Some Poems written on Hindi Serials

Posted: 17 years ago
hey Guys,

While watching some tv shows and while participating in some discussions, I did pen a few poems, based on those TV serials.  They are based on television show characters, so if you want to know something more about them, I can always clarify.


1)  I called this Aman..  Meri Nazron se.

Its one of my favourite works so far.  Its a bit long😳 it was written for this show called Kashish which came on Zee TV.  Pia is the central character of the show, who is suddenly faced with her husbands infidelity and in this situation, she meets another man, a friend of hers from her childhood days.  I wrote this before the character of Aman was introduced into the show.  Am posting the whole narrative here, which was originally posted in this thread

Aman... Meri nazron se

Hey guys...

In a couple of weeks time or maybe even earlier, Aman is likely to be introduced into the serial... 

The serial will then revolve around him and Piya and their nurturing relationship...

I have penned a few words, its a combination of poetry and prose.. in hindi..Ihope you guys like it...  this is to express the feeling in Piya's mind the day she meets Aman.... 

The day when Aman arrives in Piyas life:-

Darichey ke paas khadi Piya, Zindagi ko talaash kar rahi thi... 
Aasmaan mein badal chaye the aur ek ajeeb mayuusi chayi thi fiza mein...
Par Piya ko yeh na dikha...
Apni hi man mein khoyi Piya, apne zindigo ko talaash kar rahi thi...

Shaadi ki woh pelhi raat..  aur phir chai ka woh pehla pyala jo Anand ne banayi Piya ke liye...
Woh pehla sparsh...  aur woh kushi ke din...
Piya inhi khalayon mein khoyi thi...
Sheesh mehal mein rehene wali Rani thi woh...
Aane wale tufaan ka aaghaz na tha...
Sunhare pal tho kam hi thee.. 
Achanak khushi aansoo mein badal gayi..
Ratna aa gayi khayalon mein
Aur Piya ka mehal toot gaya....

Inhi Khayalon mein khoyi Piya...
nazar padi ek phool par.....
Ghana badal chaya tha...
aur sirf ek kiran ki roshni aa rahi thi....
Phool ussi kiran ki taraf mooh dikhayi hui thi...
jaise woh kiran badalon ko chiir, sirf ussi ke liye aaya ho....

Woh nazara man ko bhaya... 
Aur Piya apni khayalon se jaag uthi...
Badal bhi wahin thee..  woh ek kiran bhi wahi...  mayoos fiza bhi thiii...
Par Piya ki nazar in par na giri...
Ek ajeeb khushi man mein bhari...  Aur Piya muskura padi...
Sara, Mohan, Mummy aur Papa bas dekhthe reh gaye... 
Aise lag raha tha jaise koi kushi ka jhonkaa aaya ho...
Kahan se aaya, kyun aaya, kab aaya.. sab ke man mein yehi sawaal...

Piya ko na badal dikhe... na woh mayoos fiza...
uski nazar thi  sirf us phool par aur us par padne wali Kiran...
Kuch aisa ehsaas hua ki koi dastak de raha hai...  Dil pe...

Aur phir achanak aise laga ki koi zor hawa ka jhokha aakar un kale badalon ko door le gayaa...
aur woh suraj ki kiranein andhere ko chiir ke roshni laa rahi hai....
Kisiko yeh aaghat na tha.. yeh shayad aanewale pal ki ek jhalak hi tha...

Aur phir woh dastak ki aawaz….

Darwaza jab khula Piya ne…  saamne khada tha ek aadmi…
Bhala sa chehra..  aur pyari si muskaan liye…
woh hero jaise tho na tha…par kuch thi uski aankhon mein…
Shaanth aankhen ki thi uski…  
Jaise duniya ki koi pareshaani... koi mayuusi usse na choo paye..

Aankhen man ka dareecha hai.. kehthe the bade buzurg..
Par Piya yeh baath kabhi na samaj payi…
Aaj darwaze pe us insaan ko dekha tho yeh laga…
Yeh aankhen to unke man ki dareeche hi tho thiii…
Har koi jo dekh le, unme kho hi jaaye…
 

Aur phir uske soye hue man ke koi andhere mein ek kiran ki bheej phathi…
Pyaase man pe jaise paani ki boondh giri ho..
Jaise woh suraj ki kiran phoolon pe aa gira thaaa…
Piya ka man jaaga…
us anjaan aadmi ki aankhon ki roshni ne uske soye man ko jagayaaa…

Aur jab Piya uske taraf dekhkar poochna chaha..' aap kaun"
Unhone kaha… "Shayad aap mera hi intezaar kar rahi thi…'


Posted: 17 years ago
Astitva Ek Prem Kahani, a very maturely dealt with story....  Dont know if you guys had seen the show.  I wrote this for that serial

Well, here is my poem on Love...


Akhir pyar kise kehthe hain…
Kya Simran ko Abhi se hua tha, woh pyaar tha
Yah Abhi ne jo mehsoos kiya… kiran ke liye, Simran ke liye, Neha ke liya, woh pyaar tha…
Akhir pyaar kisse kehthe hain….

Kisike aahat ke intezaar karna… ya unke hone ki ehsaas hona.
Kya pyaar ise kehthe hain….

Bheed mein kisike hone ki ehsaas hona, kisike khayal itna bhaa jana, Abhi ne isiko pyaar samjha…
Par kya isiko pyaar kehthe hain…

Binkahi baathein jab kaanom mein goonje
Bin pooche sawaal ka jawab jab mile..
Hum nikle unki talaash mein..
Jo kahin humare dil ke andar hain..
Jo kahin humare zehen mein hain..
Jo hume humse jyaada samajhthe hain..
Jinke milne se humara adhoorapan na raha..

Aur jab woh humare saamne aaye..
To aisa laga ki koi aur nahi..
humara hi koi ansh humare saamne khada hai…
Yeh koi anjaaana tho nahi..

Aur phir jab nazarein mili,
woh ehsaas hi kuch aur thi..
Woh nazarein hi kuch aur thi…
Aise laga sukhi pathiyon pe baarish ki woh pehli boondein..

Aaj jab Abhi aur Simran ki nazrein mili....
Yehi ehsaas hua….. aur barsoon ki shikayat jaise mit hi gayi….

Aaj yeh ehsaas hai
Pyaar hone ka naam hai.. yeh koi rishte ka naam tho nahi…
Yeh sirf ek ehsaas hai jo mehsoos ki jaa sakthi hai…
Aur yeh ehsaas shayad hi har koi mehsoos kare…
Jo pyaar kartha hai.. woh yeh baath jaantha hai..
Aur jo yeh baath nahi jaantha.. woh isiki talaash mein duniya duniya bhataktha hai… aur sab se ek hi sawaal kartha hai…

Akhir pyaar kise kehthe hain…
Posted: 17 years ago
Same serial, but on the life of Simran

Another one On Simran....

Ek nanhi kali aayi unke ghar..,
Unke ghar roshni liye, kushi liye
Palkhon me pali yeh kushi…
Apne papa ke aankh ka tara bani ….
Woh jaise koi aur nahi…
Sab ke aankh ka tara thi…..

Nanhi si woh phool, bani badi woh…
Papa ke kahe sune pe Doctor bani woh…
Woh jaise koi aur nahi…
Sab ke chahithe thi woh…..

Apne kaam mein magan thi woh…
Dhalthe suraj kaa abhaas na thaa…
Waqt kuch aise guzra ki…
Choti behene badi ho gayi…

Tab jaake usse yeh ehsaas hua…
Waqt mujhe kahan le chala…
Badi kab hui… yeh maloom nahi tha…
Jawani kab aayi… kab chod gayi… yeh pata hi nahi chala…

Afsoos usse na tha.. woh tho sabki ladli thi….
Par kahin man mein yeh eshaas tho thaa…
Waqt mujhe kahan le chala…
Waqt mujhe kahan le jaayega…

Isi justujooo mein.. isi kashmakash mein usse mila ek naujawan…
Pyaara tha.. Bhola saa… Man ka saaf… aur masoom sa thaa…
Apne khoye jawani ki yaad aayi usse…
Pyaar mein padi woh uss naujawan see…
Shaadki kar baithi woh uss naujawan see…

Samaj bhooj aur bachpsne mein hui takraar…
Simran hari Abhi ke saamne…
Pyaar ko na samjha Abhi…
Simran ko chod.. pyaar ki talaash mein bhatak gaya woh….

Misaal ban baithi Simran… sab ke liye..
Har papa yehi kahe.. meri beti Simran jaisi bane.
Kaash woh Simran ke man ki baath jaane..
Akeli thi Simran.. duniya se ladthe thaki thi Simran…
Par chehre pe na thaa koi gham…
Na aankhon mein koi ansoon…
Apni kushi baathi sabse woh….
Gham ka hissedaar bana na koi…
Jo aaye.. chale gaye…
Akeli reh gayi woh…. Nanhi phool…

Aaj zindigi ke safar se thaki Simran..
Shayad jeeven ke is saanh mein Simran…
Mili woh phir se Abhi se….
Shakal Surat thi wohi… par seerat woh na tha…
Yeh Abhi tho bilkul uske man ka raajkumar tha…
Pyaar mein phir kho gayi Simran…
Ab na duniya ka dar na Samaj ka…
Par Kismat ko shayad hi manzoor inka milan…
Aayi wahan unke beti Aastha…

Jeeven ki saanjh mein mila yeh pyaar…
Kya simran ko dega yeh usse uska pyaar…
Kya pyaar mein Milan zaroori hi hai…
Kya nadiya ke kinare kab mil hi payenge…
Isi sawaal ke jawab ke liye bhatki Simran…
Jeevan ke is saanjh mein Simran…
Phir se bhatak rahi woh Simran…

Par aaj bhi uske papa yehi kehthe hain…
Simran jaise koi nahin 
Posted: 17 years ago
Hey Priya di, just read the three poems...

For the first one, I never watched the show so can't really relate to that but the poem was excellent!  I could just imagine that moment with Pia as if I was standing there a couple feet away witnessing her mood.  The end was incredible, the best part!

For the second one, I personally have raised that question so many times! Pyar kya hai? Hai bhi ya nahin? And all the while I came to answer myself that it doesn't exist. Love doesn't exist because people are too selfish to love each other, too money oriented.  I still believe that the only true love that probably exists in the world is between parents and their kids.  All the other times, the so called 'love' is either infatuation, crush, or just a tool used to gain any selfish advantages.  Abhi at first was a true depiction of this.  I personally think that he was more 'attracted' by Simran's matureness because she was someone different, someone he didn't have contact with daily to daily basis as his friends.

The third one, well, what can I say? Wonderful! I watched this show, I think, for a few months.  It was a few years back so I guess I was a bit naive and unable to understand such a mature storyline.  Many times I was mad at how things were going and I probably didn't truly understand Simran's love either.  Many times I yelled at Abhi about how obnoxious he was.  I just couldn't understand the whole show but now your poems reminded me again of the show and when I think about it again, things seem to fall in place.  You've truly understood Simran's feelings as it is more than visible from your poem!

Overall, I can say/do is 👏👏👏
Posted: 17 years ago
wow.. excellent Poems.. loved them all!!
keep it up!!
Posted: 17 years ago

Kasamh Se... (Jai-Bani)

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Uske jaane ke baad woh sab note utha leta hoon..
Ram ne dhanush toda aur sita dauri chali aayi,
Krishna ne beam bajaya aur radha bhaagi chali aayi,
maine sirf ek sity bajaya aur woh apne baap ko le aayi.
pyar ek bar ho to ushe bholapan kehte hein,
agar wo do bar ho to ushe apnapan kehte hein,
teen bar ho to ushe deewanapan kehte hein,
aur agar bar bar ho ushe kaminapan kehte hein.
kya aankhen hai tumhari
kya chechra tumne paaya hai
kya aankhen hai tumhari
kya chechra tumne paaya hai
aisa lagta hai jaise
peepal ke pad se bhoot utar aaya hai
tum jab safed sadhi main lal bindiya lagati ho,

tum jab safed sadhi main lal bindiya lagati ho,
to kasam se, puri tarah AMBULANCE lagti ho.
sirf farq itna hai ki,
woh ghayal logon ko le jati hai,
par tum ghayal kar ja ti ho.
bhul se kabhi humein bhi yaad kiya karo,
pyar nahi to shikayat hi kiya karo,
itne bhi gair na samjho ki baat hi na kiya karo,
call nahi to missed call hi diya karo.



Shahjahan ne TAJMAHAL ki

Har deewar ko dekha

Har meenar ko dekha

Har kaleen ko dekha

Har khidki ko dekha

aur bola........

MAA KASAM BAHUT KHARCHA HO GAYA!!!



Koi pathar se na maare mere dewaane ko........

koi pathar se na maare mere dewaane ko........

koi pathar se na maare mere dewaane ko........

abe aage bhi to bol...............

nuclear power ka jamaana hai,
bomb se udaa do saale ko................

Posted: 17 years ago

Originally posted by s.priya


Astitva Ek Prem Kahani, a very maturely dealt with story....  Dont know if you guys had seen the show.  I wrote this for that serial

Well, here is my poem on Love...


Akhir pyar kise kehthe hain…
Kya Simran ko Abhi se hua tha, woh pyaar tha
Yah Abhi ne jo mehsoos kiya… kiran ke liye, Simran ke liye, Neha ke liya, woh pyaar tha…
Akhir pyaar kisse kehthe hain….

Kisike aahat ke intezaar karna… ya unke hone ki ehsaas hona.
Kya pyaar ise kehthe hain….

Bheed mein kisike hone ki ehsaas hona, kisike khayal itna bhaa jana, Abhi ne isiko pyaar samjha…
Par kya isiko pyaar kehthe hain…

Binkahi baathein jab kaanom mein goonje
Bin pooche sawaal ka jawab jab mile..
Hum nikle unki talaash mein..
Jo kahin humare dil ke andar hain..
Jo kahin humare zehen mein hain..
Jo hume humse jyaada samajhthe hain..
Jinke milne se humara adhoorapan na raha..

Aur jab woh humare saamne aaye..
To aisa laga ki koi aur nahi..
humara hi koi ansh humare saamne khada hai…
Yeh koi anjaaana tho nahi..

Aur phir jab nazarein mili,
woh ehsaas hi kuch aur thi..
Woh nazarein hi kuch aur thi…
Aise laga sukhi pathiyon pe baarish ki woh pehli boondein..

Aaj jab Abhi aur Simran ki nazrein mili....
Yehi ehsaas hua….. aur barsoon ki shikayat jaise mit hi gayi….

Aaj yeh ehsaas hai
Pyaar hone ka naam hai.. yeh koi rishte ka naam tho nahi…
Yeh sirf ek ehsaas hai jo mehsoos ki jaa sakthi hai…
Aur yeh ehsaas shayad hi har koi mehsoos kare…
Jo pyaar kartha hai.. woh yeh baath jaantha hai..
Aur jo yeh baath nahi jaantha.. woh isiki talaash mein duniya duniya bhataktha hai… aur sab se ek hi sawaal kartha hai…

Akhir pyaar kise kehthe hain…

 

 

i just want 2 say i love simran's love ,,,

thats love not 2 abhi ,,,

Posted: 17 years ago

I had written one for Kripa from KYPH almost 2 years back...it was related to what was happening in the show at that time..so please forgive me if it offends anyone 😳

Ek hindustani larki hai ye kahani

Sab ke liye thi ye mahrani

Naam hai Kripa us shehzadi ka

Mazak bana diya hai isne apni shadi ka

Angad se pyar karti thi ye shuruat (beginning) se

Par afsos ke in ka rishta shuru hua takrar se

Aakhir jab mili inki kismat ki rekha

Tab kisi ne na inko pyar se dekha

Tarapte rahe dono apne pyar ke liye

Aur mauka mila Pritvi ko izhar ke liye

Najane kya hua is Kripa ki akal ko

Jo thukra ke Angad chuna chipkoo ko

Angad ki ankh mein ansoo ab humen rulatay hain

Ab to maan jao Kripa warna hum jootay leke aate hain 😆😆

Posted: 17 years ago
amazing poems..they are wonderful 👏
Posted: 17 years ago

Originally posted by s.priya


Astitva Ek Prem Kahani, a very maturely dealt with story....  Dont know if you guys had seen the show.  I wrote this for that serial

Well, here is my poem on Love...


Akhir pyar kise kehthe hain…
Kya Simran ko Abhi se hua tha, woh pyaar tha
Yah Abhi ne jo mehsoos kiya… kiran ke liye, Simran ke liye, Neha ke liya, woh pyaar tha…
Akhir pyaar kisse kehthe hain….

Kisike aahat ke intezaar karna… ya unke hone ki ehsaas hona.
Kya pyaar ise kehthe hain….

Bheed mein kisike hone ki ehsaas hona, kisike khayal itna bhaa jana, Abhi ne isiko pyaar samjha…
Par kya isiko pyaar kehthe hain…

Binkahi baathein jab kaanom mein goonje
Bin pooche sawaal ka jawab jab mile..
Hum nikle unki talaash mein..
Jo kahin humare dil ke andar hain..
Jo kahin humare zehen mein hain..
Jo hume humse jyaada samajhthe hain..
Jinke milne se humara adhoorapan na raha..

Aur jab woh humare saamne aaye..
To aisa laga ki koi aur nahi..
humara hi koi ansh humare saamne khada hai…
Yeh koi anjaaana tho nahi..

Aur phir jab nazarein mili,
woh ehsaas hi kuch aur thi..
Woh nazarein hi kuch aur thi…
Aise laga sukhi pathiyon pe baarish ki woh pehli boondein..

Aaj jab Abhi aur Simran ki nazrein mili....
Yehi ehsaas hua….. aur barsoon ki shikayat jaise mit hi gayi….

Aaj yeh ehsaas hai
Pyaar hone ka naam hai.. yeh koi rishte ka naam tho nahi…
Yeh sirf ek ehsaas hai jo mehsoos ki jaa sakthi hai…
Aur yeh ehsaas shayad hi har koi mehsoos kare…
Jo pyaar kartha hai.. woh yeh baath jaantha hai..
Aur jo yeh baath nahi jaantha.. woh isiki talaash mein duniya duniya bhataktha hai… aur sab se ek hi sawaal kartha hai…

Akhir pyaar kise kehthe hain…

this one is really touchingg...didnt read the third one yet but the first 2 are beautiful di😛

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Sad Shayari Collection in Hindi सैड शायरी - Shayari Skill

pencil Nishant0123   stackexchange 0   eye 377

Nishant0123 0 377 5 months ago Nishant0123

Topic Info

10 Participants 13 Replies 11715Views

Topic started by greatmaratha

Last replied by laney

loader
loader
up-open TOP