Miscellaneous

Love Quotes & Shayaris - Part I

vijay thumbnail
Posted: 19 years ago

Love Quotes & Shayaris

Jo wyakti dariya mein apni jahaaz chodne ko darta hai ke kahin toofan na bahade usko, use yeh bhi samajhna chahiye ke toofan zameen par bhi aa sakti hai.

Follow your own heart, Not others.

Love and Perfume cannot be hidden.

The heart has its reasons, Whereof reason knows nothing.

Beauty is not in the face; Beauty is a light in the heart. Love is something eternal.... The aspect may change, But not the essence.

Where we live is home, Home that our feet may leave, But not our hearts.

SOME COMIC SHAYARIS

Unki zulfoon pe pyaar aaya
Paas ja-kar dekha tho sardar paaya
.

Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehta Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Darre, Usse Shohar Kehte Hain.

Hum aah bhi bharte hai to ho jate hai badnaam,
vho qatl bhi karte hai to charcha nahin hoti.

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge,
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge,
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena,
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge.

Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain.....
jaise kal chamak rahe they !!!

Maine tumhare yaadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itney be-wafa nikle ki nahake chal diye

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ...
ke kyon kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai??

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

Ladki boli: Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.


Accha hua ke tum bewafa nikle Saale wafadaar to kutthe hote hain

jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le Zalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi

humne pyaar kiya bade josh ke saath humne pyaar kiya bade jor ke saath par ab pyaar karange badi soch ke saath kyoki kal unhe dekha kisi aur ke saath

Some serious shayari

Meri bezubaan aankhon se, gire hain chand katre
wo samajh sakhe to aansu, na samajh sakhe to paani!

ke marne ke baad bhi ankhe khuli reh gayee jo yaar ki,
aadat si jo pad gai thi unhe hamare intazar ki.

Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaane Kahan se seekh li unhone Yeh Ada Zidd pe utar jaane ki.

Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe,
Ho kay zameen ki khakh, Aasman se dil laga baithe.

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai,
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai.

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se,
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se.

Maana ke aapke nazron main kuch nahin hain hum,
Magar unse jaakar poochiye .. jinhe haasil nahin hain hum.

Koun kahata hai ki Tajmahal banane ko daulat nahi milti?
Arree daulat to bahut milti hai, parr koi Mumtaj nahi Milti!

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Dil Lagane Se Pehle Iski Sazaa Jaan Lo Yaaron,
Bhari Mehfil Mein Ye Dil Tod Diya Jata Hai,
Dard Ban Jaati Hai Phir Yaad Us Hassena Ki,
Jiski Chahat Mein Ye Dil Deewana Hota Hai.

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par,
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.

Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage,
Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage,
Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke,
Her dil mein thoda sa to dard jage....

zaalim tha voh aur zulm kii aadat bhi bahut thii
majaboor the hum un se muhabbat bhi bahut thii

wo mere dil ko kuchal ke chala gaya
anjane me muzko wo shayar bana gaya

baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein
mai samajh jaoonga nazron se bataana mujh ko
vada utnaa hi karo jitana nibha sakte ho
Khwaab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko
apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena
main to aashiq hoon dewaana na bana mujh ko....

ai mere humnashiiN chal kahiiN aur chal
is chaman meiN ab apna guzaara nahiiN
baat hoti guloN tak to seh lete hum
ab to kaaNtoN pe bhi haq hamara nahiiN

humko mita sake ye zamane mein dam nahi
hamse zamana khud hai zamane se hum nahi

Samney hai jo use log bura kehte hain,
Jisko dekha hi nahi usko khuda kehtey hain !

chal padi hai kashtiyaan samandar door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega

Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.

a kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.

Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya

ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath
be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath

 

Created

Last reply

Replies

1

Views

65147

Users

2

Likes

4

Frequent Posters

anjuman thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 19 years ago
are miyan baddi tarakki kar raho ho