CID

FANFIC: Daya Abhijeet- Amigos Eternally

-VPaintings- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago

Disclaimer: Some of you might have already read this on FB long ago!!πŸ˜†


Special thanks to my dear dear friend along with whom I have written this fanfic😳



PRESENT DAY


Daya: Abhijeet...!!!! Ye tum kya kar rahe ho...meri baat to suno...

Abhijeet: ab kehne sunne ke lie kuch bhi baki nahi reh gaya hai daya...mujhe tumse ye ummeed nahi thi... (Points his gun towards him)...

Daya: arreh...par...lekin mujhe kuch bolne ka mauka to do...tum jo soch rahe ho waisa nahi hai...

Abhijeet: nahi daya...maine tumpe bharosa kia tha aur tum...ab aur nahi..ab bohot der ho chuki hai...

 

(He presses the trigger... TING TONG...door bell rings...)

 

AT ABHIJEET SIR'S HOME 7:10 a.m.

 

Abhijeet : (stressed)...hey bhagwan phirse wohi...(sweating)...ye sapna to mujhe pagal kar dega...ufffh(in headache)...kaash...kaash ki maine daya ko...(again the bell rings,...TING TONG...TING TONG...) is waqt kaun aya hoga...

 

(opens the door,freddy enters)...

 

A : arreh freddy!!!tum aur itni subah subah...akele aye ho??ayo na...andar ayo...

F: ji sir,akele aya hun...ye lijiye sir meri wife ne apke lie apka favourite gajar ka halwa banake bheja hai..

A: halwa...tarika bhi yahi...(pauses)...I mean bhabhiji ko ab bhi yad hai ke ye mujhe pasand he,aur sirf mujhe kyun, daya hota to tut padta aur mere liye kuch nahi bachta...(sad...n stops..) anyways thank you freddy...waise tum itni subah mujhe sirf ye halwa dene aye ho yaa...

F: (joining his hands)sir main bohot umeed leke apke paas aya hun sir...aap plz bureau wapas chaliye...

A:nahi freddy,ye mumkin nahi hai, ab mera wahan mann nahi lagta...

F:par sir bureau ap dono ke...(stops)..apke bina incomplete hai sir...acp sir ne khud mujhe yahan apko lane bheja hai... jo hua usme aapka kya kasur...

A:nahi freddy...puri dunia mujhe begunah manle par main apne apko kabhi maaf nahi kar paunga...(with tears)...ye galti nahi hai freddy, ye gunah hai...jo meri kismat me nahi tha use to maine kho hi diya, par ek dost, ek bhai..ka naam maine khud apne haathon se apni kismat se mitaya hai...gunehgar hun main, uska aur khudka bhi...aur ek gunehgar ke lie CID me koi jagah nahi hai...main ab kabhi wapas nahi aa sakta...tum log bar bar ake aise mujhe kamzor mat karo...yahi meri saza hai...tum jayo freddy...

F: thik hai sir...jaisa aap thik samjhe...par humare lie to aj bhi ap wohi ABHIJEET SIR hain aur humesha rahenge...main aapko force nahi karunga, na acp sir aur naa hi team, par CID ka darwaja aapke lie humesha khula rahega...hume apka intezar rahega...chaltahu sir (he leaves...)

A: (still in pain,takes his medicine and then recollects all his precious moments with CID,even the bitter ones...tears come out..)...kismat humesha se hi mere sath aisa khel khelti ayi hai...kabhi khudse khud ki yaadein chheen li...to kabhi apno ko...aur har bar us apne ko kho dene ki wajah bhi mujhe hi banaya gaya...

kya sab kuch phirse pehle jaisa nahi ho sakta...kya woh din phirse wapas nahi aa sakte...

 

daya...tum bhi mujhe hi gunehgar mante ho na...islie to mujhe akela chodkar chale gaye...ek hi to dost tha mera, bhagwan ne use bhi mujhse chheen lia...daya wapas aa ja na yaar...

 

...FLASHBACK...

 

A few days ago, while both daya and abhijeet sir are coming out of the forensic lab...

 

D: pata nahi ye dr.tarika ajkal itna attitude kyu dikhati hain...mana ki tiya ke khoon me sameer ka koi haat nahi,to kya...mujhse galti ho gayi khooni ko pehchanne me, galti to insan se hi hota he na...pata nahi samajhti kya hain ye apne apko...

A: (shocked)arreh arreh arreh...daya!!! kya bole ja rahe ho ye sab...haaaiiieenn!!!!

D: (joining his hands sarcastically)...ok ok...kan pakadta hun..maaf kardo galti ho gayi jo maine apki TARIKA JEE ke lie aisa kaha...am sorry mere bhai...ab chale...???

A: (laughs)...to maine kahan mana kia he...chalo...

 

Meanwhile in the forensic lab...

 

Dr.Salunkhe: tarika...ye tumne kya kar dia...

Dr.Tarika: kyun sir...maine to wohi kaha na jo sach hai...khooni sameer nahi he...uske finger prints khooni se match nahi ho rahe...

Dr.s: woh sab to thik he par tumhe is tarha daya se baat nahi karni chahiye thi...

Dr.t: sir par mera unko insult karneka koi bhi intention nahi tha...wo to unhone jab pucha ke tumne thik se check kia ki nahi tabhi maine waise bol dia...maine to sirf apni duty ki hai...phir bhi apko lagtahe to main unse baat kar lungi...

Dr.s: yeah, now that's like a good girl,chalo abhi kaam pe dhyan do...Both get busy in their work again...


(continued below)

 


Edited by -VPaintings- - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

25

Views

35609

Users

8

Likes

24

Frequent Posters

bhavnajaiswal thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Lovely pics of our beloved Daya n Abhijeet πŸ€—
bhavnajaiswal thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Amazing FF πŸ˜³πŸ˜³
bhavnajaiswal thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
tfs with us my dear friend  πŸ˜³πŸ˜³
-VPaintings- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago

Same day at night dr.tarika calls daya sir...


D: (in mind)...tarika ka number!!!...(picks up)...haan tarika bolo...

T: (hesitantly)...daya wo...wo main...subah istarha...i had no intention to hurt you...plz dont mind...

D: itni formality kyu kar rahi ho...arreh its ok...mujhe apni personal aur professional life balance karna ata hai...islie no hard feelings...may be your daya sir was a li'l bit offended but daya tumhara hone wala brother-in-law is all the very same as before...!

T: kya daya, tumne to relation bhi bana lia, lekin kabhi apne dost se pucha hai ke wo mujhse shadi karega to karega kab...

D: haaaiiieeennn!!!!!

T: arreh ab tum kyun uski nakal utarne lage...actually na abhijeet to bechara nirdosh hai...woh to tum ho jiske sath usne saathme shadi karne ki kasam khayi hai..

D: ab kya kare...apka abhijeet ab tak ek ladki nahi dhund saka mere lie...

T: kyaaa!!!!!!abhijeeettt!!!!! dont tell me daya ke tum us sharmile type ke insaan ke bharose baithe ho...phir to tumhari shadi ho gayi samjho...aur meri bhi...!

D: sharmila!!!!!!...tarika tumhe ye ho kya gaya hai...tum uske bare me aisa bol bhi kaise sakti ho???

T: aur nahi to kya...aj tak mujhe officially propose nahi kar paye apke sr. inspector abhijeet..D: ye...ye tum thik nahi kar rahi ho haan...dobara agar mere dost ke bare me kuch ulta sidha kaha na to...T: to????????? kya kar loge...D: to main...main...(interruption) 

T: hmmm...i am waiting!!!!!

 

D: main...                  

T: thik hai thik hai...ab tum sochte raho...abhijeet ka call aa raha hai...I'll talk to you later...D: haan haan jaiye...ab aap mere dost ko raat bhar sone to dengi nahi.. phone pe aankhein chaar jo karni hain!!...aur kal abhijeet ko acp sir ke samne mujhe sambhalna padega...

T: kya kare ab DOST KE LIE KUCH BHI...nahi ye main nahi keh rahi hun...ye to tum dono ka world famous dialogue hai...anyways good night...

 

D: good night...bye...ab jaldi usse baat karlo warna main khaamakhan phas jaunga...(smiles)...

T:(naughtily) lekin yaad rakhna daya main tumhare dost ko sau baar sharmila bulaaungi aur tum mera kuch nahi kar paaoge!!(cuts the call)

Now daya sir thinks ki sach me woh kya kar lenge...suddenly he gets an idea...

NEXT DAY MORNING...AT DAYA SIR'S HOME...

Daya sir was making his breakfast...suddenly he feels someone's presence in his bedroom...

The person was looking for something...

D: oho...mere ghar me chori...waah beta kamaal ki himmat hai tujhme...

That man tries to escape but in vain...daya sir use pakad lete hain...par tabhi wo apna chaaku nikal ke daya sir pe vaar karta hai aur bhag jata hai...

D: aarrrggghh...aj toh tu bach gaya...(in pain)...mil jaye tu ekbaar aur mujhe...jis hat pe tune chaku mara he usi haatse teri gardan marodh na dun to...(his cell rings)...abhijeet!!!...(picks)...haan abhijeet bolo(in pain)...A:kya hua? aise kyun baat kar rahe ho..??D: kuch nahi yaar,tum batao kya baat hai...A:kya baat hogi...???hum sab bureau pahuch gaye hain...tum kahan reh gaye...D: haan wo...bas abhi nikal hi raha hun...finger prints result aagaye kya...??A: haan wo sachin aur vivek gaya he f.lab..report miltehi wo log phone kar denge...D: achcha...aap nehi gaye FO..RE..NSI...C LA..B...!!!!!A: ji nahi...ab aap mazak chodhiye aur jaldise jaldi bureau pahuchiye...D: (smiles)...yeah am coming...bye...A: bye..(cuts the call)..

 

IN BUREAU...            

Vivek and Sachin enter with the report...

Acp: achcha to ye hai humara khooni...

A: yehhh!!!!!!!!!!humare samne to bada sharif ban raha tha...

Acp: chalo phir der kis baat ki...iski khatirdari ki jaye...

D: (enters)...kiski khatirdari sir...

Acp: areh aagaye...ye dekho report...

D: achcha to ye hai humara honewala mehman...chaliye sir khabar lete hain is varun ki...

At varun's place...

Acp: tumhare finger prints disha ke ghar me kaha se aye varun...jab ki tum to disha ko jante hi nahi???..ab sach sach batao...kyun mara disha ko...(but still varun remains silent)...daya lagta hai ye aise nahi manega...ab ise tumhari dawai chahiye...

D: sir aaj mera mood nahi hai(as he was injured)...abhijeet aaj ye kaam tum hi kar lo...

A: achcha..thik hai...(to varun)batao tumne khoon kyun kia..haaiieenn...???

Varun: maine koi khoon voon nahi kia hai..aap log zabardasti mujhe fasa rahe hain...

Abhijeet sir slaps him(ulte haat se)...as usual varun lands at bureau and...what else...yess confesses his crime...CASE SOLVED!!!

ON THE WAY WHILE RETURNING FROM BUREAU...

D: toh abhijeet...finally ye case bhi solve ho hi gaya...

A: haan...last moment pe dr.tarika ne wo finger prints wali baat na notice ki hoti to...(interruption)

D: haan haan pata hai...aapki tarika ggg jo hain...par aise bhi mat bolo jaise humne to kuch kia hi nahi...

A: arreh nahi nahi aisi baat nahi hai yaar...mera who matllab thodi na tha...

D: rehne do...mujhe pata hai...I was joking...waise aaj sham ka kya plan hai...???

A: (blushing)..woh main aaj tarika jee ke saath dinner pe ja raha hun...

D: achcha achcha...to isme itna sharmane wali kya baat hai yaar...

A: main...aur sharmaa raha hun...huh...waise tum bhi hume join kar sakte ho...

D: thank you so much for your invitation but i am sorry, mujhe kabab me haddi banne ka koi shauk nahi hai...(stops the car)

A: arreh ab ye car kyun rok di...???

D:bhai sahab...ab kya apko mujhe ye bhi batana padega ki apka ghar aagaya hai...

A: ohhh...mera to dhyan hi nahi gaya...

D: jata bhi kaise...aap apni tarika jee ke khayalo me khoye jo the...kahiye to main directly apko chodh dun unke ghar tak...

A: (with fake anger)uski koi zarurat nahi he...(smiles)...chalta hun...

D: haan bye...(about to leave,but calls a.sir again)...abhijeet...

A: haan...ab kya hua...

D: white shirt pehenke jana..kaafi handsome dikhte ho...(leaves)..

A: (smiling)...ye daya bhi na...pagal hai bilkul...

AT TARIKA'S HOUSE...

 

AT TARIKA'S HOUSE...DOORBELL RINGS...

T: abhijeet aya hoga...aarahi hu...(in mind)par itni jaldi!!!abhi to main taiyar bhi nehi huyi...(opens the door)...

 

ONE HOUR LATER...A.SIR REACHES THERE...

A: darwaza khula he...ye itna andhera kyu he...tarika...kaha ho tum light kyu nehi jalayi...tarika...(puts on the light)...ye ghar ki halat aise...!!!!tarika...kaha ho tum...lagtahe yeha kuch hua he...(calls daya sir but his phone is switched off,now he calls the team)...

TEAM ARRIVES...

Acp: yahan hua kya he abhijeet...aur tarika kaha he..

A: I don't know sir jab main yahan aya to darwaza khula hua tha...light bhi off thi...maine light jalayi to dekha ye haal he aur tarika bhi nehi mili...mere paas abhi gloves nehi he islie maine kuch chuya nehi aur aplogo ko bula lia...

Acp: ye tumne achcha kia...vivek freddy,kajal,sachin...ghar ki achchi tarha se talashi lo...koi bhi chiz chutni nehi chahiye..ek ek chiz ko bariki se dekhna..

All: yes sir..

A: sir daya kahan he...

Acp: uska to phone bandh he...kyu tumhare sath nehi he wo..mujhe laga tum dono sath me hoge...

(in the midtime)

Kajal: sir...

A: haan kajal...

K:ye dekhiye sir yahan khoon he...

A: khoon ke sample utha lo...arreh ye kya he...bracelet!!!!!(in mind:ye to daya ka he...)...thik he aur dekho kuch miltahe kya...(picks up the bracelet and goes to acp sir)..

Acp: kya he ye...ye daya ka he na???

A: ji sir...

Acp: daya ka bracelet tarika ke ghar...

A: aur ye daya abhi hi phone nehi utha raha...

All: pura ghar dekh lia sir bas wo khoon ke elawa kuch nehi mila...

Acp: chalo daya ke ghar chaltehe...

A: par daya ke ghar kyu sir!!!!!

Acp: kyu ki ab wohi hume bataega ke yahan hua kya he...

F: par daya sir...(intrrptn)

Acp: tum apna rona dhona bandh karo...aur chalo...

PIN DROP SILENCE IN CAR...THEY REACHE AT DAYA SIR'S HOME...BUT HE IS NOT THERE...

Acp: kya ab bhi tum yahi kahoge abhijeet ke kuch bhi nehi he...itne sare sabut mil gaye abhi bhi uski tarafdari karoge...

A: par sir wo sabut to mamuli se hain...usse kya fark padhtahe...

Acp: nehi padhta agar daya humare sath hota to...hume daya ke ghar ki talashi leni padegi..

A: par daya to ghar me nehi he sir...phir hum kaise...

Acp: tumhare paas duplicate key rehti he na daya ke ghar ki...darwaza kholo...

A: sir...ap...(intrrptn)

Acp: that's an order...aur agar tumne aisa nahi kia...to hum darwaza todhke andar jayenge par jayenge zarur...

A:..(unwillingly)...opens the door...

Acp: talashi lo ghar ki...aur abhijeet tum mere sath yahin ruko...



(continued in next post)

bhavnajaiswal thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Please write some thing on Daya n shreya's bonding also πŸ˜³πŸ˜³
Love to watch them together πŸ€—
bhavnajaiswal thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Will eagerly wait for your next writing venture 
-VPaintings- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago

AFTER SOMETIME...

Sachin: sir yeha to khoon he...Kajal: sir bedroom me bhi blood spot he...jo mitane ki koshish ki gayi he...

A: pata nehi in dono ke sath hua kya he...

Vivek: sir ye tuta hua phone bhi mila he...

A: ye to tarika ka he...

Acp: check karo isme last calls...(intrrptn)..

A: par ye to ekdam tut gaya he...haan sim abhi bhi thik he...vivek zara ise apne phone me lagake dekho...dekho isme kuch miltahe kya...

V: ji sir...

VIVEK IS DOING HIS JOB...

V: sir ho gaya...call list to nehi he...inbox dekh saktehe...

Acp: to dekho na...

V: nehi...wo...abhijeet sir ap dekh lijiye...

A: thik he...do...(in mind)..yahan to daya,kajal aur mera hi sms he...last sms daya ka he,dekhta hun...

(he presses the "view" option)It was...

"to main tumhe nahi chorunga..."

From: Daya

05/11/2011

10:43:55 p.m.

A.sir gets shocked...

Acp: kuch mila humare kaam ka..???

A: nehi sir...wo...aisa to kuch bhi nehi he...

Acp: mujhe dekhna he...lao phone mujhe do...

A: sir aisa...maine kaha na sir...

Acp: kuch bhi nehi he to mujhe do...(and takes the phone from a.sir)...ye kya he...kuch bhi nehi...???A.sir remains silent...

Acp: ab tum chup kyu ho...itne sare sabut sab uske khilaf hain...(to others)...ye sab blood ke samples uthao aur bhej do salunkhe ke paas...dekhte hapn kya hua hai in dono ke sath...

 

NEXT DAY AT FORENSIC LAB...

All are waiting for result...

Dr.salunkhe: boss tarika aur daya...dono ke ghar se jo blood mila he wo tarika ka hi he...aur...

A: aur...

Dr.s: aur daya ke ghar me ek aur sample mila tha na aplogo ko...

K: haan aur usko mitane ki koshish bhi ki gayi thi..

Dr.s: haan wo daya ka he..

A: kyaa??????

Dr.s: haan hai to daya ka hi par aisa lag nehi raha ke wo naya hai..kam se kam 17/18 ghante purana khoon hai wo...

A: uske haat me subah hi chot lagi thi..ho sakta he ye tabka ho..

Dr.s: ho sakta he...

Acp: pata lagao...pata lagao ye daya hai to hai kahan...

All: yes sir...

AT BUREAU...ONLY A.SIR IS THERE...D.SIR ENTERS...

A: (in a strange tone)...aaj ane me itni der laga di...

D: nehi yaar ye to tum jaldi aagaye...(mischievously)..kyun baatein nehi hui kya kaal raat bhar...!!!Jo aaj bina call kiye hi jag gaye...

A:call kaise karte...tumhara phone to switch off aa raha hai..

D: haan wo main on karna bhul gaya...kal wo...(intrrptn)

A: (rudely)..tarika kahan hai daya...

D: mujhe kaise pata hoga...ye to tumhe pata hona chahiye...kyu phirse jhagra kia he kya...

A: main mazak nehi kar raha hu...

D: f.lab me hongi aur kahan...par tumhe kya ho gaya abhijeet...aise kyu baat kar...(intrrptn)

A: wohi to main tumse puch raha hun daya ki ye sab kya he...tarika ne usdin tumse waise kya baat karli..tum to uski jaan ke dushman hi ban baithe..tumse mujhe ye umeed nehi thi daya...tum itna niche...(intrrptn)

D:...stop it abhijeet...jaan ke dushman...ye sab kya bol rahe ho tum...????

A: wohi keh raha hu jo sach he...wohi keh raha hu jo sab keh rahe he..jo sare sabut keh rahe he...tumne to tarika ko jaan se maarne ki dhamki bhi de di...ab sach batao daya tarika ka kidnap tumne hi kia he na...

D: kya...!!tarika ka kidnap...!!!!!!!...magar main...mujhe... (His cell rings,unknown number)..Excuse me... (picks up)...hello...

Someone: kyu daya gir gaye na apni puri team,apne sabse achche dost ki nazro me...

D: kaun bolraha he...

S1: main kaun hun use kya farak padhtahe...soch lo main tumhara wellwisher hun...

D: matlab...

S1: matlab ki mujhe malum he tum bekasur ho...

D: kis baat ka...

S1: apna ye sawal jawab apne paas hi rakhkho...agar tum chahteho tarika wapas aajaye to tumhe meri baat mannai padegi...

D: to tu hain jisne ta...(intrrptn)

S1: arreh arreh sari baatein phone pe hi kar loge kya...aur abhijeet sunlega to...

D: haan thik he thik he...bolo...

S1: sooo sweet...tumhe mujhse milna hoga...wo bhi akele...agar sath me koi aya to tarika...phone chalu rakhkho aur car me jake baitho...phir main tumhe jagah bata dunga...yaad rakhna koi bhi chalaki nehi...

D:(in mind)...abhijeet is waqt meri baat ka yakeen nehi karega...aur iswaqt usko samjhane se zyada tarika ko bachana zaruri he...

To  A.sir...

D: mujhe jana hoga abhijeet...par main jaldi wapas aajaunga ...

A: lekin...daya...(daya sir leaves)...

IN CAR...

D: hello...haan ab main car me hun...

S1: samajhdar ho daya,jo abhijeet ko kuch nehi bataya...

D: apni bakwas bandh kar aur bata kahan ana hoga mujhe...

S1: itni bhi kya jaldi he daya...age jaake jo signal ayega wahan se right le lena...

d.sir follows his instructions...

D: haan ab...

S1: chalte raho...age jake ek nursery milegi...jiske paas ek white car khadi hogi...

D: (after 20 mins)...haan mil gayi...

S1: haan ab apni car yehi rok do...aur us car me ake baitho...aur apne is phone ko car ke sath hi chodh dena...

D: (does that)...pata nehi ye mujhse kya karwana chahta he...lekin kuch bhi ho jaye tarika ka pata main lagake hi rahunga...chahe iske lie mujhe apni jaan...(cell rings)...ye kiske phone kai awaz he...arreh yahan to ek phone he...phirse unknown number...(hesitates)...uthayu ki nehi..????...agar ye bomb hua to...par lagta to nehi he...khair jo hoga dekha jayega..(picks up)hello...

Again that voice: kya daya...phone uthane me itni der laga di...tum CID wale janch parakh na kiye kya koi kaam nehi karte...

D: nehi...aur tum jaise darinde ko chodhte bhi nehi..

S1: itna kuch ho gaya phir bhi akkad nehi gayi teri...

D: tune jaise jaise kaha waise maine kar lia...ab kya karna hoga...

S1: good boy...abhi isi car ke back seat pe jo number plate he use lagao...aur phir isi car se lonavla central park pahucho...phir hum batate he...aur haan apne naye phone se abhijeet ya acp ko call karne ki koshish mat karna...bekar jayega...kyu ki us number pe outgoing facility to hai hi nehi...

D: mujhe pata tha...par lonavla jana he to mujhe ulte raste itni dur kyu laye..

S1: itna bhi nehi samjhe...tumharei car badalwane...tumharei car ke no.se tumhe to asani se trace kia ja sakta he,hain na...ab zyaada time mat lagao...aur jaldise jaldi pahucho...(cuts)

D: ye kya ho raha he...abhijeet mujhe pata heai aj jo bhi tumne kaha he wo sab logo ki baatein sunne par kaha...mujhe bura nehi laga...pata nehi tumlogo ko mere khilaf kya sabut mile he...itne sab me tum shayad bhul gaye ki kal Divya ka birthday tha,islie main uske hostel gaya tha thik 12 baje usko wish karne...pata nehi kab phone off ho gaya hoga...aur is beech kya hua aisa...bas mujhpe bharosa rakhna abhijeet...main tarika ko kuch nehi hone dunga.


AT LONAVLA CENTRAL PARK...

Daya sir enters the park...watches dr.tarika..walking about freely...just as he moves towards her...his phone rings...

S1: nahi daya nahi...tarika ke paas jane ki koshish bhi mat karna...mere aadmi chaaron taraf phaile hain...tumne agar zara sib hi hoshiyaari ki to...

Daya sir looks around and finds three men with gun pointing towards tarika...

S1: samajh gaye na...maine to tumhe yahan sirf islie bulaya tha jisse tumhe yakeen ho jay eke tarika mere kabze me hai...ab agar tum use bachana chahte ho to jaisa jaisa main kehta hun, karte jao...

D: yaad rakhna agar tarika ko kuch bhi hua to tera wo haal karunga jo tune sapne me bhi nahi socha hoga...bol..mujhe ab kya karna hai?

S1: Sidha pune ke city resort me pahucho...baki baatein wahan pahuchne ke baad..


(continued in next post)

 

-VPaintings- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago

AT BUREAU...

Acp: abhijeet ye main kya sun raha hun...daya aya tha, aur tumne use jaane diya...?

A: sir uska koi zaruri call agaya tha...woh pareshan dikh raha tha...lekin usne kaha wo lautkar ayega...

Acp: tumhe kaise pata abhijeet ke wo ayega?? iss waqt wo humare liye ek suspect hai...officer nahi...

A: Magar sir...mera dil to ab bhi yahi keh raha hai k daya ne kuch nahi kia hai...hum itni aasaani se uske khilaaf kaise soch sakte hain...

Acp: nahi abhijeet...sabut sirf aur sirf daya ki or ishara kar rahe hain...aur cid me sabuton se badhkar kuch nahi hai...aur phir tumhi to kehte ho na, duty pehle hai..sentiments baadme... to phir aaj tumhari dosti tumhare kaam ke bich me kaise agayi?...kuch bhi ho...mujhe daya chahiye...(leaves)

The team continues investigating  for Daya sir and Dr.tarika...

At City Resort, Pune...

Daya sir's cell rings...

S1: Pahuch gaye daya...wahan tumhare liye ek kamra book hai...magar yaad rahe kamra tumhare naam se nahi..(something) ke naam se book hai...

Daya sir reaches the room...

S1: Daya ab tum mere mehmaan ho aur main tumhari poori khatirdari karunga...room me ek CD hai, use lagakar dekho...

Daya sir finds the CD which shows tarika in captivity...

S1: Agar tum chahte ho ke tarika vaapas abhijeet ke paas ja sake to tumhe ek kurbaani deni padegi...aur main janta hun ke tum apne sabse achche dost ki khushi ke liye badi se badi kurbaani bhi haste haste de doge...

D: Saaf saaf bata tu mujhse chahta kya hai warna agar ek baar mera paara chadh gaya na to Bhagwan bhi tujhe mujhse nahi bacha payega..

S1: Afsos daya...iss baar to Bhagwan bhi tere sath nahi hai...agar tum tarika ki rihai chahte ho to hamesha ke liye CID aur CID ke logon se dur chale jao, agar tum meri ye shart maan lete ho to main khushi khushi tarika ko riha kar dunga...kyonki meri use koi dushmani nahi hai...

D: Main teri ye bakwaas kabhi nahi maanunga...

S1: Achcha...to thik hai...

Daya sir hears the sound of firing and dr.tarika's scream...

S1: relax daya...ye to sirf trailor tha...hahaha...(cuts the phone)

D: Aakhir CID ka ye dushman hai kaun?? Iss waqt who tarika ko kuch bhi kar sakta hai...Abhijeet aur Acp saab to mujhe hi gunehgaar samajh rahe hain...nahi...tarika ki jaan khatre me daalne se behtar hai ki main uski ye shart maan lun...lekin...

Phone rings...

S1: Kyun daya...apne dost ki khushi ke liye tumhe itna sochna padh raha hai...tum log to kehte the ke DOST KE LIYE KUCH BHI...ab kya hua??

D: Mujhe vishvaas kaise hoga ke tumne tarika ko riha kar dia hai??

S1: CID ka dushman hun daya...apni zubaan ka pakka...uski chinta tum mat karo...bas yaad rakhna, jitni aasani se main tarika ko riha kar sakta hun utni hi aasani se use phirse kidnap bhi kar sakta hun...islie tumhari zara si hoshiyaari bhi tarika ki jaan par ban ayegi...

Next day...same place...

Daya sir trying to find out something about the villain by watching the CD again and again...The doorbell of his room rings...he opens the door...is hit by an iron rod and becomes senseless

 

 

AT BUREAU...an old couple enters...

Kajal: jee kahiye...

Old man(shows newspaper): hum ye photo dekh kar aapke paas aye hain...(shows dr.tarika's photo published in the newspaper by abhijeet sir)..

Kajal: Abhijeet sir...ye log dr.tarika ke bare me baat kar rahe hain...

A: Kya!!!!...aap log jaante hain ye kahan hain??

M: haan...hume pata to hai...par...

A: Arrey to bataiye na...

W: jee woh...humara ghar samundar ke paas hai, do din pehle hum eek laash mili thi jisne ye kapde pehne the...(hand over the clothes which are actually dr.tarika's)..

Abhijeet sir takes the clothes...absolutely shocked...

A: ye to tarika ke kapde hain...(unable to speak further)...

M: laash sadne lagi thi islie chehra thik se pehchaana nahi ja raha tha...mohalle walon ne laash ka antim sanskar bhi kar dia aur aaj jab humne akhbaar me ye photo dekhi to hume laga ye wohi hain...

Acp sir enters...

Acp: Haan abhijeet...kuch pata chala?? ye log kaun hain?

A: Sir wo...

Acp: kya...hua kya tumhe...?? Kajal kaun hain ye log??

Kajal tells him everything...Acp sir thanks them and allows them to go...

Acp: lekin abhijeet jab laash mili hi nahi to hum kaise maan le ki wo tarika ki thi?

A: magar sir ye kapde to tarika ke hi hain...(leaves the bureau...all in tearsL)

Once abhijeet sir leaves...a little later Acp sir in bureau..gets a call from the control room...

Acp: KYAA...

He immediately calls a.sir...

Acp: Abhijeet jaldi bureau aa jao...control room se information mili hai ke daya ki gaadi ka accident ho gaya hai...aur...ek laash bhi mili hai...

On hearing this the already broken Abhijeet sir is now completely shattered...

The car and the body are all burnt beyond repair and the body cannot be recognized...

It is sent to the forensic lab...

AT THE FORENSIC LAB...

Dr.Salunkhe is at work...the rest of the team is standing by...

Freddy: (crying) Ye daya sir nahi ho sakte sir...bilkul nahi..bhala unki car ka accident kaise ho sakta hai..?

Acp: Hum sab yahi chahte hain freddy ke ye daya na ho...lekin kad-kaathi se to ye daya hi lag raha hai...

A: nahi sir, ye daya nahi hai...nahi hai ye daya...mujhe pura vishvas hai ke ye koi aur hai...

Dr.S: Abhijeet, chahta to main bhi yahi hun...lekin mujhe jo kuch bhi mila hai...uska badge, uski ring...uska phone...in sab ke hisaab se to ye daya hi hai...

A: Nahi dr. sahib...aapse koi galti hui hai...aap phir se sabkuch check kijiye...daya itni aasani se hume chodhkar nahi jaa sakta...

Dr.S: Kash meri baat galat hoti abhijeet...Kash...

 

DAYA SIR COMES BACK TO SENSES IN A DARK ROOM...

S1: Good morning daya...kaise ho...tumne pucha than a ke tumhe vishwas kaise hoga...to maine socha tarika ko riha karne se behtar hai ke main tumhe hi apne paas bula lun...waise bhi tarika ko riha karne se mujhe kya faayda hoga...aur tumhe yahan company den eke liye bhi to koi hona chahiye na...

D: Ye tu thik nahi kar raha hai...tarika ko jaane de...tujhse nipatne ke liye main akele hi kaafi hun..

S1: ye tumhari galatfehmi hai daya...tu akele kaafi nahi hai...infact CID ke bina to tu kuch bhi nahi hai...isi liye to maine tumhe CID se dur karne ke liye..tarika ko mohra banaya...kyonki main jaanta hun...abhijeet tumhari kamzori hai..aur tarika, abhijeet ki...

 

NEXT DAY AT BUREAU...

Freddy to acp: Sir mujhe abhijeet sir ki bohot chinta ho rahi hai...woh abhi tak bureau nahi aye..unka phone bhi nahi lag raha hai..

MEANWHILE ABHIJEET SIR ENTERS...

Acp: Abhijeet kahan reh gaye the tum?..main janta hun ye sab sehen karna tumhare liye asaan nahi hai...magar zindagi me age to badhna hoga na...?

A: sir zindagi me age to main tab badhta jab zindagi hoti...jab meri zindagi ke do sabse azeez logon ne hi mera saath chodh dia to zindagi ke saath ka kya bharosa...

Acp: Samay ke saath sab thik ho jayega abhijeet..kaam me mann lagane ki koshish karo..

A: Nahi sir...Ab main CID me kaam nahi kar sakta..Daya ki maut ka zimmedar main hun sir...sirf main...na maine uspar shaq kia hota aur na ye sab hota...Jahan hum dono ne itne saal milkar kaam kia, wahan ab mujhse akele kaam karte nahi banega...main resign kar raha hun sir...

(hands over the resignation letter)

Acp: ye tum kya keh rahe ho abhijeet...daya ki maut ke liye tum zimmedar nahi ho...tumne to sirf apni duty ki thi..

A:Duty ki thi  sir...lekin aaj usi duty ki wajah se ek dost kho diya...

Acp:to tumhe lagta he hum sab galat he,sare sabut galat he????a:(loud)haan hain...ap sab galat he,sare sabut galat he,aur main bhi usiko sach manta agar...sir apko nehi lagta ye sab kuch daya ko phasane ke lie kia gaya he?warna ap hi bataiye na sir,agar daya ne ye sab kia hota,to kya itne sabut chodhta humare lie?aur agar chodhta bhi, to tarika ko wo apne ghar me le jane ki bewakufi q karta?acp:par abhijee...

a:kal mujhe divya ka phn aya tha,7th nov ko uska birthday hain,us rat daya uske sath tha...bolie sir ab bhi main daya ko doshi manu?kaise?(in tears)...kash ki maine uspar shak na kia hota,kash use usdin rok lia hota to????...mujhe maaf kar dijiye sir,ab main yahan aur kaam nhi kar paunga..(leaves)

 

                                     ...FLASHBACK ENDS...

-VPaintings- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago

Back to the Present...


The same day when freddy sir came to abhijeet sir's house...

at nightAbhijeet sir's cellphone rings...

A:Freddy ka phone!!!!kahin wo phirse mujhe cid vaapas lautne ko kahega toh...aisa karta hun phone hi nahi uthata hun...lekin itni raat ko...koi zaruri baat hui toh...utha leta hun..

(He picks up the phone...)

A: Haan freddy bolo...

F: sir...sir...mujhe bacha lijiye...sir...please...

A: Arrey magar freddy baat kya hai?? shanti se bataoge??

F:(hyper)...sirr...mujhe bacha lijiye sir...please sir...

A: kya hua hai freddy?aur tum ho kahan?F: main...apne ghar pe...sir main mar jaunga...main marna nahi chahta...aap mujhe bacha lijiye sir...A:ghar pe ho...aur bhabiji????

F: wo to mere in laws ke yahan gayi hui hai...ap aajaiye sir please main apke payer padhta hun, please sir please...

A:to tum akele ho,kahin tum atma watma ko lekar...

(freddy sir disconnects the call)...

A: arrey phone cut gaya...lagta hai freddy kisi musibat me hai, mujhe turant uske paas jana chahiye..

Abhijeet sir immediately leaves for freddy sir's house...

He reaches freddy sir's house which is in sheer darkness...

A: Freddy...kahan ho..?

F: (comes out running) sir...mujhe bacha lijiye sir...wo mujhe maar dalegi...

A: Daalegi..???? koi ladki????

F: Nahi... ladki ki...aaa..ttt...maaa..!!!

A: (expected this) Lo...islie tumne mujhe yahan bula lia??Haaiiieeen?? tum kab sudhroge freddy?

F: Nahi sir...sachme..aap please meri baat ka yakeen kijiye...

A: shut up freddy...tumhe achchi tarah se pata hai na ke atma watma kuch nahi hoti...phir...?

F: lekin sir aap meri baat ka yakeen karie...(interrupts)

A: (angry) jo cheez maine apni aankhon se nahi dekhi uska yakeen kaise kar lun main..haaiieen?

F: (normal again) toh phir aapne bina dekhe kaise maan lia ke daya sir aur dr.tarika mar chuke hain?

A.sir is silent...

Acp sir and team enters...

Acp: Freddy ke sawaal ka jawab do abhijeet...

A: (surprised) sir.. aap log...ye sab...

Acp: Ye sab ek plan tha...tumhe yahan bulane ke liye...abhijeet mujhe pata hai ke tum CID me vaapas nahi ana chahte...main tumpar zor nahi daalunga...lekin tumhe yaad hai kal 14 november  hai...childrens day...hum log har saal is din daya ke saath uske orphanage  jaate the...ab daya nahi hai to kya hua...lekin use yaad karne ka isse achcha mauka hume nahi mil sakta...

A: Lekin sir...

Acp: Nahi abhijeet...tumhe meri ye baat maanni hi hogi...kal hum sab wahan jayenge...tum bhi pahuch jana... kisi aur ke liye na sahi to sirf daya ke liye...

A: thik hai sir...daya ke liye kuch bhi...

AT THE VILLAINS PLACE...

Dr.tarika is unconscious and daya sir has been given an overdose of drugs...

Vil: Ye dekho...ye wo cid hai jisne meri zindagi barbaad kardi...aj aise bebas pade hain uss cid ke ye officers...kal mera maksad pura ho jayega...kal ka baal divas cid ke liye andhera lekar ayega...jisme crime investigation department ka naam-o-nishan mit jayega...aur mera badla pura ho jayega...hahaha...ab cid ki barbaadi...in dono ke haathon hi cid tak pahuchegi

 

Next day at the orphanage...the whole team enjoying with the kids...

Acp: Abhijeet mujhe achcha laga ke tum agaye...

A: Sir isi bahane daya ki yaadon ko to zinda rakh sakta hun main...

Meanwhile a child comes running towards abhijeet sir...

C: Abhijeet uncle...daya uncle nahi aye apke saath?

A: Beta wo...( acp sir interrupts)

Acp: Arrey bachchon...dekho hum aap sabke liye kitne saare gifts laaye hain...chalo chalo...

(takes away the kids)

While everyone except abhijeet sir is enjoying inside with the children...they  hear  a sound of firing outside where abhijeet sir is...they all come out running...the bullet had just touched the arm of a.sir...

Acp: Abhijeet tum thik ho...?

A: haan sir main thik hun...goli chhukar nikal gayi...

Suddenly they hear the scream of the children...

They rush inside...only to find the children taken in captivity by the villain's gang...

One of the villains: Acp...ab ye saare bachche humare kabze me hain, agar inki salhamati chahte ho to jaise main kahun waisa hi karna...

A: Dekho in bachchon ko chhod do warna achcha nahi hoga...

V: Aey...bandh kar apni bakwaas...aur tum sab chup chap...bahar garden me jao...wahan tumhare liye ek surprise hai...

They do as the villain says...One of the villain's men is sent out with them...

On reaching the garden they see ... ...daya sir on a wheel chair, semi conscious due to the effect of drugs...

A: Sir...ye toh daya hai!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

They run towards him...just then somebody calls them from another corner of the garden...

S1: Arrey nahi nahi abhijeet...itni jaldi kya hai? mujhe pata hai ke apne dost ko zinda dekhkar tumhe kitni khushi ho rahi hai...magar abhi to surprise baki hai...zara idhar to dekho...(points towards a white van at some distance...and abhijeet sir is awestruck to see Dr.tarika being brought out of the van by one of the villains...)

The lost charm of his face returns...life begins to revive for him as he sees the two assets of his life return...and this indeed is the return of SENIOR INSPECTOR ABHIJEET...!

S1: Kyon abhijeet?? kaisa laga mera surprise??? I am sure tumhe bohot pasand aya hoga islie ab tumhe meri har baat maanni hogi...

A: Kya chahta hai tu...?

Kajal: Daya sir kuch bol kyon nahi rahe hain??

S1: main batata hun...kyonki ab ye sirf ek chalti phirti laash hai...na ye tumhari baatein sun raha hai..na samajh raha hai...

Meanwhile Dr.tarika shouts: Abhijeet...in logon ne daya ko ek bohot  khatarnak  drugs di hai...jiski wajah se uska central nervous system inert ho gaya hai...

S1: Aey doctor...zyada apna gyan mat baat samjhi...Acp Pradyuman...yaad hai maine tujhse kaha tha ke maine apne parivaar ki barbaadi ka badla zarur lunga...dekh aaj wo din agaya hai...aaj tera ye cid ka parivaar mere haathon barbaad hone jaa raha hai...

Acp: Kaun hai tu??? aur kyon kar raha hai ye sab??

S1: Main ronny ka bhai hun...yaad hai aaj se 7 saal pehle tune use phasi dilvayi thi... jiska sadma mere ma-baap sehen nahi kar sake aur chal base...usi din maine soch lia tha main tujhse aur cid se iska badla zarur lunga...

Acp: Dekh ye tu thik nahi kar raha hai, chup chap khudko humare hawale kardo...

S1: CHUP...ye bekar ki baton me samay barbaad mat kar...tum sab ki aakhri ghadi a gayi hai...ye daya bhale hi ab kisi kaam ka na raha ho...lekin mere bohot kaam ka hai...kyonki yahi mera hathiyaar hai tum sabko khatam karne ke liye...ye tum sabko lekar marega...

A: Sir...kuch gadbad hai sir...daya ke jacket me light blink kar rahi hai...kahin koi bomb to nahi hai...

S1: Wah abhijeet Wah...bhai manna padega tumhare dimag ko...bilkul thik pehchana tumne...

Meanwhile vivek cleverly hits the man standing beside them...and the team is freed... there breaks a massive fight between the gang and cid...

The villains are all dropped down...being unconscious...

The team immediately hurries towards daya sir to diffuse the bomb...

A: Sir yahan toh bohot saari taarein hain...kuch samajh nahi aa raha diffuse kisse hoga...

Acp: Abhijeet aaj tak tumne aur daya ne milkar kitne bomb diffuse kiye hain...aaj ek aur ki baari hai...

A: Sir aap log jaiye...main koshish karta hun..

F: Nahi sir...hum sab ek saath rahenge...chahe jo ho..

Acp: Haan abhijeet...

A: Thik hai sir...sirf 90 second bache hain...daya yaar...har baar tum jo taar kehte ho main wohi kaat ta hun...aj kaunsa...

Daya sir does not react...

75 seconds left...

Acp: Abhijeet...aaj tumhe ye faisla akele hi lena padega...

Meanwhile daya sir's fingers begin to move...

A: Sir daya ka hath hi raha hai...wo kuch kehna chahta hai...haan bolo daya...kaun sa taar...

Daya sir points towards abhijeet sir's shirt which is black in colour...but there is no black wire...everybody is confused...

60 seconds left...

Acp: Abhijeet...daya kuch kehna chah raha hai...magar kya...

55 seconds left...

Nobody has any clue as to what daya sir wants to say...50...45...40 seconds...

Only then abhijeet sir recalls...

"WHITE SHIRT PEHENKE JAANA ABHIJEET  KAAFI  HANDSOME  LAGTE  HO"

28 seconds remaining...25...20...

Acp: Abhijeet jaldi karo...zyada waqt nahi bacha hai...

10...9...8...7...

abhijeet sir cuts the white wire...

THE BOMB IS DIFFUSED...

Every one takes a sigh of relief...except daya sir...he still does not react...

Acp: Abhijeet tumne kya sochke white wire kaata?

A: Sirrr...ye mera aur daya ka secret hai!!!

Acp: Achcha...ab in sabko uthao...dekho koi zinda hai to hospital bhejo...aur daya ka bhi  to treatment karwana hai...

Just then the main villain regains senses...he captures a child from the orphanage..

S1: Khel abhi khatam nahi hua hai acp...itni aasani se main tum logon ko nahi chodunga..

A: dekh...bachche ko chodhde...teri dushmani humse hai...in maasum bachchon ka kya dosh hai??haaiiieenn?

S1: koi dosh nahi hai abhijeet...main inhe kuch nahi karunga ...agar tum meri baat maano toh...

A: Kaunsi baat...dekh bachche ko chodhde warna...

(while they are talking...the effect of the drugs on daya sir is gradually decreasing...)

S1: Simple si baat hai abhijeet...tum mera kaam kardo..main ise chodh dunga...tumhare paas do options hain...ya toh tum daya ya tarika me se kisi ek ko maar do...ya phir main iss bachche ko maar deta hun...

A: Ye kya bakwaas kar raha hai tu...haaiiieen??

The villain fires in the air once...the child is terribly scared...

C: Uncle...mujhe bachalo...please uncle...

A: tu bachche ko kuch nahi karega...samjha...

S1: oh main toh bhul hi gaya that ere paas gun to hai hi nahi...balki tu to iss waqt ek cid officer hi nahi hai...chalo koi baat nahi...acp saab hain na tumhari madad karne ke liye... Chal acp...apni gun nikal jaldi...warna iss bachche ko marne ke liye mera haath zara sa bhi nahi kaapega...

Acp: Pehle tu iss bachche ko chodh de..

S1: hahaha...bewakuf samjha hai mujhe jo bina apna kaam karaye hi ise chodh dun...jaisa main kehta hun waisa kar...apni gun phek abhijeet ke paas..

Acp sir does that...abhijeet sir picks up the gun and points it towards...dr.tarika

 

 

The biggest of challenges...the most mysterious of cases over the years were never as difficult as this moment for our senior inspector abhijeet...it was to be a choice between a brother in the form of a friend...and love in the form of a friend...his hands shivered...the most talented shooter in the team was today unsure of his target...a tear rolled down his eyes...as he prepared to press the trigger...

Meanwhile...senses returned to daya sir...at once he understood  what was going around...he saw abhijeet sir with the gun pointing towards dr.tarika...he knew how difficult it was for his friend to do that...but he also knew that it was too late for words to work...

D(in mind): Abhijeet ye kya kar raha hai...mere liye tarika ki jaan le raha hai...ise rokna hoga warna aaj tarika nahi abhijeet ki maut hogi...wo jeete-jee mar jayega...

(his thoughts urge him to get up from the wheel chair...as a.sir presses the trigger...daya sir comes in front of dr.tarika and the bullet hits him...he falls...)

Everyone is totally shocked...meanwhile the child in vilain's captivity somehow frees himself from the villain, just then vivek and sachin capture the vil...but abhijeet sir...he is not in himself now, he has lost his life again...just then a child comes near him and

says:areh abhijeet uncle ye daya uncle ko kya ho gaya..

a:(in trance)maine isse mar dia...

c:ofhho...aap kitne budhdhu ho, aap ek cid officer ho aur apko mujhe ye batana padega ki goli lagne se bleeding hoti he, ap bhi na...

A.sir just then realizes that there is no trace of blood...he is confused now...and actually confused because  of dr.tarika...

After the bullet has hit d.sir, dr.tarika starts to blame a.sir (like a typical girlfriend)!!!!!!

T:tumne daya par goli chalai, i don't believe this, tum aisa kaise kar sakteho, usne kitni bar tumhari jaan bachayi, aaj uski ye halat tumhari wajah se hai aur tum(talk talk talk talk)...

A:please tarika maine jan bujh kar nahi kia ye, main to tum...

T:KYAAA...mujhpar...!!!

Finally acp: ok ok, ab sab shant ho jao, kuch nahi hua daya ko, drugs ki wajah se kamzor tha islie nakli goli kam distance se lagi to gir gaya...

all:(surprisngly) NAKLI GOLI!!!!!!!!!

f:areh haan aaj to hum sab yahan bachchon ke paas ate hain, isilie gun me nakli goli rakhte hain, areh wah, kamaal ho gaya...asli goli to sirf sachin ki gun me hai...emergency ke liye...

Daya sir opens his eyes..:kyun sabko dara dia na?

A.sir leaves the place...extremely angry...yet happy!!!

D:abhijeet... i am sorry...

(and follows a.sir...)

D:mujhe aisa nehi karna chahiye tha..i know...(clutching his ears) maaf kar do yaar...

A:tumhe aise bakwas mazak karna achcha lagta hai, to karo, maine kab mana kia, aur maine kaha bhi kya, jo tum mujhse mafi mang rahe ho, itne din to bina dost ke jee hi raha tha, ab mar bhi jata to kisiko kya fark padta...

d-thik hai thik hai, manta hun mujhse galti ho gayi..lekin tum bachcho ki tarha naraz kyon ho rahe ho..???

A: malum hai yaar, bohot bade pehelvan ho, jab dekho jaan jokhim me daal dete ho...jabse gayab hue ho kya beet rahi hai humlog pe pata hai..haaaiiieeen?

d-lekin tum us waqt meri baat hi nahi sun rahe the..

a-main sun nahi raha tha iska matlab tum bologe hi nahi..haaaiiieeen?

d:matlab????ye bhi meri hi galti hai?

a: aur nahi to kya..tum mujhe bata nahi sakte the tum divya ko wish karne gaye the??

d:par tum to tarika ke sath...a:to kya...tum bata nahi sakte(stops)...my gawwd...d:ab kya hua???a:tarika...main usse bina baat kiye hi chala aya...d:what!!!!!!!!mar gaye...jaldi chalo...

(they both immediately turn par weak hone ki wajah se daya sir ko chakkar aa jata hai)...

a:areh areh, lo main itni der se itna jhagra kiye ja raha hun aur tum bata nahi sakte the ke tum...ok ok ab aur jhagra nahi, chup chap doctor ke paas chalo, pata nahi kaunsa drug hai...

d:nahi abhijeet..main thik hun...(interrupts)

a:shut up and lets go...

d:aur tarika??

a:already ekbar dant par chuki hai jab tumko goli mari, ab aur dant sunne ki himmat nahi hai..

D: Achcha...mujhe abhi itna daata hai aur ab khud darr rahe ho...chalo abhi to tarika ke bahane main bhi tumhe daat lagvaaunga...

Abhijeet sir stares at him with fake anger...daya sir becomes serious...and ultimately the amigos eternally burst into laughter!!!!


THE END

 hope you enjoyed readingπŸ˜ƒπŸ˜³

reviews are most welcome!😊

Edited by -VPaintings- - 9 years ago