~Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain~ - Page 3

Posted: 9 years ago
tu saamne hai toh phir kyun yaqeen nahen atta
yeh bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
yeh koun log hain mojood teri mehfil mein
jo lalchon se tujhe, mujh ko jal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door rahe
hazaar ek hi qalb mein dhal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui..
so ab ke dono hi chalein badal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
yeh koun hai sar e sahil ke doobne wale
samandrun ki tahoon se uchal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
abhi talak toh na kundan huye na khaak huye
hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain
Posted: 9 years ago
bohut dino se nahe hai kuch uski khair khabar
chalo faraz ko, aye yaar chal ke dekhte hain

~~**~~**~~**~~**
Posted: 9 years ago
Suna hai loog usay aankh bhar ke dekhte hain
So uske sheher mein kuch din teher ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
Suna hai rabat hai us ko kharaab haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

Posted: 9 years ago
Suna hai dard ki gahak hai chasham e naaz uski
So hum bhi uski gali se guzar ke dekhte hain

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 84 Replies 4693Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by .ButterCup.

loader
loader
up-open TOP