~Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain~ - Page 2

Posted: 9 years ago
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ke phool apni qabain kutar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
woh saro qad hai magar be'gul e muraad nahen
ke shajjar pe shagoofe sammar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
bas ik nigah se lut'ta hai qafila dil ka
so rehrawan e tamana bhi darr ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
suna hai us ke shabistan se mutasil hai baheesht
makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
kise naseeb k be pairehan usay dekhe
kabhi kabhi dar o dewar ghar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago

kahaniyan hi sahi sab mubalghe hi sahi
agar woh khawab hai tabeer kar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
ab us ke sheher mein tehrein ke kooch kar jayen
Faraz aao sitare safar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
abhi kuch aur kaarishme ghazal ke dekhte hain
Faraz aao ab zara lehja badal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
judaiyan toh muqadar hain phir jaan e safar
kuch aur zara sa durr chal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
raah e wafa ,mein hareef e kharaam koi toh ho
so apne aap se agy nikal ke dekhte hain..

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 84 Replies 4694Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by .ButterCup.

loader
loader
up-open TOP