Originally posted by: hasiniangelGood work
nice update
Originally posted by: shafy_MNnice
Originally posted by: gopi06nice updt
cont soon
thanks for the pm
Chapter 3
Nupur aur uski friend half day lekar shopping ke liye bahar jate hain.
Coinsidently Mayank aur Aditya bhi ussi mall me aate hain. Jab MAyank mall me per rakhta hain tabhi Nupur ke heartbeats badhne lagti hain. Wo comfortable mehsus nahi karti. Usko pata nahi ajabsi bechini hoti hain.Aur wo apna hath apne chest par rakhti hain.
Radhika : Kya hua Nupur? Are you alright?
Nupur : Kya malum Radhika lekin bahot bechaini ho rahi hain. Kyun wo nahi malum. Aisa lagta hain idhar koi hain jo mere liye bahot important hain. Lekin aisa koi aas pas najar to nahi aa raha hain.
Radhika : Dekha Nupur wo uparwala bhi tumhe ishare de raha hain ki usne tere liye jisko bhi banaya hain wo abhi idhar hi hain.
Nupur : Tum firse shuru hogayi. Tumhe aaj kya hua hain?
Radhika : Are sachhi to bol rahi hu. Waise ek bat bata har ladki ke man me koi na koi image banayi hoti hain partner ki. Teri bhi to koi khwish ya fir expectations hogi na uske bare mein.
Nupur : Are baba me kitne bar bolu ki mujhe in sab cheezope vishwas nahi hain. Ye Pyar phir shadi ye sab zindagi ka jhugar hain agar luck achha hua to sab thik nahi to pachtana parta hain bad me.
Radhika ye bat sunkar chup ho jati hain aur thori der bad bolti hain tum kabhi nahi sudhrogi na? Tu aisi kyun hain?
Nupur : Me aisihi hoo. Aur wo dono baki ki shopping karne lagte hain.
At another side Mayank kibhi halat kuch aisehi thi. Wo bhi kuch ajbsi baicheni mehsus kar raha tha. Lekin usne iske emotions control kiye. Fir bhi wo apni soch me hi gum ho gaya tha. Aditya ne usse 2 bar awaj diye lekin Mayankne reply nahi diya isiliye Aditya ne usse jar se pinch kiya.
Mayank : Abe ye tune kya kiya? Kitna jor se pinch kiya?
Aditya : To me aur kya karta. Tu to apnehi khayalo me duba tha. Maine tujhe 2 bar bulaya phir bhi tu to khud ki duniya me hi ghum raha tha. To reality me lane ke liye mujhe pinch karna pada. Waise kaha gum ho gaya tha? (teasingly) kahin mujhe jaldi devar banane ki to nahi soch raha hain na tu? Agar aisa hain to please jaldi karna.
Mayank : Aditya tum bhi na? Ek to khud ki bachlerhood ko kharab kiya aur ab chahta hain ki me bhi meri azadi kurban karu. Kyun? Me to ek azad panchi hu. Mujhe apne sar par koi bhi responsibility nahi chahiye samjha kya? Chal ab. Shweta tumhara intezar kar rahi hogi.
Aur wo dono wahase nikal jate hain.
At Night
Nupur apne room mein bed par so rahi thi actually so nahi rahi thi balki soch rahi thi.
Kya Radhika ne jo bataya wo sach tha. Mall me jo mujhe baicheni ho rahi thi kya wo usike wajahse ho rahi thi kya?
Kya Nupur tum bhi na. Kya pagalon jaisi bate kar rahi ho? Chal ab so ja. Kal subah office bhi to jana hain na.
Mayank apne kamre mein : Khidki ke pass aakar khada ho jata hain. aur sochne lagta hain
Aaj mall me kya hua tha mujhe? Aisa laga ki koi mere bahot pehchan ka chehra mere samne aate aate reh gaya? Kya tha wo sab? Kyun me uss bechaini ko yad karke ek smile aa jati hain mere chehre pe?
Aur wo chand ke taraf dekhta hain.
Ye chand bhi aaj kuch alag hi bat bata raha hain shayad./ Kash ye chand mujhe kuch bata de. Aur ye hawa bhi us person ko jake bole ki me usse milne ke liye taras raha hu. Mujhe bhi to samjhe ki wo kaun hain jiske wajah se meri ye halat hui hain.
Tabhi BN me Nupur uth kar khidki me aati hain. Tabhi usse kano me hawa ka jhoka aakar use gudgudi hoti hain. Hey bhagwan!!! What's wrong with me? Me abhi bhi Radhika ki bat bhul kyun nahi pa rahi hu? Kya hua hain mujhe kuch samaj nahi aaraha hain.
aur wo khidki band karke wapas bed pe jake so jati hain.
AT SM
Mayank sochta hain
Are Mayank kya hua tujhe? Kya soch raha hain ye? Chal ab so ja. Aur tumhe kal sabko tumhara faisla bhi to sunana hain na. Aur wo sone jata hain.
Originally posted by: shafy_MNnice.. loved it
Originally posted by: mayuloveuLoved. It.continue soon
comment:
p_commentcount