April 20th
Part 1
Krishna kamre me dakhil huyi aur Kabir aur Arjun warehouse ke liye nikle.
Krishna (khushi seπ): Yuvraj, doctor ne aaj tumhe ghar jane ki parmission de di hai. tum aaj sham ko ghar pe shift ho rahe ho.
Bua (khushi seπ): yeh to bahot achchi baat hai. lagta hai ek bar phir se hamare ghar me khushiyaan aanewali hai.
Yash : Thik kaha bua aapne. Ab to sab log jaldi se ghar aajaye to achcha hai. (yash ki aankhon se aanshu behte huyeπ)
Lekin Tara ke bina to ab bhi yeh ghar suna hi rehne wala hai.
Yash dhukhi hokar kamre se bahar chala gaya. Aur sab ki aankhen bhi aanshu se bhar aayi.ππ
Bua: main yash ko dekhkar aati hoon.
Bua ke jane ke bad kamre me police aai.
Police : Mr. Raichand hum aapka yahaan bayan lene aaye hai. main yeh puchparach akele me karna chahta hoon.
Tanya aur krishna kamre se bahar nikl hi rahe the.
Yuvraj : ruko krishna, main chahta hoon ki tum mere saath raho.
Police : per Mr. Raichand
Yuvraj (krishna ki aur dekh karπ³) : Muje apne se jyada Krishna pe bharosa hai.
Police: To aap muje sabkuch bata dijiye us din kya hua tha aur kaun the jis ne aap pe jaan leva hamla kiya.
Yuvraj ne police ko sabkuch bata diya.
Police : muje darr hai ki woh log yeh koshish dubara bhi kar sakte hai. to zara savdhani se rahiye ga.
Krishna darr ke mare yuvraj ki aur dekh rahi hai aur police wahan se chala gaya.
Part 2
Yash bahar bench pe betha ro raha tha.π
Bua (uske sir pe hath rak ke) : yeh kya yash. tumne hi to vaada kiya tha tara se ki tum jiyo ge milli ke liye. to aaj phir se tum toot gaye.
Yash : Tara ke bina main nahin ji sakta agar aaj milli nahin hoti na to main kab ka apne aap ko khatam kar deta.π€’
Bua : to tum ab kya kar rahe ho. tum jite ji apni aur Milli ki khushiyon ko mar rahe ho. Krishna ko dekho ek aurat hokar bhi who kitni majboot hai. Tumse jyada dukh usne apni zindagi me jile hai lekin aaj bhi woh halat ko dhyan me rakhke chalti hai(Good Job Buaπ). Ek baat mat bhulana tum ki ab milli ki maa bhi tum aur baap bhi tum ho.
Bua wahaan se udhakar chili gayi.
Tanya yeh sab baatein sun rahi thi.
Tanya (apne aap se): Yeh sab log krishna ki tarife karte thakte nahin kya. In logo ki koi problems to hoti hai nahin. yeh log khud use banate hai.
Yahaan in logo ki problem se jyada meri problem hai. sab ko main pragant hoon aisa kahe huye teen mahine huye. aur aaj ke din bhi main pragnant nahin hoon. Agar jaldi se kuch nahin kiya to sab ko pata chal jayenga. per karu to kya karoon.ππ
Tanya apne papa ko phone lagati hai.
Tanya : papa muje apni pragancy ke bare me aapse bahot jaldi baat karni hai.
Arjun: tanya, main is waqt kabir ke saath hoon. main tumhe bad me phone karta hoon.
Tanya ( Gusse seπ‘) : jab muje kisi ki madad chahiye to koi nahin hota.
Part 3
Krishna Yuvraj ko lekar ghar aayi.
Bhu: tum log aa gaye. Krishna, yuvi ko apne kamre me le jao.
Krishna ( Yuvraj ko bed pe sulane ke baad) : aab tum aaram karo main buaji ki kitchen me madad karti hoon.
Yuvraj : Krishna, kya muje ek cup tumhare haath ki chai mil sakti hai subaah se nahin pi?
Krishnaπ: Thik hai main lati hoon.
Krishna(looking very happy in the kitchenπ) Kitchen me jakar dekhti hai to bha sab ke liye khana banani hai.(shocked to c bua making foodπ²)
Krishna : Bauji, aap aur yeh khana
Bhu: tumhe kya laga main khana banana nahin jantiπ
Krishna : woh to main yuhi puch rahi thi ki aapki tabiyat to thik hai naa.π
krishna yuvraj ke liye chai bana rahi hai.
Bua: to Yuvi ke liye chai bana rahi ho. jyada sakar mat dalna kyunki inme tumhare pyar ki sakar to pehle hi mil gayi hai.π (krishna blushingβΊοΈ)
Krishna(looks down) : Buaji, aapne thik kaha tha ki hum hi kabhi kabhi apni aankhen nahin khol sakte insaan ko pehchane me. maine aaj tak kabhi bhi aapki aur yuvraj ki bat pe yakeen nahin kiya.(now looks at bua) Lekin buaji aaj main bahot khush hoon kyunki aaj muje yakeen ho gaya ki main bhi Yuvraj se kitna pyar karti hoon. Thank you buaji meri aankhen kholne ke liye.
Bua (haste huyeπ) : jaldi jao chai thandi hone se pehle.
Krishna wahaan se chai lekar chali gayi.
Bua (apne aap se) : Bhagwaan kitne dino ke baad in dono ki zindagi mi khushiyaan aayi hai. isko kisi ki nazar mat lagana.
Episode ends on Bua's happy face.π
Thanks
with help of softk_6
love kashish
ple we request that we need lots of comments from the story lovers to encourage us.
April 23rd
Part 1
Krishna (Yuvraj ke kamre me chai lekar) : yeh lo Yuvraj tumhari favorite adarakh wali chai
Yuvraj (Krishna ki aur dekh ke ): Tumhe meri sari pasand napasand pata hai lekin main kuch nahin janta tumhe kya achcha lagta hai kya nahin.
Krishna ( Hasti huyi π) : tum aur mera parivaar khush ho yeh hi meri khushi hai. ab tum chai pio main buaji ko kitchen me madad karke aati hoon..
Yuvraj (surpriced π²) :kya Bua aur Kitchen me.
Krishna : main jakar dekhti hoon usse pehle woh kuch galat kare.
Krishna Kitchen me jakar dekhti hai to bua sabzi kat rahi hai.
Krishna (hasti huyi π) : main kuch madad kar du aapki.
Bua : Main sabzi kat deti hoon tadka tum laga do aakhir me sab ko tumhare haath ka khana hi achcha lagta hai aur muje bhi.
Tanya : main kya karoon Buaji.
Buaji (tana marte ) : tumhe to meri tarah khana banana to aata hoga nahin to tum jake sirf table taiyaar karo.
Tanya ( gusse se apne aap se) : ek din mera bhi waqt aayega aur us din tum dono ko is ghar se bahar hoge.
Kabir aur Arjun warehouse me surag ki talash kar rahe hai tabhi kabir ko ek bada drugs ka packat milta hai.
(Kabir chounkπ² gaya drugs ka packet dekh ke... is wondering what was happening in warehouse...)
Kabir ke mobile pe yuvraj ka phone aata hai.
Kabir :, yuvi. kya bat hai?
Yuvi : tumhe kuch surag mila.
Kabir : abhi tak to nahin lekin jaldi hi mil jayenge. main sham ko ghar aakar baat karta hoon.
Arjun π² : tumne yuvi se jooth kyun bola.
Kabir (pareshan hokar ) : main yuvi ko is halat me pareshan nahin karna chahta. lekin main janta hoon ki kaun hamari madad kar sakta hai.
Part 2
Sab log dining table pe khane ke liye aaye.
Milli : Muje khana nahin khana hai jab tak mama nahin aati tab tak main nahin khana khoungi nahi hi kisi se baat karungi. aur woh daudti huyi apne kamre me chali gayi.
Krishna: main milli ko lekar aati hoon.
Krishna milli ke kamre me jakar dekti hai to milli tara ki tasvir ke samne ro πππ rahi hai.
Krishna : yeh kya baat huyi hamari miili apni dost se bhi baat nahin karengi. Milli aap ki mama aapke pass nahin hai lekin aapki best friend to hai aur jab tak aap nahin khana khayengi tab tak aapki best friend bhi nahin khayengi. aur zara socho agar mama ko pata chala ki aapki waje se aapki dost ne khana nahin khaya to mama ko kitna bura lagenga.
Milli :krishna chachi aap bilkul thik kehti ho agar main khana nahin khaungi to mama mujse naraz hogi aur woh kabhi nahin aayengi.
Krishna (aakhon me aanshu aa gayeπ) : chale Milli beta, papa aapka intazar kar rahe hai.
Yash : Krishna, tumne Milli ko itni jaldi kaise mana liya.
Krishna π: Yash bhaiyaa, kabhi bacho ko manane ke liye hume khud bachche ki tarah sochna padta hai.
Yash : sach me krishna. muje yakin ho gaya hai ki milli ko kabhi tara ki kami mehsoos nahin hogi.
Bua : ab sab kuch thik ho to hum khana suru karen.
Kabir π: Kya bhabhi, aaj sara khana yuvi ki pasand ka.
Krishna ( yuvi ki aur sharmati huyi) : har din yahi to banta hai. kal muje bata dena tumhe kya khana hai.
Kabir : waise to bhabhi aap jo bhi banati hai achcha hota hai lekin aaj kuch jyada hi achcha hai.
Krishna (surprized π²) : matlab kya hai
Yuvi (krishna ki aur dekhkar π) : khana wake me bahot achcha hai
Krishna sarmati π³ huyi apni palke juka deti hai.
Part 3
Yuvi apne kamre me bed pe lete magazine pad raha tha aur Krishna almari me se kuch dhund rahi thi.
Milli (krishna ke kamre me aakar) : Krishna chachi, Muje neend nahin aa rahi aap muje story sunaiye naa ple.
Krishna : thik hai . to aaj aap kaun si kahani sunenge.
Milli: kisi rajkumari ki.
Krishna (yuvraj ki aur dekhkar) : Ek rajkumari thi. ek din uski shaadi ek rajkumar se ho gayi. woh bahot hi khush thi apni shaadi ko lekar.Aur woh rajkumar use shaadi ke din hi chodke chala gaya hamesha ke liye use akele chodakar.
Milli: woh rajkumar bahot hi kharab tha jo rajkumari ko chodke chala gya.
Krishna : milli aisa nahin kehte
Milli : aur woh rajkumari kaisi thi.
Yuvi (Krishna ki aur dekhke): bahot hi khubsurat, masoom. (krishna sarma gayi π³) hamesha doosaro ko pyaar aur khushiyaan denewali.
Milli : Woh rajkumar kabhi wapas aaya.
Krishna : Woh rajkumar to kabhi nahin aaya lekin ek naya rajkumar aaya. jisne us rajkumari ki hamesha madad ki jab bhi woh koi musibat me hoti lekin rajkumari uske pyar ko kabhi pehchan hi nahin saki. lekin ab rajkumari ko woh achcha lagne laga hai aur usse bahot pyaar bhi karti hai.
Milli : woh naya wala rajkumar kaisa tha.
Krishna (yuvraj ki aur dekhkar βΊοΈ) : bahot hi pyara aur pyari si muskurahat. sabse achchi baat yeh hai ki usne kabhi bhi musibat me rajkumari ka saath nahin choda.
Milli : chachi agar woh pehle wala rajkumar vapas aaya to.
Krishna ( shocked π²) : Aisa kuch nahin hoga. Ab yeh rajkumari naye rajkumar ka saaya ban gayi hai. kya apna saaya hume chodke ja sakta hai? to phir Rajkumari kaise naye rajkumar ko chod sakti hai. chalo main tumhe tumhare kamre me chodke aati hoon.
Krishna jab vapas milli ko sulane ke baad apne kamre me aati hai to Yuvraj haath me magazine leke so gaya hai .
Krishna ( Magazine lete huye π) : agar zindagi main kabhi bhi aisa waqt aaya to main hamesha tumhara haath thamungi.
Episode ends on Krishna's face π.
thanks
with help of softk_6
love kashish
April 24th
Part 1
Yuvi hall me bethkar akhbar padh raha hai aur bua aur tanya aapas me kuch baat kar rahe hai.
Krishna (Milli ko lekar) π: Buaji, main milli ko school me khodne ja rahi hoon aur vapas aate samay muje market se kuch puja ka saman lena hai is liye muje thodi dair ho jayengi.
Bua (surprized ); Puja, tumne muje kuch bataya nahin.
Krishna: Woh aaj sham ko maine ghar kishanti ke liye puja rakhi hai.
Bua : thik kiya tumne yeh puja rakh ke wake me is ghar ko shanti ki zaroor hai.
Tanya: Krishnabhabhi, agar aap ko koi aitraz na ho to main aap ke saath chalo. muje market me kuch kam hai.
Krishna : thik hai.
Woh log School ke liye nikal gaye. Kabir aur Yash office jane ke liye nikal hi rahe the ki
Yuvi : Kabir, maine tumhe kal ware house me jane ko kaha tha wahan se tumhe kuch mila kya.
Kabir (pareshan hokar ): nahin Yuvi wahaan to kuch bhi nahin mila lekin main phir se wahaan jakar janch karna chahta hoon.
Yash π€ : Yuvraj tum chinta mat karo main Kabir ke saath warehouse jakar dekta hoon. Aur meri kal Aditya se baat ho gayi hai woh aaj sham to aa raha hai.
Yash aur Kabir car me bethkar warehouse ki taraf nikl te hai.
Kabir (pareshan hokar) : Yashbhaiyaa, hume wahan jane ki koi zarorat nahin kyunki muje pehle si surag mil gaya hai. yeh drugs ka packet.
Yash (shocked) : Kabir, yeh tumne kya kiya. tumne police me khabar ki.
Kabir : Nahin. woh maine kal sham ko aapko adityabhai se bat karte sun liya. Maine socha jab tak woh nahin aate hume Police ko kuch nahin batana chahiye. waise bhi ab to woh hi yeh case ko handle karne wale hai.
Yash : shayad tum thik keh rahe ho. Main chahta hoon ki Yuvraj se is baare me koi baat na ho.
Part 2
Krishna aur Tanya market pahunche.
Tanya : Bhabhi aap puja ki shopping kiyiye tab tak main saare dekhke aati hoon.
Krishna (Ek bahot hi khubsurat kurte ki aur dekhkar) : yeh aaj sham ki puja ke liye thik hoga aur yuvraj pe kafi achcha bhi lagega.
Krishna aur tanya bahar hi nikal rahe the ki krishna ki nazar ek bahot hi khubsurat saree pe lagi.
Krishna π: zara woh sunahari wali saari dikhana.
Tanya (surprized)π²: per bhabhi aap ko to yeh rang pasand nahin.
Krishna π: nahin muje to sunhara rang bhi pasand hai aur yeh saree bhi. bhaisaab zara isko pack kar dijiye ga.
Tanya (hasti huyi)π: bhabhi aapko pasand hai ya kisi aur ko.
Krishna ( hasti huyi)π: aaj kal tum kuch jyada nahin bol rahi. chalo dair ho rahi hai.
Krishna (sham ko apne kamre me)π : yeh lo yuvraj, aaj maine market se tumhare liye ise kharida socha tumhe pasand aayega aur tum ise puja me pehnonge.
Yuvraj (Krishna ka hath pakadke)βΊοΈ: muje bahot pasand hai kyunki ise tumne pasand kiya hai. Aur aaj tum bahot hi khubsurat lag rahi ho in naye rang me.
Krishna (sharmati huyi)π³ : yuvraj tum jaldi se taiyaar ho jao. puja bas shuru hi honewali hai.
Krishna Hall me puja ki taiyariyaan kar rahi tabhi Aditya ghar ke andar aata hai.
Krishna π : Are Aditya, tum kab aaye. sahi waqt pe aaye ho puja ke samay.
Aditya (confused) π: Krishna, itna sab kuch ho jane ke bad bhi tum khush ho ya sirf khush hone ka dhong.
Krishna π: aaj maine sab kuch khokar bhi sab paya hai. aaj kya nahin hai mere pass. sab kuch to hai jo muje chahiye.
Aditya π: sab kuch
Krishna π : haa. yuvraj ka pyaar bhi aur is ghar ka vishwas bhi. ab tum jaldi se jakar fresh ho jao. puja ke liye sab log aate hi honge.
Part 3
Maya, Yash, Yuvraj, Krishna, Aditya, Kabir, Tanya, milli, Arjun aur arjun ki patni puja ke liye hall me ikthe huye.
Pandit: Mayaji, Puja me kaun bethne wala hain.
Bau (yuvi ki aur dekhkar)π : Panditji yeh puja main chahti hoon ki yuvi aur krishna ke haath ho.
Pandit: Thik hai. aap log yahaan bethiye. (shocked) Yeh kya beti, tumhari maang suni. Suhagan hokar tumne bahot bada paap kiya hai. Yeh lo beti apni maang me bhar lo.
Krishna ( yuvraj ki aur dekhkar) π: Yuvraj, ek din maine tumse yeh sindoor aur mere pati hone ka hakk chin liya tha lekin aaj sab ke samne main tumhe mere pati hone ke hashiyat se meri maang me sindoor bharne ko keh rahi hoon.
Yuvraj Krishna ki aankhon me dekhkar uski maang me sindoor bhar deta hai.
Pandit: ab aap dono is puja me bethne ko taiyaar hai.
Krishna π³ aur yuvraj dono ek dusre ki aur dekhkar puja kar rahe hai.
Pandit (puja sampurn hone ke baad) : Is puja ke prati main bhagwan se hamesha prathna karunga ki aap dono ki zindagi me pyaar, khoshu aur viswas ki koi kami na ho. Aap logo ko bhagwan har musibat se bachaye. Aap dono isi tarah ik pyaar se is shadi ke ristey me bane rahe.
Krishna Yuvraj ki aur dekhke sharma βΊοΈke apni palke zuka deti hai.
wahaan abhay apni aankhen kholta hai.(he's wondering where what is he doing here in the hospital...ββ)
episode ends on abhay's worried face.
April 25th
Part 1
Nurse : doctor jaldi kijiye use hosh aa gaya.
Doctor daudta hua Abhay ke kamre me aata hai.
Doctor: Abhay aap meri baat ko sun sakte hai. kya aap muje dekh sakte hai.
Abhay : Doctor, main yahaan kitne samay se hoon. muje kya hua tha. mera parivaar.
Doctor: Abhay aap ka accident ho gaya tha aur aap pichle kuch mahine se coma me the. lekin aap bilkul thik hai ab. aap jab chahe apne ghar ja sakte hai.
Abhay bed se uadhane ki koshish kar raha hai lekin uske pair chalne ke kabil nahin hai.
Abhay : Doctor, main apne pair ko mehsoos kyun nahin kar sakta.
Doctor: Muje lagta hai accident ki wajah se aapke pair paralized ho gaye hai lekin ghabrayega mat hamare yahaan uski special doctor hai. jo aap ki madad kar sakti hai. uska naam Dr. Niyati sharma hai. main use aap ko milne bhejta hoon.
Arjun Raichand family ke saath dinnar kar raha hai tabhi uske mobile pe ohone aata hai.
Arjun (shocked)π² : Excuse me.
Doctor: Mr. Arjun, Abhay ko hosh aa gaya hai lekin woh apne chalne ki sakti kho beta hai.
Arjun( Shocked) : thank you doctor muje phone karne ke liye lekin yeh baat kisi ko pata nahin chalni chahiye.
Doctor : thik hai jaisa aap chahte hai waisa hoga lekin humne unki pair ki treatment shuru kar di hai.
Arjun (phone rakhke ) : Kisi ne thik hi kaha hai ki jab koi musibat aati hai to ek saath kai aati hai.
Kuch dair baad Dr. niyati aati hai aur woh abhay ke pair ko dekhke kehti hai.
Dr niyati π: Muje apne aap pe pura yakin hai ki aap apne pair pe khade hokar chal sakenge lekin aap ko wahin karna hoga jo main kahungi.
Abhay : Main apne pair pe chalne ke liye aap ki sab baatein manne ko taiyaar hoon agar aap ka vishwas mere saath hai.
Dr. Niyati βΊοΈ Abhay ki aur dekhti hi reh gayi.
Dr. Niyati Sharma
Part 2
Yuvi apne sare bhai ko Study room me bulata hai.
Yuvi : maine aap sab ko is warehouse ke case ke baare me baat karne ko bhulaya hai.
Yash aur kabir π dono ek dusre ki aue pareshan hokar dekhte hai.
Yuvi: Adityabhai, main chahta hoon ki aaj hi aap ko main sari baatein bata doon is case ke bare me.
Yuvi sabhi ko saari baatein batata hai ki kaise usne wahaan drug smulling dekhi kaise un logone us pe attack kiya.
Kabir (pareshan hokar) π : to tumhe drugs ke bare me pata hai. Maine tumse jooth bola ki hume koi surag nahin mila lekin muje wahan se drugs ka packet mila tha.
Yuvi (gusse seπ‘) : Tum jante ho tumne kya kiya hai. hamesha ki tarah jooth.
Yash : Kabir ko maine hi tumhe kehne ko mana kiya tha kyunki main nahin chahta tha ki tumhe koi pareshani ho.
Aditya π: drugs ke packet se hume is case me aasani to hogi lekin agar hume koi gawahi ke liye koi mil jata to hum yeh case puri tarah se jeet sakte hai.
Yuvi : to main taiyaar hoon gawahi dene ke liye.
Aditya: Tum gawahi nahin de sakte kyuki tum khud victim ho.
Krishna : main gawahi dene ko taiyaar hoon us din maine sab kuch dekha tha aur muje un logo ke chehre bhi yaad hai.
Aditya π²: per Krishna isme kafi risk hai.
Krishna (yuvraj ki aur dekhkar) : Main apno ke liye yeh risk bhi lene ko taiyaar hoon.
Aditya π: to tum aur yuvraj kal subaah meri ofice main aaja naa. main saare papers ready rakhunga. aap dono ko sign karna hai.
Krishna π: sorry aditya kal subaah to nahin lekin kal dopahar ko hum aa sakte hai. Kal muje Yuvraj ko subaah dressing ke liye hospital lejana hai.
Raat kafi ho chuki hai aur kya subaah aap logo ko kam pe nahin jana.
Sab log apne apne kamre me chale gaye.
Part 3
Krishna aur yuvraj apne kamre me sone ki taiyariyaan kar rahe hai.
Yuvraj (Krishna ki aur dekhke) : Krishna tumhe gawahi dene ki koi zaroorat nahin. main nahin chahta ki tumhari jaan pe koi khatara ho.
Krishna π²: aur tumhari jaan pe hua iska kya. Aur yeh meri aur tumhari zindagi ki baat kahan se aayi. yeh hamari zindagi hai aur har ek faisle ko hum saath milke tai karenge. Main janti hoon ki agar maine koi bhi faisla liya hai to tum meri madad zaroor karoge.
Yuvraj ( Krishna ka haath pakdke) : Tumne thik kaha. Muje tumhare khilaf nahin balke tumhara saath dena chiye. Ab hum dono milke is musibat se ladenge.
Yuvraj pillow lekar sofe pe sone ke liye ja raha tha.
Krishna : yuvraj, tum bed pe so jao. tumhe aaram ki jyada zaroorat hai.
Yuvraj : nahin krishna main thik hoon. tum bed pe so jao.
Krishna: To thik hai na main na tum balke aaj se hum dono bed pe soyenge. bad me krishna ko ehsas hua ki usne kya kaha lekin tab tak bahot dair ho chuki thi.
Krishna Yuvraj ki aur sharm se dekh kar sone ke liye chali gayi.
Subaah hote hi Krishna aur Yuvraj hospital me doctor ki office me bethe the.
Doctor ( Yuvraj ki pati nikal te huye) π: Mr. Raichand muje bahot hi tajug ho raha hai aapki recovary dekhke. Aap bilkul normal hai aur aap chahe to kabhi bhi apne office ja sakte hai.
Yuvraj π: thank you doctor.
Krishna aur Yuvraj Abhay ke kamre ke pass se gujarte hai.
Abhay use glass me se dekhta hai.
Abhay (shocked)π² : Nurse yeh log yahaan.
Nurse (smiled) π : yeh Mr. Yuvraj Raichand aur uski patni Krishna hai. What a Lovely couple . Jab bhi main unhe dekhti hoon to aisa lagta ki dono ek dusre ke liye bane hai. Bahot pyaar karte hai ek dusre se yahaan tak apni jaan dene ko taiyaar hai. bhagwaan inki jodi banaye rakhe.
episode ends on Abhay's sad face .
Ple dont forget to post comments after reading bcoz we need lots of support from kakp lovers to continue this story.
thanks
with help of Softk 6
kashish
comment:
p_commentcount