Sher O Shayri

husn par e'tibaar had kar dii

Rekhta thumbnail
Posted: 10 years ago
husn par e'tibaar had kar dii
aap ne bhii 'figaar' had kar dii

aadmii shaahkaar-e-fitrat hai
mere parvardigaar had kar dii

shaam-e-Gam sub.h-e-hashr tak pahu.nchii
ai shab-e-intizaar had kar dii

ek shaadii to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar dii

zauja aur rickshaw me.n are tauba
daashta aur ba-kaar had kar dii

chhe mahiine ke baad niklaa hai
aap kaa hafta-vaar had kar dii

ghar se bhaage to ko.ii baat nahii.n
zindagii se faraar had kar dii

ek misre me.n masnavii likh dii
is qadar iKHtisaar had kar dii

kyaa murassaa Gazal kahii hai 'figaar'
aaj to tuu ne yaar had kar dii

Created

Last reply

Replies

2

Views

639

Users

2

Likes

2

Frequent Posters

Manu_986 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Superb shayari dear
👏 👏 👏
Rekhta thumbnail
Posted: 10 years ago
nazzaara-e-jamaal ne sone nahii.n diyaa
shab bhar tire KHayaal ne sone nahii.n diyaa

pahle naved-e-vasl mirii niind le u.Dii
phir nashsha-e-visaal ne sone nahii.n diyaa

jis roz us ke jhuuT kii sachchaa.iyaa.n khulii.n
suqraat kii misaal ne sone nahii.n diyaa

kis KHuub-suuratii se judaa kar diyaa hame.n
dushman ke is kamaal ne sone nahii.n diyaa

jo bhiik maa.ngte hu.e bachche ke paas thaa
us kaasa-e-savaal ne sone nahii.n diyaa

shab bhar mai.n jaagtii rahii jis ranj ke sabab
din ko bhii us malaal ne sone nahii.n diyaa

kitnii thakan safar kii thii par vaapsii kii shaam
is shauq-e-arz-e-haal ne sone nahii.n diyaa

'ruuhii' mai.n KHvaab-e-ishq se jaagii to us ke baad
kitne hii maah-o-saal ne sone nahii.n diyaa