Creature 3D 2014 All Songs Lyrics

shikhajain thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago

=============================================================================================
1 :- Sawan Aaya Hai
=============================================================================================
    Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
    Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

    Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
    Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
    Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai
    Pyaar mein tere hadd se gujar jaana hai
    Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai

    Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai
    Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai

    Kyun ek pal ki, bhi judaai sahi jaaye na
    Kyun har subah tu, meri saanson mein samaye na
    Aaja na tu mere paas, dunga itna pyaar mein
    Kitni raat gujaari hai, tere intezaar mein
    Kaise bataun, jazbaat ye mere
    Maine khud se bhi jyaada, tujhe chaaha hai

    Sab kuch chodd ke aana tu, sawan aaya hai
    Tere aur mere milne ka, mausam aaya hai
    Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai
    Pyaar mein tere hadd se gujar jaana hai
    Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai

    Bheege bheege tere labb, mujhko kuch kehte hain
    Dil hai khush mera, ki khayal ek jaise hain
    Roko na ab khud ko yun, sun lo dil ki baat ko
    Dhal jaane do shaam aur, aa jaane do raat ko
    Kitna haseen ye lamha hai, kismat se maine churaya hai

    Aaj ki raat na jaana tu, sawan aaya hai
    Tere aur mere milna ka, mausam aaya hai
    Sabse chupa ke tujhe seene se lagana hai
    Pyaar mein tere hadd se gujar jaana hai
    Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai.Mohabbat barsa dena tu, sawan aaya hai

    Itna pyar kisi pe, pehli baar aaya hai.

=============================================================================================
2 :- Hum Na Rahein Hum
=============================================================================================
    Hum na rahein hum, jo the kabhi
    Khud ko hai chhoda, peechhe kahin

    Hum na rahein hum, jo the kabhi
    Khud ko hai chohda, peeche kahin
    Teri ore, badhne lage
    Teri tarah, banne lage

    Ab toh mohabbat mein, lutne chale
    Jeene ki khwahish mein, marne chale
    Ab toh mohabbat mein, lutne chale
    Jeene ki khwahish mein, marne chale

    Dard bhi hum seh lenge, tu jo saath raha
    Saari duniya bhula denge, yeh vaada raha
    Chaahe jitni mulakatein ho, mujhe kam hi lage
    Tere saath guzaroon har din, par dil na bhare
    Ek waqt baad hasne lage, raah teri hum takne lage

    Ab toh mohabbat mein, lutne chale
    Jeene ki khwahish mein, marne chale
    Ab toh mohabbat mein, lutne chale
    Jeene ki khwahish mein, marne chale

    Teri baatein hai aisi maanu, jaise koi dua
    Jise sun kar dil ko kitna, hai sukoon mila
    Mehboob ki aankhon mein hi, rabb dikhta hai
    Mehsoos kiya ab jo ki ye khud maine
    Tere aage jhukne lage,
    Tere raaston par rukne lage

    Ab toh mohabbat mein lutne chale
    Jeene ki khwahish mein marne chale
    Ab toh mohabbat mein lutne chale
    Jeene ki khwahish mein marne chale.

=============================================================================================
3 :- Naam-E-Wafa
=============================================================================================
    Naam-e-wafa matlab ke liye ab
    Lete hain kyun sabhi
    Naam-e-wafa matlab ke liye ab
    Lete hain kyun sabhi

    Dard jo seene mein uthta hai
    Nahi samjha yahaan koi
    Toh rehne de iss dard mein zinda
    Main tanha hi sahi
    Ki dil se ye bhi denge bhula
    Tujhko jaana kabhi

    Rehne de iss dard mein zinda
    Main tanha hi sahi
    Dil se ye bhi denge bhula
    Tujhko jaana kabhi
    Teri judaai mein marne se
    Iss dard mein jeena bhala

    Naam-e-wafa matlab ke liye ab
    Lete hain kyun sabhi
    Dard jo seene mein uthta hai
    Nahi samjha yahaan koi

    Toh rehne de iss dard mein zinda
    Main tanha hi sahi
    Ke dil se ye bhi denge bhula
    Tujhko jaana kabhi...

    Khwaab ko toot jaane do
    Hai yahi naseeb mein haan
    Saath ko chhoot jaane do
    Taqleef badi ho to kya..
    Sehne de mujhe sehne de
    Iss gham ko ye hai ilteza..

    Teri wafa jo thi sirhaane
    To aaraam mila mujhe
    Tera diya manga wapas
    Toh kya ghalat isme
    Toh rehne de iss dard me zinda
    Main tanha hi sahi
    Ke dil se ye bhi denge bhula
    Tujhko jaana kabhi...

    Teri judaai mein marne se
    Iss dard mein jeena bhala

    Naam-e-wafa matlab ke liye ab
    Lete hain kyun sabhi
    Dard jo seene mein uthta hai
    Nahi samjha yahaan koi

    Toh rehne de iss dard mein zinda
    Main tanha hi sahi
    Ke dil se ye bhi denge bhula
    Tujhko jaana kabhi...

=============================================================================================
5 :- Ik Pal Yahi
=============================================================================================
    Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
    Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
    Haan badi kismat se iss lamhe ko paaya hoon

    Aaj phir se tere nazdeeq aaya hoon
    Haan badi kismat se iss lamhe ko paaya hoon
    Tujhe dekh dekh ke phir se jeene lagaa main
    Ab dil ko kya samjhaun
    Ki main tera guzra kal hoon

    Ik pal yahi tera mera
    Ik pal yahi tera mera..
    Ik pal yahi tera mera
    Ik pal yahi tera mera..
    Isey jeena chahta hoon main

    Phir wahi alfaaz tujhse kehna chahta hu
    Raat bhar baate main teri sun'na chahta hu
    Tere saath sath rahoon main
    Bas yahi sadaa hai
    Par zindagi me teri main sirf mehmaan hu

    Ek pal yahi tera mera
    Ek pal yehi tera mera..
    Ek pal yahi tera mera
    Ek pal yehi tera mera..
    Isey jeena chahta hoon main

    Lafz mere chhupne lage
    Jo tu saamne hai khada
    Dil dhoondta hai wahi
    Pyaar jo tha kabhi darmeyaan
    Ik aas hai dil ko ki tu rok le
    Aur keh de ye mujhko mere sang jeena hai
    Khair ho sake toh
    Mujhko kabhi na bhoolna mujhe tu

    Ik pal yehi tera mera
    Ik pal yahi tera mera
    Ik pal yehi tera mera
    Ik pal yahi tera mera
    Isey jeena chahta hoon main
    Wo oh..

    Tujhe dekh dekh ke phir se jeene laga main
    Ab dil ko kya samjhaaun ki
    Main tera guzra kal hoon

    Ik pal yehi tera mera
    Ik pal yahi tera mera
    Ik pal yehi tera mera
    Ik pal yahi tera mera
    Issey jeena chahta hoon main.

=============================================================================================
5 :- Mehboob Ki Song
=============================================================================================
Seene mein, dhadkan ki
Zaroorat hai har ghadi
Jeene ko saanson ki
Zaroorat hai sabko hi
Usi tarah nadaan dil ko zaroorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki

Mehfil ko, baaton ki zaroorat hai
Hai dastoor yahi
Taaron ko raaton ki zaroorat hai
Subaho ki nahi
Usi tarah majboor dil ko zarorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki

Wo jo sanam kehlaaye
Itni khusi sang laaye
Jaise ho jannat hi mili
Wo toh sukoon ka dariya
Jeene ka wo hi zariya
Jis se judi ho aashiqui
Tabhi toh haan behaal dil ko zaroorat hai
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki
Mehboob ki, mehboob ki
Mehboob ki..mehboob ki.

Created

Last reply

Replies

1

Views

1283

Users

2

Frequent Posters

thambu thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 9 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
thanks for sharing 😊