InShi ff Kabhi Saath Na Choote chapter 14 pg 8

Posted: 9 years ago

Ye mera ek SS tha par ab me isse FF me convert kar rahi hu aur iss story ka thread lock kiya tha isliye maine naya thread banaya. ðŸ˜ƒ ðŸ˜†

Index :
Concept & character sketch pg no : 1
Prologue pg no : 1
chapter 1 pg no : 1
chapter 2 pg no : 1
chapter 3 pg no : 1
chapter 4 pg no : 1
chapter 5 pg no : 1
chapter 6 pg no : 2
chapter 7 pg no : 2
chapter 8 pg no : 2
chapter 9 pg no : 2
chapter 10 pg no : 2
chapter 11 pg no : 2
chapter 12 pg no : 2
Chapter 13 pg no : 6
Chapter 14 pg no : 8

Edited by Ketaki19 - 8 years ago
Posted: 9 years ago
Concept Ye Story humare royal Couple Rishi aur Indira aur unki                                            sweetsi cutesi beti Jiyana ke upar hain.

Character Sketch :
Rishi Diwan : he is a handsome lad of 33 yrs & engineer by profession. He is a very lovely & caring husband as well as father.

Indira Rishi Diwan : She is a young woman of 29 yrs & wife of Rishi. She wants to become a model.

Jiyana Rishi Diwan : She is 5 yrs old girl of Rishi & Indira's Daughter

Edited by Ketaki19 - 9 years ago
Posted: 9 years ago
Prolouge: 
 Indira aur Rishi ki arranged marriage hoti hain. 2 sal bad Indira ek cute si beti ko janam dti hain. Rishi bahot khush hota hain. Lekin Indira ko wo bachha nayi chahiye tha. Wo model banana chahti hain. Isiliye jab wo pregnant hoti hain wo rishi ko abortion ke bare me bolti hain. Lekin Rishi use mana kar deta hain. 9th month ke dauran Indira ko bahot badi offer milti hain. Delivery ke bad Indira hospital se bhag jati hain. Rishi sham ko use milne aata hain tab use Indira nahi dikhti. Wo sari taraf bahot dhundta hain. Use bed pe ek chithi ,ilti hain. Uspe likha hota hain ki wo modeling karne ja rahi hain. Use insare responsibilities me nahi bandhna hain. Uski khoj na kare. Rishi uske upar bahot gussa hota haib. Indira ke aur Rishi ke parents Rishi ko dusri shadi karne ko bolte hain lekin Rishi mana karta hain. 2 sal bad Rishi ki  transfer Mumbai me hoti hain. Lekin Rishi ko bachhi ki fikar hoti hain. Lekin Rishi ki maa Simmi diwan uske sath Mumbai jane ka faisla leti hain aur Rishi Jiyana aur Simmi ke sath Mumbai me shift hota hain.
Posted: 9 years ago
Chapter 1

After 5 yrs

Mumbai

Simmi : Jiyana Beta Jiyana kaha ho beta? Chalo jaldi dudh pilo.

Simmi hath me dudh ka glass lekar Jiyana ko dhundhti hain. Wo Rishi ki kamre me aati hain.

Rishi : Kya hua maa? kisse dhund rahi ho?

Simmi : Aur kisse dhundungi? uss shaitan ki nani ko. Tumhari shaitani gudiya Jiyana ko. Dekho na jab bhi dudh pina hota hain wo bhagti hain aur har roj nayi nayi jagah pe ja kar chup jati hain. Neeche maine puri tarah dundh liya ab sirf upar dhundhna baki hain.

Rishi : Are maa, aap bhi na. Chalo lao mujhe dedo wo glass. Me dhundhta hu usse.

Simmi : Haa lelo. ab tumhi dhundo usse aakhir tumhari hi beti hain. Tumpar hi gayi hain.

Rishi : Aapne niche dhunda na usse.

Simmi : Haan. 

Rishi : Thik hain. 

Phir wo niche aata hain hain.

Rishi seedha jaakar Jiyana ko table ke neeche se pakarta hai.

Rishi : Bho!!! Dekha dhund hi liya na papa ne?

Jiyana : Pappa aap!! aapko kaise pata ki me yaha chuppi hu?

Rishi : Kyuki main apni Jiya ka papa hu aur papa ko sab pata hota hain ke unki Jiya kaha hai,kya kya kar rahi hain.

Jiyana : Papa muje dudh nehi pina.Bohot gandi bu aati hai

Rishi : Main jaanta hu bachcha lekin agar dudh nahi piya to meri Jiya papa jaisi strong kaisi banegi?Aapko to bahot strong hona hain na?

Jiyana sirf gardan hilati hain aur turant dudh peeti hain.

After some time 
Rishi jiyana ko school me chodne ko jata hain. 

Jiyana : Papa muje nahi jana.

Rishi : Kyun? School nahi jana aaj?Jiyana ko to school bahot pasand hain na?

Jiyana : Aaj mujhe nahi jana. Mujhe sab bolte hain ki meri mumma kyun nahi aati?Sirf meri mumma ke baare mein hi puchte hai sab.

Rishi kuch nahi bolta. 

Jiyana : Bolo na pappa?Kab khatm hoga mumma ka kam? wo kab aayengi humare sath rehne?

Rishi : Are beta, meri mumma se bat hui hain na. Wo ab jald hi aanewali hain. Aur ab wo humesha humare sath hi rehnewali hain.

Jiyana : (Khush hokar)sach papaa!!Par mumma kabhi mujhse kyu nehi baat karti?kya unhe meri yaad nehi aati?

Rishi : (embarrass hokar) Uh...actually vo...uh...kya hai na mumma jaha kaam karti hai vaha zyaada der unhe phone par baat karna allowed nehi hai,varna mumma ko bohot daat paregi isiliye vo mujhse jaldi se baat karke phone rakh deti hai.Vo hamesha aapke baare mein puchti rehti hai ke meri Jiyu kaisi hai,kya kar rahi hai.

Jiyana : Ok papa ab na aapki jab agli baar mumma se baat ho to aap unko bolna ke main bhi unko bohot miss karti hu aur unse itna itna itna pyar karti hu.

Rishi apna sar hilaata hai. 

Aur wo Rishi ko hug karti hain.

At Rishi's office

Rishi apne cabin me baitha hua hota hain. Usse har bar Jiyana ka hi masum chehra samne aata hain aur uska wo sawal pappa mummy humare sath kab rehne aayegi?

Rishi Jiyana ke photo ke taraf dekh kar : I m sorry bachha. Papa ko maf kardo.Unhone tumse jhuth bola hain, Mumma ke bare me. Lekin kya karu beta?Tumhari mumma hume chodkar gayi hain. Kaise batau tumhe ye bat? Kuch samaj me nahi aa raha hain. Lekin me promice karta hu ki jab aap badi hogi na me tumhe sab sach sach bata dunga. I promise mera bachha. I promise pakka wala promise.

Aur wo kam me busy ho jata hain.

Posted: 9 years ago
Chapter 2
 
AT evening Rishi's office :

Rishi ka phone bajta hain.

Rishi : Hello,

Simmi : Kaha ho tum beta?

Rishi : Are maa main to office me hi hu. Kyun?Kya hua maa? Aap bahot pareshaan lag rahi ho.

Simmi : Mere pareshani ka karan tum or tumhari ladli hi hain.

Rishi : Matlab?

Simmi : Agar tume pata tha ki tumhe aaj aane me deri hogi to tumne Jiya ko dinner ke liye promice kyun kia?

Rishi ko yad aata hain ki usne Jiyana ko promice kiya tha ki wo aaj usse shopping pe le jayega aur uske bad dinner bhi bahar hi karwayega.

Rishi : O shitt!!!Main to ye baat bhul hi gaya tha. Maa please aap usko phone do na..main bat karta hu usse.

Simmi : Are usne pura ghar apne sar pe liya hua hain. Tumhe to malum hain ki jab wo gussa hoti hain tab ghar ki halat kya hoti hain. Wo ab to apne kamre me hain aur usne kaha hain ki jab papa aayenge tabhi wo kamrese bahar aayegi. Tum kab aa rahe ho beta?

Rishi : Haa maa me agle aadhe ghante me ghar pe hu. Tab tak aap please sambhalna.

Rishi turant ghar ke liye niklta hain. Rishi ghar me pahochta hain. Wo Simmi se Jiyana ke baare me puchta hain. Simmi sirf uske room ki taraf ungli dikhati hain. Rishi Jiyana ke room ke darwaje se chupke se ander dekhta hain. Jiyana apne bed pe so rahi thi. Rishi uske room me chupchap jata hain.

Jiyana : Mujhe pata hai ke aap hi ho papa.Par main aapki koi baat nehi sunungi aur naahi aapse baat karungi.Main aapse naraaz hu.Kati!Katti!Katti!

Rishi : Are bapre!!! Itna gussa...Vo bhi itnisi nak pe? Beta I am sorry.Wo kya hain na papa ko bahot important kam tha isiliye aane me deri hui. Please papa ko maf karo.

Jiyana sirf uthkar beth jati hain.

Rishi : Beta abhi shopping ke liye to nahi ja sakte par bahar dinner karne to ja sakte hain na. Chalo jaldi ready ho jao. Aaj papa Jiyana ko ready karenge.

Jiyana : Nehi main nehi jaaungi.

Rishi : Kyun?Maine to kitna plan kiya tha ki hum bahar jayenge, khana khayenge, uske bad hum log Jiyana ki favourite Ice Cream khayenge.

Ice-cream ka naam sunte hi Jiyana ke chehre par raunak aa jaati hai.

Jiyana : Sach papa!!!Hum ice-cream khaayenge??

Rishi : Haa pakka..

Jiyana phataak se maan jaati hai aur vo chalne ke liye bhi tayyar ho jaati hai.

Jiyana : Aur ek bat. Aaj me aapke sath soungi. Aaj aap mujhe story bhi sunayenge aur lori bhi gayenge.

Rishi : Hmmm...ok my Angel . Pakka.To chalo jaldi ready ho jao.

Rishi Jiyana ko tayyar karke uske sath niche aata hain aur Simmi ko bhi ready ho jane ko bolta hain. Lekin Simmi mana karti hain. 

Simmi : Are nahi beta. Aaj mujhe nahi jamega. Meri tabiyat thodi kharab hain.

Rishi : Ma kya hua aapko? Me abhi doctor ko phone karta hu.

Simmi : Are nahi beta. Maine doctor ko phone kiya tha. Aur medicines bhi liye hain. Ab me thoda aaram karne room me jati hu. Tum dono jao aur haa jaldi aa jana..

Rishi aur Jiyana bahaar jaate hain.

At restaurant : 
Jiyana aur Rishi hotel me jate hain. Wo dono table pe beth jate hain. Tabhi Jiyana ki najar ek family pe parti hain. Usme Jiyana ke jaisi hi choti ladki apne maa ke pass beth hui thi aur uski maa usse khana khilati thi. Jiyana ye dekh kar naraj hoti hain. Rishi ye dekhta hain.
Rishi : Kya hua beta? Papase naraj ho abhi bhi?

Jiyana : Naa papa..Papa meri mummybhi mujhe aisehi khana kab khilayenngi?

Rishi kuch nahi bolta. Wo sirf uske taraf dekhne lagta hain. Aur man mein bolta hain : Beta me samaj sakta hu tera dard. Lekin kya karu beta? Tumhari mummy ko to khabar bhi nahi hain ki uski raah dekhnewale iss dunia me hain. Wo toh apne hi dunia me mashgul hain aur wo bhi itni ki usne ek bar bhi koshish nahi ki  ki uske bad tumhara haal kaisa hain? 

Tabhi Jiyana usse hilati hain. 
Jiyana : Papa, bolona mumma kab aanewali hain? Unka kam kab khatm honewala hain?

Rishi : Are papa ne bola na mumma ab jald hi humare saath reheko aanewali hain. Chalo ab jaldi jaldi batao kya khaogi? Fir hume ice cream bhi to khani hain na..Chalo batao..

Wo khane ka order dete hain. Khana khane ke bad dono ice cream khate hain aur ghar aate hain.
Ghar aaneke bad Rishi Jiyana ko jaldi so jane ko bolta hain.
Jiyana : Papa aap bhul gaye na ki aap mujhe lori gakar sulanewale ho. fir...

Rishi : Sorry baby..papa bhul gaye..aur wo usko room me change karne ko le jata hain. Change karneke bad wo usse bed pe leta deta hain. Tabhi Jiyana Indira ki photo saath me lekar let jati hain.

Rishi : Ye kya kar rahi ho Jiya? 

Jiyana : Papa jab mumma aayengi na tab me unko aise hi hug karke soungi..

Rishi : Achha!!! Matlab mumma aane ke bad papa se pyar kum hoga na..

Jiyana : Naa papa.. Aap , me aur Mumma hum sab saath ssaath rahenge na fir...

Rishi : Ok ok chalo ab jaldi se so jao.. Aur wo lori ga kar usse sulata hain.

Agle din:
It was Sunday morning:
Rishi news paper padh raha tha. Tabhi Simmi uske pass aati hain..
Simmi : Beta wo Jiyana ki school ki diary dekhna jara. Kal me diary dekhna bhul gayi..

Rishi : Haa mom.. Abhi dekhta hu. 

Rishi uske kamre me jata hain aur Jiyana ke taraf dekhta hain...
Rishi : Sote hue to bilkul meri pari apni mummy ki tarah dikhti hain..
Tabhi Jiyana aankhe kholti hain...

Rishi : Good morning bachha..

Jiyana : Good morning Papa..

Rishi : Ho gayi meri rajkumari ki neend puri...

Jiyana : Naa papa..thori aur der sone do na...

Rishi : Thik hain lekin papa to aaj Jiya ko bahar shopping ke liye le janewale the..

Jiyana : Sachhi papa...yeee...wow...papa wo kya hain na humare school me na fashion dress ka compitition hain to mujhe naye naye dress chahiye...

Rishi : Haa..to chalo le aate hain na...chalo jaldi ready ho jao...

Jiyana uthkar Rishi ko hug karti hain...aur bhagkar ready hone ko jati hain.. 
 
Posted: 9 years ago

Chapter 3

Jiyana Fancy Dress Compitition ke liye Pari ki dress me taiyar hoti hain. Wo puri White dress me taiyar hoti hain. Rishi Jiyana ke kamre me usko lene aata hain.. lekin wo Jiyana ki taraf hi dekhne lagta hain.

Simmi : Kyun beta lag rahi hain na meri poti asli me Pari?

Rishi : Haa Maa. Aur wo use apne bahon me uthata hain..ye to meri sach much ki pari hain. Papa ki pyari Pari Jiya.Hain na beta?

Jiyana sirf hasti hain aur Rishi ko hug karti hain.

Rishi Jiyana ko school chodta hain aur office jata hain.

At Jiyana's School:

Jiyana ki class teacher sare bachhonko shant karti hain.

Teacher : Bachho aaj aap sab bahot achche aur preety dikh rahe ho.Aur aaj aap sabko milne humare school me bahot bade guest aane wale hain.Unka nam hain Miss Indira Sharma. Wo ek bahot badi model hain.Aur wo aap sabko gifts bhi denge. Lekin isiliye aap sabko good children banke rehna hoga..samjhe?

Bachhe: Yes Miss.

Indira Principle ke sath har e k class me jakar bachhonko gifts deti hain. Wo Jiyana ke class me aati hain.Jis waqt Indira Jiyana ke class mein kadam rakhti hai,teacher unko sabse introduce karaati hai.Jiyana uswaqt apne dost ke saath baat kar rahi thi.Indira ka naam sunte hi vo apna sar ghumaati hai.Indira ko dekhte hi Jiyana ek badisi smile karti hain aur daud kar Indira ke pas aakar use hug karti hain.

Jiyana : Mumma, mumma aap aa gayi mujhse milne?Bolo na aap kab aanewali ho humare sath rehne?Pata hain me aapko kitna miss karti hu?Main papa se hamesha aapke bare me puchti hu lekin wo kehte hain ki aap kisi bahot bade kam me busy ho aur isiliye abhi aap humare sath nahi rehti. Lekin jab aap ka kam khatm hoga to aap humare sath rahogi.(making face) Aao na mumma mere paas.Chalo na ghar.

Indira iss bat se shock hoti hain.Wo Jiyana ko khud se dur karneki bahot koshish karti hain lekin Jiyana use bahot tight pakarti hai.Tab Jiyana ki teacher aakar usko side me karneki koshish karti hain.

Teacher : Jiyana beta, ye aapki mumma nahi hain beta.Ye to aaj humari guest hain.Dekho inke taraf beta.

Jiyana : Nahi Miss. Ye meri mumma hi hain. Aur wo rone lagti hain.

Indira kuch bhi samaj nahi pati. Teacher Jiyana ko jabardasti se  khichne lagti hain. Jiyana jor jor se Indira ke taraf mumma mumma kehkar rone lagti hain. Indira ye sab bardasht nahi kar pati. Wo teacher ko rokne ko kehti hain aur Jiyana ke samne ghutno par beth jati hain. Wo Jiyana ke aansu pochti hain. Aur usko hug karti hain.

Indira: Nahi beta, aise rote nahi hain. Aap to good girl hona? Dekho beta mumma ka kaam abhi tak pura nahi hua hain. Main apna kam jaldi khatm karungi aur tumhare pas rehne aaungi. Thik hain?

Jiyana: Mumma, aap pakka aaogi na humare sath rehne? Pata hain dadi aur Papa bhi aapko bahot miss karte hain. Aap promise karo na mumma..

Indira: Haa, pakka wala promse,main, tumhaare sath aaungi rehne.Thik hain?Ab aap rona band karo chalo...Aur wo uski aankhe pochti hain aur gal pe pappi deti hain.

Jiyana usko badi si smile deti hain. Indira waha sabko gifts deke Principle ke office jati hain aur Jiyana ke bare me puchti hain. Principle Jiyana ke teacher ko cabin me bulati hain. Jiyana ki teacher Indira ko Jiyana ke bare me batati hain ki Jiyana kaise apne papa aur dadi ke sath rehti hain, Jiyana ki maa usko chodkar gayi hain...

Indira :Oh!!! kitni pyari bachhi hain ye!! aur uski maa!! lekin wo aage kuch nahi bolti. Waise... uske papa ka nam kya hain?

Teacher : Ji wo Mr...Ri...

Tabhi Indira ki PA usko bulati hain. 

Indira : Wo sorry...actually mujhe thora kam hain isiliye mujhe jana parega.Aur aapke school ke bachhonse milkar bahot mast laga. Sare bachhe bahot achhe hain.  Aur wo waha se chali jati hain.

Jiyana school chutne ke bad  ghar aati hain aur Simmi ko sari bate bata deti hain.Simmi shock ho jati hain aur wo Rishi ko call karti hain.Lekin Rishi kisi jaruri meeting me busy tha isiliye call nahi utha pata.

Sham ko Rishi ghar aane lagta hain tabhi usse bahot traffic lagne ke karan wo wahi fas jata hain. Wo idhar udhar dekhne lagta hain tabhi uski najar ek gari ke window pe parti hain aur wo shock ho jata hain. Wo ussi taraf dekhne lagta hain. Thori samay bad usse horns ki awaze sunayi deti hain aur wo hosh me aata hain. Aur dekhta hain ki sare log usse horn baja baja kar chillane lagta hain wo turant apni gadi ko chalane lagta hain. Aur jaldi ghar pahuch jata hain. Ghar aane ke bad wo khoya khoya sa hi rehta hain... Simmi  is bat ko dekhti hain. Dinner ke time pe bhi Rishi Jiyana ki baate sun nahi pata...wo apne hi khayalome uljha rehta hain. 

Jiyana ko sulane ke bad Simmi Rishi ke kamre me aati hain.

Simmi : Kya bat hain beta? Jabse tum office se aaye ho tabse dekh rahi hu..tum khoye khoye se ho? Kya hua hain beta?

Rishi : Kuch nahi maa..wo bas...aisehi...

Simmi : Ab tum apni maa se baate chupayega? Bolo kya bat hain?

Rishi : Wo...wo maa...maine aaj...maine aaj Indira ko dekha...

Simmi : Kya???? Ye kaise ho sakta hain??? Aisa co incidence kaise ho sakta hain???

Rishi : Matlab??

Simmi usse Jiyana ne batai hui bate batati hain. 

Rishi : Ye...ye sach nahi ho sakta maa...Ye jarur Jiyana ka vehem hoga...aur mera bhi...kyun ki har time Jiyana mujhe uske bare me puchti rehti hain aur isi wajah se mere dimag me bhi yahi sab chalta hain..aur rahi bat Jiyana ki to usse bhi ye vehem hi hua hoga...

Simmi : Lekin Rishi ye vehem hua to thik hain..lekin agar Indira sach me tumhare samne aayi to tum usse...Jiyana ke sath idhar rehne doge????

Rishi : (Chilla ke) Nahi Maa...kabhi nahi...main ye kabhi nahi karunga...Jis aurat ko apne choti bachhi ka bhi khayal nahi raha uss aurat ko me kabhi mere ghar me rehne nahi dunga...

Simmi : Beta main manti hu..lekin uss choti bachhi ke bare me to soch...wo maa ki mamta se abhi tak dur rahi hain...Wo humesha Indira ke bare me puchti hain , uske photo ko gale lagati hain, jab tum uske upar chillate ho ya usse naraj hote ho tab wo Indira ke photo se bat karti hain...uss bachhi ke bare me to soch beta...

Rishi : Maa...uske liye aap ho , main hu, uske nana nani hain...fir??

Simmi : Thik hain hum uske liye hain...lekin tumhara kya beta??? Tumhe kya lagta hain mujhe tumhari halat ke bare me nahi pata?Are tum bhi to apne kamre me chup chup kar Indira ke photo ko gale lagate ho na??? Jab bhi tum Jiyana ke upar chillate ho to bad me apne kamre me jakar Indira ke photo se bat karte ho na??

Rishi : Maa...aap...aap ye sab chodo aur Sone jao maa...bahot rat ho chuki hain...

Simmi waha se chali jati hain. Rishi ek bar Jiyana ke kamre me aakar dekhta hain ki wo soyi hain ya nahi. Aur wo uske upar achhe se kambal dalta hain. Aur khudke kamre me jata hain aur Indira ke photo ki taraf dekh kar so jata hain.

Posted: 9 years ago
Chapter 4

At Indira's apartment : 


Indira rat ko apne room me bed par bethi thi aur wo Rishi photo se bat kar rahi thi..

Indira : I am sorry Rishi...I am really very sorry... Me janti hu ki maine jo galti ki hain wo bilkul bhi mafi ke layak nahi hain..Lekin me bhi kya karti Rishi? Uss waqt mere sar pe modelling ka bhoot jo sawar tha. Tumne mujhe kitne bar kaha tha ki "Indira ye modelling toh bas ek fantacy hain. Jab tak aapke pass roop hain tab tak ye sab stardom hain. Aur isme kab koi kisiko dhoka dega iski guarantee nahi hain." Fir bhi Rishi maine tumhari batein nahi mani aur yahi jid kar bethi ki mujhe issme hi aana hain aur tumne mujhe turant permission bhi dedi.Lekin fir me pregnant rahi aur mujhe meri pregnancy mere career me aanewali sabse badi problem lagi. Mujhe toh wo bachha nahi chahiye the lekin tumhare vajah se maine abortion nahi kiya. Aur ek bachhi ko janam diya. Aur uske bad maine jo kadam uthaya us bat ki saza me abhi tak bhugat rahi hu. Pure 5 saal ho gaye Rishi, Lekin abhi tak me wo saza bhugat rahi hu.

Wo apne mobile pe ek newborn baby ki photo dekhti hain.Wo Jiyana ki hi photo rehti hain.Jo Indira bhagtewaqt capture karti hain..

Indira : Hello , Baby. Aap to mujhe pehchanti bhi nahi ho, lekin beta me aapki mumma hu. Aur pata hain mumma apni pari se bahot bahot pyar karti hain.Lekin kya hain na beta mumma se ek bahot badi galti hui hain.Agar abhi maine chaha na to bhi me aapke pass nahi aa paungi.Aap mujhe maaf kar do beta please.Aue haa aap jaha bho ho na bahot khush rehna aur aapke papa se bhi bahot pyar karna.Wo bahot achhe hain beta.Please beta ho sake toh mumma ko maf karna.

Tabhi Indira ki PA Mandira Gupta waha aati hain.Wo Indira se thori badi hoti hai aur usko Indira ke past ke baare me malum hota hain. Indira bhi usse PA se jyada dost hi samajti hain.

Mandira : Indira tum aaj bhi yahi sab kar rahi ho?

Indira : Mere pass un logonse baat karne ka aur koi rastha bhi toh nahi hain na Mandira..

Mandira : Itna khudko dard kyun de rahi ho tum?Abhi usse call karo na Indira.Dekhna wo tumhe jarur maf karega aur tumhe wapas apnayega bhi.

Indira : Mujhe nahi lagta Mandira ki Rishi mujhe apnayega.Are mujhe to lagta hain ki usne abhi tak dusri shadi bhi karli hogi.Aur agar kar bhi li hogi toh usme galat toh kuch nahi hain na.Ye sab toh usne uss chhoti masum bachhi ke liye hi kiya hoga jisse me uske pass chor kar aayi hu.

Mandira :  Lekin ek bar toh usse bat toh karke dekh. Aur tumne hi bataya tha ki Rishi tumse bahot pyar karta tha. Toh mujhe nahi lagta ki usne abhi dusri shadi ki hogi. 

Indira sirf uske taraf dekhti hain.

Mandira : Achha ye sab chodo aur ek bat batao jabse tum uss school se wapas aayi ho bahot preshan lag rahi ho? Kya hua Indira?

Indira : Pata nahi Mandira lekin kuch ajibsi bechaini ho rahi hain man me.Jabse maine uss bachhi ko gale lagaya, jab maine usske aansu poche tab aise lag raha tha ki jaise me meri beti ko hi gale laga rahi hu, uske hi aansu poch rahi hu.Jab usne mujhe mumma mumma kaha aur mujhe touch kiya tab mujhe laga ki...ki meri beti hi mujhe mumma keh kar bula rahi hain. Jiyana...Jiyana nam tha uska.Aisa laga ki meri bachhi mujhe awaj de rahi thi.Mandira ab wo bhi toh aise hi school me jati hogi na.Maine bahot kuch miss kiya hain Mandira.Rishi aur wo meri bachhi dono mujhse bahot dur gaye hain...itne dur ki main ab unke pass kabhi jaa bhi nahi paungi..aur ye duriyan maine hi banayi hain hum dono ke beech.Aur wo rone lagti hain..

Mandira usse shant karati hain aur bolti hain..: Indira agar sach me kahi wahi tumhari beti hui toh? Agar Rishi sach me tumhare samne aaya toh?

Indira jerk se mandira ke taraf dekhti hain aur Rishi ke photo ko hath me leti hain.

Indira : Nahi Mandira, mujhe nahi lagta ki wo ab mere samne aayega.Wo mujhse dur ja chuka hain..aur nahi me unki jindagi me firse jaa paungi..Lekin haa agar jindagi ne mujhe ye mauka diyana toh me jarur jaungi..Kyunki ab mujhe pata chala hain ki meri asli identity mere Rishi ke pass aur humari bachhi ke pass hi hain..Ye sab stardom meri asli pehchan nahi hain..mujhe in sari cheezonse ab chutkara pana hain..mujhe mere Rishi ke pass jana hain..haa mere Rishi ke pass jana hain..

Wo Rishi ke photo ko hug karti hain : I love you Rishi..I really love you...Please mujhe apnalo please...

At Rishi's Bedroom :
Rishi ki neend achanak se khulti hain.. Wo jerk se utkar beth jata hain aur pani pita hain..

Rishi khudse bat karta hain : Aisa laga ki kisine mujhe pukara. Kisine...kisine nahi balki...balki Indira ne hi mujhe pukara...haan..wo Indira ki hi awaj thi...Wo mujhe apne jindagi me wapas bulana chahti hain...

Lekin wo turant apni soch badlta hain..

Nahi Rishi aisa kaise ho sakta hain? Indira toh bahot badi model ban gayi hain..Wo ab famous star ban gayi hain. Wo tumhe kaise yad karegi?

Tabhi usse aayne me uski tasvir bat karti hui najar aati hain (Rishi's Dimag)

Rishi's Dimag : Sach soch rahe ho tum..Are jis aurat ko apni bachhi ka khayal nahi raha wo tumhe kaise yad karegi? batao jara...

Tabhi uske samne ek aur image aati hain uski (Rishi's dil)

Rishi's dil : Are lekin Rishi, galti toh har insaanse hi hoti hain na.. aur Indira bhi toh insaan hi hain na.. Aur ek bar apni Jiya ke bare me to socho..Are wo ful jaisi bachhi ka kya jo har roj isi umeed pe hain ki uske papa uski mumma ko le aayenge aur wo apne mumma papa ke sath rehengi jaise uske sare sare dost rehte hain..

Rishi's Dimag : Are Jiyana abhi bachhi hain lekin jab wo badi hogi tab to tum usse sach batane wale ho hi na..fir..Lekin  Indira ne jo galti ki hain na wo mafi ke layak bilkul bhi nahi hain..issiliye tum usse kabhi maf nahi karoge...

Rishi's dil : Nahi Rishi, tum usse ,maf karoge...Jiyana ke khatir maf karoge..

Rishi's Dimag : Nahi..tum maf nahi karoge..

Dil aur dimag ke jung ke karan Rishi apnna sar jorse dabata hain aur chillata hain..Bas..Bas..karo tum dono..Aur wo samne dekhta hain lekin usse koi nahi dikhta ..wo firse sone ki koshish karta hain lekin so nahi pata..fir wo magzine padhne lagta hain aur uski aankhe band honi lagti hain aur wo wapas so jata hain.

Posted: 9 years ago
Chapter 5 

Next Day

Rishi der se uthta hain. Wo turant taiyar hokar breakfast karne neeche aata hain. Jiyana bhi breakfast ke table pe achhi bachhi ki tarah dudh pee rahi thi.

Rishi : Are wah!!! Aaj koi dudh peene ke liye shaitaniyan nahi kar raha hain?

Jiyana : Papa ab me good girl bananewali hu. Pata hain aapko kal na mere school me mumma aayi thi. Unhone mujhe huggie bhi ki aur kissie bhi ki. Aur sabse badi bat pata hain aapko unhone mujhe promise kiya hain ki wo kuch hi din me humare sath rehne aaniwali hain.

Rishi ye bat sunkar Simmi ke taraf dekhta hain. Simmi usse sirf fade smile deti hain.

Jiyana : Kitna maza aayegana papa jab mumma yaha aayengi. Aap me aur mumma bahot maze karenge. Hain na papa?

Rishi : Uff..oh..beta. Ab jab mumma ne hi tumhe bola hain to ab wo jarur pakka aayengi. Chalo ab jaldi jaldi khana khalo fir school bhi toh jana hain na..  Aur wo Jiyana ko khilata hain..aur fir usse school chodta hain.

Kuch din bad bahot barish ke karan Jiyana ka school band hota hain. Jiyana uske friend Anuja ke ghar khelne jati hain. Rishi usse subah chodta hain. Uss din bhi bahot zor se barish hoti hain. Jiyana aur Anu barish me mana karne ke bad bhi bhigte hain. Ghar wapas aane ke bad Simmi Jiyana ko bhigi hui dekhti hain..

Simmi : Are ye kya? Tum bhigi barish me? Papa ne mana kiya tha na bhigne se fir?

Jiyana : Dadi papa ko me mana lungi. Lekin dekho aaj mere sath kaun aaya hain? 

Simmi : Kaun hain beta? 

Aur wo bahar aati hain aur shock hoti hain.Usko lagta hai jaise phir se vohi jaana pehchaana toofaan uske ghar mein waapas dastak dene aaya hai.

Jiyana : Dadi kya hua? Dekho Mumma aayi hain mere sath..

Simmi Jiyana ko change karneko bolti hain aur servant ko Jiyana ko khana khilane ko bolti hain.
Simmi Indira ko ander bulati hain aur usse dekh kar uski sari bharas bahar nikalti hain.

Simmi : Tum?? tum yaha kaise aayi?

Indira Simmi ke pair chukar aashirwad leti hain. 

Indira : Wo...mummy ji...wo Jiyana mujhe yaha leke aayi...

Simmi :(lekin Simmi usse bolnehi nahi deti) Kyun aayi ho tum yaha Indira? Ek bar mere bete ki zindagi ko tumne narak bana diya hain na fir wapas kyun aayi ho tum?

Indira : Mummyji..me sach keh rahi hu. Me janti hu mujhse bahot badi galti hui hain 5 saal pehle. Lekin me sach keh rahi hu mujhe iss bat ka bahot pachtava ho raha hain. Me uss bat ki saza abhi bhi bhugat rahi hu. Mujhe Jiyana ke bare me kuch nahi pata tha. Mujhe ye nahi malum tha ki wo meri aur Rishi ki beti hain. Wo aaj me apne saheli ke ghar gayi thi. Maine waha Jiyana ko dekha aur fir mujhe sab pata chala ki wo Rishi Diwan ki beti hain. Tab mujhe bahot bada shock laga mummyji..Fir Jiyanahi mujhe yaha leke aayi. Me sab sach keh rahi hu mummyji..

Simmi : Ab toh tum jan chuki ho na ki wo tumhari aur Rishi ki beti hain. Aur tumhe ye bhi pata hoga ki wo apni maa ko kitna miss kar rahi hain. Lekin tumhe iss bat se kya farak parta hain Indira? Tum toh apne jindagi me bahot khush ho na. Ab to tumhe apni pehchan bhi mili hain, tum bahot badi model bhi bani ho. Ab tumhe kya farak parta in sabse?

Indira ko ye sari batonse bahot dard hota hain.

Indira : Mummyji me janti hu aap mujhpar bahot gussa ho. Lekin sach kehti hu jab maine wo faisla liya na tab mujhe bhi bahot dard hua aur wo dard me ab tak sehen kar rahi hu. Mujhe meri pehchan mili, stardom mila lekin...lekin mummyji mujhe ab samajh me aaya hain ki ye sab char din ki chandani ki tarah hain. Meri asli pehchan toh mere Rishi ke pass hain aur humari bachhi ke pass. Me sach keh rahi hu mummyji..mujhe bahot pachtava ho raha hain..In 5 salonme maine bahot kuch saha hain, bahot sare dukh jhele hain. Aur wo Simmi ko sari bate bolti hain. Mummyji me ye bhi janti hu ki Rishi ke zindagi me ab mere liye koi jagah nahi hain. Lekin agar ek bar sirf ek bar mujhe mauka milena toh me firse wahi zindagi jeena chahti hu jo 5 sal pehle thi.

Simmi ye sab sunakar shant hoti hain aur usko bahot bura bhi lagta hain. 

Indira : Me abhi bhi Rishi se utna hi pyar karti hu mummyji..aur Jiyana se toh ek alagsa lagav hi hua hain. Humari mulakat toh jyada nahi hain lekin jab usne school me mumma kaha tabhi mujhe alagsi hi khushi mili. Wo khushi jo maa ko apne bachhe ke muh se pehli bar maa kehte hue milti hain. 
Maine bahot kuch miss kiya hain mummyji. Please ab aap hi meri madad karo na please...

Simmi : Indira...Shant ho jao beta...abhi tumne jo bhi kuch kaha yakeen nahi ho raha hain ki tumhe itne mushkilonse guzarna pada hain.Me toh humesha Rishi ke baremehi sochti thi lekin tumne bhi kuch kam nahi saha hain. Lekin beta..tum yaha rahogi ya na rahogi ye to sab Rishi pehi depend karta hain..Mera matlab hain ki...

Indira : Main samajh sakti hu mummyji..Rishi ka faisla kuch bhi ho mujhe wo manzur hoga. Kyunki maine usse bahot jyada dard diya hain. Mummyji me aapse ek request karti hu kya aap har roz sirf ek bar meri bat Jiyana se karwayengi please. Ye ye mera no hain...aur wo usse contact no deti hain..please mummy ji..

Simmi Haa karti hain. Indira jane ke liye nikalti hain tabhi Jiyana waha aati hain..

Jiyana : Mumma aap kaha jaa rahi ho? Aapka kam abhi tak khatm nahi hua?

Indira : Beta..Mumma ka kam ab thori din me pura hone wala hain. Isiliye mumma ko abhi jana hoga. Tabhi toh mumma jaldi aayegi na...

Jiyana : Thik hain mumma..lekin aap thori der ruko na..papa aane ke bad jao na aap..me abhi papa ko bulati hu..

Indira : Nahi beta..aaj papa ki important meeting hain..aur meri papa se bhi bat hui hain. Abhi mujhe jana hoga beta..

Jiyana : Thik hain mumma. Lekin ab aap jaldi aana..

Indira usse bye keh kar waha chali jati hain. Jiyana Simmi ko hug karti hain.

Posted: 9 years ago

Chapter 6

Sham ko Rishi office se wapas aane ke bad Simmi Rishi ko Indira ke aane ke bare me aur uski firse unke sath rehneki ichha ke bareme bolti hain. Rishi usse turant mana kar deta hain. Lekin Simmi usse bahot samjhane ki koshish karti hain. Rishi is sabse bahot pareshan ho jata hain aur irritate bhi hota hain. Tabhi waha pe Jiyana aati hain. Aur Rishi ko Indira ke bareme puchne lagti hain aur unki aaj ki mulakat ke bare me batane lagti hain. Rishi in sab batonse pak jata hain aur wo sari irritation uski Jiyana pe guuse se nikal ti hain.

Rishi : Bas karo Jiyana. Har bar mere samne aakar humesha mummy ke bare me puchtach mat karo. Har roj ek hi sawal puchti rehti ho ki maummy kab aayegi? Ek bar bola na maine ki mummy apne kam me busy hain toh ye bat tumhe samaj me nahi aati? Jao apne room me ja ke padhai karo. Jao...

Jiyana Rishi ko itne gusse me pehli bar hi dekhti hain. Wo jor jor se rone lagti hain aur apne kamre me jati hain. Ye sab dekh kar Simmi Rishi ke upar chillati hain.

Simmi : Yeh sab kya tha Rishi? Tum uske sath aise kaise bat kar sakte ho? Are bachhi hain wo.

Rishi : Maa please. Ab aapbhi mujhe hi mat boliye. Mujhe bahot bhuk lagi hain Maa. Aap khane ki taiyari kariye. Me abhi fresh ho kar aata hu. Aur wo apne room me jata hain.

At Dining Table: 

Rishi : Ye kya Jiya kaha hain? Wo abhi tak nahi aayi? Aapne usse nahi bulaya maa?

Simmi : Me gayi thi uske kamre me. Usne aane se mana kiya hain. Wo boli ki wo tumhare sath khana nahi khayegi.

Rishi : Thik hain. Aap usse bad me khila dena. Waise bhi wo bahot ziddi hote ja rahi hain. Aur wo khane lagta hain.

Simmi Rishi ki taraf disbelievely dekhti hain. Rishi ek nivala khane ke liye hath uthata hain tabhi uski najar Jiyana ke kursi pe jati hain. Wo turant wahase uthkar kam karne ke bahane apne room me jata hain. Room me jate waqt wo Jiyana ke room ke pass jata hain. Aur Jiyana ki awaj sunta hain. Wo dheerese room ka darwaja kholta hain aur ander dekhta hain ki Jiyana ne apne sare khilone neeche jameen par feke hain aur wo bed pe Indira ke photo ko hug karke usse bat kar rahi hain.

Jiyana : Pata hain mumma aaj papa ne pehli bar Jiyana ko aise data. Aur wo bhi maine kuch bhi nahi kiya tha fir bhi data. Mumma aap please aa jao na mere pass. Aaj mujhe aapki bahot bahot yad aa rahi hain. Me ab papa se katti hu. Me unse bat nahi karungi. Mumma please aap aa jao na.

Rishi ko ye sab sunke bohot dukh hota hai aur usko ehsas hota hain ki usne Jiyana ko khamkha data. Wo dheere se Jiyana ke pass aata hain aur uske samne beth jata hain. Lekin Jiyana turant apna muh ghuma leti hai.

Jiyana : Mujhe aapse koi baat nehi karni hai papa.Main aapse katti hu.

Rishi : Are bapre itna gussa!!! Wo bhi apne papa pe?

Jiyana koi jawaab nehi deti.Tab Rishi uske thora paas aata hai.

Rishi : I am sorry..Papa really very sorry..mera bachha. Papa ko maf nahi karoge aap? Aur wo apne kan pakarta hain.

Jiyana turant muh banaati hain. Rishi apne kan pakarkar Jiyana ke samne ghutno pe beth jata hain.

Rishi : Sorry..Please maf kar do.

Jiyana : Lekin mujhe aapse bat nahi karni hain.

Rishi : Please beta papa se bat karlo na. Fir papa ghar me kis se bat karenge? Aur fir papa doll, chocolates kisko lake denge?

Jiyana dall aur chocolates ka nam sunkar pighal jati hain lekin wo gussa hone ka natak karti hain. Rishi ye sari bate samaj jata hain.

Rishi : Thik hain fir. Ab papa ki ladli hi papa se bat nahi karna chahti hain toh papa bhi kisise bat nahi karenge aur nahi khana khayenge. Aur jo chocolates papa laye hain na wo wapas de denge dukandar ko. Aur wo room se jane lagta hain. Tabhi jiyana usko bulati hain.

Jiyana : Papa..

Rishi ruk jata hain aur Jiyana ke taraf dekhta hain. Jiyana apne kan pakrti hain aur sorry bolti hain. Rishi turant Jiyana ke pass aakar usse gale lagata hain. Wo dono bahot rote hain. Jiyana Rishi ke aansu pochti hain aur kehti hain ki wo ab mumma ke bareme har bar nahi puchegi. Rishi bhi usse sorry bolta hain aur usse dinner karne ke liye neeche lata hain. Aur wo sare dinner karte hain. 

Agle din 

Rat ko Rishi office se late niklata hain. Raste me uske car ke samne ek aurat aakar behosh hoti hain. Rishi turant bahar nikal kar uss aurat ke pass aata hain. Wo aurat aur koi nahi balki Indira hi hoti hain. Rishi idhar udhar dekhta hain tab usko kuch goons Indira ki taraf aate huye dikhte hain. Rishi un sabke sath fighting karta hain aur Indira ko uthakar car ke peechlewale seats pe leta deta hain aur ghar aata hain. Bahot rat hone ke karan Simmi aur Jiyana dono so jati hain. Rishi Indira ko apne kamre me le jakar leta deta hain. Aur fresh hokar hall me aakar so jata hain. 

Agle din Simmi uthkar neeche hall me aati hain aur Rishi ko sofe pe soye huye dekhti hain aur uske pas aakar Rishi ko jagati hain aur sofe pe sone ki vajah puchti hain. Rishi rat ki sari bate batata hain. Simmi Rishi ke kamre me jakar dekhti hain ki Indira abhi tak soyi hoti hain. Wo uske pass aakar sar pe hath ghumati hain tabhi usko pata chalta hain ki Indira ko bahot tej bukhar hain wo turant Rishi ko upar bulati hain aur batati hain.

Simmi : Rishi isko toh bahot tez bukhar hain. Tum turant doctor ko phone karo. 

Rishi turant doctor ko phone karta hain aur Indira ke tabiyat ke bare me batata hain. Tabhi Simmi aur Rishi dekhte hain ki Jiyana waha aati hain. Wo Indira ke dekh kar bahot khush ho jati hain. Aur Simmi ke pass daudkar usse hug karti hain..

Jiyana : Dadi dekho mumma aayi hain...Aur wo Rishi ke pass jati hain. Papa aap laye ho na mumma ko? Bolo na papa. Lekin Rishi usse kuch nahi bol pata.

Simmi : Haa beta..papa laye hain tumhari mumma ko..

Jiyana : Dadi..iska matlab ab mumma humesha ke liye humare sath rahegi na?

Simmi sirf apna sar hilati hain. Jiyana bahot khush ho kar Indira ke taraf daudti hain. Rishi sirf ek bar Indira ke taraf dekhta hain aur Jiyana ke taraf dekhne lagta hain..

Posted: 9 years ago
Chapter 7

Jiyana bahot kush hokar Indira ke pass aati hain..

Jiyana : Yippieee..ab mumma humesha Jiyana aur Papa ke pass rahegi. I love you Mumma..

Rishi : Jiya beta Mumma bimar hain na. Unko sone do chalo neeche chalo beta.

Tabhi waha doctor aate hain. Doctor Indira ko check karte hain aur Rishi ko bahar le jate hain.

Doctor : Mr. Diwan, lagta hain Mrs. Diwan ko bahot pareshani hain. Unko bahot bada shock laga hain aur uski wajah se ye bukhar aaya hain unko. Waise maine jo medicines di hain wo unko dete rahiyega. Aur unko 2 din ke liye puri rest lene dijiyega.

Rishi : Thik hain Doctor me khayal rakhunga.

Doctor jane ke bad Rishi kamre me aata hain.

Jiyana: (Bhag ke Rishi ke pass aati hain) Papa..Mumma ko kya hua hain? Wo thik toh ho jayengi na jaldi?

Rishi : Haa beta. Mumma ko kuch nahi hua hain. Jaise aapko kabhi kabhi bukhar aata hain na waise unko bhi aaya hain. Chalo ab mumma ko aaram karne do. Chalo neeche. 

Jiyana neeche jati hain.

Simmi : Rishi doctor ne kya kaha?

Rishi : Unhone kaha hain ki Indira ko 2 din ki puri rest lene dijiye aur kuch bhi kam nahi karne dijiye. Aur kuch medicins di hain.

Tabhi Indira ko hosh aate hain. Indira apne sar pe hath rakhti hain. Aur uthne lagti hain. Simmi turant uske pass aati hain. Indira Simmi ko dekh kar shock hoti hain. Aur Rishi ko bhi dekhti hain.

Indira : Maa aap yaha? Aur wo idhar udhar dekhti hain. Me..Me yaha kaise aayi Maa? Me toh woh..

Simmi : Jyada bat mat karo beta. Kal rat tum Rishi ke gadi ke sath takra gayi aur behosh ho gayi thi. Toh Rishi tumhe yaha lekar aaya. Ab tum yaha pe aaram karo. Me abhi aati hu.

Simmi jane ke bad Indira Rishi ki taraf ek bar dekhti hain lekin wo turant muh fer leta hain. Indira room me idhar udhar dekhne lagti hain. Usse Rishi aur Jiyana ki bahot badi tasveer dikhti hain. Wo ussi tasveer ki taraf dekhne lagti hain. Rishi ye sab dekhta hain. Kuch time bad wo room se jane lagta hain.

Indira : Rishi...

Rishi : (Rudely) Kya hain?

Indira : mujhe tumse bahot jaruri bat karni hain..

Rishi : Mujhe tumse koi bat nahi karni hain. Aur kal tumhara mere gadi se takrana aur fir mera tumhara yaha lekar aana ye sab ek iktifak tha aur tumhe yaha lekar aana wo bas ek sympathy thi. Isse aur kuch mat samajna.

Indira : Me sab manti hu Rishi..Lekin please mujhe tumse bahot jaruri bat karni hain. Suno to please..

Rishi : Dekho Indira, Na mujhe tumse koi bat karni hain aur nahi tumhari kuch bat sunani hain. Please mujhe majboor mat karo bolne ko. Tum yaha sirf mehman ban kar aayi ho aur mehman hi rahogi..

Tabhi waha Simmi chai lekar aati hain.

Simmi : Indira beta tumhe doctor ne 2 din ko strictly aaram karne ko kaha hain isiliye tum yahi rahogi..

Rishi : Maa..

Simmi : Ye meri order hain..

Rishi : Thik hain maa lekin sirf 2 din tak. Maine yaha koi dharmshala nahi kholi hain ki koi bhi aaye aur yaha reh jaye.. Aur wo waha se chala jata hain..

Indira rone lagti hain..: Kya mujhe Rishi kabhi maf nahi karega maa? 

Simmi : Nahi beta aisa kyun keh rahi hain? Rishi ko bhi sab ka shock laga hain na. Tum yon achanak se aise uske samne aayi itne sal bad toh uski bhi halat ke bare me socho beta..aur dekhna wo tumhe ek na ek din jarur maf karega. Tum jyada socho mat abhi..aaram karo..chalo ab jaldi se chai peelo..

Thori der bad Rishi taiyar ho kar Jiyana ko school chalne ko kehta hain..
Rishi : Yeh kya? Tum abhi tak school ke liye ready nahi hui?

Jiyana : Papa me school nahi janewali hu aaj.

Rishi : Kyun?

Jiyana : Papa aap bhul gaye kya? Mumma ko bukhar hain na. Toh fir me school kaise jau?

Rishi : Are beta yaha pe dadi hain na aapko mumma ka khayal rakhne ke liye. Chalo jaldi ready ho jao school ke liye.

Jiyana : Nahi papa. Jab me bimar hoti hu toh aap bhi office kaha jate hain? Me nahi janewali school aur aap bhi office nahi jayenge papa.

Rishi : Are par..

Jiyana : Plz papa plz..

Simmi : Bilkul sahi keh rahi hain meri poti. Aaj koi kidhar bhi nahi jayega. Chalo Rishi jao jake change karo.

Rishi : Maa aap bhi na..

Simmi : Jao Rishi..

Rishi waha se change karne jata hain. 

Jiyana : Dadi ye kya hain?

Simmi : Ye soup hain beta tumhari mummy ke liye.

Jiyana : Loa dadi me mumma ko pilati hu.

Simmi : Haa chalo..

Indira soup dekh kar muh banati hain.

Jiyana : Mumma itna soup toh aapko pina hi padega. Pata hain jab bhi me bimar hoti hu na toh papa mujhe aisehi soup pilate hain aur kahani bhi sunate hain. Ab me aapko bhi kahani sunau?

Indira : Ok. Lekin pehle tum mere pass toh aa. Aur wo Jiyana ko gale lagati hain aur rone lagti hain.

Jiyana : Wo Indira ke aasu puchti hain. Mumma aap royiye mat..kya hua? bahot dard ho raha hain kya aapko?

Indira : Nahi mera bachha..aap jo ho mere pass..Mumma ko kuch bhi nahi hua hain..aur wo Jiyana ke hathko kiss karti hain.

Rishi ye sab bahar se dekhta hain.

Simmi : Dekha Rishi Jiyana kitni khush hain. Ab tum bhi apne gusse ko thuk do. Jo hua usse bhul jao aur Indira ko maf kar do.

Rishi kuch nahi bolta aur waha se chala jata hain. 

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

8 Participants 67 Replies 9704Views

Topic started by ShivIka..Ketaki

Last replied by ShivIka..Ketaki

loader
loader
up-open TOP