InShi OS: A Time for Love pg 11 - Page 5

Posted: 9 years ago
inshi originakl story ke saath...though hav read it b4
but nice...atlst isme sab kuch sahi ho gaya
nice OS dhum ketu
Posted: 9 years ago
Wow Ketu . Your imagination is great !!👏 Do you want to be writer ? If not think about it .
Posted: 9 years ago
Originally posted by designersaini


inshi originakl story ke saath...though hav read it b4
but nice...atlst isme sab kuch sahi ho gaya
nice OS dhum ketu

thanks
me aisahi kuch hd me chahti thi par illa matane apni lila dikhake sab barbad kar diya
Posted: 9 years ago
Originally posted by Heema22


Wow Ketu . Your imagination is great !!👏Do you want to be writer ? If not think about it .

thanks di
pata nhi writer ho paungi bhi ya nahi q ki dialogues n scene itne acchese execute karne nahi aate
Posted: 9 years ago

InShi OS : Khushi The Bundle of Joy

InShi Villa

At Morning 

Indira kitchenka sara kam niptakar jaldise apne room me aati hain aur samneka najara dekh kar helplessly sar hilati hain,"Ye dono kabhi nahi sudhrenge. Rishi utho abtak aise ghode bechke so rahe ho utho jaldi" aur wo bed pe baithkar apni 5 saalki princessko uthati hain, "Khushi beta jaldi utho schoolka time ho raha hain". Khushi apne sar se blanket nikalke , "Haan mumma sirf 5 minute aur please" aur wo Rishike side me turn karke so jati hain Rishi bhi usse apne pass leta hain aur dono ko achhese cover karta hain. Indira wapas Rishiko uthane lagti hain, "Rishi jaldi utho, time dekho office jana hain na". Rishi neend me,"Sone dona Indira please". Indira iss baatpe bahot gussa hoti hain,"Agar mere 5 kehnese pehle dono baap beti nahi uthe na toh me tum donoke upar thanda pani dalungi, utho jaldi" wo count down shuru karti hain. Khushi turant uth jati hain ,"Mumma me uth gayi"

Indira : Very good. Ab sirf do numbers aur agar aapke daddy tab tak uthe toh thik warna...aur wo side ka pani ka jar uthati hain. "4...5..."wo Rishipe pani dalne ke liye apna hath aage karti hain tabhi Rishi jerkse uthta hain , "Main...main uth gaya hu please mere upar pani mat dalo". Khushi apne daddyki halat dekh kar hasne lagti hain. Indira usse bed pe khada karke galpe kiss karti hain, "Good morning my little princess". Ab aap jaldise fresh hone jao tab tak me aapka tiffin banati hu". Khushi jaane lagti hain par Rishi usse rokta hain, "Yeh galat baat hain Khushi aapne sirf mummako good morning kissie di aur daddy ko bhul gayi". Khushi uske pass aakar usse hug karke galpe kiss karti hain, "Good morning daddy". Rishi bhi usse kiss karta hain, "Good morning mera shona, jao ab aap jaldise fresh ho jao warna aapki mumma wapas dategi". Khushi jaaneke bad Rishi Indirake taraf pyarse dekhta hain, "Good morning wiffy". Indira uske taraf gusse se dekhke wish karti hain, "Good morning". Rishi apna muh banata hain, "Yeh kya baat hui wiffy. Me itne pyarse tumhe wish kar raha hu aur tum ho ki" wo uska hath pakadke usse khichta hain.

Indira : Toh gussa na hu toh aur kya karu Rishi. Tum har roj ye aise late uthate ho aur ye aadat tumne apne betikobhi lagayi hain. Jab tak me aake tum donoko uthati nahi tab tak tum uthate bhi nahi ho.

Rishi : Uff oh wiffy aisi choti choti batonpena gussa nahi hote. Wo toh hum isliye nahi uthate  taki tum aakar hume utha do. 

Indira : Achha ab ye maska lagana band karo aur jaldise fresh ho jao.

Rishi : Are par mujhe mera subah ka gift toh do aur wo apna gaal aage karta hain. Indira usse dono galonpe kiss karti hain, "Good morning mere hubby darling" aur dono hug karte hain.

Yahi scene har roj subah InShi Villame hota hain. Indira aur Rishi dono ne 7 saal pehle love marriage ki thi aur dono apne pyari beti Khushi ke sath Delhime rehte hain. Rishi Delhika ek well known Architect hain aur Indira typical house wife. Rishi ke parents Anirudhha & Anuradha Diwan Manalime rehte hain aur Indira ke parents Inder & Kutumb Sharma apni dusri beti Mandirake sath Delhimehi Chandani Chawk me rehte hain.

InShi ke shadi ke do saal bad Indira ek cutesi beti ko janam deti hain aur ussi dauran Rishi ko ek badi assignment milti hain. InShi ke jindagi me ye bachhi itni badi khushi lati hain isliye uska nam Khushi rakhte hain.

Indira Khushika tiffin banakar uske bagme rakhti hain, "Khushi maine aaj tiffinme aapke favourite cutlets diye hain aap pura tiffin finish karna haan". Khushi sar hilati hain. "Chalo ab jaldise papako bye bolke aao school bus ka time ho raha hain". Khushi roomme jake Rishi ko bye kehke aati hain aur Indira usse school busme chhod aati hain.

Rishi ready hokar hallme aata hain, "Kya hua Indira bahot pareshaan lag rahi ho?"

Indira : Haan wo actually papaka phone aaya tha maa ki tabiyet achanakse bigad gayi hain. Mandirake bhi collegeme exams hain aur papako kuch kam ke liye Delhise bahar jana hain isliye unhone phone kiya tha taki me waha jau.

Rishi : Oh toh tum chali jao na mummyjika khayal rakhne.

Indira : Kaisi baate kar rahe ho Rishi agar me chali gayi toh tumhara aur Khushi ka kya hoga? Khushike schoolme bhi exams hain toh isliye uska school bhi bank karna thik nahi hain aur chandani chawkse uska school bahot dur hain aur uparse kaamwali bai bhi chaar dinke liye chuttipe hain. Me papa ko batati hu ki me nahi aa sakti.

Rishi : Are toh kya hua me hu na me apna aur Khushika khayal rakhungana tum bilkul tension free hokar jao. Dekho hum yaha Delhime hain isliye papajine tumhe bataya hain na toh tumhara farz hain ki jakar mummyjika khayal rakho. Tum befikar hoke jao me apna aur Khushika achhese khayal rakhunga. 

Indira : Are you sure?

Rishi : Yess 100% sure ab jao tum jake jaldise saman pack karlo me tumhe chhodke aata hu. Indira room me jakar saman pack karti hain. Rishi usse chandani chawk me chhodta hain,"Rishi tum thik 12.30 baje Khushiko lene jana haan aur haa apna khayal rakh na.

Rishi : Haan Wiffy tum chinta mat karo aur apna aur mummyjika khayal rakho aur agar jarurat padi toh mujhe batana me aa jaunga aur wo apne office me jata hain. 

At 12.30

Rishi apne cabinme kuch important files padh raha tha tabhi uski najar table pe rakhi hui family picturepe jati hain aur usse Khushiko laneka yaad aata hain wo bhagkar parkingse car nikalta hain aur full speed me drive karta hain. "Oh god me kaise bhul gaya ye baat. Pata nahi Khushi kabse wait kar rahi hogi". Wo jaldise car park karke Khushike classme aata hain. Khushi apne friendske sath beth kar Indiraka wait kar rahi thi. Rishiko dekh kar wo uske pass aati hain , "Daddy aaj aap aaye ho mumma nahi aayi mujhe lene?"Rishi uske samne ghutnope bethta hain, "I am sorry beta daddy late ho gaye. Ab chalo ghar chalte hain phir Khushi aur daddy milkar dher sari masti karenge". Wo usse god me uthata hain aur uske miss ki permission leke usse le jata hain. "Par daddy mumma kaha hain? Wo kyun nahi aayi?"

Rishi : Beta aapki mumma na nanike pass gayi hain. Naniko mumma ki bahot yaad aa rahi thi na isliye wo unse milne gayi hain. Mumma do dinme wapas aa jayengi.

Khushi : Daddy iska matlab aaj mumma mujhe lori nahi sunayengi aur storybhi nahi batayengi?

Rishi : Are aapke daddy hain na daddy aapko lori sunayenge aur story bhi batayenge. Aapko daddy ka office dekhna tha na toh aaj me aapko mere office le jaunga. Khushi iss baatpe khush hoti hain.

At Rishi's office 

Rishi : Meri princessko bahot bhuk lagi hogi na toh batao aaj kya khayegi meri princess?

Khushi : Daddy mujhe na pizza khana hain aur burger bhi...par wo turant apna muh banati hainlekin agar mummako pata chala toh wo bahot datengi. Rishi Khushika chehra dekh kar aww feel karta hain, "Are daddy hain na wo mumma ko bilkulbhi pata nahi lagne denge aap bas order karo ok. Khushi usse pizza, burger order karneko batati hain. Khana aaneke bad dono baap beti khana enjoy karte hain. Khate waqt khushi apna pura face sauce se bhar deti hain aur thoda sauce dresspe girta hain."Daddy sauce dresspe gir gayi".

Rishi : Oh ok koi nahi beta chalo daddy aapka face aur hands wash karke denge aur wo usse washroom le jakar uske muh hath aur dress saf karta hain. "Lo ho gayi meri princess fresh. Ab beta aap na home work karo tab tak daddy bhi apna kam khatam karte hain".Khushi apna home work karne lagti hain Rishi bhi uski help karta hain aur apna kam karta hain. Kuch time bad Khushiko neend aati hain aur wo so jati hain.

At evening

Rishi apna kam jaldi karta hain aur dono baap beti shopping karne mall me aate hain. Rishi grocery sectionme aake bahot confuse hota hain. Khushi apne daddyka chehra dekhti hain, "Kya hua daddy?"

Rishi : Dekho na beta mujhe kuch bhi nahi samaj raha kya lu kya naa lu kuch bhi nahi samaj raha. Hum ek kam karte hain pehle kuch sabjiya lete hain aur wo vegetables ki sectionme aata hain aur sari sabjiya uthata hain. Khushi vegetables dekh kar muh banati hain. "Kya hua? Tumne aisa muh kyu banaya?"

Khushi : Daddy mujhe yeh sabjiya nahi chahiye aur wo usse sari sabjiya wapas rakhwa deti hain. Rishi helplessly uske taraf dekhta hain, "Kya beta aapne toh sari sabjiya rakhwadi ab hum kya kare?" Khushi grocery ke taraf ungli karti hain, "Daddy hum wo lete hain na" aur wo noodleski packetke trolly ke pass aati hain, "Ye lete hain ".

Rishi : Noodles? Noodles khana hain aapko? Khushi sar hilati hain. "Ok chalo yahi lete hain" aur wo noodleske sath kuch juices, chocolates, aur milk lete hain aur sab saman leke ghar aate hain.

Ghar aakar Rishi Khushiko change karwata hain aur khud change karke kitchenme noodles bananeki taiyari karta hain aur packpe di gayi receipe se noodles banane lagta hain. Khushi dinning tablepe bethkar spoonse plate bajane lagti hain,"Daddy jaldi karona mujhe bahot bhuk lagi hain". Rishi kitchense reply karta hain, "Haan beta sirf do minute haa abhi lata hu". Wo noodles le aata hai aur serve karta hain. "Daddy jaldi karo na bahot achhi smell aa rahi hain". Rishi man me, "Thank god achhi smell aa rahi hain matlab noodles achhe bane honge. Ye lo beta" par Khushi tablese neeche utarti hain. "Kya hua? Kaha jaa rahi ho?"

Khushi : Daddy waha tablepe nahi me yaha cartoon dekhte dekhte khaungi.

Rishi : Ok aur wo bowls t-poy pe rakhke TV chalata hain aur dono noodles enjoy karte hain aur sath me Schinchan cartoon dekhte hain. Schinchanki harkate dekh kar Rishi sochta hain, "Hey bhagwan yeh cartoonwale bhi na pata nahi kya kya dikhate hain. Ab ye dekho ye ladka kaise apne baapko pareshaan kar raha hain agar Khushi aise cartoons dekhegi toh mujhe bhi aisehi satayegi... nahi abhi change karwata hu". Wo Khushise kehta hain, "Baby hum na dusra cartoon dekhte hain haan" aur wo channel change karta hain aur Tom N Jerry lagata hain. Usme bhi Jerry Tom ko bahot satata hain. "Lo isme bhi wahi. Sare cartoonsme aise aise tricks dikhate hain taki bachhe wo dekh ke badonko aur pareshaan karte hain. Mujhe Indirako batana padega ki Khushiko yeh cartoons dekhne na de warna Khushi toh bilkul aisehi shaitaniyaan karegi". Wo dono ke bowls sink me rakhta hain aur Khushike pass aakar bethta hain,"Beta chalo hum log kuch game khelte hain. Pata hain agar aapne jyada TV dekha na toh aapko uss cartoon wale uncle jaise itne bade bade chashme lag jayenge". Khushi man jati hain aur apne room me jaake ball leke aati hain, "Daddy humna ball khelte hain". Rishi haa kehta hain aur dono bahar lawn me jake ball khelne lagte hain. Thodi der bad wahape halki halki barish shuru hoti hain. Rishi Khushiko andar leke aata hain, "Chalo beta ab yaha barish ho rahi hain hum andar chalke khelte hain" par Khushi uska hath chhodkar wapas lawn me aati hain, "Nahi papa yahi khelte hain bahot maja aa raha hain".

Rishi : Nahi beta agar aap barishme bhigogi toh aap bimar ho jaogi lekin Khushi nahi manti.Ok lekin sirf thori der ok?

Khushi : Ok aur dono wapas ball khelne lagte hain. Khelte khelte Khushika per fisalta hain. Rishi bhagke uske pass aata hain, "Beta aap thik toh hona na? Daddyne kaha tha na andar chalo dekho ab aapko lag gayi na.

Khushi : Don't worry daddy mujhe kuch nahi laga, mumma kehti hain ki bachhe toh khelte wakt girtehi hain aur me brave girl hu na bilkul aapke jaisi.

Rishi : Are wa meri sherni aur wo usse kiss karta hain. Mumma bilkul sahi kehti hain aur aapko pata hain aap bahot strong girl ho because aap royi bhi nahi.

Khushi : Bilkul aapke jaisi na daddy?

Rishi : Haan Khushi bilkul apne daddy jaisi strong hain. Chalo par ab hum andar chalte hain raat bhi hui hain na aur ab sona bhi hain na kal subah aapko school me aur mujhe officebhi jana hain na chalo ab dono andar aate hain.

Rishi Khushike kapde change karta hain aur khud bhi change karke Indirako phone try karta hain par uska phone nahi lagta. Khushi uske pass aati hain, "Kya hua daddy aap itne pareshaan kyun ho?"

Rishi : Dekho na beta mummaka phone nahi lag raha hain. Ruko haa me wapas try karta hu aur wo wapas try karta hain.

Indira : Hello

Rishi : Hello wiffy kaisi hain aap aur tumhara phone kyun nahi lag raha tha?

Indira : Hello my hubby darling me thik hu. wo actually phone charging pe lagaya tha toh waha network problem hogi isliye nahi laga hoga. Aap aur aapki shehjadi kaisi hain?

Rishi : Shehjadi toh apne king dad ke kingdom me raaj kar rahi hain. Lo tum unhise baat karlo ek minute haan me phone speaker pe dalta hu.

Indira : Hello baby kaisi ho aap?

Khushi : Mumma me aapse naraj hu aapne mujhe bataya bhi nahi na ki aap nanu nani ke ghar jaa rahi ho.

Indira : Awww I am sorry baby. Mumma is very sorry. Beta wo naniko meri bahot yaad aa rahi thi na aur unko thorasa bukhar bhi tha isliye mummako aise turant yaha aana pada par me aagese aapko aise bina bataye kabhi nahi jaungi.

Khushi : Promice na mumma.

Indira : Haan mummawala pakka promice. Ab batao aapne daddyko tang toh nahi kiya na?

Khushi : Nahi mumma maine daddy ko bilkul bhi tang nahi kiya.

Indira : Are wa Khushi toh bahot hi good girl ban gayi hain. Achha batao aapne aaj daddyke saath kya kya kiya?

Khushi : Mumma aaj na daddy mujhe apne sath office le gaye the aur phir humne waha pe pizza aur burger khaya aur phir meri na dress gandi ho gayi thi toh daddyne wo saaf ki uske baad hum shopping karne gaye aur aaj daddyne noodles banaye...mumma bahot tasty noodles banaye the daddy ne phir me aur daddy barishme bheege bahot...bahot maja aaya aur mumma aapko pata hain mujhe na barishme khelte khelte chot lag gayi thi lekin me royi nahi. Ye sab baate sunke Indirako bahot gussa aata hain par wo apne gusseko control karke, "O mere babyko chot lag gayi..par Khushi toh bahot strong hain because aaj wo bilkul bhi nahi royi."

Khushi : Haan mumma daddyne bhi kaha ki me bahot strong hu bilkul unke jaisi.

Indira : Haa. Achha Khushi ab ap jaldise so jao haa kal aapko school bhi jana hain na. Ok chalo ab aap jara apne daddyko phone dena.

Khushi : Ok bye mumma good night aur wo Rishi ko phone deti hain. Ab tak Rishi Khushi aur Indira ki baate sunkar scarysa face banake betha tha. Khushi usse phone deti hain. Rishi man me, "Beta Rishi lag gayi ab teri class". wo phone leta hain aur Khushise kehta hain, "Beta aapne toh sab kuch bata diya mumma ko...aisa nahi karte hain...yeh hum donoka secret tha na". Indira yeh sab sunti hain, "Rishi kya sikha rahe ho tum Khushiko?" Rishi jab Indiraki awaj sunta hain tab turant phone speakerse hatata hain. "Ye tumne aaj ek hi dinme usse bahar ki cheeze khila di. Tumhe pata hain na bahar ke khanese uski tabiyet kharab ho jayegi. Ek din ke liye me kya chali gayi toh tumhe toh jaise puri azadi mil gayi ho".

Rishi : Uff oh tum bhi na wiffy sirf ek din khanese kuch nahi hota aur waise bhi dekho Khushi kitni jyada khush hain. At least ek din toh yeh sab khana dena chahiyena usse waise bhi tum toh roj usse wo hari sabjiya aur wo so called nutritious khana khilati hona toh uss bechari ko yeh khana bhi toh khane dena chahiye na aur dekho wo bahot khush bhi hain.

Indira : Haan khush toh hogihi na tumne uski sari favourite cheeze jo khilayi hain.

Rishi : Off oh kya tum bhi yeh khana khana kar rahi ho yeh sab chodo aur batao mummyji kaisi hain?

Indira : Maa ab thik hain. Unhe asthma ka attack aaya tha iss wajahse tabiyet jyada kharab ho gayi.

Rishi : Aur meri pyari saaliji kaisi hain?

Indira : Mandira bhi thik hain. Sab log tumhe aur Khushiko bahot yaad kar rahe hain pata hain tumhe me yaha par aayi hoon aur sab sirf tumhare aur Khushike baremehi puch rahe hain kisiko bhi ye nahi ki me aayi hoon sab khayal tum donoka hi hain.

Rishi : Ab kya kare me aur Khushi hain hi kuch khass waise are you jealous for me & Khushi? very bad Indira.

Indira : Jealous nahi hoon par mere bareme kisiko bhi nahi padi hain.

Rishi : Uff oh wiffy tum bhi na me hu na tumhare liye.

Indira : Achha abhi ye sab chhodo aur haan Khushiko time pe sula dena usse pahile usse dudh dena mat bhulna aur haan iss bat ka dhyan rakhna ki wo jyada TV na dekhe. Ab me phone rakhti hu.

Rishi : Kya yaar ab me tumse thodisi romantic baate kar raha hu toh tumhe jaldi ho rahi hain huuh... Hitler... Indira iss bat pe hasti hain aur dono aur baate karke phone rakhte hain.

Rishi Khushike pass aake, "Chalo beta ab aapka soneka time ho gaya hain isliye chalo sote hain. Aap apna ye teddy bear leke room me jao me abhi do minute me aata hu"aur wo Dudh ka glass leke room me aata hain. Dudh dekh kar Khushi muh banati hain, " Daddy mujhe dudh nahi pina".  

Rishi : Kyun nahi pina? Dekho aapko chocolate pasand hain na isliye maine isme chocolate powderbhi dali hain. Chalo ab jaldise finish kardo. Khushi dhudh finish karti hain. "That's like my good girl. Chalo ab sote hain".

Khushi : Daddy lori sunaona, mujhe neend nahi aa rahi.

Rishi : Lori? par beta mujhe gana nahi aata fir bhi me try karta hu haa aur wo gane lagta hain. Khushi hasti hain, "Daddy aap kitna ganda gaate ho. Aap mujhe lori nahi story batao".

Rishi : Haan maine kaha tha na mujhe gana nahi aata. Ye storyka bahot achha idea hain aur wo usse story sunata hain. Thodi der bad Khushi usse hug karke so jati hain Rishi bhi uske forehead pe kiss karta hain aur so jata hain.

At morning

Rishike phone ka alarm bajta hain. " Indira alarm band karo na" par koi alarm band nahi karta. Rishi apni aankhe kholke alarm band karke wapas sota hain. Kuch time bad uski neend khul jati hain aur usse yaad aata hain ki Indira gharme nahi hain aur usse Khushiko ready karke school bhejna hain. "Oh shittt...me ye kaise bhul gaya" wo time dekhta hain,"Sirf aadha ghanta baki hain school bus aaneme". Wo jhatse uth jata hain aur Khushi ko uthata hain,"Beta jaldi utho school jana hain na. Utho beta". Khushi pehle nahi uthati par Rishi ke continuously awaj dene ke bad wo uth jati hain, "Good morning daddy" aur wo Rishi ko hug n kiss karti hain.

Rishi : Good morning angel, chalo ab aap jaldise brush karo me tab tak aapka tiffin banata hu. Wo neeche kitchenme aake dekhta hain, "Oh god kya banau tiffin me? Haan sandwich banata hu". Wo jhatse sandwich banake tiffin pack karta hain aur toasterme toast banane dalta hain aur Khushiko ready karne jata hain, "Chalo beta ab aap yeh dress pehenlo". Khushi dress reject karti hain, "Naa ye nahi". Rishi dusri dress nikalta hain, "Toh yeh pehenlo". Khushi wo bhi reject karti hain, "Naa yeh bhi nahi". Rishi helplessly puchta hain,"Yeh bhi nahi? toh ab konsi pehenani hain?" Khushi ek pink colour ki frock nikalti hain, "Yeh wali". Rishi usse jaldise dress pehnata hain aur uske balonki choti banane lagta hain par usse choti banane nahi aati wo wapas ghadi dekhta hain, "Oh shitt sirf 10 minute baki hain. Beta aaj aap aise khule baal rakhke school jao na aap bahot pretty lag rahi ho aise".

Khushi : Nahi daddy miss datengi. Rishi sochta hain, "Aisi kaisi miss hain pata nahi school wale bhi kya kya rules nikalte hain. Ab kya karu? Ek baar wapas try karta hu" aur wo try karta hain aur finally choti ban jati hain, "Thank god ban gayi. Chalo beta aao" aur wo usse neeche lata hain aur usse toast deta hain. Khushi apni bag dhundhti hain, "Daddy meri school bag kaha hain?"

Rishi : School bag haan shayad aapke room me hogi abhi leke aata hu tab tak tum khana khatam karo aur wo bhag ke room me jakar school bag lata hain aur tiffin uske andar rakhta hain, "Ye lo aapki bag aur ye lo aapki water bottol" Wo uske gale me bottol dalta hain. Khushi apne nak pe hath rakhti hain, "Daddy bahot gandi smell aa rahi hain". Rishi confused hota hain, "Gandi smell?" aur uska dhyan kitchenme jata hain. "Oh shittt maine dudh rakha tha gas pe" wo bhag ke kitchenme aata hain. Sara dudh neeche gira hua tha aur dudh ka patila puri tarah se jal chuka tha. "Ye kya hua yar? Shitt... ab ye sab baad me saaf karta hu pehle Khushi ko chhodna hain" aur wo turant ek glassme juice le aata hain, "Yeh lo beta juice pilo aur ye kya aapne abhi tak khana khatam nahi kiya" wo usse khilata hain. Tabhi school bus ke horn ki awaj aati hain, "Chalo beta jaldi chalo" wo usse lekar bahar aata hain. Khushi busme chadhti hain, "Bye daddy".

Rishi : Bye beta aur haan tiffin pura khatam karna haan. Me aajaunga tumhe lene, Bye". Khushi jane ke bad wo lambi saans leta hain, "Thank god sab time pe ho gaya, chalo Rishi beta ab khud bhi ready ho jao" aur wo neeche dekhta hain aur usse realise hota hain ki usne dono perome alag alag chappal pehni hain aur apne shirtke pocket me comb lekar ghum raha hain, "Uff oh yeh sab kya hain?" tabhi wahape ek leady apne bachhe ko chodne waha aati hain aur Rishi ki halat dekh ke usse hasi aati hain. Rishi bahot embrass hota hain.

Leady : Aaj Indira nahi aayi?

Rishi : Nahi darsal wo apne maayke gayi hain toh isliye...

Leady : Oh ok. 

Rishi turant ghar aata hain, "Kya Rishi ek bar apni haalat toh dekh lete" aur wo kitchenme aata hain, "Ab ye sab saaf karna padega" wo kitchen saaf karta hain.

Rishi time pe Khushiko ghar lata hain. 

Khushi : Daddy aaj hum aapke office me nahi jayenge?

Rishi : Nahi beta aaj daddy ne officeme aadhe dinki chutti li hain. Achha batao meri princessne school me kya kya kiya? Khushi excite hoke batati hain, "Aaj humne meri ek friend ka b'day celebrate kiya aur aaj hum bahot khele bhi".

Rishi : Are wah aur aapne tiffin finish kiya? Khushi sar hilati hain, "Haan pura khaya".

Rishi : Good girl. Chalo ab hum khana khate hain aur fir daddy aur Khushi bahot masti karenge aur dono khana khate hain. 

At evening

Khushi Indirako bahot miss karti hain, "Daddy mumma kab aayengi?" Rishi usse apne god me bithata hain, "Khushi ko mumma ki yaad aa rahi hain?" Khushi muh banake, "Haan. Kab aayengi wo? Mujhe mumma se milna hain aap unhe phone karo na" Rishi Indiraka phone try karta hain par phone nahi lagta, "Beta mummaka phone nahi lag raha hain" Khushi apna muh banati hain. Rishi sorry fel karta hain aur sochta hain ki wo Khushike liye kuch karega, " Khushi beta aapko cake pasand hain na bahot?" Khushi sar hilati hain, "toh beta chalo daddy aur Khushi milke cake banate hain".

Khushi : Aap cake banaoge?

Rishi : Haan. Me aur aap milke banate hain ok chalo aur wo deno kitchenme  aate hain aur Rishi cake bananeki pre preparation karta hain. Khushi usse dher saare sawal puchti hain aur wo uske sare sawalonke jawab deta hain. "Daddy mumma abhi kya kar rahi hogi?" 

Rishi : Beta abhi aapki mumma na sabki khichayi karwa rahi hogi. Khushi iss bat pe hasne lagti hain. " Daddy hum na cake pe cherry bhi lagayenge".  Rishi uske nosepe floor lagata hain, "Haan bilkul lagayenge". Wo cake ka batter banake usse bake karne rakhta hain. "Chalo beta ab aap jake cartoon dekh lo tab tak me kitchen clean karta hoon".

Thori der baad

Rishi kitchen saaf karke Khushiko awaj deta hain,"Beta aap roomme chalo me abhi cake leke aata hu" tabhi door bell bajti hain, "Beta aap jao me dekhta hu kon hain?" Khushi apne room me jati hain. Rishi door kholta hain par usse bahar koi nahi dikhayi deta. Wo bahar aake dekhta hain, "Pata nahi kon tha?" wo andar janeke liye turn hota hain tabhi Indira peechese aake uski aankhe band karti hain, "Surprise"... Rishi uska hath hatata hain, "Indira tum...?" Indira uske samne aakar, "Haan me. Wo actually mujhe tum donoki bahot yaad aa rahi thi aur papa bhi apna kam khatam karke aa gaye the isliye me turant yaha chali aayi". 

Rishi : Lekin mujhe toh laga tha ki tum 1 - 2 din baad aaogi.

Indira : Lekin mera waha tum donoke bina man nahi lag raha tha aur maaki tabiyet bhi thik hui thi isliye me yaha aa gayi. Waise lagta hain tum nahi chahte the ki me yaha aa jau. Tumne mujhe bilkul bhi miss nahi kiya Rishi? Rishi apna sar hilata hain, "Haan bilkul bhi nahi kiya. In fact maine toh bahot enjoy kiya". Indira muh banati hain. Rishi hasne lagta hain, "Off oh wiffy yu na aise rutha na karo...me toh majak kar raha tha... sachhi me pata hain kitna miss kiya maine tumhe". Indira khush hoti hain, "Sach me"? Rishi sar hilata hain, "Haan sach me bahot miss kiya". Indira uske gal khichti hain, "Awww mera hubby baby. Mujhe pata tha ki tumne mujhe bahot miss kiya me bhi toh majak kar rahi thi after all biwi hu tumhari. Chalo ab anadr chalte hain". Rishi uska hath pakadta hain, "Kya hua?" Rishi usse apne taraf khichta hain, "Pure ek din baad aayi ho ek pyarwali jhappi toh dedo" wo dono hug karte hain.

Indira : Khushi kaha hain?

Rishi : Apne room me. Wo tumhe bahot miss kar rahi hain aur pata hain wo bahot upset hui thi toh isliye maine uske liye cake banaya hain. 

Indira : Wah kya baat hain toh aaj Mr. Architect cheff ban gaye beti ko khush karne ke liye.

Rishi : Haan toh me apni beti aur uski maako khush karne ke liye kuch bhi ban sakta hoon.

Indira : I know. Achha suno tum na usse batana mat ki me aayi hoon hum usse surprise dete hain.

Khushi apne room me teddy ke sath khel rahi thi. Indira aake uske peechese hug karti hain, "Hello mera baby, mera shona, meri sone ki pari". Khushi Indirako dekh ke bahot khush hoti hain, "Mumma aap...aap aa gayi. Pata hain maine aapko kitna miss kiyaaur pata hain mumma daddyne na mujhe kal story sunai aur aaj unhone mere liye cake bhi banaya". 

Indira : Are wa iska matlab Khushiko bahot maja aaya aur mummane bhi aapko bahot miss kiya. Rishi wahape cake lata hain, "Chalo ab hum cake cut karte hain". Teeno milke cake katkar ek dusreko khilate hain.

Khushi : Wow daddy cake bahot yummy bana hain. 

Rishi : Thank you meri barbie doll aur wo uske chehrepe cream lagata hain aur chupkese Indirake muh pe bhi lagata hain."Rishi yeh kya kiya tumne?" Wo uske pass aata hain aur uske gaalpe kiss karke cream lick karta hain. Indira sharmake, "Rishi yeh kya kar rahe ho Khushi bhi hain yaha." 

Rishi : Are sirf kiss hi toh kiya hain baaki ka baadme karunga aur Khushi toh abhi cake khane me busy hain na. Khushi unko awaj deti hain aur cake ka ek piece unhe khilati hain. Rishi usse god me uthata hain aur phone nikalke teeno ki selfie nikalta hain.  

Thank you Seema di for helping me 🤗

Edited by Ketaki19 - 9 years ago
Posted: 9 years ago
bohot achcha os hai
ye meri muskaan ki behen hai😃
Posted: 9 years ago
Originally posted by -Paulomi-


bohot achcha os hai
ye meri muskaan ki behen hai😃
thanks
haa toh me bhi aapki behen hu na isliye me aapki muskaan ki behen ko bhi le aayi 😃 
Posted: 9 years ago
Originally posted by Ketaki19


thanks
haa toh me bhi aapki behen hu na isliye me aapki muskaan ki behen ko bhi le aayi 😃 
vo bhi bina ma baap ke😆
Posted: 9 years ago
Originally posted by -Paulomi-


vo bhi bina ma baap ke😆
😆 dil ka dilse connection 😳😆
Posted: 9 years ago
Originally posted by designersaini


hayee...its d cutest OS
haa 😳 thanks

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

13 Participants 76 Replies 14299Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by ShivIka..Ketaki

loader
loader
up-open TOP