KAKP story for KAKP lovers - Page 2

Posted: 16 years ago
amaazing as always...cnt wait to see whats gonna happen next
Posted: 16 years ago

April 26th

Part 1

Arjun hospital me doctor se milne aata hai.

  Arjun (pareshani se πŸ˜•) : doctor, ab Abhay kaisa hai? aapne bataya ki woh paralized ho gaya hai. Main uska elaj London  jake karna chahta hoon.

Doctor πŸ˜’: dekhiye Mr. Arjun ab abhay ka elaj main nahin balke Dr. Niyati Sharma kar rahi hai. aur aap ko jo bhi request karni hai unse jakar kijiye. Dr. niyati apne cabin me hogi aap chahe to aap unse abhi baat kar sakte hai.

Arjun dr. niyati ke cabin me jata hai.

Arjun πŸ˜”: doctor, mera naam arjun hai aur   main yahaan apne rishtedar Abhay Raichand ke bare me baat karne aaya hoon. main chahta hoon ki main uska elaj London  jake karna chahta hoon. Kyunki main chahta hoon ki woh jaldi se thik ho jaye. aap samaj rahi hai   na main kya keh raha hoon.

Dr. niyati : dekhiye. aap jo bhi hai. lekin ab aap yahaan se Abhay ko nahin leja sakte kyunki unhone khud yeh papers sign kiye hai ki woh meri treatment se thik hona chahte hai. meri patient ki marji ke khilaf main koi bhi   faisa nahin leja sakti. I am sorry is mamle me main aapki koi madad nahin kar sakti.

  Arjun (in frustration): Per doctor aap meri baat ko samaj kyun nahin rahe.

Dr. niyati (wondering why is he insisting   so much... )

    Dr. niyati : agar aap baar baar yahi request karte rahe to majboorn muje police 

       me shikayat karni padegi. aap yahaan se jaiye. mere pateints mera intazaar kar rahe honge.

Arjun (gusse se cabin ke bahar jakar ): Abhay ko to main is hospital se kya is duniya   se bahar bhej doonga.

Yuvraj aur Krishna Aditya ke office se pehle lunch  ke liye ek hotel me jate hai.

Yuvraj (Krishna ki aur dekhkar 😊) : Krishna, to tum lunch main kya logi.

Krishna (menu padh ke ) : Yuvraj , Muje yahaan per kuch bhi achcha nahin lagta.   kahin aur chale.

  Yuvraj (surprized)  ; Krishna, tumhe to yeh restaurant bahot pasand hai.

Krishna : lekin, aaj muje kuch achha nahin lagta. Hum kahin aur chale.

Krishna aur yuvraj car me doosari hotel ki aur ja rahe hai tabhi

Krishna ( smiled at yuvi 😊) : yuvraj, ruko. muje pata hai muje kya khana hai. chalo mere saath.

Krishna yuvraj ko pani puri ki lari pe lejati   hai.

Yuvraj ( shocked): tum thik to ho naa. pakka tum yahin khana chahti ho. agar tumhe khana hai to tum khao lekin main nahin.

Krishna : to thik hai. per haa muje yahin khana hai.

Krishna (yuvraj ki aur pani puri khati huyi)πŸ˜‰ : bahot hi achchi hai. tum pakka taste bhi nahin karna chahte.

Yuvraj 😳: tum itna keh hi rahi ho to zara main taste kar leta hoon.

Yuvraj ( khane ke bad) : waise manna padega tumhari pasand ko. isse achcha lunch to ho hi nahin sakta.

krishna yuvraj ki aur dekh ke zor se hasne lagi   πŸ˜› aur yuvraj use dekhte hi reh gaya.

Part 2

Yuvraj aur Krishna Aditya ki office me jakar bethte hai.

Aditya: Thik waqt pe aaye ho aap log. Mera dost Daksh Malhotra abhi aane hi wala hai. Woh ek detective hai aur Kabir aur mera dost hai... Kabir ne hi Daksh ko is case ke liye recommend kiya hai... aur woh hamari is case me kafi madad kar sakta hai.

  Yuvraj : Shayad aap thik keh rahe hai. waise woh papers taiyaar hai jo sign karne ko hai.

Yuvraj sign karne hi wala tha ki kisi ne use   rukne  ko kaha piche mud ke dekha to wahi detective khada tha.

Daksh : kabhi bhi kisi pe andha vishwas mat rakho kyun na woh tumhara apna hi ho.

Yuvraj  : per yeh mere bhai hai aur inpe me apne jitna hi vishwas karta hoon.

Daksh : kabhi kabhi jab apne dokha dete hai to sabse jyada chot lagti hai. aur us chot ke ghav mit jate hai lekin dard nahin.

  Aditya: kya aap dono bhi shuru ho gaye. Yeh mera chhota bhai Yuvraj aur uski patni Krishna hai.

Krishna : thank you so much jo aap hamari   is case me madad kar rahe hai.

Daksh : main yeh case ke liye nahin balke Aditya aur Kabir ki dosti ke liye kar raha hoon.

Aditya use case ki sari baatein batata hai aur kehta hai ki Krishna gawahi dene ko taiyaar hai.

Daksh (Krishna ki aur dekhkar) : Kafi himmat rakhti hai aap. per kya her mod pe aap   isi tarah se khadi ho payegi.

Krishna : Jis tarah aap Aditya ki dosti ke liye yeh sab kar rahe hai (Yuvraj ki aur dekhkar ☺️) waise hi main apne pyar  ke liye kar rahi hoon.

Daksh : Thik hai aditya ab main chalta hoon. aur mere ghar  pe is case ke details ke papers   bhijwa dena. Jab tak yeh case nahin sulja leta tab tak muje chain nahin aayega.

Yuvraj  : Aap logo se ek aur  request hai ki yeh baat kisi bhi kimat pe bahar nahin jani chahiye. agar yeh baat bahr khabar padi toh Raichand empire ki value  market me bahot hi kam ho jayegi. Is mamle me jitni bhi tumhe khabar ho muje inform karte rehna.

  Daksh : aap dono se milke khushi huyi. (jate jate krishna ki aur dekh ke) Dekhte hai ki aap kab tak apne pyar ka saath de sakti hai.

Yuvraj  : bhai i am sorry ki yeh tumhara dost hai lekin yeh muje kuch ajeeb sa lag raha hai. Kya ispe itna bharosa karna thik to hoga naa.

Aditya 😊: tum chinta mat karo. Woh waisa nahin hai balki halat ne use aisa kar diya hai. Bahot bharosa kar ta tha apne pyaar pe lekin woh use kisi paisewale ladke ke liye chodke chali gayi aur tab se yeh pyar, jazbaat mein vishwas nahin karta. Usse aisa lagta ha ki is duniya me sabhi kisi na kisi ko dokha hi de rahe hai. Ab use dekh lo woh khud ko bhi to dokha de raha hai. Andar se woh bilkul akela hai lekin agar aap usse pyar se baat karo to woh aap pe gussa ho jata hai.

Yuvraj : thik hai bhai, ab hum chalte hai. sham ko ghar pe milenge.

Part 3

Krishna aur yuvraj ghar ki aur ja rahe the tab achanak

Krishna 😊: yuvraj, kya tum muje Aditya ke apartment le ja sakte ho. Main sameera se milna chahti hoon. Main aaj sham ko sameera ko dinner ke liye invite karna chahti hoon taki   is bahane sabhi gharwalon se uski mulakat bhi ho jayegi.

Yuvraj : tumhara khayal bura nahin hai.

Yuvraj aur Krishna Aditya ke ghar pe knock karte hai.

Sameera (darwaza kholke)😊 : Krishna aap log. aap log bahar kyun khade hai andar aaiye.

Yuvraj ( aditya aur sameera ki photo ki aur dekh ke)😊 : bahot hi khoobsurat tasvir hai.

Krishna : waise hum log aaj tumhe rat   ko   khane pe invite karne aaye hai taki buaji aur yash bhaiyaa se tum mil lo aur woh bhi tumse mil ke bahot khush hoge. to hum log tumhe sham ko ghar  pe milte hai.

  Arjun kisi ko phone  karta hai.

Arjun : main chahta hoon ki abhay ko jitni jaldi ho sake hospital se bahar nikalne ka intazam karo. aur iss bar hoshiyaar rehna.is baar mein koi bevkufi nahin sunna chahta. samaj gaye naa tumhe kya karna hai.

Sham ko Sameera pehli bar saree pehne ke   Raichand house aati hai. Sab log bahot hi   khush the Sameera ko dekhkar

Aditya : Sameera, muje nahin pata tha ki tum saree me itni khoobsurat lagti ho.

Sameera : to waise me kya nahin lagti.

Aditya: nahin mera woh matlab nahin tha.

Krishna 😊: aap dono bhi. chale dinner taiyaar hai.

Sab log bahot hi khush dikhai de rahe the dinner karke.

Dinner ke bad Sameera apne ghar ja rahi tab

Aditya: Sameera, meri abhi kuch law ki books abhi wahan hai aur muje uski bahot zaroorat hai agar tumhe koi aitraaz na ho to kal subaah kya tum use yahaan drop kar sakti ho.

Sameera: thik hai.

Bua : aditya, hum sab ko sameera bahot pasand hai. ab bas Bhaiji ke aane ki dair hai.

episode ends on aditya's smily face 😳.

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

     April 27th

  Part 1

  Sameera Aditya's ki books leke apne ghar nikalne hi wali thi tabhi uski dost unse milne aayi.

  Sameera (surprized ): are, Niyati tum. kitne din bad aayi ho. ab jake meri yaad aayi tumhe.

Niyati : I am sorry. woh main ek naye case me ulji hoon. per tu kahan ja rahi hai.

Sameera: woh main Aditya ke ghar pe   yeh   books drop karne ja rahi thi.

Niyati: to thik hai pehle hum aditya ke ghar jate hai aur phir hum log kahin coffee  ke liye chalte hai muje tumse bahot si baatein karni hai.

Sameera aur Niyati dono Raichand house  me dakhil hote hai.

Niyati : wake me Aditya ka ghar bahot hi khubsurat hai.

Tabhi Krishna Sameera ki aawaz sunke bahar aati hai.

  Krishana : sameera, tumne thodi dair kar di, abhi aaditya bas nikla apni office ke liye.

Sameera : koi baat nahin. Krishna yeh meri   dost Dr niyati sharma.

Krishna : tum se milke khushi huyi. sameera ki   dost hamari dost.

Yuvraj (kamre me se ) : Krishna meri tie  nahin mil rahin.

  Krishna : aap log bethiye main bas aati hoon.

Krishna (yuvraj ki tie hath me lekar) : Yeh kya hai Yuvraj. tumhare samne hi to hai. Tum kuch bhi apna kaam nahin kar sakte. Agar   main kal tumse door chali gayi to.

Yuvraj (Krishna ka haath pakdke)  : tumhe main itni aasani se kaise chod sakta hoon. kitni tumhari daath khane ke bad tum   meri huyi ho.

  Krishna : ab muje jane do. Ple mera haath chodo. Sameera mera bahar intazaar kar rahi. ple

Yuvraj pyaar  se uski taraf dekhata hi rehta hai uska hath chodta hai.

Niyati idhar udhar ghar me sab kuch dekh rahi hai tabhi uski nazar Abhay ki tasvir pe padti hai jis pe pholon ka har chadhaya hai.

Tabhi Krishna : Niyati, kis khayal 😍 me kho gayi. Kya hamara ghar tumhe achcha nahin laga.

  Niyati πŸ˜•: aisi koi baat nahin. bas aise hi kuch yaad aa gaya.

  Yuvraj : Krishna, main office ke liye nikalta hoon aur haa sham ko muje dair ho jayegi. to tum mera khane pe intazaar mat karna.

  Krishna : Niyati, yeh mere pati Yuvraj aur Yuvraj yeh Sameera ki dost Dr. niyati sharma.

Yuvraj : aap se milke khushi huyi per i am sorry muje office ke liye dair ho rahi hai. phir kabhi milenge.

Niyati sirf apna sir hilati hai.

Niyati 😳: Sameera, Hume dair ho rahi hai aur muje hospital bhi pahunchna hai.

Krishna πŸ˜ƒ: Niyati tumse milke bahot hi khushi huyi jaise kisi apne ko milke hoti hai. aati rehna.

  Niyati: ji zarror.

Part 2

Niyati Sameera ko leke coffee house jati hai.

Niyati : Sameera ek baat batao. Woh   aaditya ke ghar me tasvir kiski thi.

Sameera : Woh Aditya ke bade bhai abhay ki hai. kuch hi mahine pehle uski car accident me maut ho gayi. Per tum yeh sab   kyun pooch rahi ho.

Niyati : woh aise hi. Chehra jaana pehchana hai.

Sameera: woh aaj hum jis Krishna se mile the woh pehle Abhay ki patni thi. Aur jab Abhay   chala gaya tab halat se majbor hokar Krishna ko yuvraj se shaadi karni padi.

Sameera Niyati ko sari krishna ki baatein batati hai.

Niyati : per, sameera, krishna ko dekhkar lagta nahin ki iski yeh shaadi samjota hai.

Sameera: Kabhi kabhi samjota hamari zaroorat ban jati hai aur zaroorat pyaar. Aaj   krishna Yuvraj se bahot pyaar karti hai. Itna pyaar ki shayd main aur tum bhi kisise nahin kar sakte.

Niyati: main chalti hon muje kuch zaroori   kaam yaad aa gaya. Phir kabhi bethke aaram se baatein karenge. .

  Niyati apni car me hospital ki aur ja rahi hai woh bahot hi pareshaan  dikhai rahi hai. Use samaj nahin aata ki kya ho raha hai.

Abhay (Krishna ki yaadoin me khoya hua): Shayad krishna kabhi mere liye bani hi nahin thi. jab bhi hum kareeb aate tab kismat hume juda kar deti hai. Lekin aaj jis tarah maine tumhe Yuvraj ki saath dekha to aisa laga ki tum apni zindagi me bahot khush ho. Main vaada karta hoon ki kabhi bhi tumhari zindagi aur tumhari khushiyon me laut ke nahin aaunga. Main tumhari aur Yuvraj ki   zindagi se bahot door chala jaunga itni door ki meri padchai bhi tumpe na gire.

Tabhi koi Abhay ke room me aata hai. per Woh aakar abhay ko lejaye usse pehle nurse aakar abhay ko Xray ke liye lejati hai.

Nurse : aap yahaan rukiye. Dr. niyati abhi aati hi hogi aur tab tak main aap ki x-ray reports lati hoon.

Phir se woh log Abhay ko lejane ke liye aate   hai lekin is baar Dr. niyati apne cabin me aati hai.

Niyati ( Abhay ki reports dekhkar) :kafi improovment huyi hai. Agar tum kuch bura   naa mano to main tumse kuch pooch sakti hoon. Tumhara parivaar.

  Abhay : mera koi parivaar nahin hai. Mera is duniya me koi nahin hai.

Niyati : Tumhara parivar hai. main mili hoon unse aaj.

Abhay (shocked) : kya

Part 3

Niyati : aaj main apni dost ke saath main   raichand house gayi thi. wahaan main tumhare parivaar, tumhare bhai aur tumhari patni se me mili.

  Abahy  : Meri koi patni nahin hai aur nahi parivar.

Niyati : tum kyun apne parivaar se milna nahin chahte. Kyun apne aap ko apno se krishna se dur rakh rahe ho. Kitne khush   hoge   jab woh log tumhe dekhenge.

Abhay : Mana ki sare gharwale khush hoge per Krishna. uski zindagi me to toofan  aa jayega. Maine dekha hai ki krishna yuvraj ke saath kitni khush hai. Aur main uski khushi ko barbad karna nahin chahta. Mere parivaar ke liye ab me hamesha ke liye mar   gya hoon.

Niyati : Per abhay ek baar to tumhe inse jakar milna chahiye. kya pata krishna ka kya faisa ho. kyunki ab tak woh yahi samaj thi hai ki tumhari maut ek car accident me ho gayi hai.

Abhay: mera car accident nahin balke kisine muje marne ki koshish ki thi.

  Abhay use sari baatein batata hai ki kaise Arjun raichand empire ko hasil karna chahta hai aur kaise usne usko marne ki koshish ki.

Niyati  : kya naam bataya tumne, Arjun na. Kal woh mujse tumhare bare me baat karne aaya tha ki woh tumhe london lejana chahta hai tumhare ilaj ke liye. lekin maine mana kar di kyunki tum mere haath thik hona chahte the. to iska matlab yeh hai ki use pata hai ki tum is hospital me ho. Muje lagta hai ki woh phir se tumhe marne ki koshish kar sakta   hai. Hume jald se jald yahaan se kahin aur jagah chale jana chahiye.

Abhay : kya farak padta hai. ab to me pal pal   apne parivaar ke bina marta hoon. isse achcha hai woh muje mar de.

Niyati : bahot hi kum log hote hai jiski zindagi use vapas milti hai. aur tumhari   zindagi ka maksad hai ki tum use apne parivaar ko barbad karne se bacho. Tum mere saath mere ghar chaloge.

  Abhay : per tumhare ghar wale.

Niyati : mera is duniya me koi nahin hai. Is liye tum chinta mat karo aur mere khayal se me tumhari 24 ghante treatment bhi kar sakti hoon taki tum jaldi se thik ho jao.

  Abhay: thank you so much.

Niyati : thanks kehne ki koi zaroorat nahin. main sirf apna kam kar rahi hoon.

ends on niyati's smily face 😊.

thanks

with help of softk 6

love kashish

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

  April 30th

Part 1

Daksh  Kabir aur Aditya dono ko phone   karke apne ghar pe bhulata hai.

Daksh : Maine case ki sari details dekh li hai. Jis tarah yeh case muje shulja hua lagta hai utna hai nahin. Yeh Raichand empire ko khatam karne ki koshish muje lagta hai kai dino se shuru ho gayi hai. Kyunki muje lagta hai ki jis tarah se tumhare ghar ke halat hai koi uska faida   udha raha hai. Aur ghar ki baatein gharwalon ko aur karebi dost ya restedaron ko hoti hai.

Kabir (pareshan hokar ) : per main tumhari baat ko samja nahin. Koi ghar ka aisa kyun karega. Main nahin manta ki koi   bhi mera bhai aisa kare.

Daksh : samaj liya ki ghar wala nahin lekin ghar ke bahar wala kareebe. jo hamesha tumhare ghar me business me   kya ho raha hai uski puri details rakh raha ho.

Aditya : aisa to koi nahin hai sivay Arjununcle jo hamare business partner hai aur papa ke chote bhai ki tarah. Aur woh to hame is case ko shuljane me madad kar   rahe hai.

Daksh : Tum Raichand family ke bete hone se soch rahe ho lekin ek bar ek lawyer  ke nazare se dekho to tumhe har koi dhoshi dikhi dega chahe woh tumhara bhai hi kyun na ho. Tum aisa karo ki muje apne   sare gharwale ki full details aur saath main Mr. arjun ki bhi.

  Kabir : thik hai kal sham tak tumhe sari details mil jayengi.

  Daksh (ghehri soch me ): kal sham tak nahin muje aaj sham tak chahiye taki main is case kal subaah se shuru kar saku.

Tabhi Aditya ke cell phone  pe Sameera ka phone aata hai use lunch ka yaad dilane ke liye ki woh restaurant me uska intazaar kar rahi hai. aur woh use apne ghar pe aane ko kehti hai. Aditya Sameera   ko milne ke liye nikalta hai aur Kabir bhi sari details ke liye niklata hai.

Sameera (aditya ko dekhkar) : hamesha   ki tarah dair kar di tumne. Main yahaan tumhara pichle 1 ghante se intazaar kar rahi thi.

Aditya : I am sorry. woh Muje kuch zaroori kaam yaad aa gaya tha is liye. Ab   main yahaan hoon to ab koi kam ki baat nahin.

Sameera waiter  ko khane ka order deti hai.

  Sameera kisi gehri soch  me khoyi huyi hai.

  Aditya : kahan kho gayi. tum kuch pareshan lag rahi ho. baat kya hai.

Sameera : Woh main kal niyati ko lekar   tumhare ghar gayi thi aur pata nahin wahaan Abhaybhaiyaa ki tasvir dekhkar woh bahot pareshan thi. Pata nahin lekin use aisa laga ki woh kahin abhaybhaiyaa se mili hai. tum bhi chodo na yeh sab baatein.  achcha to yeh batao ki Buaji ko main pasand to aayi naa.

Aditya (haste huye) πŸ˜›: bahot bas hum log papa ke aane ka intazaar kar rahe hai.

Sameera (sarmati huyi) 😳: sach.

  Part 2

Arjun (phone pe) : kam ho gaya. Abhay ko maine jo jagah batai wahaan sambhal ke pahuncha diya.

  Aadmi: saab, woh thodi si gadbad ho gayi. hum log nakamyab ho gaye. Abhay ko nikal ne me.

Arjun (gusse se ): tumse koi kam aaj tak thik terha se hua hai. meri hi galti thi jo maine tum ko phir se kam pe rakha.   ab   main khud hi jakar dekhta hoon.

Arjun gusse me hospital jane ke liye nikalta hai.

Arjun (kamre me aakar): yeh Abhay kahan gaya... Abhay ko kamre me nahi dekh kar Arjun aur bhi ghabra jata hai

Arjun  : Nurse. woh mera beta Abhay kahan hai.

  Nurse: unhe toh aajhi subaah discharge kar diya gaya hai.

Arjun(very frustrated)  : aise kaise discharge kar diya.. muje dr. Niyati se baat karni hai.

Nurse: I am sorry per woh to apne ek hafte   ke vacation ke liye nikal gayi hai

Arjun (apne aap se)  : kuch na kuch to zaroor hai is doctor or patient ke bich. per main pata karke hi rahoonga. isse pehle ki abhay raichand house pahunche.

  Mille sham ko school se pareshan aati hai aur apne kamre me chali jati hai.

Bua (mille ke kamre me jakar) : Mille bat kya hai beta.. tum itni udas kyon ho.. kisi ne   tumse kuch kaha ya phir kisi se school me jagda hua.

Mille (gusse se) : nahin muje kal music compition me participate karna hai aur muje kuch nahin aata. aaj mama hoti to woh muje zaroor kuch na kuch shikhati aur woh dauti   bahar garden me chali gayi.

Bua ( kitchen me jakar)  : Krishna,   mille roti huyi bahar chali gayi hai. tumhi ho jo use sambhal sakti ho.

Krishna(concerned) : per buaji baat kya hai.

Bua: woh uski school me music compition   hai aur use kuch samaj nahin aata woh kya kare.

  Krishna : aap chinta mat kijiye main jakar dekti hoon.

Krishna (mille ke pass jakar) : bua ne   bataya ki hamari mille kal music compition me hissa lene wali hai. to aaj itni udas kyun ho.

    Mille : kyunki main kal haar  na nahin chahti. muje kuch bhi nahin aata.

Krishna : main tumhe yeh bashuri   bajana sikha sakti hoon aur muje viswas hai ki kal tum hi first prize  jitigi.

Krishna Milli ko bajana shikhati hai. Bashuri ki aawaz sunkar Bua, yash aur yuvraj ghar   ke bahar garden mein aate hai. Sab log bahot hi khush dikhai dete hai mille aur krishna ko maa beti jaise dekhkar.

  Mille( khushi se ) : krishna chachi, aaj mama hoti to kitni khush hoti naa.

Krishna : haa. mama bahot hi khush hoti. Lekin aaj se main aapki choti ma. aj se aap muje krishna chachi nahin balke choti ma kehna.

millie krishna ko gale lagakar choti ma kehti hai.

  Part 3

Niyati Abhay ko apne saath ghar lejati hai.

Niyati : Abhay, mera ghar tumhare ghar jaisa bada to nahin... lekin mujhe is baat ki khushi hogi agar tum isse apna hi ghar samjho aur surakshit mehsoos karo.

  Niyati Abhay ko apna ghar dikhati hai use uska kamra dikhati hai.

Niyati : ab tum aaram karo, kafi raat ho gayi hai. aur haa agar raat ko kisi bhi chij ki zaroorat ho muje aawaz  dena mera kamra samne hi hai. aur kal se mera ek hafte ki vacation hai taki main tumhari jaldi   se treatment kar saku.

Abhay : thank u so much dr.niyati... Aap mere liye bahut kuch kar rahi hai... pata   nahin main aapka yeh karz  kaise chuka paoonga ya nahin.

Niyati: main sirf wahi kar rahi hoon jo mujhe sahi laga. Aur ek insaan doosre ensaan ke kam nahin aayega to duniya me insaniyat hi nahin rehengi.Kya ek doctor apne patient ke liye itna bhi nahi kar sakta   hai

Niyati hasti huyi apne kamre me chali   gayi.

Krishna apne kamre me sone ki taiyariyaan kar rahi thi tabhi Yuvraj kamre me aata hai.

Yuvraj ( Krishna ki aur dekhkar)  : Krishna, tumne kabhi bataya nahin ki tum   itni achchi basuri baja sakti ho. Aur tumne   kab sikhi.

Krishna  : Tumhe kya laga muje kuch nahin aata. bachpan me mere papa ne muje shikai thi aur woh bashuri bhi mere papa ki   hai. Aaj tak kabhi uski zaroorat nahin padi per aaj mille ko dekhkar laga ki usse iski bahut zaroorat hai.

Yuvraj  : Krishna, kya tum muje nahin shikhaugi.

Krishna (sharmati huyi) : competition   millie ka hai tumhara nahin.

Yuvraj ( krishna ka hath pakad ke) : per phir bhi. ple

  Krishna (yuvraj ki aur dekhke): Lagta hai aaj janab sone ke mood mein kam aur bashuri ki aawaz ke mood mei zyada hai...hhmmm soch  ke bataoongi . ab   tum please so jao...

Raat ko Krishna pani pine udhati hai.

Krishna (hath me khali glass lekar) : lagta hai yuvraj sara pani pi gaye.

  Krishna kitchen me pani pi rahi thi tabhi usne bahar aawaz suni.

Krishna ne bahar jakar dekha to uday tha.

  Uday krishna ko suhagan ke roop mein dekhkar ek dum chaunk  gaya.

episode ends on uday's starteled face ,

thanks

with help of softk 6

love kashish

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

May 1st

Part 1

  Krishna (surprized) : Are, Uday tum kab aaye aur tum kaha the itne dino tak.

Uday (shocked) : Krishna tum aur is libas mein.. yeh shaadi. aur kis ke saath. mera matlab Abhaybhai ke jaane ke bad.

Krishna 😳 : Tumhare jane ke bad halat hi kuch aise ho gaye ki meri shaadi karni padi.   Main Abhay ke bachche ki maa banane wali thi. Aur papa ki tabiyat bhi bahot kharab thi. Is liye muje majbooran yeh shaadi karni padi per meri majboori meri jaroorat kab ban gayi pata hi nahi chala. aur ek baar phir se ussi ne mere dil  mein jeene ki umang jagayee jab maine Abhay ke saath  uski nishani ko bhi kho diya. Aur aaj main use   bahot pyaar karti hoon aur uske bina ji nahin sakti.

Uday 😲: per krishna tumhari shaadi kis se huyi hai .

    Krishna  : Yuvraj se.

Uday (shocked)  : kya. Yuvraj se. tum aisa kaise kar sakti ho.

Krishna  : Kyun nahin. Kya kharabi hai usme. Usne hamesha mera saath diya jab sare gharwale mere khilaf the. Woh hamesha mere saath tha jab main koi muskeli me thi. Aur ab to yuvraj ne mere liye apne aap ko badal diya   hai.

Uday  : Krishna . Main nahin manta ki yuvraj jaisa khudgarz insaan badal sakta hai.   Muje lagta hai ki tumne Yuvraj se shaadi karke bahot badi bhul ki hai.

Krishna (gusse se) : Bas Uday. ab ek aur   shabd  nahin. main apne pati ke virrudh kuch bhi sunna nahi chahti.

  Yuvraj (kamre me se) : Krishna

Krishna : raat kafi ho chuki hai. tum apne   kamre me jakar so jao. Hum subaah baat karenge.

  Uday (apne aap se) : Shayad maine aane me bahot dair kar di.

  Yuvraj (Krishna ko kamre me aate dekhkar)  : Kahan gayi thi tum itni raat ko?

  Krishna : kuch nahin pani lane ke liye gayi thi.

Yuvraj  : Krishna, muje kaha hota. tum kyun udhi.

Krishna: Tum so rahe the. aur tum to jante ho ki muje tumhe raat ko disturb karna achcha nahin lagta.

Yuvraj ( krishna ka hath pakd ke) πŸ˜’ : vaada karo kabhi bhi muje ek pal ke liye bhi akela chodke nahin jaongi. Main ek pal bhi tumhare bina nahin ji sakta. pata hai tumhe apne aas   pass tumhe nahin dekhkar mera dil kitna bechen ho jata hai.

Krishna (Yuvraj ke hath ko chumte huye)  : vaada karti hoon kabhi bhi yeh haath nahin chutenge. nahi hamara saath. I Love you yuvraj.

Yuvraj : i love you too.

  Part 2

Subaah Krishna mandir me pooja ki taiyariyaan kar rahi thi.

  Krishna (diya jalati huyi)  : Yuvraj baki ke ghar wale kahan hai.

Yuvraj : woh bas aate hi hai.

  Krishna pooja ke phul  lane ke liye bahar jati hai tab Yuvraj Krishna ko chidane ke liye uske sare diye  bhuja deta hai.

Krishna (surprized) : Are, aise kaise sare diye ek saath bhuj gaye.

Yuvraj (Krishna ki aur dekhkar) πŸ˜’: lagta hai mere saath saath bhagwan bhi yahi chahte hai ki tum hume ek pal ke liye bhi na chodke jao.

Krishna phir se diye  jalati hai aur woh gharwalon ko bhulane bahar jati hai.

Yuvraj diye bhujane  hi wala tha ki Krishna   samne se use dekh rahi hai.

  Krishna  : ho gaya tumhara. Kya milta hai tumhe muje chedkar.

  Yuvraj  : tumhe pata nahin ki jab bhi tum naraz hoti ho to kitni khubsurat lagti ho. Ok meri galti. (apne dono kan pakd ke)  I am sorry. aage se aisa nahin hoga. ple. is baar   muje maf kar do.

Krishna ( yuvraj ke hath uske kan se hatati huyi): tum jante ho main tumhari yeh dhukhi sakal nahin dekh sakti is liye maf karti hoon lekin aakhri baar.

  Tabhi Buaji, yash aarti ke liye aate hai.

Krishna( aankh bandh karke) : Hey, Bhagwaan maine kabhi apne liye kuch nahin manga per main chahti hoon ki Yuvraj ko uski   sari khusiyaan mile. aur iske alawa muje kuch nahin chihiye.

Yuvraj ( krishna ki aur dekhke) : Bhagwan Krishna ne jo manga hai woh use de dena aur mere hisse ki khushiyaan bhi.

Tabhi Uday aarti ke liye aata hai.

Aarti khatam hone ke bad

Yuvraj : ek minute, Uday muje tumse kuch baat karni hai.

Uday 😲: kaisi baat

Yuvraj πŸ€”: I am sorry. maine aaj tak kabhi bhi tumse thik tarah se baat nahin ki. Maine aajtak kabhi tumhe apna bhai aur Raichand parivaar ka hissa nahin mana lekin aaj se main tumhe apna bhai manta hoon.

Krishna 😊: maine kaha tha na ki Yuvraj wake me badal gaya hai.

Uday πŸ˜‰: krishna tumne aisa kya kiya jo hum itne salo me nahin kar sake. Yeh sab tumhare pyaar ka natija hai. Ab ise bhandh ke rakhna apne aapse.

  Part 3

Sabhi log breakfast ke liye bethe huye the.

Yash : Uday. tum the kahan. na koi   phone   na koi khabar.

Uday: bhaiyaa, main Abhaybhai ke bare me pata karne Australia gaya tha aur wahan se muje Abhaybhai ki diary  aur uske computer se yeh pata chala ki woh India sirf is liye aaye the ki koi Raichand empire aur Raichand house hansil karna chahta hai. aur jab yeh baat Abhaybhai ko pata chali to uska accident nahin balke murder kar diya gaya.

Tabhi Daksh Raichnd house me dakhil hota hai.

Daksh : Thik keh raha hai. case ki details janne ke bad mera bhi yahin manna hai ki Abhay ka khoon hua tha.

Aditya: Tumhare pass koi proof hai is baat ko sabit karne ka.

Daksh : proof to nahin hai lekin jaldi hi main woh insaan ko pakad lunga aur woh khud yeh baat kabool karenga.

  Uday: shayad yeh dairy aapke kam aa sakti hai.

Kabir : Maine jo details di thi unse kuch madad huyi ki yuvi per kisne hamla kiya.

Daksh: woh insaan to pata nahin lekin main itna kehta hoon ki woh hamesha tum logo pe nazar rakh raha hai.

Yash😲 : aap ka kya matlab hai.

Daksh; main sirf itna keh sakta hoon ki be careful. Aditya kya tum office ja rahe ho.   shayad hum raste me case discuss kar sake.

Kabir, yash aur Yuvraj bhi office  ke liye nikalte hai.

  Mille school jane ke liye taiyaar hokar krishna ke pass aati huyi

Mille : choti maa, main bahot hi nervous hoon. kya aap ko lagta hai main compition jeet jaungi.

Krishna πŸ˜›: muje pura yakin hai ki sham ko   jab   tum school se lotongi to first prize lekar aaogi . ab jao aaj tumhe Udaychachu school chodne jayenge.

  Mille: , udaychachu aagaye. iska matlab chocolates. (uday ke pass jakar) Chachu, jab main sham ko ghar aaungi to muje dher sari chocolates  chahiye.

Uday 😊: woh to main tumhe de donga lekin usse pehle mama ki izazat.

Mille : per mama ab hamare saath nahin rehti.

Bua 😳: mille tumhe dair ho rahi hai chalo main tumhe chod aati hoon.

Uday πŸ˜’: tarabhabhi kahan hai.

Krishna πŸ˜•: Tarabhabhi, pichle mahine blood cancer ki wajese(krishna stops speaking and cries) 😭😭.... Uday ab tara bhabhi hamare beech nahi rahi.... woh hum sabko chhod ke bahut door chali gayi hai😭😭

episode ends on udays shocked face 😲.

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

May 2nd

Part 1

Uday (crying😭😭...): itna sab kuch ho gaya....

Krishna (udas hokar 😳) : Tumhare jaane ke   bad kya nahin hua is ghar me. Jaise badnasibi ne hamare ghar me apni jagah hi bana li ho. Ab kahan se shuru karu Uday...

Uday (shocked) 😲: shuru se matlab. Aur bhi kuch hua hai.  krishna muje sab   kuch sach sach batao.

Krishna : Thik hai to suno. Tumhare jane ke bad Main abhay ke bachche ki maa ban ne wali thi lekin ghar ke sabhi sadasyon ne mujhpe shak kiya.... yeh tak kaha ki yeh bachcha abhay ka nahi hai balki kisi ke paap ki nishani hai...Kisi ne bhi meri baaton ka vishwas nahi kiya... tabhi yuvraj ne mujpe bharosha karke meri marji ke khilaf mujse shaadi ki kyunki Papa aisa chahte the. Aur Yuvraj ne duniya ko mere bachche ko apna naam diya. Bad main muje pata chala ki Yuvraj ne sirf mere 50% raichand ke shares ko pane ke liye mujhse shaadi ki . jo usne MD banke liye the.Per bad me use ehsaas hua ki main aur yeh bachcha uski jimedari hai. Aur woh mere bachche se bahot pyaar karta tha. aur pata hi nahin chala ki kab use mujse pyaar ho gaya aur woh hamare liye sabkuch chodne ko taiyaar ho gaya aur maine bhi use maf kar diya kyunki usko mere bachche se pyaar tha. Ek din hume pata chala ki Tarabhabhi ko blood cancer hai per tak tak bhabhi last stage me thi aur iska ek hi ilaaj tha to bone marrow transplant. Aur usi operation me humne hamara bachcha aur tarabhabhi ko kho diya. Aur ek aur baat Kabir ki bhi uski marji ke khilaf Tanya se shaadi ho gayi. yeh jante huye   ki tanya kabir ko dhoka de rahi hai ki woh pregnant nahin hai. Aur kuch hi din pehle Yuvraj bhi maut ke muh se bach ke aaya hai.   Pata nahin ab kaun sa naya toofan  hamare ghar ki aur aanewala hai.

Uday : itna sab kuch ho gaya mere jane ke bad. Ab bhi yakin nahin hota. Krishna papa   kahaan hai.

Krishna : papa ki tabiyat thik nahi rehti thi ... doctors ne recommend kiya ki papa ko out of station le jaaya jaye... aur aajkal papa   Shalaya ke saath hai aur papa ko is bare main kuch pata nahin.

Uday : Muje kuch zaroori kam yaad aa gaya main chalta hoon.

  Arjun office me bethkar soch raha hai.

Arjun (apne aap se ): Kahan ho sakta hai yeh Abhay. Aur kaun hai jo uski madad kar raha hai. Kahin woh doctor to nahi. Per woh aisa kyun karengi. Muje bina samay barbad kiye ek bar us doctor ke ghar ki talashi le leni chihiye. Per uska ghar hoga kahan. haa, main aisa karta hoon ki hospital se uska pata poochta hoon. per kaise.

Part-2

  Niyati Abhay ke kamre me aati hai aur Abhay   khidki  se bahar dekh raha hai.

Niyati : Kya dekh rahe ho.

Abhay: woh kuch nahin. Bahar ki duniya dekh   raha hoon ki ek hi pal me kitni badal jati hai.

  Niyati: subaah maine dekha to tum so rahe  the is liye main akeli hi market chali gayi. Tumhare liye kuch kapde   layi hoon. Hopefully tumhe pasand aaye.

Abhay 😊: Thanks a lot. Main woh tumhe kehne hi wala tha.

Niyati: ab tum jaldi se taiyaar ho jao main lunch taiyaar karti hoon.

  Uday office me aakar receptionist se yash ke bare me pochta hai aur woh use batati hai ki sab log Meeting room  me hai. Uday meeting room me jata hai to wahaan per Yash, Yuvraj aur Kabir naye project   ke bare me discussion kar rahe hai.

Uday( yash ke pass jakar) : Yashbhaiyaa, aaj maine apne aap hi apno se khud ko dur kar diya. Muje maf kar dijiye. jab mere pariwaar ko meri sabse zyada zaroorat thi tab main   nahin tha. Krishna ne muje sab kuch bata diya hai

Yash : kya, uday. kabhi ek bhai dusre bhai se naraz ho sakta hai aur tumne to woh kiya hai jo hum kabhi soch bhi nahin sakte the ki abhay ka khoon hua tha.

Yuvraj : Yashbhai, bilkul thik keh rahe hai. apno se kaisi shikayat Uday... tum toh hamare apne ho

Uday : Yuvraj, aaj Krishna ne bataya ki kis tarah tumne in musibat ke samay me sabko sambhala. maine hamesha tumhe khudgarz samja... per aaj lagta hai ki tum wake me badal gaye ho. Ab aap log akele nahin hai main bhi aap ke saath hoon is Raichand empire ko bachane me.

Yuvraj 😊: filhal to hum sablog is naye project pe kam kar rahe hai aur main chahta hoon ki tum personaly is pe dhyan do kyunki tumhe iski knowledge hai aur humne kafi paise bhi lagaye hai.

  Uday : thik hai main pehle is file ko padh leta hoon bad me aap logo ko meeting mei join karta hoon

      Uday apne office me jakar Ananya ko phone lagata hai.

Uday : hi! Ananya, kaisi ho tum?

  Ananya: Uday tum...main thik hoon per tum kab aaye.

uday : main tumhe sham ko batata hoon. tum sirf sham ko saat baje taiyaar rehna main tumhe dinner ke liye lene aaunga. bye

Part-3

Yash, Bua, Yuvraj, Krishna aur Aditya bahar   sham ko garden  me bethe baatein kar rahe the. Tabhi Tanya milli ko school se lati hai.

  Mille (dauti huyi) : Choti maa, yeh dekho mera first prize. Aap ne thik kaha tha. I am   best.

Krishna(very happy to see milli win prize) : Mille tum kapde badlkar fresh ho jao.   Aur phir kitchen me aa jana. thik hai ab jao.

Yash : Thank you so much krishna. aaj jo bhi khushi  mille ke chehre pe woh sab tumhare wajese. Aaj jis tarah se usne tumhe choti maa kaha aisa laga woh tumme tara ko   dekh rahi hai.

Krishna : Yashbhaiyaa, maine tarabhabhi se vaada kiya tha ki main use kabhi bhi maa ki   kami mehsoos nahin hone dongi aur saath me yeh bhi  ki nahi mille kabhi apni maa ko bhul paye.

Krishna chat pe aakash ki aur dekh rahi thi.

Yuvraj (krishna ke kandhe pe hath rakhkar ) 😊: kya dekh rahi ho.

Krishna (aanshu ponchti huyi):πŸ˜’ kuch bhi to   nahin.

Yuvraj (krishna ko apni aur karke) : Tum apne aap se jooth bol sakti ho lekin mujse   nahin. Main tumhari aankhen  padh sakta hoon aur yeh bhi ki tum kis soch main khoyi huyi thi. Hamare bachche ko dhundh rahi thi.

Krishna  : main kaisi maa hoon jo in taaroin main apne hi bachche ko  nahin   pehchan sakti.

Yuvraj πŸ€” : woh dekho krishna jo sabse choto lekin sabse chamkila tara  hai wohi hamara bachcha hai. Aur tum buri maa kaise ho sakti ho jo dusare ki beti ko ek maa jaise pyaar karti ho.

Krishna πŸ˜”: Shayad maine tumhari baat man li hoti to shayad hamara bachcha woh tara naa hota. Ple yuvraj ho sake to muje maf kar dena. aur main vaada karti hoon ki aage se main   tumhari har ek baat ko manungi.

Yuvraj : Krishna maine tumhe pehle bhi kahan tha aur ab bhi keh raho hoon usme tumhari koi galti thi hi nahin. Jo hua use bhagwan ki marji samjkar bhul jao. aur yaad rakhna agar tumhari zindagi me kabhi meri zaroorat huyi to main hamesha tumhare saath hoga chahe gum ho ya khushi. hum saath me bathkar zindagi jiyenge.

  Krishna yuvraj ke gale πŸ€— lag kar roti 😭 hai aur yuvi use honshla de raha hai.

episode ends on Yuvraj and krishna on terrece .


thanks

with help of softk 6

love kashish

Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

 May 3rd

  Part 1

Uday Ananya ko pick up karne ke bad woh log rasturant me bethkar dinner kar rahe the.

  Ananya : ki main tumhe tarabhabhi aur krishnabhabhi ke bare me nahin bata payi per kya karoo tumhara koi na pata na phone. waise tumne abhi tak bataya nahin ki tum kahan gaye the.

  Uday : Kuch nahin woh zaroori kam se main Australia gaya tha.

  Ananya (sochti huyi) : jahan tak main janti hoon tumhara business Londan me hai to phir Australia kyun.

Uday(shocked) : Tum bhi kya. khodo naa yeh sab   baaton ko.

Ananya (pareshan hokar) : tumhare chehre se saaf saaf pata chalta hai ki tumhe koi pareshani hai. ple   tum   muje nahin bataoge to phir kise.

Uday   : Main Australia business ke liye nahin balke Abhaybhaiyaa ke murder ke surag dhundne ko gaya tha per wahaan se muje sirf unki diary mili. aur usse sirf itna maloom hota hai ki koi apna hai jo Raichand empire or raichand family ko barbad karna chahta hai. per   woh   kaun ho sakta hai.

Ananya (shocked) : koi apna jo tumse nafrat karta ho woh to sirf Yuvraj hi hai.

Uday (shocked): Nahin Yuvrav ab woh pehle wala nahin raha. Ab krishna ne use puri tarah se badal   diya   hai.

Ananya (apne aap se) : yakin nahin hota ki Yuvraj jaisa insaan badal sakta hai. per kisi ne sach kaha hai pyar hume badal hi deta hai.

  Uday (smiled) : ab tum yeh sab baatein chodo ab main yahaan hoon tum yahaan ho to no busines.

Uday aur Ananya ki dinner date kafi romantic tarike se khatam huyi.

  Raichand house me Tanya arjun ko phone lagati hai.

Tanya:  papa, Muje aapse kuch zaroori baat karni   hai meri pregnancy ko lekar.

Arjun: mere pass in sab choti baaton ke liye samay   nahin hai.

tanya : papa meri shaadi ko 4 mahine ho gaye hai aur Bua muje har bar koi na koi sawaal karti rehti hai bachche ko lekar. ab main yeh jooth jyada din tak nahin chupa   paungi.

Arjun : thik hai tum kal subaah ghar pe aa jana hum log koi naya tarika dhund lenge.

Tanya : thik hai papa main subaah aa jaungi.

  Krishna yeh sab kuch sun  leti hai.

Krishna (apne aap se) : Kabir, ple muje maaf kar dena kyunki is baar main tumhari koi madad nahin kar sakti. Main yuvraj ke khilaf nahin ja sakti aur yuvraj chahte hai ki koi bhi doosare problems ki waje se hum dono ki bich problems ho. is liye muje yeh baat sinkar bhi unsuni karni hogi. ple muje maaf kar dena.

  Part-2

Daksh kabir ki di huyi sari files path raha tha jis me sare gharwale aur karibi ristedaro ki information thi. Tabhi usne kuch baat notice ki jo use Abhay ke murder ke katil tak pahocha sakta hai woh thi Arjun ki details aur Abhay ki diary.

Daksh (Apne aap se)  : isse pehle main koi kadam udau muje Mrs. Raichand se Abhay ke liye baat karni   hogi.

Subaah hoyi  aur Krishna apne bister se udane hi wali thi ki lagta hai kisine uski saree ka pallu pakde ke rakha hai.Krishna ne mud ke  dekha to Yuvraj apne hath me lekar so raha tha. Krishna  dheere dheere apni sari   nikalne ki koshish kar rahi thi yuvraj ko bina jagaye. lekin saari chutne ki waje aur ulaji jaa rahi thi. tabhi krishna ki choodi ki khank se yuvraj ki aankh khul  gayi.

  Yuvraj (haste huye) : kya kar rahi ho. mujse picha chudana chahti ho.

krishna (sharmati huyi)  : ab yeh rishta is janam ka nahin balke saat janam ka hai to tumse main kaise   picha   chod sakti hoon, Aur waise bhi kya saaya kabhi saath chodta hai to main tumhara saath kaise chod sakti hoon

Yuvraj  : kya muje saat janam tak jhel paoungi.

Krishna ( hasti huyi) :  saat janam ka to pata nahin lekin haa is janam me to muje tumhe jhelnahi padega.

Yuvraj :πŸ€” to agar baat ek dusre ko jhelna ki hi hai to main chala jata hoon.

  Krishna (yuvraj ka haath pakdke):  aaj jo kaha woh kaha lekin aage kabhi muje chodne ki baat mat karna. kyunki tumhare andar meri jaan basti hai agar tum   muje chod donge to main is duniya ko hi chod dungi.

Yuvraj : kabhi bhi koi bhi waqt aaye chahe woh bura ho ya achcha main hamesha tumhe itna hi pyaar   karoonga.

Daksh Raichand house me krishna ka intazar kar   raha tha.

Krishna : aapne bataya nahin ki aap aanewale hai.

Daksh: muje aapke ex-husband Abhay ke bare me baat karni hai. kya usne kabhi bhi aapko yeh baat batai hai ki woh india kis se milne aaye the.

Tanya: Krishnabhabhi, main apne regular check up ke liye hospital ja rahi hoon.

Krishna( soch me khoyi huyi) πŸ˜• : Kyun tanya kabir se   jooth bol rahi jab ki ek na ek din to sach aana hi hai. Aur aisi kaun si baat hain jo yeh Arjun se karne ja rahi hai.

  Daksh;  Mrs. raichand, kahan kho gayi aap. Kya aapko yaad hai ki kabhi bhi aapke pati ne aapko kuch kaha ho.

Krishna:  Nahin, muje sirf itna pata hai ki koi hai jo yeh nahin chahta ki Raichnd parivar ek saath rahe.

Part 3

Tanya arjun se milne uske ghar pahunchi.

Arjun : betho. aur batao baat kya hai.

Tanya πŸ˜’: muje bahot darr lag raha ki meri shaadi ko char mahine ho gaye aur mere is pregnancy natak ko panch mahine honewale hai aur ab ghar me sab log muje tarah tarah ke sawaal pooch rahe hai. Maine apni tarah se puri koshish ki yahaan tak ki maine Yuvraj ka bhi istmal kiya per koi fayda nahin. Muje lagta hai ki hamara plan chopat   honewala hai.

Arjun (gusse se) 😑; tumhe aur koi nahin mila jo tumne yuvraj ko. Ab is baat ko gujra hua kal samjke bhul jao. lagta hai muje koi permanant elaj dhundna hoga.  Per yaad rahe kabhi bhi tumhari bevkufi ke karan yeh baat Raichand parivar tak na pahunche.. khas karke Maya aur   Krishna ke.

Tanya : Per papa main aapki baat samji nahin.

    Arjun tanya ko apna plan samjata hai.

Arjun (Kabir ko Phone Karke) : Kabir, ek buri khabar hai. Subaah tanya apni maa se milne aayi thi aur   wapas jate waqt uski car ka accident ho gaya hai. aur main use hospital lekar aaya hoon.

Kabir : aap chinta mat kijiye hum log aate hai.

Kabir ( krishna ko phone karke) : Bhabhi, Tanya ka accident ho gaya hai aap aur bua jaldi se hospital aa   jaiye.

Krishna : tum chinta mat karo. hum bas nikale te hi hai.

Krishna  : buaji, tanya ka accident hua hai aur hume jaldi se hospital jana hai.

Kabir, yuvraj,krishna aur Bua hospital pahunchte hai.

Arjun (rote huye) 😭: pata nahin kay hoga meri beti ka. Subaah kitni khush thi aur pata nahin kaise wapas jate waqt yeh hadsa hua.

Yuvraj 😳: dont worry uncle sab kuch thik hojayega. doctor ne kya kaha.

Arjun πŸ˜’ : abhi tak kuch nahin kaha.

Doctor (tanya ke kamre se bahar aakar) πŸ˜” ; i am sorry. Main maa ko bacha saki lekin bachche ko nahin aur ek aur baat tanya ab kabhi bhi maa nahin ban sakengi.

Episode ends on Kabir's face 😲.


Edited by goodkashish - 16 years ago
Posted: 16 years ago

May 4th

part 1

  Kabir (gusse se) : Yeh aap kya keh rahe hai.

Doctor: haa, Mr. Raichand, Aap ki wife ab kabhi bhi maa nahin ban sakti. Kyunki is accident ki wajaah se unki internal injuries kafi huyi hai.

  Kabir : doctor, tanya ko is baat ka pata hai.

Doctor : haa, maine sabse pehle patient ko bata diya tha. Ab aapko unka bahot khayal rakhna hoga.

Kabir : Kya main use mil sakta hoon.

Doctor : aap use chahiye to ghar leja sakte hai kyunki muje lagta haii ki agar woh is mahol se dur jayegi to jaldi recover ho sakegi.

Bua (kabir ke kandhe pe hath rakhti huyi) 😳: Doctor, aap chinta mat kijiye, main uska pura khayal rakhungi.

Sab log Tanya ke kamre me jate hai. Tanya sirf dukhi hone ka natak kar rahi hai.

  Bua πŸ˜’: Kabir, Tanya ko car tak lejao. Main doctor se baat karke aati hoon.

Krishna (Pareshan hokar ): Buaji, aap jaiye main aur yuvraz doctor se baat karke aate hai.

Bua aur Kabir Tanya ko lekar jate hai.

  Arjun 😳: aap log bhi jaiye main doctor ke pass se reports lekar ghar pahochta hoon.

Yuvraj or Krishna ghar ki aur nikalte hai.

Krishna (yuvraj ki aur dekhke): Janti hoon ki tumhe   kaun si baat pareshan kar rahi hai. Muje pata hai ki yeh sab Tanya ne Arjununcle ke saath mil kar yeh natak kiya hai. Maine kal Tanya ko Arjununcle se baat karte sun liya tha.

  Yuvraj: Krishna, tumne muje bataya kyun nahin.

Krishna: main khamosh rahi hoon to Kabir ke liye.   Main   nahin chahti thi ki is sach ki wajaah se uski shaadi tute.

Yuvraj : Per Krishna, hume kabhi naa kabhi to yeh baat kabir ko batani hogi na ki yeh sab natak tha.

  Krishna (yuvraj ke hath pe hath rakhkar) : tum chinta mat karo. ek din khud Tanya hi sabko yeh sachchai batayegi.

  Sab log tanya ko samja rahe the. Krishna aur Yuvraj ek dusre ko dekh rahe the aur khamosh khade the  .

Tanya : Main kuch waqt akele rehna chahti hoon.

Sab log kamre se bahar nikal te hai tabhi Krishna Tanya ke   pass aati hai.

Krishna : Tanya, Aaj tumne ek jooth ko chupane ke liye aisa jooth bola hai ki jis se tumhe zindagi bhar pachtana hoga. Jis kabir se tumne dhoke se shaadi ki. Dekha aaj tumhari muskeli me tumhare saath khada hai. Jis parivaar ko tum todne aayi thi woh pura aaj tumhare saath hai kyunki unhe lagta hai ki tumhe inki zaroorat hai. per agar kal yeh baat sabko pata chal jayegi to kya kabir aur yeh parivaar tumhara saath dega aur sach ka. Isse pehle bahot dair hojaye Kabir ko sach bata do. Sayad woh ab bhi tumhe maaf kar de.

  Part 2

Abhay aur Niyati apne ghar me  bethkar baatein kar rahe hai.

  Niyati (surprized) : Muje to yakeen nahin hota ki itna bada parivaar aur woh bhi ek saath.

Abhay : Hum log koi ek saath nahin rehte the. Sab bhai apni manzil ko pane ke liye ghar chodke chale gaye lekin Krishna ne sab ko ek saath ek hi ghar me kar diya.

  Niyati (day dreaming 😍): Kash mera bhi itna bada parivaar hota.

Abhay : Niyati, mera ek kam karogi, Kya tum mere ghar jakar mere gharwalon ka halchal puchogi ki kya hua mere   ghar me in pichle kuch mahino me.  niyati.

Niyati (hasti huyi ) : Thik hai main abhi chala ke Krishna se milke aati hoon. Ab to woh meri achchi dost hai.

Arjun Hospital me us doctor se milne jata hai.

Arjun  : yeh lo tumhare paise aur dhyan rakhna ki kabhi bhi yeh baat tumhare muh se bahar nika na paye. Samj gaye.

Doctor( paise lete huye) πŸ˜’: naa aaj ke bad main aapko pehchanta hoon nahi kisi tanya aur uske parivaar ko.

  Arjun 😈: Good.

Arjun Doctor ke kebin se bahar nikalte hi sochta  hai ki ek musibat to tali per main Abhay aur us doctor ka kya karoon.

Niyati Raichnad house me Krishna ka intazaar kar rahi hai.

Krishna 😊: Niyati, tum. muje laga ki us din ke bad tum kabhi bhi nahin aaongi.

  Niyati:πŸ˜› aati kaise nahin. Tumse dosti ki hai to milne to aana hi tha.

Krishna 😊: tum apne parivaar ke saath rehti ho. Kabhi use bhi saath lana.

Niyati : Mera koi nahin hai is duniya me sivay kuch dosto ke. per tumhara parivaar to bada hai tum kuch batao is ke baare me.

  Krishna use sab kuch batati hai.

 Niyati (krishna ki aur dekh ke) : Yakin nahin hota ki tumhare jaise bhi log is duniya me hai jo apne bachche ki jaan ko khatre me dalkar dusro ko bachate hai. Tumhare parivaar ko tumpe kitna garv hoga. Main bahot kismatwali hoon jo muje tum jaisi dost mili. Ab main chali hoon muje hospital me kuch kam hai. Main baad me baat   karti hoon.

  Kabir Tanya ka soup  lekar Tanya ke kamre me aata hai.

Kabir (Tanya ko soup pilate huye) : Muje tumse koi shikayat nahin. Jo hua usme tumhari koi galti nahin. Yeh to accha hua ki tumhe kuch nahin hua.

Tanya 😲: Kabir, maine tumhare se saath itna sab kuch karne ke bad tum mera saath de rahe ho. kyun?

Kabir 😳 : Maine is parivaar se sikha hai khushi ho ya gam hum kabhi apno ka saath nahin chodte to tum to meri patni ho. Tumhara haath main kaise chod sakta hoon.

Kabir ke jane ke bad Tanya ko sirk Krishna ki aur Kabir ki baatein sunai de rahi thi.

Tanya (apne aap se) πŸ˜•: Lagta hai ab bahot dair ho gayi. Ab to main kabir se kuch nahin keh sakti. aaj ek bar phir se kabir mere kareeb aaya hai aur main use dur nahin karna chahti.

    Part 3

Niyati Abhay ke pass aakar bethti hai.

Abhay (exicted) : mera parivaar to thik hai naa.

Niyati (apna sir neeche karke)  : kuch thik nahin hai.

Abhay (pareshan hokar) πŸ˜•: Matlab kya hai tumhara. ple   niyati muje sach sach bato.

Niyati : Tumhare jane ke bad tumhare papa ki tabiyat kharab ho gayi. Tumhe pata hai Krishna ne yuvraj se shaadi kyun ki kyunki krishna ki kokh  me tumhara ansh tha.   Aur duniyawalon ke darr se parivaar walon ne majboorn krishna se shaadi karvayi. Tarabhabhi is duniya main nahin hai use blood cancer hua tha aur uske operation me krishna ne tumhari nishani ko kho diya . Kabir ki shaadi Mr. arjun ki beti tanya se ho gayi hai. Aur kuch log tumhare business aur parivaar ko todne ki koshish kar rahe hai aur kuch din pehle Yuvraj per jaan leva hamla bhi hua tha. Ab isse aage main tumhe kya batao ki us ghar me sab log haste πŸ˜Š to hai lekin andar hi andar sab ke dil me kahin na kahin gehri chaut  lagi hai.

  Abhay  apne kamre me chala jata hai kuch kahe bina.

Wahaan krishna apne kamre me almari me kapde thik   kar   rahi thi aur yuvraj apne office ke kam me   khoya hua tha tabhi achanak bahar baris hoti hai. krishna Baris   ki aavaz sunkar bahar apni balcony me jati hai.

Yuvraj  use kamre me se dekh raha hai krishna ko baris   me bhigte huye.

Wahaan  Abhay apne kamre me khidki ke pass bahar baris ko dekhkar apni aur krishna ki yaadein yaad kar raha   hai.

Yuvraj baris me bahar aata hai.

  Krishna (Yuvraj ki aur dekh kar)  : Jahaan tak main janti hoon tumhe baris achchi nahin lagti to tum yahaan kya kar rahe ho.

  Yuvraj (Krishna ka hath pakd ke ) : Kyunki kal tak   tum nahin thi meri zindagi me. Aaj main ek bhi lamha miss nahin karna chahta tumhare saath. shayad yeh lamha phir kabhi aaye ya na aaye.

Tabhi zor se bijali  hoti hai. Aur krishna darr ke mare   yuvraj ke gale  lag jati hai.

Yuvraj (Krishna ke kan me) : Shayad lagta hai bhagwan ne meri sun li. Kash yeh upperwala bhi meri baat   roz sunta.

Krishna  : ruko, main tumhe deti hoon jo tumne upperwale   se manga. Krishna wahaan per padi lakdi  ko uthakar yuvraj ke pichche dauti hai.

  Wahaan Niyati Abhay ke kandhe pe hath rakh kar use hosla deti hai.

Episode ends on two screen one with Niyati and Abhay on sad  side and Yuvraj and krishna are playing in the rain  in other side.


Edited by goodkashish - 16 years ago

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

3 Participants 17 Replies 11164Views

Topic started by goodkashish

Last replied by goodkashish

loader
loader
up-open TOP