Mujhko to tere chehrey pe ye gham nahi jachta
Jayiz nahi lagta mujhe gham se tera rishta -Atif Aslam
Dil mera tor diya usne bura kyun maanun
usko haq hai woh mujhe pyar karay ya na karay -Kasoor
Main akela na reh paunga, duur tak raat hi raat hai
zindagi ek alag cheez hai, zinda rehna alag baat hai - Kareeb
Le ke hansi honton pe ankhon mein bhar ke pani
sacchi mohabbat woh hai jo hans ke de de qurbani -Har Dil Jo Pyar Karega
Tujhe is tarah se yaad karne lage hain
Lahu ban ke ansu barasne lagey hain -Mujhse Shadi Karogi
Tum chupa na sakogi main woh raaz hun
tum bhula na sakogi woh andaz hun
goonjta hun jo dil mein to hairan ho kyun
main tumhare hi dil ki to awaz hun -Veer Zaara
Tere bina ek pal na rehna, kehta hai dil baar baar
tu hai meri akhri tamanna, tu hai mera pehle pyar -Kehta Hai Dil Baar Baar
Jhute ilzam meri jaan lagaya na karo
dil hai nazuk isey tum aise dukhaya na karo -Umrao Jaan