Inshi ff : Pyar to hona hi tha 2nd thread last c 56 pg 49 - Page 31

Posted: 9 years ago
Originally posted by Bharu11


superb update ketu

thanks di
Posted: 9 years ago
Originally posted by Ketaki19



yess divorce huahmm aayesha toh frend h uski
@ bold🤣🤣
oye tu hass rahi h mujhe rishi ka darr h kahin chamatkaar na ho jae uska aayesha ke haatho...waise bhi indira ne warn kia tha rishi ko about dat aayesha n idhar she is bhadkaoing rishi against indira aur wo bhi maan raha h uski baat...
Ab to seriously mein darr lag raha h mujhe
Posted: 9 years ago
Originally posted by designersaini


oye tu hass rahi h mujhe rishi ka darr h kahin chamatkaar na ho jae uska aayesha ke haatho...waise bhi indira ne warn kia tha rishi ko about dat aayesha n idhar she is bhadkaoing rishi against indira aur wo bhi maan raha h uski baat...
Ab to seriously mein darr lag raha h mujhe
chamatkar ??? ðŸ¤£ ðŸ¤£ me illa hu jo uska chamtkar kar dungi ðŸ˜¡ ðŸ¤£ 
haa toh agar rishi apna sapna pura karnehi jaa raha hain na aur rishi ne indirake bareme kaha mana? Usse toh lagta h na ki indira aisi nahi h n all
Posted: 9 years ago
Chapter 53
Aayesha Rishike sath restaurantme jati hain. Order deneke bad Aayesha hath dhone ke liye uthati hain, tabhi uska per fisalta hain aur wo Rishipe girti hain. Dono ek dusre ke taraf dekhte hain. Dono ko talionki awaj aati hain, dono uss taraf dekhte hain, waha Inder aur Indira dono ko dekh rahe the. Aayesha turant khadi rehti hain,"I am sorry Rishi, wo mera per..." Inder usse rokta hain,"Dekha Indira, uss din tum mujhpe chillayi thi na lekin ab khud tumne apni aankhose dekha hain, toh ab tumhara kya kehna hain?" Rishi turant khada rehta hain,"Sorry uncleji, par abhi aapne jo dekha wo sirf ek accident tha, wo iska per fisal gaya aur wo mujhpe..."

Inder : Achha yeh accident tha toh kuch din pehle jo maine dekha tha wo kya tha?

Rishi : Matlab? Me samjha nahi uncleji

Inder : Tum itne bhole nahi ho Rishi fir bhi me batata hu, kuch din pehle maine tum dono ko central mall me ghumte huye dekha tha.

Aayesha : Are uncle toh usme kya hua? Haan maine mana hum gaye the mall me toh isme humne kya gunah kiya?

Inder : Nahi, koi gunah nahi kiya par tum log jiss tarikese ghum rahe the wo bahot ajib laga mujhe. Generally toh koi bhi ladka ladki hathonme hath lekar nahi ghumte hain, wo bhi uss din jab Rishine divorce paper sign karke bheje the. Achha hua maine tum dono ko dekh liya taki mujhe iss ladke ki asliyat toh pata chali. Meri phool jaisi bachhiki jindagi barbad karke yeh apni jindagi majese jee raha hain. Bahot achha hain Rishi... bahot achha hain. Indira, dekha beta maine kaha tha tumse ye sab par tumne meri baat pe yakin nahi kiya par ab toh tumne khudne dekha hain, ab toh manti ho na meri baat?

Rishi : Uncleji, please aapki misunderstanding hui hain, uss din mall me maine Aayesha ka hath sirf isliye pakda tha kyunki uske perme moch aayi thi. Aap jaisa samaj rahe hain waisa kuch bhi nahi hain. Abhi bhi jo hua wo uska per fisla tha isliye wo mujhpe giri thi.

Aayesha : Haan uncleji, par aap toh kuch aur hi soch rahe ho. Waise Rishi tumne bahot achha kiya jo mere sath US jaane ka decision liya warna pata nahi yaha ye log tumhe pura pagal kar dete. Indira abhi tak sari baat sun rahi thi par Aayeshaki bat sunkar usse bada shock lagta hain. Wo Rishike taraf dekhti hain, Rishi kuch der uske taraf dekh kar sar neeche karta hain. Uncleji aapko pehle achhese puri baat jan leni chahiye thi.

Indira : Bas... bas Aayesha ab ek shabd bhi mat bolna. Ye mere dad hain aur inse aisi karneka tumhe koi hak nahi hain. Waise bhi yeh mere dad hain, inhe meri fikar hain isliye unhone yeh sab kaha tha. Waise bhi dekha jaye toh galti inki nahi hain, aap dono ko koi bhi agar aise dekhta na toh aisehi react karta. Rishi uski baatse shock hota hain, "Indira... tum bhi..."

Indira : Maine kya galat kaha? Waise bhi Rishi maine bhi tum dono ko ghumte huye dekha hain par tab maine socha tha ki tum dono sirf dost ho par ab aaj jo dekha usse dekh kar aisa bilkul nahi lagta. Rishi, mujhe ek bat batao, tumhe to ye pyar, shadi iske chakkar me nahi fasna tha na toh ab yeh sab... ya aisa toh nahi ki ek bar shadi ka experience leke tumhe wapas shadi karneki ichha hui hain? Rishi iss batse bahot gussa hota hain, "Indira apni jaban sambhalkar baat karo..."

Inder : Bas karo Rishi. Indira beta chalo yahase. Hume yaha koi tamasha nahi karna hain, chalo. Wo dono wahase jate hain. Jate waqt INSHI ek dusre ke taraf gusse se dekhte hain.

Indira janeke bad Rishi dukhi hokar chair pe bethata hain. Aayesha uske kandhe pe hath rakhti hain, "Chhodo Rishi, tum apna mood spoil mat karo".

Rishi : Aayesha please mujhe akela chhod do. Tum jao yahase.

Aayesha : Par Rishi tum aise...

Rishi : Maine kaha na mujhe akela chhodo, jao tum yahase Aayesha. Aayesha wahase chali jati hain. Waiter khana lata hain, Rishi order cancel karke payment karke wahase chala jata hain.

Indira apna mood achha karne ke liye mall me jati hain. Coincidentally Aayesha bhi ussi mallme aati hain aur dono ek dusreke samne aati hain.

Aayesha : Hey Indira, achha hua tum yaha ho. Wo actually mujhe Rishi ke liye achhasa dress lena hain, wo kal papane humare aur Rishike family ke liye dinner plan kiya hain, so maine Rishike liye dress leneka decide kiya aur usse phone bhi kiya par usne mera phone nahi uthaya isliye me yaha akeli chali aayi. Ab tum bhi yaha ho toh meri help kar do na.

Indira : Aayesha tumhe Rishiki shopping ki itni kyun padi hain? Wo apni shopping khud kar sakta hain.

Aayesha : Haa wo toh kar sakta hain par mujhe bhi uski pasand napasand ke bareme pata hona chahiyena. US me toh mehi uska khayal rakhnewali hu toh mujhe yeh sab pata honahi chahiye na.

Indira : Tumhe uske khayal rakhneki koi jarurat nahi padegi, wo apna khayal khud rakh sakta hain, aur Aayesha me tumhe bachpanse janti hu isliye tumhe warn kar rahi hu mere Rishise dur rehna tum. Rishi abhi bhi mera pati hain. Aayesha mocking smile deti hain, "Pati hain nahi, pati tha. Tum donoki courtme case chal rahi hain".

Indira : Case shuru hain, abhi humara divorce nahi hua hain, abhi bhi hum legally pati patni hain, isliye me tumhe wapas warn kar rahi hu Rishi se dur rehna". Wo wahase chali jati hain.

At Evening
Restaurant ki batse Rishi pura disturb hota hain. Wo apna man halka karne ke liye Sanjay ke ghar aata hain. Pata nahi Sanjay, par me abhi bhi teh nahi kar paya ki mujhe US jana chahiye ya nahi.

Sanjay : What??? Ye tu keh raha hain Rishi? Tu wahi Rishi Diwan hain na jo US janeke liye mare ja raha tha, jisse US ke aage kuch bhi nahi dikhta tha wo Rishi ye sab keh raha hain, par aisa kya hua?

Rishi : Haan Sanjay, me wahi hu par ab jab bhi me US janeke liye sochta hu mere dimag me Indiraka khayal aata hain. Pata hain tumhe aaj dopeherme jab Aayeshane Indirase US ki baat batayi tab Indira bahot dukhi hui thi. Usse yeh baat achhi nahi lagi.

Sanjay : Aaj Indirase mila tha tu?

Rishi : Nahi wo aaj achanakse hum restaurant me mile. Wo usse dopeherki baat batata hain. Mujhe yakin nahi ho raha Indira mere bareme aisa sochti hain.

Sanjay : Chhod na Rishi, tu kyun uske bareme itna soch raha hain?

Rishi : Kyun soch raha hu matlab biwi hain wo meri Sanjay.

Sanjay : Par tumhara divorce honewala hain na

Rishi : Haan par hua toh nahi hain na. Pata hain Sanjay, jab maine wo divorce paper sign kiye tabhi bhi mujhe Indirakihi fikar ho rahi thi. Humara divorce hoga fir me toh US chala jaunga par Indira ka kya? Wo sab kaise sambhal payegi? Pata hain Sanjay, jab bhi me US ka sochta hu tab dimagme Indira ka khayal aata hain. Apni har baat pe ab me Indirake bareme sochta hu. Jab bhi me apne kamreme jata hu tab lagta hain Indira aake mujhe hug karegi. Jab bhi me kisi meeting ke liye ready hota hu tab lagta hain Indira aake kahegi, "Yeh kaisi tie bandh rahe ho Rishi? Itne bade ho gaye ho, par abhi bhi tumhe tie bandhani nahi aati" aur aisehi dat kar wo meri tie bandhegi, meri har chhoti baatpe mujhse ladegi, mera khayal rakhegi aur me bhi usse satane ke liye naye naye paitre ajmaunga. Uski aankhome pani aata hain. Pata hain Sanjay, jabse Indira gharse gayi hain na mera ek din bhi aisa nahi gaya jo maine usse yaad nahi kiya.

Sanjay : Me tumhari baate samaj raha hu Rishi par ab iss sab ka kya fayda? Ab toh tum donoke raste alag ho chuke hain.

Rishi : Nahi Sanjay, humare raste alag nahi ho rahe balki hum dono usse alag kar rahe hain. Wo apni pocketse heart locket ki chain nikalta hain. Ye dekh Sanjay, yad hain valentine day pe hum mall me shopping karne gaye the tab tumne mujhe ye chain kharidneko kahi thi aur kaha tha ki jab bhi mujhe mera pyar mil jayega usse me ye pehna du.

Sanjay : Haan, par ab tu yeh... ek minute...kahi ye chain tu...

Rishi : Haan Sanjay tu sahi soch raha hain, me ye chain Indirako pehnana chahta hu. Me Indirase pyar karta hu Sanjay, mujhe mere jindagi me pyar mil gaya hain Indira ke roopme, me usse bahot bhaot pyar karta hu. Sanjay khush hokar usse hug karta hain. Sach me Rishi, I am very happy for you. Chal ab jaldi.

Rishi : Kaha?

Sanjay : Kaha kya pagal, Indira ke pass chal.

Rishi : Nahi Sanjay, me uske pass nahi jaunga.

Sanjay : Matlab?

Rishi : Sanjay, mana ki me usse pyar karta hu par wo mujhse pyar karti hain ya nahi wo mujhe nahi pata.

Sanjay : Are to tu usse apni dilki baat toh bata.

Rishi : Nahi. Me usse kuch nahi bataunga. Dekh Sanjay, meri baat sun, me manta hu me Indirase pyar karta hu aur agar maine yeh baat Indirase kahi toh agar uske manme pyar hua bhi nahi fir bhi wo mere liye yeh shadi nibhane ke liye man jayegi. Indira kabhi kisiko hurt nahi dekh sakti aur agar usne sirf mera man rakhne ke liye mere sath rehne aayi toh wo bhi khush nahi reh payegi aur na me. Me janta hu usse yeh shadi, pyar in sare chakkaronme bilkul  bandhna nahi hain aur isliye usme mere sath contract marriage  ki thi. Ab in sabme mujhe usse pyar hua, par iska matlab yeh toh nahi na ki usse bhi mujhse pyar ho jaye. Aur nahi me usse koi jabardasti karunga. Isliye me yeh baat usse nahi bataunga.

Sanjay : Are Rishi par apne dilki baat kehneme kya problem hain tumhe?

Rishi : Agar mujhe yeh baat batani hoti toh me divorce paperpe sign hi nahi karta na Sanjay. Jab maine uss din dekha ki Indirane khudne divorce paper pe signs kiye hain tabhi mujhe samaj aaya ki wo mujhse pyar nahi karti aur nahi wo mere sath apni life spend karna chahti hain. Isliye maine bhi signs kiye.

Sanjay : Fir bhi Rishi, me yeh kahunga ki usse apne dil ki baat bol de.

Rishi : Nahi me nahi bataunga aur haan tu bhi mujhe yeh wada kar yeh baat sirf hum donoke bich hi rahegi. Sanjay usse wada karta hain.
Posted: 9 years ago
Originally posted by Ketaki19


chamatkar ??? ðŸ¤£ ðŸ¤£ me illa hu jo uska chamtkar kar dungi ðŸ˜¡ ðŸ¤£ 
haa toh agar rishi apna sapna pura karnehi jaa raha hain na aur rishi ne indirake bareme kaha mana? Usse toh lagta h na ki indira aisi nahi h n all
ila nahi h i know but kya pata ban gai to😲...rishi bechara😔
use lagta h indira aisi nahi h but rishi buddhu h na abhitak love wali feeling nahi samajh paya upar se dat aayesha😆
Posted: 9 years ago
abhi padha nahi h...padhke will cmnt
Posted: 9 years ago
Originally posted by Surish


Absolutely fantastic!
thanks
Posted: 9 years ago
Originally posted by clementina


nice update 
thanks
Posted: 9 years ago
Originally posted by designersaini


ila nahi h i know but kya pata ban gai to😲...rishi bechara😔
use lagta h indira aisi nahi h but rishi buddhu h na abhitak love wali feeling nahi samajh paya upar se dat aayesha😆
🤣 
rishi buddu nahi hain di ðŸ˜¡ jaruri nahi h ki usse bhi indiraki tarah turant samaj aaye 

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

11 Participants 375 Replies 28125Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by designersaini

loader
loader
up-open TOP