MayUr FF : Pyar toh hona hi tha c 32 pg 38 - Page 6

Created

Last reply

Replies

240

Views

19618

Users

20

Likes

291

Frequent Posters

ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 9 years ago

Originally posted by: gopi06

nice updt
cont soon
thanks for the pm

thanks
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 9 years ago
thanks
SujaLuvsMayur thumbnail
Posted: 9 years ago
Nice updt.
Very well written.
Updt soon.
Thnx 4 pm.
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 9 years ago

chapter 4

AT Morning 

SM

Sari SF kisika intezar kar rahi thi.

Samrat : Dad wo kab aanewali hain? Aapse unki kuch to bat hui hogi na?

Shekhar : Haa beta bat to hui thi. Unhone mujhe kaha bhi tha ki wo subah 8 baje tak aajayegi.

Samrat : Lekin ab 9.30 baj gaye hain dad. 

Simmi : Mujhe bhi samajh nahi aa raha hain. Wo to time ki ekdum pakki hain. Koi bhi kam wo time pe hi karti hain. Samaj nahi aarahe hain ki aaj unko itna late kyun hua hain? Aur uparse unhone kaha ki kisiko bhi lene aane ki jarurat nahi hain. Wo khud aayengi.

Gunjan : Haa maa. Mujhe bhi ab tension ho rahi hain.

Tabhi unko gari park karne ki awaj aati hain. 

Shekhar : Lagta hian ki wo aa gayi. Chalo. 

sab SF bahar aati hain. Gari me se ek aged vyakti utarti hain. Aur wo driver ko apna saman ghar me lane ki order deti hain. 

Shekhar aur Simmi jakar turant unka aashirwad lete hain. Bad me Gunjan aur Samrat bhi unka aashirwad lete hain.  Sab ghar ke andar aate hain.

Aged Aurat : Mera dusra dulara kaha hain? Kya usko mujhse milne ki ichha nahi hain. Aur mere do nanhe nanhe shaitan yani meri badmash company bhi kaha hain?

Tabhi waha pe Mayank sidi se neeche aata hain. Aur shock ho jata hain.

Mayank : Are dadi aap? What a pleasant surprise dadi!!!

Mayank aur Samrat ki dadi Nalini Sharma. Wo apne dono poto se bahot pyar karti hain. Wo ujjain me Apne poti ke sath rehti hain. 

Payal Mishra. Payal 24 sal ki larki hain. Uske mummy papa yani Mayank ke bua aur phuphaji ek car accident me expire ho jate hain. Isiliye wo apni nani ke sath ujjain me hi rehti hain. Wo apna education mumbai me puri karti hain. Shekhar & Simmi usko apni khudke hi beti mankar usse bhi bahot pyar karte hain.

Nalini dadi : Haan me. Kya karu mere potonko mere bete ko aur meri bahuonko meri yad nahi aati to maine socha mehi khud unse jakar milu.

Shekhar : Maa aisi koi bat nahi hain. Lekin business ke karan nahi aa pate hum log. 

Simmi : Maji Payal kaha hain? Kya wo nahi aayi aapke sath?

Nalini : Are wo aayi thi lekin usse ek kam yad aaya to bahar chali gayi hain. Thori der me aa jayegi. tabhi waha pe Deepika & Deepak daudte hue aa jate hain. 

Bachhe Nalini ke per chukar ashirwad lete hain. Dadi aap aagayi ? Aur bua kaha hain? 

Nalini : Are me natkhato bua bhi aati hogi. Batao tum dono kaise ho?  apne mummy papa ko kitna pareshan karte ho?

Gunjan : pareshan? Wo to puchiye mat dadiji. Pata nahi itni pareshan karne ki aadat inko kaha se lagi hain?

Nalini : Are beta ye Sharma khandan ka khun hain. Aur aadat to inko inke papa se hi lagi hui hain. Aur wo Simmi ke taraf dekhti hain. Kyun Simmi Sam bhi to aise hi pareshan karta tha na tumko.

Simmi : Haa bahot pareshan karta tha. Humesha sirf apni hi bat manwana chahta tha. 

Samrat : Kya maa appb hi na. Sab log hasne lagte hain.

Mayank : Ye Payal ki bachhi kaha reh gayi? Kya isko apne bhaionse milne ki ichha nahi ho rahi kya? 

Tabhi waha pe Payal aajati hain. 

Payal : Hello everyone!!!!!

Sab darwaje ke taraf dekhte hain. Payal daud kar Shekhar aur Simmi ke pass aati hain. 

Payal : Hello mamaji mamiji. Wo unka ashirwad leti hain. Phir wo Samrat aur Gunjan ke pass aati hain. Hello bhai hello bhabhi. Wo dono ko hug karti hain. Wo bachho se bhi milti hain aur unko chocolates deti hain. 

Gunjan : Na Na payal. Inke pass aur bhi chocolates hain jo Mayank ne US se laye huye hain. Kyun Deepu? Munni?

Lekin bachhe turant Payal se hath se chocolate ki bag lekar bhagte hain. 

Mayank : Oh hello madam... Aap bhul gayi kya me bhi yaha hu.

Payal : Oh aagaye aap? Aagayi aapko meri yad? Aap ne ek phone bhi nahi kiya na bhai ki aap India aa rahe ho. Hum online kitni sari bate karte the lekin aapne kabhi bhi mujhse India wapas aaneki bat nahi ki. Wo to Samrat bhai ne mujhe kaha tab mujhe pata chala.

Mayank : Are meri maa.. I m sorry. Ab maf bhi kardo...

Payal : Ek hi sharth pe..

Mayank  : Bolo kya sharth hain?

Payal : Pehle mujhe mera gift do jo aap mere liye laye ho.

Mayank : Aagayi na tu patri pe. Achha chalo mere kamre me..

Mayank aur Payal dono Mayank ke kamre me jate hain.

Dadi : Haa bolo ab. Kya plan hain aap logon ka? 

DF nalini ko sari bate bata deti hain aur bolti hain ki aap hi ab ispe solution nikalo. Nalini unko dilasa deti hain.

At BN

Nupur apne office me jane ke liye taiyar ho jati hain. Aur neeche aati hain.

Sushant : Ho gayi tu taiyar.??

Nupur : Ji dad. Kyun aap ko kuch kam tha kya?

Sushant : Nahi. Kuch nahi. Tum kya aaj office se jaldi aa jaogi? Wo larke wale tumhe dekhne ke liye aanewale hain aaj sham 6 baje.

Nupur : Kya Firse?? Aapko malum hain na Dad mujhe shadi nahi karni. Fir aap...

Sushant : Are ek bar larke ko dekh to lo. Agar nahi pasand aaya to na bol dena.

Nupur : Ok  OK. Waise Uska nam kya hain?

Sushant : Mayank Malhotra   

Nupur : Mayank Malhotra (Wo si=ochne lagti hain)

Sushant : Kya hua? Kya sochne lagi? 

Nupur : Kuch nahi aisehi. Chalo me nikalti hu.

Sushant : Theek hain. Lekin jaldi aana office se. Bye..

Faria. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
beautiful update ketki
keep it up

Irum. thumbnail
Posted: 9 years ago
very nice .
Thnx for PM.
ShivIka..Ketaki thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 9 years ago

Chapter 5 

AT Nupur's office:

 

Nupur Uske sir ke pass jaldi jane ki permission mangti hain. Sir turant permission dete hain.

 

Radha : Nupur aaj tu ghar jaldi kyun ja rahi hain? Sab thik to hain na?

 

Nupur : Haa Radha sab thik hain. Wo to aaj mujhe koi ladka dekhne ke liye aanewala hain isiliye jana ghar jaldi.

 

Radha : Kya bat hain Nupur. Matlab ab tubhi shadi karna chahti hain..

 

Nupur : Nahi Radha. Wo to bas Dad ka man rakhne ke liye me janewali hu ghar aur uss ladke ko dekhungi. Tu ek kam kar na tubhi mere sath chal na ghar..

 

Radha : Nahi re baba... Mujhe ghar jana hain aur vaise bhi ye ghar par nahi hain to ghar ko aise akele kaise chodu? Aur me kyun aau? 

 

Nupur : Are to achhi bat hain na jo tu ghar pe akeli hi hain to tujhe kya problem hain? Chup chap tu aaj mere sath aa rahi hain samjhi?

 

Radha : Oh hello mdam aap CC me Hitler ho lekin yaha nahi samjhi.

 

Nupur : Are hitler hu to kidhar bhi hitlergiri kar sakti hu na. Aur abhi tak to aisa koi paida nahi hua hain jo mere hitlergiri ko rok sakega.

 

Radha : Dekhte hain. Jab teri shadi hogi na tab samj me aayega. Waise ladke ka nam kya hain? 

 

Nupur : Mayank Malhotra

 

Radha : Nam to bahot achha hain. Tune photo dekhi hogi na uski?

 

Nupur : Nahi dekhi.

 

Radha : To seedha face to face.. Wow Nupur achha hain. Seedha eye to eye contact haaa... Aur wo Nupur ko dhakka deti hain.  Nupur embrass hoti hain.

 

At DM 

Sab SF dadi ko bat batate hain.

 

Gunjan : To dadi aap hi kuch solution nikalo na.

 

Dadi : To aisa sab hain. Kya Mayank ne apna faisla sunaya kya?

 

Simmi : Nahi maa abhi tak to nahi. Lekin wo aaj shayad bata dega.

 

Dadi : Thik hain. 

 

Tabhi waha pe Mayank aata hain. 

 

Mayank : Wo actually aap sab se kuch jaruri bat karni hain. Dadi bhi aayi hain to me aapko bata deta hu.

Sab SF ek dusre ke taraf dekhne lagte hain.

 

Mayank : Wo maine ye decide kiya hain ki me India me reh kar jab tak mujhe US se call nahi aata tab tak apne office me kam karne ke liye taiyar hun.

 

SF : Kya? 

 

Mayank : Haan. Me kal se hi office join karunga. Kuch problem hain bhai?

 

Samrat : Na kuch problem nahi hain. You are most welcome Bro...

 

Sab khush hote hain. Uske bar Mayank apne room me jata hain. 

 

Dadi : Chalo ab ek step to humne par karli hain. Ab turant humme dusre step ki taraf chalna hoga. 

 

Shekhar : Haa maa. Mujhe to yakeen bhi nahi ho raha hain ki Mayank office join karne ke liye ready ho gaya.

 

Dadi Simmi ko kuch meetha banane ko bolti hain.

 

Mayank apne room me jakar Rahul ko call karta hain. 

 

Mayank : Rahul kya tu aaj free hain? 

 

Rahul : Tere liye me humesha free hu Mayank. Kya kam hain?

 

Mayank : Are yar maine decide kiya hain ki me kal se hi office join karunga.

 

Rahul : (jor se chillata hain) Kya? Kya bola tune?

 

Mayank : Rahul over acting mat kar. Sach suna hain tumne.

 

Rahul : Kya me jan sakta hu ki ye akal tumhe kaha se aayi?

 

Mayank : Are maine socha ki dad ne jo bola wo sahi hain. Agar me office join karunga to mujhe thoda experience bhi aayega. Aur ye experience mujhe US me job milne ke liye madad bhi karega na. 

 

Rahul : Achha hain. 

 

Mayank : Maine tujhe isiliye phone kiya ki kya tum mere sath mall me aaoge? Wo darsal bat ye hain ki kalse office join karna hain to mujhe kuch formal wears lene hain. To mere sath aaj chal na aaj.

 

Rahul : Ok . To me tumhare ghar thik  2 baje pahuchta hu.

 

Mayank : Ok.

 

At Nupur's office

 

Nupur : Radha me re sath chalo na. Mujhe thodisi shoping karni hain.

 

Radha : Kal hi to ki thi na. Fir?

 

Nupur : Are mujhe yad nahi tha mujhe is salwar pe kurta lena hain. Chal na lekin.

 

Radha : Ok lekin Sir ko...

 

Nupur : Me bata dungi unko. Tum ready rehna. Me abhi unko bolke aati hun.

 

Nupur aur Radha shopping karne nikalte hain. Nupur salwar ke upar suit krega aisa kurta leti hain. 

 

Nupur : Are bapre Radha... 5 bajne wale hain. Wo log ghar pe 6 baje aane wale hain. Chalo jaldi chalte hain.  Of oh ye raste me kitna pani hain. Sheet. Wo dono sambhal sambhal kar chalte hain. Tabhi ek gari ke wajah se pani Nupur pe udta hain. Nupur jor se chillati hain. 

 

Nupur : Are o pagal ho kya? Dikhta nahi hain ki road pe pani hain. 

 

Gari turant ruk jati hain. Gari me se ek lamba chaura ladka utarta hain. 

 

Nupur : Hello Mr. Kya aapko pani dikh nahi raha tha kya? Aise koi gari chalata hain kya?

 

Ladka : Oh hello Madam... Kya aapko humari gari nahi dikh rahi thi kya? Aur rahi bat pani udne ki to maine jan buj kar to pani nahi udaya na.

 

Nupur uske ye jawab dene ke style se aur gussa hoti hain. 

 

Nupur : Excuse me Mr. Gari aap chala rahe the na to dikhna aapko chahiye tha. Samjhe aap?

 

Ladka : Oh to aapka matlab ye hain ki raste pe jo chalte hain unko aaspass dekh kar chalna nahi chahiye na. Kyun? 

 

Nupur : Maine aisa nahi bola hain. Tum mere bat ka galat meaning nikal rahe ho.

 

Ladka : Galat meaning aur me???

 

Nupur : Dekho mujhe tumse jhagda karne me koi interest nahi hain. Mujhe abhi jaldi hain. To achha hoga ki tum jaldi mujhe sorry bolo.

 

Ladka : Ye achhi bat hain. To kya mujhe interest hain tumse ladne ka? Mujhe bhi time nahi hain. Aur me kyun sorry bolu? Galti tumhari bhi to hain na?

 

Radha :(Nupur se) Jane de na. Chalo jaldi humme let ho raha hain. Dekho 5.30 baj gaye. Uncle wait kar rahe honge. Chal jaldi.

 

Nupur : Ek minute Radha... Wo us Ladke ke taraf ungli karti hain. Iss ladke ke muh se me sorry bulwake hi rahungi. 

 

Ladka : Aur me tumse sorry nahi bolunga. Tumhara yaha pe Hitler Raj nahi chal raha hain. Samjhi?

 

Nupur : Kya? Kya bola tumne?

 

Ladka : Yahi ki tumhara Hitler Raj nahi chal raha hain. Kitna gussa karti ho tum? Me manta hu ki galti kuch had tak meri bhi hain lekin iska matlab nahi ki sab galti meri hi hain. Jab tumhe dikh raha tha ki gari aa rahi hain to kya tum jarasi side me nahi ja sakti thi kya? 

 

Nupur : Lekin tumne bhi to jan bujke pani udaya na...

 

Radha : Nupur kya bol rahi hain tu? Ye bol raha hain wo bhi to sahi hain na. Agar hum thoda side me hote to pani nahi udta.

 

Ladka : Dekha.. Tumhari saheli kitni smart hain. Aur tum?

 

Nupur : Just shut up. Chalo jaldi sorry bolo.

 

Ladka : Nahi bolunga. Me tabhi sorry bolunga jab tum bhi bologi.

 

Undono ki argument aisi chalti hi rehti hain. Tabhi waha pe Uss ladke ka dost aata hain.  Aur bolta hain I m Sorry. Hume maf kijiyega. Kya yar tum bhi na.. Aisi choti bat pe koi jhagda karta hain kya? Chalo ab yaha se jaldi. 

 

Radha : Nupur tum bhi na. Chalo jaldi usko sorry bol do. Ab chalo hume der ho rahi hain.

 

Nupur : Ek minute Radha. Oh Mr. Kanji aankh wale chalo jaldi sorry bolo.

 

Ladka : Ms. Akdu me tabhi sorry bolunga jab tum bologi. 

 

Dost : Are yar ab chodo bhi. Chalo ab jaldi se sorry bolo aur chalo. 

 

Ladka :  ek minute. Pehle ye sorry bolegi.

 

Nupur : Nahi. Me sorry nahi bolungi. 

 

Ladka : To thik hain me bhi nahi bolunga sorry. 

 

Jab Radha aur aur wo dost dekhte hain ki ye dono ab shant nahi baithne wale tab wo dono unko jor se kheech kar chalne lgte hain. 

 

Nupur : Chodo Radha. Kya kar rahi ho?

 

Radha : Nupur time dekho. 6 bajne ko sirf 15 min baki hain. Aur tum ho ki...

 

Nupur : Kya??? Ab hum time pe kaise pahuchenge?

 

Tabhi unko Auto mil jati hain aur dono baith kar chali jati hain.

 

Ladka : Kya yar tum bhi? Aise koi kheechta hain kya? 

 

Dost : Tum dono chup kaha baith rahe the? sare log has rahe the. Isiliye tumhe is tarike se gari me bithana pada. Chalo ab jaldi. Aur wo dono bhi nikal jate hain.

 

mayuloveu thumbnail
Posted: 9 years ago
Vety nice. Hope mayur will say yes for each other
SujaLuvsMayur thumbnail
Posted: 9 years ago
Very nice updt. Waiting 4 mayur face2face :-) bahut maza ayega :-)
updt soon.
Thnx 4 pm.
gopi06 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
nice updt
cont soon
thanks for the pm