MayUr FF - Tere Bin Jiya Jaaye Na LAST CHAPTERS Page - 137. - Page 87

Posted: 8 years ago
Originally posted by Faria.


both past and present part were awesome. past was very painful. and present is very interesting. I loved samrat today. he is really s nice guy. fantastic updates. waiting for next part.

thanks
Posted: 8 years ago
Originally posted by shafy_MN


great work of writing...
loved it

thanks
Posted: 8 years ago
very nice updates.
Bechara Mayank kitni hatred sehni pad rahi hai ose.
Samrat ne acha kiya jo apni authority use kr Mayank ko ghr mn rehny diya.
Jis din Pakhi maan jye gi os din Mayank jet jye ga.

Thnx for PM.
Posted: 8 years ago
Originally posted by LuvArTi4ever


Loved all the parts...
thanks
Posted: 8 years ago
sorryEdited by -Paulomi- - 8 years ago
Posted: 8 years ago
Originally posted by Irum.


very nice updates.
Bechara Mayank kitni hatred sehni pad rahi hai ose.
Samrat ne acha kiya jo apni authority use kr Mayank ko ghr mn rehny diya.
Jis din Pakhi maan jye gi os din Mayank jet jye ga.

Thnx for PM.
thanks
Posted: 8 years ago
CHAPTER - 33 , 34 , 35

CHAPTER - 36

[ Present ]

Mayank,at first didn't believe what Samrat had said but he knew that it was not that much of impossible and out of extreme anger,he broke the glass of drink in his hand.On seeing the blood oozing out of his hand,Samrat called Natasha and Nupur to help Mayank.Nupur and Natasha came running there in Mayank's room and then Nupur screamed out of horror and she quickly brought a first aid box and attended to his wounds.Samrat secretly signalled Natasha that they should leave and let both Mayank and Nupur spend some time alone.Nupur asked,"Ye sab kaise hua?Itna saara khoon beh chuka hai?Kya ho gaya?"Mayank only stared at her and didn't reply.She again asked,"Ab kuch bologe bhi kya hua?"He again didn't reply and she said,"Jab main tumse pehli baar mili thi tum tab bhi aise hi zidd karte the aur ab bhi bilkul aise hi ho."Mayank said,"Tumne mere liye itna kuch saha hai Nupur...abhi Samrat ne bataya hai mujhe sab kuch shaayad daadi ko bhi is baare mein kuch bhi nehi pata tha.Hai na?"Nupur replied,"Vo saari baate bohot puraani ho chuki hai Mayank.Main un sabko bohot peeche chor aayi hu.Meri zindagi mein ab in sab ke liye koi jagah nehi hai."Mayank said,"Par mere liye to shaayad jagah hai na?Mujhe daadi ne bataya Avinash uncle ne bataya ke tumne kis tarah se meri dekh bhaal ki hai.You loved me a lot.Hai na?Par main jab se yaha aaya hut um mere paas ek baar ke liye bhi nehi aayi."Nupur replied,"Karti thi nehi Mayank main abhi bhi sirf tumhi se pyar karti hu aur ye baat kehne mein mujhe koi sharam nehi hai.Par Mayank main tumhaare saath nehi aa sakti hu kyuki tumhaari family pehli baat mujhe kabhi bhi accept nehi karegi aur dusri baa tab meri zindagi mein sirf meri beti hai jo tumhe pasand nehi karti hai aur main tumhaari family ka hissa nehi banna chahti hu kyuki us parivaar ne mere saath jo kiya hai,vo main kabhi nehi bhul sakti hu aur main ye bhi nehi chahti hu ke meri vajah se tum apni family ko kho do."Mayank said,"Tum ye baat bohot achchi tarah se jaanti ho ke us ghar mein meri daadi ke alava koi mera apna nehi hai.Kya tum mujhe maaf nehi kar sakti?"Nupur replied,"Tum kyu maafi maang rahe ho Mayank??Tumne to koi  galti nehi ki hai.Par main tumhaare saath nehi reh sakti.Main maanti hu ke tumhaare bina rehne mein mujhe bohot taklif hoti hai aur hogi bhi par main nehi reh sakti hu tumhaare saath because I can't afford to loose Paakhi."Mayank replied,"Paakhi se main baat karunga.Usko main samjha dunga.You just..."Nupur sarcastically smiled and replied,"Tum Paakhi ko jaante ho?Uske nas nas mein tumhaare liye sirf nafrat hai aur uske sivaay kuch bhi nehi.Jab tum yaha the aur jab tumhaara accident hua tha tab Paakhi ne mujhe tumse milne tak nehi diya,she was so...Uske liye main uski ma hu aur Samrat uska dad and she is very happy with her family here Mayank.Please laut jaao yaha se."Mayank said,"I know Samrat is her dad and I completely have no issues with him but main ye chahta hu ke vo mujhe bhi apni life mein accept kare.I want her to call me dad too.Main uska baap hu aur ye sach koi nehi badal sakta hai.Main yaha tum dono ko le jaane aaya hu and main khud Paakhi se deal karunga.I just need some time with her.You know Suhaana sudhar gayi hai aur do mahine mein uski shaadi hai aur maine usko promise kiya hai ke shaadi mein hum sab rahenge.Daadi chahti hai ke vo apni bahu aur apni parpoti ka swaagat kare aur vo bhi puri reeti rivaaj ke saath.I can't break their hearts aur main chahta hu ke jo izzat tumhe us ghar mein nehi mili vo izzat tumhe us ghar mein miley,kamsekam ek baar ke liye hi sahi."Nupur replied,"Please Mayank meri zindagi ko aur complicated mat karo.Main bohot mushkil se sambhli hu,please.Chale jaao yaha se waapas India aur jaakar apni zindagi phir se shuru karo."Mayank replied,"Zindagi to zarur shuru hogi par vo tum dono ke saath hogi."Nupur just gave a look to him and then left from his room.

                                                                                               In the dinner table,when Paakhi saw Mayank,she pushed away the dish and said,"Mujhe nehi khaana hai."Samrat and Nupur exchanged looks and then Manju said,"Ha hum bhi nehi khaayenge."Natasha replied,"Thik hai aapka aur papa ka khaana main andar pohcha dungi but Paakhi tum kyu khaana nehi khaaogi?"Paakhi replied,"Mujhe bhukh nehi hai mom."Mayank understood that everything was happening because of him and so he said,"Thik hai main baad mein dinner kar lunga.You carry on!!"Samrat stopped him and then said,"Hamaare ghar mein sab khaana saath mein khaate hai.Tumhe kahi jaane ki zarurat nehi hai.Paakhi apna dinner khatam karo."She adamantly said,"Maine kaha na mujhe nehi khaana hai."Samrat,in a serious tone said,"Paakhi aajtak maine kabhi tumhe nehi daata hai aur naahi kabhi tumpar gussa kiya hai,lekin agar abhi tumne sabke saath beth kar dinner nehi kiya to main sach mein bohot gussa karunga."Mayank replied,"Samrat please!!Meri vajah se usko daatne ki kya zarurat hai?Rehne do na main plate apne kamre mein lekar chala jaata hu."Samrat said,"No Mayank you're not going anywhere.You need help!!Apne haath ke taraf dekho kitni chot aayi hai tumhe."Paakhi looked at Mayank's hand and then Samrat said,"Nupur was right main bachcho ko bohot spoil karta hu jiske vajah se vo aaj meri baat tak nehi sunte hai.Aaj agar Paakhi yaha se uth kar gayi to main aaj ke baad uski koi wish puri nehi karunga."Paakhi was badly hurt since Samrat never behaved with her like that before and the worst thing for her was that he was doing that for Mayank.Paakhi threw the dish on the floor and yelled at Mayank,"Ye sab aapke vajah se ho raha hai.Achcha hota aap yaha aate hi nehi.For the first time,my dad shouted on me and all because of you.I hate you!!"Saying she left from there crying.

                                                                                                Aditya went to Paakhi's room to talk to her and Paakhi said,"I won't have my dinner."Aditya replied,"Ok don't!!But you know Mayank uncle and Nupur bua dono ne dinner nehi kiya.Mayank uncle ne tere vajah se dinner nehi kiya aur bua ne tum dono ke vajah se.Please aisa mat kar na!!Yaad hai bua kya kehti hai ke guests God hote hai aur unke saath kabhi aise nehi karna chahiye.Its bad!!"Paakhi said,"Jabtak Mayank Saluja yaha se chale nehi jaate hai main khaana nehi khaaungi."Aditya nodded her head in disappointment seeing Paakhi's attitude and he said,"You know Paakhi you are really very selfish.Bua tere liye kitna karti hai,par tu bua ke liye kuch nehi kar sakti.Tujhe pata hai bua Mayank uncle se baat tak nehi karti hai taaki tujhe bura na lage tujhe gussa na aaye aur tu hai ke...Pata hai aaj Mayank uncle ke haatho mein chot aayi aur Natasha bua ne kaha ke unke haatho se itna saara khoon bhi beh raha raha tha tune unhe khaana tak nehi khaane diya.Itna bura behave koi kisi ke saath nehi karta hai aur isiliye Samrat uncle tujhpar gussa hai."Paakhi asked,"Sach mein mom Mayank Saluja se baat nehi karti hai?"Aditya nodded his head.Paakhi came out of her room and went to Nupur and said,"Mom chalo hum dinner karte hai saath mein.Mujhe bohot bhukh lagi hai."Nupur replied,"Tumhaare dad ne khaana nehi khaaya hai aur tumne jo hamaare guest ke saath behave kiya hai na thats really rude.Pata hai unke khud ke ghar mein bhi unse koi pyar nehi karta sivaay unki daadi ke."Paakhi was curious and asked,"Kyu nehi karta??Unke paas mom nehi hai?"Nupur replied,"Vo jab chote the na to unki mom God ke paas chali gayi aur unki step mom unse bilkul bhi pyar nehi karti hai."Paakhi somewhwre felt very pity for her father and said,"To aapne pehle kyu nehi bataya?Chalo Mayank Saluja ko khaana serve karo aur phir hamaara khaana bhi serve karo aur phir jaakar unse kaho dinner karne ke liye."Nupur replied,"Main kyu kahu vo tumhaari vajah se dinner chor kar gaye hai.Tum jaakar apne dad ko manaao,main nehi jaaungi."Paakhi made a disturbing face and said,"Ok I'll go but don't call him my dad."Nupur nodded her head and then Paakhi left for Mayank's room and Nupur said,"Paagal bilkul apne baap par gayi hai.Jab main Mayank se mili vo bhi bilkul aisa hi tha."She too left to serve dinner.

                                                                                             Paakhi knocked into Mayank's room and he was surprised to see her in his room.She straight away said,"Main yaha aapko bulaane aayi hu,kyuki aapne meri vajah se khaana nehi khaaya and mom says aisa karne se guests ki insult hoti hai aur meri mom ne bhi nehi khaaya hai so mom ke liye aapko bulaane aayi hu."Mayank asked,"Uh...tumne khaana khaaya?"She replied,"Main mom ke saath kha lungi."Mayank was about to get up but due to the bandage in his hand,he could not pressurize that hand and he was about to slip but Paakhi caught hold of him and then helped him to stand and then said,"Mom ne kaha aapki mom nehi hai step mom hai.Kya aapke dad bhi nehi hai?"Mayank replied,"Dad hai par unke paas mere liye time nehi hai.Mujhe apne ghar mein koi pyar nehi karta sivaay meri daadi aur abhi tumhaari bua ke.Pehle tumhaari mom thi par ab to vo mere saath nehi rehti."Paakhi replied,"Mere dad mujhse bohot pyar karte hai.Mom kehti hai ke jab main baby thi na tab mom office sambhaalti thi aur dad mere paas rehte the."Mayank smiled and replied,"Main bhi tumse bohot pyar karta hu Paakhi but its just that jab tumhe meri zarurat thi tab main nehi tha."Paakhi replied,"But I don't need you.Please go away from here!!"Mayank followed her out and they went to the dining hall.Nupur had served dinner for three of them.Nupur sat on a chair and Paakhi and Mayank sat on right and left side of her facing each other.Nupur said,"Aaj paneer bana hai tum dono ka favourate."Paakhi and Mayank both said together,"Paalak paneer!!"Paakhi then gave an angry look to Mayank and he smiled and while they were eating,both were having the paalak paneer in the smiliar way by licking their fingers and Nupur was sitting and enjoying them.Mayank asked,"Nupur tum has kyu rahi ho?"She replied,"Dekh rahi hu ke beti chaahe apne baap se kitna hi naraaz kyu na ho lekin usey jo cheeze apne dad se viraasat mein mili hai usko to nehi chor paayi."Paakhi asked,"Kya matlab?"Nupur replied,"Apni ungliyo ko dekho dono,paalak paneer dono bilkul ek jaise khaate ho ungliya chaat kar.Ab beti se to baap ko aadate milti nehi hai,so..."Paakhi angrily replied,"Main aaj ke baad paalak paneer kabhi nehi khaaungi."Nupur replied,"Aur vo jo haste time,gaalo mein gadhdhe parte hai aur phir mushroom se allergy vo sab..."Paakhi understood that Nupur was deliberately teasing her and so she angrily said,"Main chali jaaungi mom."Mayank replied,"Ya Nupur you should not tease her."Nupur laughed and they completed their dinner.

Posted: 8 years ago

CHAPTER - 37

[ Past ]

Few days passed by and Nupur was getting into more and more depression day by day.She didn't had her food properly and was very sick and she even started having morning sickness.One day,Shashi went to the market and after returning,he seemed to be very upset and was appearing as if he was dragging himself upto his house.Ratna came to him and asked,"Bhaiya kya hua hai aapko?"Shashi dashed on the floor and everyone came running  to his aid and then helped to get him up and made him sit on the sofa.Gunjan brought water for him and asked,"Kya hua Bauji aapko?Tabiyat kharaab lag rahi hai?Doctor ko bulaau?"Shashi replied,"Teri behen ne hume kahi ka nehi chora.Kitna guroor tha mujhe apni beti par ke usne beti hokar bhi bete ka kaam kiya hai aur hum sabko barbaad hone se bachaaya hai par nehi main galat tha.Hume thore din ki khushiya dekar usne hamaari saari khushiya cheen li aur mujhe to zindagi dekar isne maut de di."Nupur was shocked on hearing all these and asked,"Bauji ye aap kya bol rahe hai?"Shashi got up from his seat and then walked upto her and then slapped her hard on her face and said,"Mat bol mujhe Bauji.Tune hamaari zindagi par,meri parvarish par jo kaalik poti hai vo to tere marne ke baad bhi kabhi nehi dhulegi."Gunjan asked,"Bauji aap khaamakha mein di par ilzaam laga rahe ho.Aakhir kiya kya hai inhone zara hume bhi to bataiye?"Shashi replied,"Teri behen gandi picture mein kaam karti hai,sare bazaar uski aur apni izzat ki nilaami dekh kar aa raha hu main.Aaj jab bazaar gaya to log mujhe is tarah se dekh rahe the jaise ke main koi gandi naali ka keeda hu.Unhone hi mujhe video dikhaayi hai teri behen ki jisme vo...Sabne pata hai is besharam ko kya kaha???Dhandewaali!!Mumbai mein jaakar dhanda karti thi ye."It appeared as if a flash of thunder fall on Nupur's head and she screamed,"Nehi ye sab jhut hai!!Maine aisa koi kaam nehi kiya hai jisse ke aap sabki badnaami ho.Mujhpar bharosa karo Bauji."Shashi replied,"Agar koi dusra mujhse aakar aisi baat kehta to shaayad main yakeen nehi karta lekin apni aakho dekhi baat ko main kaise yakeen na karu."Just at that moment,a neighbour woman came with her son and said,"Chee!!Chee!!Chee!!Kaisa zamaana aa gaya hai.Aajkal bhale aur achche ghar ki larkiya kaisi kaisi harkate karke apna muh kala karti hai.Arey hamaare moholle mein aisi ghatiya aur besharam larki rahegi to hamaare bachcho par iska kya asar parega?Arey kartoot iski aur hamaara ghar se nikalna mushkil ho gaya hai."Gunjan was always very short-tempered kind of girl and she asked,"Achcha aunty ek baat bataiye aapko is video ke baare mein kisne bataya?"The lady replied,"Ye mere bete ne."Gunjan replied,"Oh!!To matlab aapka beta blue film dekhta hai?Bajaaye iske ke aap apne bete ko uye sab dekhne se rokey aap humpar ilzaam lagaane chali aayi?Aapke bete jaise ghatiya kisam ke larko ke ghatiya entertainment ke vajah se hi aisi videos banti hai.Aap mere ghar mein ghus kar meri behen ko anaab shanaab bolti hai par aapka jo ye beta blue film dekhta hai,aapko isse koi fark nehi parta?"The lady realized the truth of Gunjan's words but still instead of scolding her son she was again about to disrespect Nupur but Gunjan replied,"Abhi agar meri behen ke baare mein ek bhi shabd ulta seedha bola na to main aapke bete ke khilaaf police mein complaint karungi ke ye khud bhi blue film dekhta hai aur dikhaata bhi hai.Phir main dekhti hu ke aapki izzat kaha jaati hai aur aisa haal karungi na,ghar to choro,bathroom se nikalna mushkil ho jaayega.Abhi niklo yaha se!!Just get lost!!"The lady made a face and then left from there with her son.

                                                                                               Nupur couldn't take this insult anymore and ran to her bedroom and Gunjan too ran behind her.Nupur threw herself on the bed and Gunjan tried to comfort her and said,"Di aap inke baato par bilkul bhi dhyaan mat de,in logo ka to kaam hi yehi hai.Par ek baat batao aapne Mumbai mein kaam kya kiya hai?"Nupur looked at Gunjan with a jerk and then said,"Gunjan tu..."Gunjan replied,"Nehi di main aap par shaq nehi kar rahi hu par kuch to aisa hua hai na Mumbai mein jiske vajah se ye sab kuch ho raha hai.Main vohi sab to janna chahti hu."Just at that moment,Nupur started feeling sick and she immediately went to the washroom and threw out.After she came out,Gunjan asked,"Di kya baat hai aap kya kar rahi hai?Kya hua hai aapko?"Nupur stammered,"Vo...vo...vo main...vo..."Gunjan grabbed her arms and asked,"Di sach kya hai mujhe saaf saaf batao?"Nupur broke down and replied,"Main pregnant hu."That was the least thing expected by Gunjan from Nupur and she asked,"What???Kya bakwaas kar rahi hai aap?"She shook Nupur and asked,"Kaise hua ye sab?"One thing they didn't know that Ratna was listening to them from outside and she screamed,"Kya???Nupur ma banne waali hai??"Nupur was damn scared on seeing Ratna and she without spending any more word pulled Nupur by her hand and dragged her out of her room to the hall and said to everyone,"Humne kisiki bhi baato par bharosa nehi kiya hai.Par ye larki to sachchi mein apna muh kaala karke hi aayi hai.Ye bin bihaayi ma banne waali hai."Ratna started slapping Nupur and asked,"Bata kaha muh kaala kiya tune apna??Bata??"Nupur could not even talk properly and Gunjan was screaming,"Bui ye kya kar rahi hai aap??Usko lag jaayegi...Bui please choriye usko."Shashi said,"Mujhe zeher dedo koi.Mujhe zeher laakar dedo,main mar jaana chahta hu."Nupur begged and said,"Mera yakeen karo,maine aisa kuch nehi kiya hai..."Ratna yelled,"Arey kispar bharosa kare hum...Tujhpar???Bata Mumbai jaakar tune kya kiya hai?"She pushed Nupur with a force and she was about to trip on the ground but someone held her tightly.Nupur looked at the person and he was Samrat who had just returned from US after completing his MBA.He asked,"Ye sab kya ho raha hai ghar mein koi mujhe bataayega?Aur...aur aap sab Nupur ko aise maar kyu rahe hai?Kya kiya hai isne?"Ratna replied,"Isise hi pucho Samrat beta ke kya kiya hai isne?Is larki ne to hume kahi muh dikhaane laayak nehi chora hai.Iski video ban gayi aur ab ye kehti hai ke ye ma banne waali hai."Samrat was shocked and asked,"Nupsie ye sab kya hai??Sach sach bata hua kya hai?"Nupur replied,"Maine koi galat kaam nehi kiya hai Samrat main sach kehti hu,main apne bachche ki kasam kha kar kehti hu."Ratna said,"Bachcha nehi naajayaz bachcha bol."Nupur was tolerating everything but she couldn't tolerate those words for her unborn child and she yelled,"Naajayaaz nehi hai mera bachcha.Maine iske pita se shaadi ki hai."That revealation shocked everyone to the hell.Samrat took her and made her seat down and Gunjan gave her a glass of water and then he said,"Nupsie main tera dost hu na??Tu mujhe apni saari baate bataati hai na.Bol na kya hua hai.Please bata mujhe."Nupur drank some water and then told them everything that happened with her in Samrat's absence and Shashi was shocked on getting to know the truth.Nupur said,"Mera paas uswaqt aur koi raasta nehi tha sivaay iske ke main apne boss ki baat maan jaau aur Mayank se shaadi karlu."Gunjan asked,"To iska matlab hai ke jab usdin Mayank ne tujhe phone kiya tab vo sach bol raha tha?"Nupur nodded her head and then Samrat said,"I literally never expected this from you Nupsie.Itna sab kuch ho gaya aur tune mujhe ek baar bhi ye sab bataana zaruri nehi samjha.Paiso ki problem thi to ek baar bol to sakti thi mujhe tu?"Nupur replied,"Main jaanti thi ke Bauji ki bimaari ke baare mein sunkar tum waha se waapas aa jaaoge aur isiliye maine tumhe kuch nehi bataya Samrat,par main sach kehti hu main apne husband se bohot pyar karti hu aur ye bachcha usika hai."Samrat said,"Thik hai to main Mumbai jaakar Mayank se baat karta hu,vo to abhi thik ho gaya hai."Nupur said,"Nehi Samrat doctors ne kaha hai ke agar Mayank ko zabardasti se kuch bhi yaad dilaya gaya to uske liye jaanleva bhi ho sakta hai aur phir waha mujhe itni beizzati mili hai ke main waha waapas nehi jaaungi."Ratna said,"Agar unhe nehi batay to kaise chalega?Aise hum Nupur ko bin bihaaye ma banaakar ghar par to nehi bitha sakte hai na?"Nupur replied,"Main ye ghar chor kar kahi dur chali jaaungi,taaki aap sabko meri vajah se koi beizzati na sehni pare."Samrat said,"Itni manmaani karne ke baad bhi tera dil nehi bhara?Abhi tujhe dubaara se tyaag ki devi banne ki koi zarurat nehi hai."Shashi replied,"Ye sab dekhne se pehle main mar jaata to hi achcha tha."Samrat disappointedly nodded his head and said,"Hadh hoti hai har baat ki uncle!!Ek to aapki beti ne is ghar ko bachaane ke liye,aapko bachaane ke liye apni zindagi  barbaad kardi aur bajaaye iske ke aap sab uska is mushkil ghari mein saath de,usko shraap de rahe ho?"Shashi replied,"Ye duniya itni asaan nehi hoti hai beta.Ab bina shaadi kiye jo larki ma banti hai uske liye ye duniya jahannum hai.Iski izzat ki to vaise bhi dhajjiya ur chuki hai aur ab Gunjan bhi to hai,uski bhi to hume shaadi karni paregi.Agar Nupur ke baare mein sabko pata chala to kaun karega Gunjan se shaadi?"Samrat and Gunjan looked at each other and then Shashi said,"Iska ab ek hi raasta hai."Samrat asked,"Kaisa raasta?"He replied,"Kisi hospital mein jaakar..."Nupur trembled with fear and replied,"Aap mujhe apne bachche ko maarne ke liye keh rahe hai Bauji??Main mar jaaungi par apne bachche ko hargiz nehi maarungi."Shashi said,"To mujhe zeher de de."Ratna said,"Iska ek aur raasta bhi hai.Main jaanti hu ke Samrat aur Nupur ne ek dusre se shaadi karne se inkaar kar diya hai,par agar Nupur ko is beizzati se koi bacha sakta hai to vo hai sirf Samrat.Samrat beta shaadi karle Nupur se aur is bachche ko apna naam de de."The glass of water fall down from Gunjan's hand on hearing about the proposal from Ratna but Samrat said,"Main nehi shaadi karunga Nupur se,hargiz nehi aur kyu karu shaadi??Nupur to shaadishuda hai.Bhale hi usne contract sign kiya ho par unka divorce nehi hua hai aur na to main Nupur se pyar karta hu aur naahi vo mujhse aur vaise bhi Nupur ne Mayank se shaadi ki hai aur ye bachcha unka jaayaz bachcha hai.Is bachche ko usike baap ka naam milega aur rahi baat meri to..."He looked at Gunjan and said,"Main Gunjan se pyar karta hu aur main usise shaadi karunga.Is bachche ko ma baap dono ka pyar milega lekin naam usey Mayank Sharma ka hi milega."Shashi and the whole family was shocked on knowing that Samrat loved Gunjan.Ratna asked,"Tu Gunjan se pyar karta hai?"Shashi said,"Ye sab kaise hoga abhi abhi Nupur ne hi to kaha hai na ke vo waha nehi jaayegi aur tum dono to shaadi karke chale jaaoge to Nupur ka kya hoga?"Samrat replied,"Aap log mujhe kuch dino ki mohlat dijiye.Main kuch karta hu par ha Nupur ke abortion ke baare mein koi sochega bhi nehi.Ye samajh lijiye ke ye mera bachcha hai aur agar mere bachche ke taraf aakh uthaakar kisine dekha bhi to mujhse bura koi nehi hoga."He then asked Nupur,"Nupsie mujhe apni baby ka dad banne degi na?"Nupur smiled and nodded her head and Gunjan said,"Main bhi to mom banungi na."Samrat smiled and left from there.

Posted: 8 years ago

CHAPTER - 38

[ Present ]

Nupur was patting Paakhi to her sleep and Paakhi said,"Mom Iam not liking his stay in here.When is Mayank Sharma leaving?"Nupur replied,"Mujhe nehi pata hai Paakhi chupchap so jaao.Mujhe bohot neend aa rahi hai.Unki jab marzi hogi vo chale jaayenge."Paakhi replied,"Dad ko bolo unko ghar se nikaal dene ke liye.Mujhe pasand nehi hai ye sab."Nupur said,"Mujhe bhi nehi pasand tumhaare roz roz ki ye saari baate."Paakhi got up and said,"Mujhe pata hai aap Mayank Sharma ko mujhse zyaada pyar karti hai.Aap chali jaao yaha se mujhe aapse koi baat nehi karni hai.Main apne dad ke paas rahungi."Nupur too was fed up and said,"Jo karna hai karo mujhe ab is baare mein aur koi baat nehi karni hai."Saying she left from there.After coming outside,she found Mayank standing and she asked,"Tum abhitak soye nehi?"He replied,"Vo daadi ko phone karna tha aur room mein network nehi mil raha tha to bahaar aa gaya.Vaise ek sawaal puchu main tumse?"Nupur nodded her head and then he asked,"Kya tum mujhe yaha dekh kar khush nehi ho?"Nupur's heart sank thinking what should she give as reply to him and she said in her mind,"Main itni majboor hu ke main...Main to tumse ye tak nehi keh sakti hu ke maine kis shiddat se tumhaara intezaar kiya hai aur aaj tum mere saamne ho par phir bhi main tumhaare paas nehi aa sakti hu."She said,"Kabhi kabhi hume dusro ke liye apni feelings ko chupaani parti hai Mayank,kyuki hum itne majboor ho jaate hai ke hamaare liye kuch cheeze chahkar bhi karna mushkil ho jaata hai."She looked at Mayank and said,"Tum jaakar so jaao Mayank raat bohot ho chuki hai."Nupur left from there to her room.

                                                                                            Next day,while having breakfast,Panchi said to Samrat,"Dad aapne itne days se hume koi bhi naya video game laakar nehi diya hai.Saare puraane ho gaye hai."Gunjan asked,"Kyu abhi peechle mahine hi to laakar diya tha?"Panchi widened her eyes and said,"Laast month???Usme to 30 days the,vo to khatam ho gaye abhi hume ek naya video game chahiye."Paakhi said,"No!!Aajkal ke video games na,they are not even worth it!!You know wahi gheese peete games,mujhe achche nehi lagte.Mujhe pata hai kaisa video game chahiye jisme mission game ho bohot saare guns use hote ho aur vo bhi latest aur sophisticated.Har mission thrilling aur last mein villain ke saath hero ka ek hand to hand combat ho aur jisme villain bhi takkar ka ho.That'll be cool na!!"Mayank praised Paakhi and said,"Wow!!Thats amazing!!Maine to aise is baare mein kabhi socha hi nehi!!"Panchi asked,"Can I call you dad too Mayank uncle?"Mayank replied,"Ya of course why not?"Panchi asked,"Mayank dad will you bring that video game for us?"Mayank smiled at her and replied,"Agar mujhe mila to main zarur lekar aaunga."Paakhi made a face and said,"Aapko laane ki koi zarurat nehi hai,hamaare dad hume laakar denge."Everytime,Paakhi insulted her and Panchi never said her anything but that day,she protested and asked,"Paakhi di aap hamesha Mayank dad ki is tarah se insult kyu karti ho?"Paakhi replied,"Mujhe vo achche nehi lagte hai and no need to call him dad."Panchi replied,"Kyu??Aap bhi to mere dad ko dad bolti ho,main to kuch nehi kehti hu.Phir main Mayank dad ko dad kyu nehi bol sakti?Meri mom,Nupur mom aur dad bhi kehte hai ke Mayank dad aapke real dad hai aur vo bohot achche hai aur kal pata hai unhone mera ek sum bhi solve karke diya.Vo sachchi mein bohot achche hai."Gunjan,Nupur and Samrat smiled looking at each other.Paakhi said,"Main Samrat dad ko dad isliye bulaati hu kyuki main tujhse pehle aayi hu aur tu baad mein.Isliye vo pehle mere dad hai,baad mein tere."Panchi replied,"Ok to phir Mayank dad bhi aaj se mere dad pehle hai kyuki maine pehle unko dad bola hai aur jab aap unhe dad bulaaogi tabse vo aapke dad banenge and I won't be jealous."Paakhi angrily gazed at Mayank and then had her breakfast.After the kids left for school,Samrat said,"Ab Panchi ne tumhe accept kar liya hai na Mayank dekh lena Paakhi bhi kar legi.By the way tumhe ek bohot hi important baat bataani hai,agle mahine Paakhi ka birthday hai."Mayank was very excited and said,"Thats amazing!!Thanks.Mere saath uska ye pehla birthday hai.Dekh lena main uske liye uska ye birthday bohot hi special banaaunga."Saying he left from there for his office.

                                                                                            Few days later,one day,in the school,Aditya's classmate,Jason was showing everyone his new video game and was boasting that his father brought the latest video game for him.When Paakhi,Panchi and Aditya were getting inside the school,he started teasing them.Since Mayank came in their home,Paakhi was very upset and all her anger got ingnited to see Jason's antics and so she went to him and said,"Wow Jason!!Thats so cool!!Can I see it?"Jason gave that to her and she broke it by thrashing it into the ground and then said,"Ooops!!Sorry may bad!!Haww it broke Jason...Tell your dad to buy you another one."She then grinned,"Next time,don't bring your video game in school and if ever you bring don't boast of it and if ever by mistake you boast of it,never ever ever in your whole damn life commit the mistake of teasing us because if you did,next time it would be your face instead of your video game.Do you get that??I think you did."Paakhi started walking towards her cousins and Jason was about to follow her to hit her at that moment the school bell rang and all the students entered inside.After the school,Jason and his gang surrounded Paakhi,Panchi and Aditya and Panchi was very scared and she said,"Adi bhaiya,Paakhi di mujhe dar lag raha hai.Kahi unhone hume maara to?"Paakhi replied,"Maar kar to dikhaaye,muh na tod dungi main uska."Out of anger and to save Panchi,Paakhi hit Jason and Aditya too had a fight with them and at last when she realized that they really were outnumbered,Paakhi threw sands on their faces and beat them.The principal saw them fighting and stopped them and asked her assistant to call their parents.

                                                                                               "Panchi meri jaan tumhe lagi to nehi na baba?"Nupur asked her making her sit in her lap at home.Panchi replied,"No mom di ne aur bhaiya ne mujhe cover karke rakkha tha,mujhe unhone kuch bhi nehi hone diya."Nupur checked her and then glared at Paakhi whom Gunjan was treating and was applying medicines on her wounds.Just at that moment,Samrat and Mayank returned from their offices and on seeing them,Nupur said,"Welcome home!!Aakar dekho tumhaari beti ne kya kaarnaama kiya hai."Samrat and Mayank looked at Paakhi and found her getting hurt.Both were worried and looked at each other and Mayank went to Paakhi and asked,"Paakhi beta ye kaise hua?"She pushed his hands and said,"Stay away from me!!"Samrat held her and asked,"Meri jaan kaise hua ye sab?"Nupur said,"Isne aur Adi ne school mein maar pitaai ki hai aur isne ek larke ka video game bhi tod diya.Just imagine ab ye school mein jaakar gundagardi karti hai."Samrat asked,"Paakhi tell me what exactly happened?"Paakhi replied,"Dad that Jason,he always boasts of his video games.Vo hamesha hume chiraata rehta hai ke market mein jo video game pehle aati hai uske papa hamesha vo video game first piece uske ghar mein aati hai.Hamesha vo hamaari taang khichta hai,isliye mujhe gussa aa gaya aur maine uski video game tod di phir na school ke baad,uske aur uske friends ne mujhe gher liya aur maine aur ad ne Panchi ko bachaane ke liye uske saath fight kiya.I swear dad I didn't want to fight with him,but hume Panchi ko protect karna tha.Bachpan mein aap aur mamu bhi to moms ko protect karne ke liye sabse larte the na?Maine bhi to vohi kiya hai."Samrat hugged her and said,"I know meri baby kabhi koi galat kaam nehi kar sakti."Nupur said,"Just listen to her both of you!!Agar isey aur Adi ko lag jaati to?Kuch bhi ho sakta tha.Tumhe zarurat kyat hi uska video game todne ki?Dad laakar nehi dete hai kya tumhe?"Paakhi replied,"I don't have any problem with anything mom.But why he always teases us?Mujhe aaj gussa aa gaya."Mayank asked,"Tumne exactly usko kaha maara hai?"Paakhi replied,"Maine uske face mein aur pet mein punch kiya and Iam telling you mom agar aaj Panchi ko thori si bhi lag jaati na,to aise paper ki tarah phaad deti main usko.Main Indian hu Indian aur Indians ke punch mein na bohot dam hota hai.Right dad?"Mayank,out of excitement said,"Bravo!!Thats like a Sharma!!"Nupur folded her arms and glared at Mayank.He immediately changed the tune of his voice and said,"Maar pitaai to school mein aam baat hai.Maine bhi ki hai,Akshay ne bhi ki hai aur Dhruv ne.Suhaana ko nehi karna para kyuki Akshay aur Dhruv uske saath the.School mein...to maar pit ho hi jaati hai and main ye keh raha tha ke isme Paakhi ki koi galti nehi hai,she is just maintaining family tradition.Just like that!!"Samrat and Gunjan started giggling and Paakhi to chuckled out by mistake.Nupur just nodded her head disappointedly and said,"Wow!!What a family tradition!!Mujhe nehi pata tha ke tum apne school college mein boxer the."Mayank said,"Dekho Nupur I can understand usne galti ki hai but maar pit usne apni behen ke liye kiya and uske jagah par agar main bhi hota to main bhi yehi karta.After all she is a punjabi!!"Samrat agreed with him and Nupur said,"Main kisse baate kar rahi hu?Jaha khud bachcho ke baap hi unhe bigaarne par tule huye ho aise mein koi chahe bhi to bachcho ko sudhaar nehi sakta hai.Iam out of it!!Jo marzi mein aaye karo."Saying she left from there.

                                                                                              Mayank went to the kids' room and then found Panchi doing her homework and Paakhi sitting angrily.He knew that if he attempts to talk with Paakhi,she would be angry.So he decided to talk with Paakhi through Panchi.He came to Panchi in her bed and asked,"Kya kar rahi ho Panchi?"She replied,"Main homework kar rahi hu dad."Mayank replied,"You know Panchi jab main school mein tha na tab aise kuch students mujhe bhi bohot pareshaan karte the.But tumhaare paas to Paakhi didi hai,Adi bhaiya hai,mere paas koi bhi nehi tha."Panchi widened her eyes and then asked,"Aapke brothers aur sisters jo the vo bhi nehi aaye?"He replied,"Arey vo to chote the na.Main sabse bara tha aur vo to itne chote the ke school mein bhi nehi aate the."Panchi was really very worried for Mayank and she asked,"To aap apne aap ko protect kaise karte the?"He said,"Main khud karta tha,par pehle maar pitaai nehi karta tha.You know main kya karta tha?Main ek bare se paper mein KICK  ME' likh kar jo larka mujhe pareshaan karta tha na school mein,vo main uske peeche laga deta tha aur sab usko pareshan karte the aur koi mujhe aajtak pakar nehi paaya."Panchi was very impressed and said,"Wow dad aap kitne intelligent ho."With Panchi,Paakhi too was listening to him but was behaving as if she was thinking about something else.Panchi said to Paakhi,"Hume bhi na dad ke tarah Jason ke peeche paper laga dena chahiye."Paakhi replied,"Aur phir mom ko pata chalega aur vo tujhe to kuch nehi kahegi,but she will shout at me."Mayank said to Panchi,"Apni di ko bolo ke mom to tab daategi na jab mom ko pata chalega.Vaise bhi kal mom aur dad Manhattan ja rahe hai meeting ke liye."Paakhi sat straight and then turned to look at Mayank.She came to Mayank and then asked,"Aap mujhe ye kaam karne ke liye instigate kar rahe ho?"Mayank smiled and replied,"No I just want you to make him realize who you are without showing up and to teach him a lesson so that he doesn't bother you again.You know kabhi kabhi bari bari problems ko rokne ke liye aisi choti choti harkate karni parti hai."He got up and then was about to leave when Paakhi asked,"You think it will work?"Mayank replied,"I don't think but I know aur main jaanta hu ke you will smartly carry out this."Saying he left.In the door,he found Nupur standing and she asked,"Kyu aisi ulti seedhi patti para rahe ho usko?"He replied,"Kyuki Samrat bichaara tum dono aurto se pareshaan hai aur sab agar sudhaarne par lag gaye to bigaarega kaun?Aur main to bas apni beti ke kareeb jaane ki koshish kar raha hu varna mujhe to meri biwi bhi nehi milegi."Nupur lowered her head and Mayank left for his room.

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

52 Participants 956 Replies 83428Views

Topic started by -Paulomi-

Last replied by Twinkle_alisha

loader
loader
up-open TOP