Inshi ff : Pyar to hona hi tha 2nd thread last c 56 pg 49 - Page 3

Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


part 19
Ye simmi n shekhar kiss bat ko bataneki baat kar rahe hain? chalo aage pata chalegahi mujhe πŸ˜†
Hayee kya inshi scenes dale h tune by god.. rishi ne help ki indiraki πŸ‘
last moment is awww πŸ˜³ πŸ˜³
haa inshi ke scenes mujhe bhi pasand aaye bahot isme πŸ˜³ thanks di
haa toh ab shadi ki h toh saath bhi dega na rishi indirako πŸ˜³
Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


part 20
bol na halke halke baja πŸ˜³ πŸ˜³
mast lovely update πŸ˜³ sameer ek mauka nahi chhod raha inshi ko tease karneka πŸ˜†
haa bnhh πŸ˜³
haa to bhai jo h to kaise chodega mauka πŸ˜† πŸ˜†
Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


waise tu gana dalna sikh gayi πŸ‘ chalo ab me bhi sikh jaungi tumse πŸ˜†
haa pakka sikhaungi na πŸ˜³
Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


part 21
bechare inshi ek saath ghumne jana pad raha hain πŸ€£ πŸ€£
yar ye simmi n shekhar kya chupa rahe hain πŸ€”
πŸ˜† bechare jana nahi chahte the lekin kya karte bechare πŸ˜† πŸ˜†
aap padho aapko samaj jayega 
Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


part 22
perfect song on perfect situation πŸ‘
sare inshi ke scenes mast h πŸ˜³ 
rishi thora thora attract ho raha h indira ke taraf β˜ΊοΈ
thanks 
haa ab hoga attract 
Posted: 9 years ago
Originally posted by Dnyanu16


chalo 64 tak pahuchi me πŸ˜Š
ab baki ke baad me πŸ˜† 
finally pahuch gayi aap πŸ˜† ok 
Posted: 9 years ago
pepepe...pepe... πŸ₯³ πŸ€—
congo ji congo...naye thread di mubaraka ji mubaraka...
Lekin nxt update kab milega hume😳
Posted: 9 years ago
Originally posted by designersaini


pepepe...pepe... πŸ₯³ πŸ€—
congo ji congo...naye thread di mubaraka ji mubaraka...
Lekin nxt update kab milega hume😳
thanks di
aaj ya kal pakka dungi 
Posted: 9 years ago

Chapter 47

Indira Rishi ke liye soup banake lakar Rishiko pine ke liye deti hain ,"Ye lo Rishi soup pilo". Rishi soup ko dekh kar muh banata hain, " Ye tasteless soup mujhe nahi pina Indira. Please kuch tasty leke aao na, mere muh ki taste puri bigad gayi hain aur usme ab yeh soup toh me bilkul nahi piunga". Indira gusse se uske taraf dekhti hain, "Haan mat pina aisehi bhuke rehna par me tumhe koi tasty food nahi dungi. Tasty khana matlab wahi na chatpata chat aur pizza, burger?" Rishi usse bachhonwali smile deta hain. "Dekho toh jara jaisehi pizza, burger aur chat ka nam liya toh janab ka chehra khil utha par sorry me tumhe yeh sab nahi de sakti. Agar tumhe bhuka nahi rehna hain to soup pinahi padega warna..." Rishi apna muh bachhonke jaisa phulata hain. "Kya kar rahe ho Rishi? Ab aise bachhonke jaisa muh mat phulao pura cartoon dikhte ho aur dekho agar tum jaldise thik huye toh tumharahi fayda hoga na tumhe ye aise soup jyada din nahi pina padega na. Ab chalo jaldise achhe bachhe ki tarah soup khatm karo aur dawai lelo".

Rishi : Huuhhh... aise samjha rahi ho ki jaise me koi chhota bachha hu.

Indira : Harkate dekho apni puri bachhonki tarah behave kar rahe ho. Chalo ab jaldi khatm karo" aur wo usse medicines bhi deti hain. Indira Rishi ki achhese care leti hain. Rishi ki tabiyet kuch dinome achhi hoti hain. 

Samay aisehi jaldi jaldi beetne lagta hain actually samay humesha ki tarah hi betata hain par InShi ke bareme dekha jaye to jaldise beetata hain. Indira DF se bahot attatched hoti hain. Dadi toh Indiraki bahot achhi dost banti hain. Simmi Indiraki jindagiki maa ki kami bhar deti hain. Payal, Priya Indiraki dost kum sisters banti hain. Indira puri DF me achhese ghulmil jati hain.

After 5 months

In 5 mahinome InShi bhul jate hain ki unka contract khatm hone ke liye ab sirf ek mahinahi bacha hain.

Ek din Subah

Rishi  office ke liye ready ho raha tha, "Indira... Indira... please idhar aao na..."

Indira : Uff oh Rishi kyun chilla rahe ho?

Rishi : Dekho na ye tie nahi bandh rahi mujhse. Please bandhwa do na.

Indira : Kya Rishi itne bade hokar ek tie bhi nahi bandh sakte tum.

Rishi : Me toh bandh leta par yaad hain na ek bar tumnehi comment ki thi me tie businessman ki tarah nahi bandh sakta. Toh ab tumhi meri help kardo na please. Dekho mujhe late bhi ho raha hain please... Indira tie bandhne lagti hain. Rishi uske taraf dekhta hain. "Rishi aise mat dekho mujhe distraction hoga aur ab tumhe perfectly tie bandhna sikh jana chahiye".

Rishi : Kyun me kyun sikhu? Tum ho na bandhwane ke liye phir kya tension hain? Ab meri biwi itna perfectly tie bandhti hain toh main kyun sikh lu? aur wo wink karke chala jata hain. Indira iss baat pe hasti hain.

At Indira's office 

Radhika : Ye husband log bhina ek kam apne biwionke siva karhi nahi sakte.

Indira : Kyun kya hua? Bahot pareshaan lag rahi ho.

Radhika : Pareshaan naa hu toh aur kya karu? Pata hain aaj unhone dinner karneki jimmedari li hain aur ab baar baar mujhe phone karke pareshaan kar rahe hain ki yeh kaha hain, wo kaha hain, ye kitna dalu, uska kya karu...ufff... me pareshaan ho gayi hu. Indira usse pani ka glass deti hain, " Yeh lo pani pilo."

Radhika : Thanks. Waise Indira Rishi bhi tumhe aise baat baat pe satate hain?

Indira : Bahot satate hain. Pata hain unki subah hoti hain wo mere namse hi. Jab wo uthte hain na tab ek awaj aati hain Indiraa please AC off kardo na thand lag rahi hain, uske bad jab bhi nahane jate hain na humesha apna towel bhul jate hain , aur sabse badi baat pata hain tumhe unhe abhi tak tie bandhna bhi nahi aata wo bhi me hi bandhwa deti hu aur dono hasti hain. Par pata hain Radhika jaise wo mujhpe depend hain na waise me bhi unpe depend hu. Jab bhi mujhe koi problem aati hain na me turant unke pass jati hu aur wo bhi meri problem aise chutkionme solve kar dete hain. Pata hain tujhe me unki wajahsehi khana banane ko sikhi, unke wajahse mujhe itni pyar karnewali family mili. I am very lucky Radhika jo mujhe Rishi jaise husband mile hain. Pata hain wo mujhe hitler biwi bulate hain aur me unko jugadu patidevji. Hum log bahot jhagdte bhi hain aur masti bhi karte hain. Aur pata hain...

Radhika : Are bas...bas... Me samaj gayi. Matlab tumhari married life bahot achhese gujar rahi hain... Ab tumhari har baat Rishise shuru hoti hain aur Rishi pehi khatm hoti hain. Indira tumhare dil, dimag, man pe ab sirf Rishihi chaye huye hain. Sach me tum bahot badal gayi ho Indira.. ab tum wo puraniwali Indira nahi rahi aur wo hasti hain. Tabhi waha peon aakar Radhikako boss ka kam batata hain. Radhika boss se cabin me jati hain. 

Indira Radhikaki batonpe sochne lagti hain, "Kya sachme badal gayihu...kya sachme me ab wo purani Indira nahi rahi? Kya mere dil, dimag me sirf Rishihi hota hain?" aur usse Rishi aur uski first meeting yaad aati hain aur wo smile karti hain.  

o re manwa tu toh baawra hai..
tu hi jaane tu kya sochta hai..
tu hi jaane tu kya sochta hai.. baawre..
kyun dikhaye sapne tu sote jaagte..
jo barse sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
nainon ko moond moond..
jo barsein sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
kaise main chaloon.. dekh na sakoon
anjaane raaste..

goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara.. iktara..
dheeme bole koi iktara iktara..
dheeme bole koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..

Sham ko Indira ghar aati hain aur fresh hokar kitchemne Simmike pass aati hain , "Mummyji aapse ek puchna tha".

Simmi : Haan pucho na beta.

Indira : Mummyji wo...wo kya me  aajka dinner banau? I mean...I mean me khana banau? Agar aap permission de toh...

Simmi : Isme permissionki kya baat hain beta? Agar tum banana chahti hain to banao na..

Indira : Thank you mummyji

Simmi : Ye galat hain Indira, maa bhi kehti ho aur thanks bhi kehti ho? Me bhi toh dekhu ki meri bachhi ko kya kya aata hain aur dono hasti hain. Indira sara khana bana leti hain. Simmi bhi uski madad karti hain.

Kuch der baad

Sameer officese aata hain. Simmi Rishike bareme puchti hain. Sameer kehta hain ki Rishi ek meeting ke kam me busy tha isliye usse aaneme deri hogi aur sab log dinner karte hain. Indira kitchen ka kam niptakar apne room me aati hain aur laptop pe kam karti hain par usse boar hota hain aur uska dhyan InShike shadi ke pics ki folder pe jata hain. Wo folder open karke pics dekhne lagti hain. 

o re manwa tu toh baawra hai..
tu hi jaane tu kya sochta hai..
tu hi jaane tu kya sochta hai.. baawre..
kyun dikhaye sapne tu sote jaagte..
jo barse sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
nainon ko moond moond..
jo barsein sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
kaise main chaloon.. dekh na sakoon
anjaane raaste..

Usse Radhikaki bate yad aati hain. Wo sochne lagti hain, "Haan sahi keh rahi hain Radhika me puri tarahse badal gayi hu. Mera roop badal gaya hain, mera attitude badal gaya hain. Aur ye sab Rishi ki wajahse hua hain. 

goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara.. iktara..
dheeme bole koi iktara iktara..
dheeme bole koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..

Ussi waqt usse door bell sunai deti hain aur wo neeche aati hain. "Rishi aa gaye tum. Bahot der hui aane me". Rishi uske haathme apni bag deta hain , "Haan Indira aaj bahot kam tha officeme" aur wo dono roomme jate hain. "Tum itni der tak jag rahi thi?"

Indira : "Haan wo actually kuch kam pending tha na wohi kar rahi thi. Rishi tumhe bhuk lagi hogi na tum ek kam karo jaldise fresh ho jao me tab tak khana lagati hu" aur wo neeche aati hain. Rishi fresh hokar neeche aakar dinning tablepe beth jata hain ,"Bahot bhuk lagi hain" aur wo ek byte khata hain, "Bhai waah...kya sabji bani hain..bahot mast". Indira usse smile deti hain. "Par ye sabji maane nahi banayi hain kyunki unke hathka khana me jhatse pehchanta hu". Indira usse roti parosti hain, " Haan sahi kaha yeh khana maa ne nahi maine banaya hain. Kaisa hain?" Rishi Indirake taraf shockse  dekhta hain, "Kya? Tumne banaya hain ye sab? Bahot mast banaya hain" aur wo uske hathko kiss karta hain.

Indira : Rishi...

Rishi : Oh sorry... wo actually khana itna tasty bana hain na ki me khudko rok nahi paya sorry haan.

Indira : Chhodo koi baat nahi. Waise kaisa gaya aaj ka din? Rishi bahot excite hokar uske meetingke bareme batata hain. Indira uski baatein shantise sunti hain par actually uska dhyan uski batonse jyada Rishi pe hi hota hain.  

sun rahi hoon sudhbudh kho ke koi main kahani..
poori kahani hai kya kise hai pata..
main toh kisiki ho ke yeh bhi na jaani..
rut hai yeh do pal ki ya rahegi sada..

Rishi usse sabji parosneko kehta hain par Indiraka dhyan nahi hota hain Rishi usse hilata hain, "Kya hua Indira? Tumhara dhyan kidhar hain?"

Indira : Nahi...nahi kuch bhi to nahi aur wo usse sabji parosti hain.

kise hai pata.. kise hai pata..

"Rishi yeh dekho maine tumhare liye ye bhi banaya hain", aur wo badam ka halwa dikhati hain. Rishi halwa dekh kar bahot excite hota hain, "Wowww... badam ka halwa ye toh mera bahot favorite hain". Indira ek bowl me halwa parosti hain, "Ye lo khake batao kaisa bana hain. Mujhe pata hain maake jaisa nahi bana hoga par taste karke dekho". Rishi ek byte khata hain, "It's yummyy Indira , bahot mast bana hain. Tumne khaya?" Indira sar hilati hain, "Nahi maine nahi khaya.. mujhe meetha pasand nahi hain".

Rishi : Nahi khaya? Khake dekho Indira bahot mast bana hain. Ek minute mehi khilata hu" aur wo ek byte usse khilata hain , "Mast bana hain na?"

Indira : Haan, yakeen nahi ho raha yeh maine banaya hain aur dono haste hain. Indira kitchenka kam niptakar room me aati hain. Rishi book padh raha tha. Indira balconyme aati hain aur aasmaan me dekhti hain. 

jo barsein sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
nainon ko moond moond..
jo barsein sapne boond boond..
nainon ko moond moond..
kaise main chaloon.. dekh na sakoon..
anjaane raaste..

goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara.. iktara..
dheeme bole koi iktara iktara..
dheeme bole koi iktara..
goonja sa hai koi iktara iktara..
goonja sa hai koi iktara..

Rishi Indirake pass aata hain, "Kya hua Indira neend nahi aarahi?"

Indira : Nahi na.

Rishi : Neend nahi aa rahi toh ab kya kare? Usse kuch baat yad aati hain, "Dekho me tumhe ek baat batana bhul hi gaya".

Indira : Kaunsi baat?

Rishi : Maine tumhe aaj ki meeting ki sari baate bata toh di par uss companyka namhi nahi bataya jisse ye contract hone wala hain. Indira, jab tum sunogi na nam tum bahot khush ho jaogi.

Indira : Achha..really aisa kiska nam batanewale ho tum?

Rishi : Wo tumhe yaad hain Prakash, Aditike gharme party thi tab tumhari friend Aayeshase tumne mujhe milwaya tha.

Indira : Haan yaad hain par kyun? Aur wo Rishike taraf jerkse dekhti hain, "Kahi Aayeshahi..." Rishi usse meaningful smile deta hain, "Haan Indira wo company aur kiski nahi balki Aayeshaki hi hain. Jab maine usse conference hall me dekha tha tab me pura chauk gaya fir mujhe mere secretary ne bataya ki Aayeshahi Chopra's builder's ki M.D. hain."

Indira : Oh that's great. To ab tumhe contractme koi problem nahi aayegi. Waise ek baat hain Rishi tum na Aayeshase jara sambhalkar hi rehna kyun ki wo kya hain na Aayesha tumhare jaise handsome ladkonpe line bahot marti hain. Yaad hain na  uss din partyme kaise line mar rahi thi aur dono bahot haste hain.

Rishi : Indira tumhe ab bhi neend nahi aa rahi?

Indira : Nahi , par tum so jao Rishi. Tumhe kal jaldi officeme bhi jana hain na to jao tum jake so jao. Good night. Rishi sone jata hain.

Thodi der bad Indira room me aakar Rishike taraf dekhti hain, "Ye Rishi bhi na kambal bhi thik se odhkar nahi sota". Wo uske pass aakar achhese kambal dalti hain. "Bilkul bachhe ho tum Rishi, kabhi kabhi tum par itna gussa aata hain par tum aise bachhonki tarah apna muh banate ho ki gussa aise chutkionme jata hain aur kabhi kabhi bahot fikar hoti hain tumhari , tum bahot innocent ho Rishi, bahot masum ho, pata hain kabhi kabhi sochti hu ki koi bhi insaan itna masum kaise ho sakta hain..." aur wo usse dekh kar smile karti hain aur bal banane ke liye dressing table ke samne beth jati hain aur aayneme khudko dekhti hain ,"Radhika sach bol rahi thi me bahot badal gayi hu. Ye sindoor, mangalsutra, ye chuda in sab cheezonpe mujhe kabhi pyar nahi aata tha. Ye sari cheeze mujhe bedionki jaise lagti thi par ab jab bhi me ye sari cheeze nahi pehnati toh bhaot ajibsa lagta hain. Ye sari cheezein meri jindagi ka ek hissa ban chuki hain aur ye sare badlav mere jindagi me Rishike wajahse huye hain"  aur wo Rishi ke pass bethkar uska hath apne hath me leti hain , "Pata hain Rishi maine apni puri jindagime sirf apne dad aur bhaiya ke alawa kisipe bhi itna yakeen nahi kiya jitna tumpe kiya hain, maine tumhare saath apni har baat share ki hain aur kuch kuch baate aisi bhi hain jo maine na dadko batayi aur naa kabhi bhaiya ko. Tumhare wajahse meri puri jindagi badal gayi hain, mera attitude badal gaya hain, tumhare saath rehkar maine sharing karna sikha hain, tumhare wajah se mujhe itna pyar karne wala pariwar mila hain. Maine kabhi bhi itni badi family nahi dekhi thi lekin iss ghar me aakar mujhe sare rishtonki ehmiyat samjhme aayi, Maa jaise pyar karnewali mummy ji mili, papaki kami puri karnewale papaji mile, Bhai jaise Sameer bhaiyaa mile, Payal , Priya di toh meri dost kum behene ban gayi, aur sabse badi baat mujhe dadi mili aur wo bhi meri best friend ki roop me. Me bahot lucky hu Rishi jo mujhe in sabka pyar mila hain. Aur rahi baat tumhari toh tum mere friendse jyada ban gaye ho. Pata hain jab tum haste ho na tab lagta hain ki wo pal yahi thum jaye aur tum aisehi muskurate raho. Jab tum gussa hote ho na tab tumhare gaal aise bachhonki tarah phul jate hain tab mera man karta hain tumhare gal aise khichu aur tumhe hasau. Tum jab apne kapde aisehi wardrobe me fek dete ho na tab mujhe bahot gussa aata hain aur tab lagta hain ki pura wardrobe tumse saaf karwa du. Pata hain tumhari har chotisi choti bat ab mere jindagi ka hissa ban chuki hain. Jab pehli bar tumne mujhe chua tha na tab mujhe bahot ajib laga tha aise lag raha tha ki jaise mere peth me titliya udd rahi hain. Pata nahi par wo tumhara touch bahot ajib tha...me me uss feelings ko aise shabdonme bayan nahi kar paa rahi hu. Agar log aisi sari feelings ko pyar karna kehte hain toh yesss Me tumse pyar karne lagi hu Rishi. I love you. I love you Rishi". Wo Rishi ke chehre ko cup karti hain aur usse ek gal pe kiss karti hain aur forehead pe kiss karti hain, " I love you...Rishi".

Wo wapas apna chehra aayneme dekhti hain usse apne chehre pe ek ajibsa glow najar aata hain, "Kitna khoobsurat ehsaas hain ye... me...me ye ehsaas khulke jeena chahti hu...chahe kuch bhi ho jaye me ye shadi nibhana chahti hu...Me humesha humesha ke liye Mrs. Indira Rishi Diwan banana chahti hu... Haa...me humeshake liye Rishi ke saath rehna chahti hu..." aur uski aankhome pani aata hain. Wo aankhe pochti hain aur Rishi ke pass jakar uske chest pe apna sar rakh kar so jati hain. Rishi bhi usse hug karke aur pass lata hain aur dono ke chehrepe ek anjanisi khushi hoti hain aur dono sukoonse so jate hain.

Edited by Ketaki19 - 9 years ago
Posted: 9 years ago
Superb superb dhum ketu...
Hayeee...kya update tha...awesome...loved it..
1st part mein dat tie wala scene was nice
den dat song 'iktara' one f my fav perfect song fr dsituation...n is song ne indira ke views ko bhi bohot khubsoorat bana dia...amazing...
In d end indira ne rishi ke liye khana banaya dat was awesome scene
n last mein jis tarah se indira ne apni feelings ko mehesoos kia unhe samjha n confess kia was the best n d beautiful part f dis update...all d wordings, d dialouges...superawesome...
Hayeee...loved it
waise aaj maine socha ki indira ko neend nahi aa rahi hai to wo dono apni story puri karenge but never mind...phir kabhi kar leneg...but d sad part is ki sirf 1 mnth bacha hai unke contract ko pura hone mein

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

11 Participants 375 Replies 28126Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by designersaini

loader
loader
up-open TOP