Amjad Islam Amjad~Muhabbat Ki Surat - Page 2

Posted: 9 years ago
Aaj yu'n muskuraa ke aye ho,
Jese sab kuch bhulaa ke aye ho,

Yeh nishani hai dil ke lagne ki,
Yeh jo tum aaj jaa ke aaye ho,

Bhool kar bhi jis tarah koi aye,
Sheher mein yu'n wafaa ke aye ho,

Kyon jhapakti nahin meri ankhain,
Chandni main nahaa ke aye ho,

Dil samandar mein chaand sa utra,
Kesi khushbu laga ke aye ho,

Subah ki avleen kiran ki tarah,
Raat saari jagaa ke aye ho,

Kya bahana bana ke jana hai,
Kya bahana bana ke aye ho,

Koi jhonkey se kis tarah pooche,
Kitni shamain bhujaa ke aye ho,

Aagaye ho to aao, Bismillah,
Der lekin lagaa ke aye ho,

Be'kali is qadar kyon Amjad,
Kya kahin kuch ganwaa ke aye ho..
Posted: 9 years ago
Mujhe khud se hain shikaytain, Mujhe zindagi se gilaa nahin,

Ke jo chaha mene woh paa liya, Nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mere aas paas hai roshni, Mere raaston mein chirag hain,

Yeh tere karam ka hai mojzaa, Meri justuju ka silaa nahin,

Teri aankh se jo haseen ho, Woh nigaah jag main bani nahin,

Tere rukh ko jis se misaal doon, Koi aesa phool khilaa nahin,

Yeh jo teri zulf ka hai haashia, Yeh jo tera chehra hai khush'numa,

Koi raat aesi siyaah nahin, Kisi subaah mein yeh jala nahin,

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain! Yeh jo aayino ki hain hairtain,

Hain azzal se sab yeh isi tarah, Koi apni jagha se hillaa nahin..

Posted: 9 years ago
Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam

Ke Badla Hee Nahee Jaanan Tumharay Baad Ka Mausam

Nahee Tou Aazma Ke Dekh Lo, Kaisay Badalta Hai ?

Tumhaaray Muskaraanay Se Dil-e-Nashaad Ka Mausam

Kaheen Se Os Haseen Awaaz Ki Khusbuu Pukaaray Gi

Tou Is Ke Saath Badlay Ga Dil-e-Barbaad Ka Mausam

Qafas Ke Baam-o-Dar Mein Roshni Si Aayi Jaati Hai

Chaman Mein Aagaya Shayad Lab-e-Aazaad Ka Mausam

Mere Sheher-e-Pareshaan Mein Teri Be-Chaand Raaton Mein

Bohat Hee Yaad Karta Hun Teri Bunyaad Ka Mausam

Na Koi Gham Khizaan Ka Hai, Na Khwaahish Hai Bahaaron Ki

Hamaaray Saath Hai "Amjad" Kisi Ki Yaad Ka Mausam
Posted: 9 years ago
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koi aahat koi saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab tootnay lagtay han shaanay tu
yeh un pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak...yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat

Edited by Chandni.. - 9 years ago
Posted: 9 years ago
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaa say jagmagatay hain
keh pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main...shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

Posted: 9 years ago
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharrakti hay ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat...

Posted: 9 years ago
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bay namoo matti main sabza sar uthata hay
jo dil hian qabar ki surat...mohabbat abar ki surat

Posted: 9 years ago

Jab bhi ik shaam yaad ati hai,
Jese duniya theher si jati hai,

Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya,
Aur yeh scene kayenaati hai,

Yu'n bhi hota hai sher, baaz aukat,
Jese bijli si koond jati hai,

Maut se ham'kalaam hone ke,
Zindagi raste dikhati hai,

Haar hoti hai aarzi, us ko,
Be-dili mustakil banati hai,

Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai,

Us ke dam se hain ronaq'en sari,
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai,

Baat koi samajh nahin ati,
Baat itni samajh mein ati hai..

Posted: 9 years ago

Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain

Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain

Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain

Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain

Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain

Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain

Posted: 9 years ago

Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye,
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye,

Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan,
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye,

Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf,
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye,

Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal,
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye,

Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha,
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye,

Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan,
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye...

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 75 Replies 8575Views

Topic started by .ButterCup.

Last replied by .ButterCup.

loader
loader
up-open TOP