Phir Subah Hogi

FF ..restart of new beginning UPDATED page no 12 - Page 10

Created

Last reply

Replies

94

Views

9360

Users

6

Likes

71

Frequent Posters

Vinnie79 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Hello  Mansi  ,  nice  progress...good to  know  that   She  now knows  he is  not married,
Preety  has  a point  Mahlhaar  is  going  off people will start  talking. 
  Hopefully  soon you  will let us know what vickram thinks  about all this  now  that he  has a idea  about  what is  happening here.
  Overall great progress.  keep it  up!!!
croziaxx thumbnail
Posted: 9 years ago
hi girls ! how r u ? 😃
 naaa !!!!!!!!!!  i m not here to post my new chapter... 😆 i m writing now , half has completed... and i want some more time to complete this...this time i don't want to leave it incomplete..or in the half way.. so very soon... 
and  vinnie ..this is only because of u.. i have  still desire to complete it otherwise ..i would have left it till yet... so special thanks to u 😳     so my dear friends please keep lil waiting  ( 3-4 din) and give me some courage ... 
love u all.. 🤗
Edited by croziaxx - 9 years ago
croziaxx thumbnail
Posted: 9 years ago
 hello girls !!!! 
 i m here..with my new chapter i know its too late but i m sorry for that... as i said this time i don't want to leave this story in mid ...so please support me ..i will do this definitely ..
 love u all ...






                             Chapter-16  

ek hafte bad rajeev aur family wapas aa gayi thi ,vikraam office ke kisi kaam se bahar gya tha...ghar me sirf hari kaka the, unhi se sumi  ko sab maloom chala , baki bcha huaa, Rajeev ne mr. saxena se pooch liya.. to jab vikraam aaya to sabse pahele rajeev ne  usaki class lga di...
V"this is not fair,mai abhi aaya hoo aur aap  mujhe gher kar bath gye.. kal baat karenge na.. aaram se, aaj to aap sab bhi thak kar aaye hai... ( usane bachane ki koshish ki)..
R - aaram ? humare bagair  tumane itane din aaram hi to kiya hai..jee nahi bhara abhi tumhara ?
V - wo to mera accident ho gya tha..thats why ..mujhe majburi me aaram karana padh.. warna aap to jante hai..ki mujhe aaram pasand nahi hai..
R - aaisi bhi kya majburi thi ki tumane hume  ek phone bhi nahi kiya,..i know tum hume preshan nahi krana nahi chahte the, the great vikram thakur..
V --   aaisa nahi hai,aap janate hai, aapne hi mujhe bataya tha ki aap sab "vaisno devi" jaa rahe hai..ab agar mai aaise samay aapko btata ..to aap sab chodh- chadh kar chale aate..aur phir aapke bhai sahib ko pta chal jata..
R - tum jante ho vikram ki tumhara excuse kitana bakwas hai, mai manage kar sakta tha... tumane mujhe bhut hurt kiy hai vikraam..  tumane mujhe eahsas dilaya hai ki hum tumhare apne nahi hai..
V - no bhaiya.! Please aaisa mat khiye ..aap janate hai aaisa nahi hai.. I m sorry ! please , please mujhe maf kar dijiye..
R - kaise ? jo tumane kiya hai wahi mai kart to tum mujhe maaf kar dete?
V - look ..i said sorry naa... ok aage se mai aaisa kabhi nahi krunga... I promise.. (vikram ko andnja nahi tha ki Rajeev itana jyada bura maan jayega)..
( andar vikraam aur Rajeev aapas me apni bate suljhane rahe the, aur idhar bahar kitchen me sumi kanhi aur khoi hui thi.. hari kaka ne use malhar ke bare me sab kuch bta diya tha,  tabase lagatar wo usi ke bare me soch rahi thi,... par ab uase ye samjh me nahi aa rha tha.. ki wo ab vikraam se is bare me baat kare ya nahi...
 
Kuch der baad dianig table par sab maujood the, likely vikraam aur raj ke beech sab kuch narmal ho chukka tha )
 V - bhabhi ! aaj khana bhut accha bna hai koi khas baat..? ( vikraam ne mahaul normal karane ki koshish ki)
S - bas bhut dino bad hum sab sath the aur phir meri gair hajiri me aap bhi pta nahi thik se khate the ya nahi.. hari kaka to hospital me hi the na.. jyadatar samay..
V - are aaisi koi khas presani naahi thi but , aap ki kami to thi..
S - chaliye , ab mai aa gayi hoo.. aap sabka dhayan rakhane.. pichale dino jitani preshani hui hai.. sabki bharpai kar doongi dheere- dheere, ..
R - isi ke liye tumane aaj itani sari dishes bnai hai.. ( Rajeev ne plate me rise dalte huye kaha)
S - are baba ! aaj mann kiya ki kuch special bnau..socha aaj sbko khush kar doo..
V - thank u bhabhi ! I really missed this.. aap sab wapas aa gaye ! ghar me raunak aa gayi.. warana akelapan katane ko daudhta tha..
S --  I can understand  vikraam  ! but tum itane akele bhi nahi the .. ( sumi ne kuch ajeeb se andaj me keha) maine suna ki tumhe ek acchi company mil gayi thi..
R --  kisaki ? kaun aata tha yenha..? kisaki baat kar rahi ho tum ?
S - wo to vikraam bhaiya btayenge..vikraam bhaiya ! ye malhar kaun hai ?  ( usane direct vikraam ki aankho me aankhe dal kar poocha...)
                                                          
V - mallhar, ( 1 secound ke liye wo blank ho gaya)  ... Wo...wo.. humare office me kam karti hai..raj bhai jante hai use... actually usaki dadi  jab hospital me thi to mai usse milane jata tha.. that's why meri takleef me wo yanha aaati thi.. aur kuch nahi.. 
R ---   ary haa !! mr. saxena ne mujhe btaya to tha..
S - to aapko sab pta tha..? ( usane hairani se apane pati ko dekha)
R - nat really but thodha -bahut..
S - thik hai..but mai to usaki bhut shukrgujar hoo... ki usane aapki dekh-bhal ki mere absence me ..i m so greatful to her.. mai usase milkar use thanks kehana hahti hoo...  aur isi bhne hum bhi mil lenge aapaki nayi dost se... ( sumi ne muskrate huye kaha) ..
V - bhabhi ! isaki koi jarurat nahi hai.. maine use thanks bol diya hai.. aur bhabhi wo meri dost nahi hai..sirf ek employee hai.. haa usaki dadi se mai thodha attach ho gya hoo...kyonki wo mujhe maa ki yaad dilati hai...and nothing else...aur bhabhi ! mai aapko janta hoo ..please ! agar aap kuch aur soch rahi hai to ..aapko nirasha ke alawa kuch nahi milenga.. maine apani zindagi ka wo chapter humesha ke liye band kar diya hai.. badhi muskil se apane-aapko sambhala hai maine.. dubara mere zakhmo ko kuredane ki koshish na kijiye..ye maan lijiye ki meri kishmat me  khushiya upar wale ne nahi likhi hai... aur mai aaisi koi umeed apane dil me panape nahi dooga... kabhi nahi...(he looks so sure)  .. kyonki aaisi umeede aant me sivay dard ke kuch nahi deti ... so please ! mere liye aaisa kuch mat kriyega..jisase mujhe takleef ho.. ( lehja na chahte huye kadhwa ho gaya tha.. gussa jyda mallhar par tha ya sumi par ..wo decide nahi kar paya, achank aaisa laga ki zindagi par usaka koi control hi nahi hai, sab kuch hatho se phisalta ja  rha hai..aur ye gussa isi ki nishani tha )
  Ek pal ke liye sab kuch jaise freaz ho gaya...  then vikraam ko realize huaa ki shayad usane kuch jyada  bol diya...
V - I m sorry bhabhi ! agar maine kuch jyada keh diya to.. but please zindagi ko aur mushkil mat bnaiye..  na apane liye na mere liye...please... thanks for the lunch ..mujhe kuch kaam hai mai chalta hoo .. ( usane apani chaire khich li)
( usake jane ke baad kuch samay tak khamoshi chai rahi sumi aur Rajeev ke beech me, phir Rajeev ne hi use todha)
R - mai janta hoo sumi ,  ki  tum uska bhala chahti ho..but use achha nahi lagta ye sab.. yahi sochkar maine usase baat nahi ki.. please kanhi aaisa na ho ki humari kisi baat se narraz hokar wo yanha se bhi chala  jaye..so please..  apane -aapko samjhao.. ( suddenly his phone rings)  mai phone le leta hoo...
S --- (with herself)... aap kyo nahi samjhate ki vikraam bhaiya bhut akele hai ..unki kadhwahat is baat ki nishani hai ki unake zakham abhi bhare nahi hai.. unhe ek marhum ki jarurat hai..aur zakhamo ko dukhaye bina marhum nahi lgaya ja sakta,... unaki zindagi ek tapta registan hai, jise ek thandi chanw ki jarurat hai..pyar ki jarurat hai, sathi ki jrurat hai.. aap kyo nahi dekh pate unka sunapan.. unki aankho ka khalipan... ( sumi ka mann aur aankhe dono bhar aayi) .. mai nahi janti mai sahi kar rahi hoo ya galat.. par mai unaki zindagi me khushiya lane ki poori kosish krungi... ab mai pass hongi ya fail ye to waqt btayega but atleast mai try jarur krungi...  ( usane apani aankhe ponchi aur aur mann hi mann ek majbut faisla karke khadhi ho gayi...

 

Edited by croziaxx - 9 years ago
Vinnie79 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Hello   Maaansi!!!👏👏
 I  am  so    happpy  that  you  are   going to  finish  this  story!    I  fiannly  read  the  Chapter... and  i   am  sensing Sumi Bhabi  is going  to  play  cupid  between  the  two  of  them... 
 Well  I  hope   she  sucesseds and Vickram  gets  his  happily  ever  after...
 
 Keep it up  and  post  the next chapter soon kk!!!


 Love you  much  much  much
 Vinnie
croziaxx thumbnail
Posted: 9 years ago

 hello  mere bache-khuche reader i mean girls ! how r u ? ye tum sabke liye.. 
love u 🤗
                                                           
                                        Chapter-17
 
Phone ki ring lagatar baj rahi thi... mallhar ne ek bar phir se irritate hote huye phone ki taraf dekha ..aur apane hatho me liye huye kapdho ko side par rakh diya...aaj usane apna wardrobe arrange karane ki sochi thi ..aur phone use distrube kar raha tha.. dadu aur preety kuch der ke liye bahar nikale the.. is liye ghar me koi nahi tha.. otherwise wo itani der tak phone ko ignore nahi kar sakati thi.. aage aakar usane ek thikhi nazar phone par dali.. kaun hai jo mujhe itna yaad kar rha hai...
M --- hello !
S - hello ! kya mai mallhar se baat kar rahi hoo ?
M - yaaa ! aap kaun ?
S - mai sumi hoo.. aapke Rajeev sir ki wife may be aapne kabhi mere bare suna ho..
M - oh yes ! maine aapka naam kai bar suna hai.. hello mam ,how r u ? kaisi hai aap ? aur aaj mujhe kaise yaad kiya .. ?
S - mai tumase milana chahti hoo .. actually mai tumhara shukriya kehana chahti hoo.. meri absence me tumane vikram bhaiya ki  dekh-bhal ki.. I m really so greatful to u..
M - mam please ! isaki koi jarurat nahi hai..maine jo kuch bhi kiya us samay wahi thik tha ..i mean wo akele the that's why..but mam isake liye aapko mujhe thanks kehane ki koi jrurat nahi hai..
S - no .. mallhar isaki jrurat hai..yu samjh lo ki mai us ladhki ko dekhana chahti hoo jo .. itani acchi hai..aaj ki duniya me bhi tum jaise log hote hai ?
M - mam mujhase bhut jyada acche log isi duniya me hai.. maine aaisa kuch nahi kiya jisake liye aap mujhse mile aur mujhe thanks kahe..  its not needed..
S - mallhar ! mujhe tumase milana hai.. tum mujhe inkar nahi kar sakti..kya tum chahti ho ki mai tumhare boss ki patani hone ka fayada uthau.. haa .. nahi na.. so please argue mat kro .. jagah aur time mai tumhe sms kar doongi.. mallhar please ! aana jarur . ho sakta hai ye mulakat ek yadgaar  mulakat ban jaye...
Isase pehale ki mallha kuch kehati ..sumi ne phone kaat diya.. mallhar ko samjh nahi aa rha tha ki wo kaise react kare..
 
Do dino bad kisi kam se vikram aur Rajeev ko out of town jana tha.. sumi ne usi din ka programme bnaya tha... mallhar bhut weired mehsoos kar rahi thi... ye aaisi baat thi jo wo kisi se share bhi nahi kar paa rahi thi.. par jana to tha...
 
Mallhar bar-bar apni wrist watch dekh rahi thi.. sumi ne subah 11 a.m. ka time diya tha.. par abhi tak aayi nahi thi.. mallhar ne aathawi bar apni wrist watch par nazar dali..aur samne ki aor dekha ..sumi aati huyi dikhai di..usane rahat ki sans li.. usane khade hokar unka swagat kiya.. 
M - hello mam !
S - hi mallhar ! sorry wo thodha late ho gya..
M - that's ok mam.. par mujhe chinta hone lagi thi..
S - sab thik hai mallhar , bath jao..  aur kaisi ho tum ?
M - mai ekdum thik hoo mam ..aap btaiye ..kyo milna chahti thi.. aap mujhse,aur aaapne mujhe pehchana kaise  ?
S - tumhe thank u bolna chahti thi... aur rahi tumhe pehchanne ki baat to mai tumhare boss ki wife hoo.. tumhari picture dekhana mere liye koi mushkil nahi.. maine mr .saxsena ki help li.. aur jab tumhari photo dekhi to mujhe yaad aaya ki mai pehale bhi ek baar tumase mil chuki hoo..isisliye to double thank u bolana chati thi...
M - do bar kyo ?
S - do bar isliye ..kyonki tumane do bar mere bhut apno ki madad ki hai...
M - do bar kaise ?
S - is bar vikraam ki madad ki hai tumane par isase pahle tumane meri beti se mujhe milwaya tha..
Bhul gayi kya jab tumane mal me mujhe meri beti se milwaya tha.. avani se..
M - wo yaa !! mujhe yaad aaya... but wo to bhut poorani baat ho gayi..
S - nahi mallhar tumane jo kiya hai wo kabhi mai bhul nahi sakti .. kabhi nahi..( sumi ne apna hath mallhar ke hath par rakh diya) ..
M - mam please ! isaki koi jarurat nahi hai..ye meri khushnasibi hai ki kisi ke kaam aa saki.. meri jagah koi aur bhi hota to yahi karta..
S - nahi mallahr ! tum bahut acchi ho,bahut alag ho..
M - ye to aapki nazaro ka kusur hai..warana kuch logo ko mai itani buri lagati hoo ..ki mujhse baat bhi nahi karna chahte.. ( na chahte huye bhi vikraam ka khayal aa hi gya tha.. )
S - phir to wo log tumhe thik se jante nahi hai mallhar!
M - ho sakta ha mam ya phir mai hii unhe nahi jan paa rahi hoo.. unke dil tak pahuchane ka rasta nahi doodh paa rahi.. ( lahaje me udasi utar aayi thi )
S - ho sakta hai rasta doodhane me mai tumahri madad kar saku...(  sumi ne direct usaki aankho me dekha)..
M - matlab ?
S - kuch nahi .. ( sumi ne baat badal di..jane kyo laga wo jaldi kar rahi hai) .. kuch  order nahi kiya humane ab tak..bolo kya khaogi..
M - kuch bhi ! I mean aap mere liye bhi order kar dijiye... (usane muskarane ki koshish ki)..
S - achha !! waiter ! ( waiter ko  order likhwakar wapas mallhar ki taraf mudhi ) ..so mallhar ! kuch apane bare me btao.. agar tumhe problem na ho to.
M - no mam ..aapse kehane me mujhe koi problem nahi hai.. par kya batau .. kuch khas hai nahi..bahut choti thi jab mom aur dad alag ho gaye.. dono   ne apani-apani nayi duniya bsa li piche mai aur dadu akele rah gaye.. mallhar ne dheere-dheere apani zindagi ke kitab unake samane kholani shuru kar di...
S -  mallhar ! kitana samay beet gya na... par tumhare bare me jan kar achha lga.. mai pahale bhi tumhe appreciate  karti thi but sab janane ke baad mai tumhari respect  karti mallahr ! tumane aur tumhari dadu ne bahut himmat se zindagi ka samana kiya aur itani preshani ke bawjood tumhare andar kadhwahat nahi hai..koi gussa nahi hai.. ye sabase achhi baat hai... tum bahut sweet ho..soft ho..bahut hi achhi ..
M - shayad dadu ne kathwahat mere andar panpne hi nahi di kabhi.. .. wo humesha mere dard ko pyar se sehla deti thi... Koi sehlane wala h to dard jyada mehsoos nahi hota...so all credit goes to her.. ( usane khilkhilate huye kaha..aaj bhut dino bad kisi se kul kar bat karke usaka bhi jee halka ho gya tha..
S -.i agree with u, tumane mujhe sab kuch btaya par ek bat nahi btai...mujhe apna screte btao..ki itani pyari ladhki ki zindagi me koi special hai ya nahi.. ( sumi ne badhi si smile ke sath keha)
M - no mam ( usane sar hilaya).. koi nahi hai..
S - mai nahi manti koi achha lga hi nahi..
M --  jaruri to nahi na mam,ki jo humei achha lage..use bhi hum ache lage.. ( aankho me udasi phir se laut aayi)
S --  yani ki koi hai jarur haa..
M - no mam ..not exactally !
S - kanhi  is not exactally ka naam vikraam to nahi hai ? ( usane bina hichkichahat ke seedha poochha liya)
Mallhar ek pal ke liye aawak rah gayi...usaki  samjh me nahi aaya ki kya jawab de... use aaisa laga ki jis baat ko wo sabse chupa kar rkhana chahti thi wo sabko pta chal gayi hai...kaise pta chala sum imam ko ,kisane btaya... kanhi preety ne to nahi..ya phir khud vikraam ne ... ? 
Edited by croziaxx - 9 years ago