The impact of Poems

  •  
  • Page of 1 Go
  •  
Posted: 16 years ago
The Impact of Poems

Dear Friends,

The impact of a poem can vary from emotion to emotion. Some can make you laugh and some can make you cry. Some can make you cheerful while some can make you angry. So now the Dev. Team members of the SOS section proudly present the top 5 poems in this week. Please comment on this wonderful piece of writings in this post. Under each poem also, there are links to the actual post by the member. Please check those out for more poems.

So sit back, relax, and enjoy the impact of poems. And remember to keep track of emotions and reply how you felt at the end in this post.




Bichra kuch is ada se ke rut hi badal gayi

Ek shakhs sarey shaher ko veeran kar gaya
Main baat baat pe kehti thi jisko jaan
Wohi shakhs aaj mujhe be jaan kar gaya

(c) Fariha17 at https://www.indiaforums.com/forum/topic/618880

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum Khade Unka Intezaar Kiye Jaate Hain
Bewajah Dil Ko Beqaraar Kiye Jaate Hain

Keh Na Paaye Hain Dil Ki Baat Abhi Tak Hum Unse
Chupke Chupke Hi Jaan Nisaar Kiye Jaate Hain

Unki Yaadon Se Dard Milta Hai To Phir Hum Kyoon
Apna Yeh Haal Baar Baar Kiye Jaate Hain

Jisne Vaadon Ki Ahmiyat Nahin Samjhi Hai Kabhi
Kyoon Usi Par Hum Aitbaar Kiye Jaate Hain

Jinki Aankhon Mein Mohabbat Ki Jhalak Hi Na Rahi
Pyaar Hum Unse Beshumaar Kiye Jaata Hain


(c) .:.Suhana.:. at https://www.indiaforums.com/forum/topic/611720

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Uss ne kaha k ishq ka nasha utter gaya

Mainey kaha k hussn bhi tumse muqar gaya

Uss ne kaha k tujhko dilaani hain chooriyaan

Mainey kaha k ab wo zamaana guzar gaya

Uss ne kaha k kya hua kaajal ki dhaar see

Mainey kaha k aankh se daryaa guzar gaya

Uss ne kaha k yeh teri chiryo'n(sparrows) se dosti

Mainey kaha k dil mera zamaaney se bhar gaya

Uss ne kaha k kya milaa sabse bigaar k

Mainey kaha k waqt to acha guzar gaya

Uss ne kaha k khwaab mei aaney ka waqt do

Mainey kaha k neend ka mosum guzar gaya

Uss ne kaha k wo tere sooraj ka kya bana?

Mainey kaha k wo mere dil mai utter gaya

Uss ne kaha k wo nahi dey gaa tumhaara saath

Mainey kaha k wo chalo vaada to kar gaya

Aakhir ko tung aa k kahi uss ne itnee baat

Wo tum kaha gayee wo zamaana kidhar gaya

(c) Decent Ayesha at https://www.indiaforums.com/forum/topic/613632

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

thoda hai thoda ki zaroorat hai
saansein to hain, zindagi ki zaroorat hai
deedar to hai, iqraar ki zaroorat hai
wo paas to hai, bas saath ki zaroorat hai
ek khwaab to hai, use sajaane ki zaroorat hai
ek ehsaas to hai, un tak pahunchane ki zaroorat hai
wo jaadui shabd to hain, unhe bas kehne bhar ki zaroorat hai
paagal aashiq to dil mein hai, use bas aashiqui ki zaroorat hai
uska naam to dhadkan mein hai, bas uske naam mein apna naam dalne ki zaroorat hai
khwahish to hai, usko bas ek junoo banane ki zaroorat hai
us junoo ko le fir, ek paagalpan mein unhe paane ki zaroorat hai
zndagi to zindagi, maut ke liye bhi unko zaroorat hai
thoda hai, thode ki zaroorat hai....

(c) simply paagal at https://www.indiaforums.com/forum/topic/611433

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

e wafa ka sila hai to koi baat nahi, ye dard tumne diya hai to koi baat nahi yehi bohat hai ki tum dekh rahe ho kinare se hum doob rahe hai to koi baat nahi

 

Apki muskan kabhi in hoton se na chute: apka dard sabhi ham par tuute meharbaan ho khuda ap par itna ki asmaan se 1 taara bhi apki marzi se toote

 

har dil ka koi raaz hota hai har baat ka koi andaaz hotahai; jab tak na lage bewafai ki thokar; har kisi ku apni pasand par naaz hota hai

gham ku mujse na cheeno ae mere dost;dil ki dunya udaas hi rehne do;is gham ka kahan thikana hai ise mere paas hi rehne do.


Posted by shasq at https://www.indiaforums.com/forum/topic/609148

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
 



Love,

SOS Dev. Team
https://www.indiaforums.com/forum/233
Edited by amisra - 16 years ago
Posted: 16 years ago
some of these poems are really nice! 😊 ⭐️ 😎
Posted: 16 years ago
Beautiful poems! I'm all about reading the sad, romantic poems. 😳
Posted: 16 years ago
The poems are simply beautiful, Anjali jii! 😳 I love readin romantic, sad poems, ep. about love and friendship! 😳
Posted: 16 years ago

The poems are very beautiful.

Edited by quizmiss - 16 years ago
  1  

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

5 Participants 4 Replies 1331Views

Topic started by amisra

Last replied by quizmiss

loader
loader
up-open TOP