our own story of KAKP May4th

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 16 years ago
May 4th

part 1

  Kabir (gusse se) : Yeh aap kya keh rahe hai.

Doctor: haa, Mr. Raichand, Aap ki wife ab kabhi bhi maa nahin ban sakti. Kyunki is accident ki wajaah se unki internal injuries kafi huyi hai.

  Kabir : doctor, tanya ko is baat ka pata hai.

Doctor : haa, maine sabse pehle patient ko bata diya tha. Ab aapko unka bahot khayal rakhna hoga.

Kabir : Kya main use mil sakta hoon.

Doctor : aap use chahiye to ghar leja sakte hai kyunki muje lagta haii ki agar woh is mahol se dur jayegi to jaldi recover ho sakegi.

Bua (kabir ke kandhe pe hath rakhti huyi) 😳: Doctor, aap chinta mat kijiye, main uska pura khayal rakhungi.

Sab log Tanya ke kamre me jate hai. Tanya sirf dukhi hone ka natak kar rahi hai.

  Bua 😒: Kabir, Tanya ko car tak lejao. Main doctor se baat karke aati hoon.

Krishna (Pareshan hokar ): Buaji, aap jaiye main aur yuvraz doctor se baat karke aate hai.

Bua aur Kabir Tanya ko lekar jate hai.

  Arjun 😳: aap log bhi jaiye main doctor ke pass se reports lekar ghar pahochta hoon.

Yuvraj or Krishna ghar ki aur nikalte hai.

Krishna (yuvraj ki aur dekhke): Janti hoon ki tumhe   kaun si baat pareshan kar rahi hai. Muje pata hai ki yeh sab Tanya ne Arjununcle ke saath mil kar yeh natak kiya hai. Maine kal Tanya ko Arjununcle se baat karte sun liya tha.

  Yuvraj: Krishna, tumne muje bataya kyun nahin.

Krishna: main khamosh rahi hoon to Kabir ke liye.   Main   nahin chahti thi ki is sach ki wajaah se uski shaadi tute.

Yuvraj : Per Krishna, hume kabhi naa kabhi to yeh baat kabir ko batani hogi na ki yeh sab natak tha.

  Krishna (yuvraj ke hath pe hath rakhkar) : tum chinta mat karo. ek din khud Tanya hi sabko yeh sachchai batayegi.

  Sab log tanya ko samja rahe the. Krishna aur Yuvraj ek dusre ko dekh rahe the aur khamosh khade the  .

Tanya : Main kuch waqt akele rehna chahti hoon.

Sab log kamre se bahar nikal te hai tabhi Krishna Tanya ke   pass aati hai.

Krishna : Tanya, Aaj tumne ek jooth ko chupane ke liye aisa jooth bola hai ki jis se tumhe zindagi bhar pachtana hoga. Jis kabir se tumne dhoke se shaadi ki. Dekha aaj tumhari muskeli me tumhare saath khada hai. Jis parivaar ko tum todne aayi thi woh pura aaj tumhare saath hai kyunki unhe lagta hai ki tumhe inki zaroorat hai. per agar kal yeh baat sabko pata chal jayegi to kya kabir aur yeh parivaar tumhara saath dega aur sach ka. Isse pehle bahot dair hojaye Kabir ko sach bata do. Sayad woh ab bhi tumhe maaf kar de.

  Part 2

Abhay aur Niyati apne ghar me  bethkar baatein kar rahe hai.

  Niyati (surprized) : Muje to yakeen nahin hota ki itna bada parivaar aur woh bhi ek saath.

Abhay : Hum log koi ek saath nahin rehte the. Sab bhai apni manzil ko pane ke liye ghar chodke chale gaye lekin Krishna ne sab ko ek saath ek hi ghar me kar diya.

  Niyati (day dreaming 😍): Kash mera bhi itna bada parivaar hota.

Abhay : Niyati, mera ek kam karogi, Kya tum mere ghar jakar mere gharwalon ka halchal puchogi ki kya hua mere   ghar me in pichle kuch mahino me.  niyati.

Niyati (hasti huyi ) : Thik hai main abhi chala ke Krishna se milke aati hoon. Ab to woh meri achchi dost hai.

Arjun Hospital me us doctor se milne jata hai.

Arjun  : yeh lo tumhare paise aur dhyan rakhna ki kabhi bhi yeh baat tumhare muh se bahar nika na paye. Samj gaye.

Doctor( paise lete huye) 😒: naa aaj ke bad main aapko pehchanta hoon nahi kisi tanya aur uske parivaar ko.

  Arjun 😈: Good.

Arjun Doctor ke kebin se bahar nikalte hi sochta  hai ki ek musibat to tali per main Abhay aur us doctor ka kya karoon.

Niyati Raichnad house me Krishna ka intazaar kar rahi hai.

Krishna 😊: Niyati, tum. muje laga ki us din ke bad tum kabhi bhi nahin aaongi.

  Niyati:😛 aati kaise nahin. Tumse dosti ki hai to milne to aana hi tha.

Krishna 😊: tum apne parivaar ke saath rehti ho. Kabhi use bhi saath lana.

Niyati : Mera koi nahin hai is duniya me sivay kuch dosto ke. per tumhara parivaar to bada hai tum kuch batao is ke baare me.

  Krishna use sab kuch batati hai.

 Niyati (krishna ki aur dekh ke) : Yakin nahin hota ki tumhare jaise bhi log is duniya me hai jo apne bachche ki jaan ko khatre me dalkar dusro ko bachate hai. Tumhare parivaar ko tumpe kitna garv hoga. Main bahot kismatwali hoon jo muje tum jaisi dost mili. Ab main chali hoon muje hospital me kuch kam hai. Main baad me baat   karti hoon.

  Kabir Tanya ka soup  lekar Tanya ke kamre me aata hai.

Kabir (Tanya ko soup pilate huye) : Muje tumse koi shikayat nahin. Jo hua usme tumhari koi galti nahin. Yeh to accha hua ki tumhe kuch nahin hua.

Tanya 😲: Kabir, maine tumhare se saath itna sab kuch karne ke bad tum mera saath de rahe ho. kyun?

Kabir 😳 : Maine is parivaar se sikha hai khushi ho ya gam hum kabhi apno ka saath nahin chodte to tum to meri patni ho. Tumhara haath main kaise chod sakta hoon.

Kabir ke jane ke bad Tanya ko sirk Krishna ki aur Kabir ki baatein sunai de rahi thi.

Tanya (apne aap se) 😕: Lagta hai ab bahot dair ho gayi. Ab to main kabir se kuch nahin keh sakti. aaj ek bar phir se kabir mere kareeb aaya hai aur main use dur nahin karna chahti.

    Part 3

Niyati Abhay ke pass aakar bethti hai.

Abhay (exicted) : mera parivaar to thik hai naa.

Niyati (apna sir neeche karke)  : kuch thik nahin hai.

Abhay (pareshan hokar) 😕: Matlab kya hai tumhara. ple   niyati muje sach sach bato.

Niyati : Tumhare jane ke bad tumhare papa ki tabiyat kharab ho gayi. Tumhe pata hai Krishna ne yuvraj se shaadi kyun ki kyunki krishna ki kokh  me tumhara ansh tha.   Aur duniyawalon ke darr se parivaar walon ne majboorn krishna se shaadi karvayi. Tarabhabhi is duniya main nahin hai use blood cancer hua tha aur uske operation me krishna ne tumhari nishani ko kho diya . Kabir ki shaadi Mr. arjun ki beti tanya se ho gayi hai. Aur kuch log tumhare business aur parivaar ko todne ki koshish kar rahe hai aur kuch din pehle Yuvraj per jaan leva hamla bhi hua tha. Ab isse aage main tumhe kya batao ki us ghar me sab log haste 😊 to hai lekin andar hi andar sab ke dil me kahin na kahin gehri chaut  lagi hai.

  Abhay  apne kamre me chala jata hai kuch kahe bina.

Wahaan krishna apne kamre me almari me kapde thik   kar   rahi thi aur yuvraj apne office ke kam me   khoya hua tha tabhi achanak bahar baris hoti hai. krishna Baris   ki aavaz sunkar bahar apni balcony me jati hai.

Yuvraj  use kamre me se dekh raha hai krishna ko baris   me bhigte huye.

Wahaan  Abhay apne kamre me khidki ke pass bahar baris ko dekhkar apni aur krishna ki yaadein yaad kar raha   hai.

Yuvraj baris me bahar aata hai.

  Krishna (Yuvraj ki aur dekh kar)  : Jahaan tak main janti hoon tumhe baris achchi nahin lagti to tum yahaan kya kar rahe ho.

  Yuvraj (Krishna ka hath pakd ke ) : Kyunki kal tak   tum nahin thi meri zindagi me. Aaj main ek bhi lamha miss nahin karna chahta tumhare saath. shayad yeh lamha phir kabhi aaye ya na aaye.

Tabhi zor se bijali  hoti hai. Aur krishna darr ke mare   yuvraj ke gale  lag jati hai.

Yuvraj (Krishna ke kan me) : Shayad lagta hai bhagwan ne meri sun li. Kash yeh upperwala bhi meri baat   roz sunta.

Krishna  : ruko, main tumhe deti hoon jo tumne upperwale   se manga. Krishna wahaan per padi lakdi  ko uthakar yuvraj ke pichche dauti hai.

  Wahaan Niyati Abhay ke kandhe pe hath rakh kar use hosla deti hai.

Episode ends on two screen one with Niyati and Abhay on sad  side and Yuvraj and krishna are playing in the rain  in other side.


thanks

with help of softk 6

love kashish

  1  

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

1 Participants 0 Replies 2144Views

Topic started by goodkashish

Last replied by goodkashish

loader
loader
up-open TOP