. Ghazal
   Gul bahar bano
 " Chahat mein kya duniyadari... "


Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori,

Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori,

Rokh Sakho To Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apney Hain
Wakht Parey To Yaad Ajati Hai Masnovi Majboori,

Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa
Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori,

Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Ney Sari Omer Nibhaye, Apni Pehli Majboori..

video link dailymotion:


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
       3. Ghazal
      Ghulam Ali Sahab
~" Kal chaudhvin ki raat thi "~

Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi


Hum bhi vahin maujood the - 2
Humse bhi sab poochha kiye
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe - 2
Manzoor tha parda tera


Kal chaudvin ki raat thi - 2

Is shaher mein kisse mile - 2
Humse to chhooti mehfilein
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le - 2
Har shaks deewana tera

Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi

Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar
Koonche ko tere chhodkar - 2
Jogi hi ban jaaye magar

Jungle tere, parbat tere - 2
Basti teri, sahera tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Bedard sunni ho to chal - 2
Kehta hai kya achchhi ghazal
Bedard sunni ho to chal

Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaan tera - 2
Shaayar tera, inshaa tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi


Kuch ne kaha yeh chaand hai - 2
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi - 2

lyrics frm : http://www.lyricstime.com





Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
      4. Ghazal
      Singer: Ghulam Ali
~"Dil mein ek laher si utthi hai abhi"~


Dil mein ek laher si utthi hai abhi
Koi taaza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil mein
koi deewar si giri hai abhi 
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nayi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

yaad ke be-nishaan jazeeron se
teri awaaz aa rahi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

shehar ki be-charaagh galiyon mein
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi


So gaye log us haveli ke
Ek khidki magar khuli hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi


Tum to yaaro abhi se uth baithe
Shahr mein raat jaagti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi


Vaqt achchha bhi aayega Nasir'
Gham na kar zindagi padi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

www.youtube.com/watch?v=VoAlBP16mG8



Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
5.Ghazal
~Mehdi Hassan~
~poetry : Ahmad Faraz~
~"Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa"~


ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa

pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

kuch to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

ek umr se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiden
ye aakhiri shammen bhi bujhane ke liye aa

mana ki muhabbat ka chipana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye aa



Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
6. Ghazal
~Mehdi Hassan~
~poet: parveen shakir~
~" Ku ba ku phail gai baat shanasai ki "~


ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
   7.Ghazal
~Mehdi Hassan~
~poet: Faiz Ahmad Faiz~


Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale


yey my 1000 post 🥳..i become goldie😆

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Edited by chandni00 - 10 years ago