Lakirain.. Rekhayen ..Qismat ...Muqqaddar

Mischeivous thumbnail
Posted: 16 years ago

I dnt knw ke yeh topic is section se related hai ke nahin per haan mohabbat ya pyar ko hamshea kismat se juda jata hai....its like if u dnt get ur love its kismat's fault...or maybe the thing called haathon ki laakeerain...so thought of posting this here


kehte hain k in lakheeroon mai kismat hoti hai ........ye hamare urooj o zawaal ki zammadaar b hoti hain

hum insaan her elzaam ya her baat in lakheero k sir hi kio daal dete hain .....jab b hum udaas hote hain hame apni udasi ki zimmadar ye lakheerain hi nazer ati hain k in hi mai kuch nahi hai or jab hum khush hote hain.......to in lakheero per rashk kerte hain ........kisi shair ne kia khoob kaha hai


itne ghoor se na dheko mere haatho ko aay dost
in lakheero mai hasrat k siwa kuch b nahi


kiun?.........kiun hum her gila or shikwa in lakheero se kerte hain .......kiun?.........kia waqi in mai kismat hai ?..............ya kia waqi in se gila kerna jaeiz hai?

itne sawal to sirf mere hain ....or na jane mere jitne or kitne logo k hain ...........
baat aam si hai lekin ye baat hum mai hai zaror..............mana k in ko manna nahi chahiye lekin ye baat jante huwe b hum mai hai zaror

ye aam si baat ghoor talab hai ............aap in lakheero ko kis tarah se dhekte hain...........kia aap ko b in se choti moti shikayat hai .........?........

Created

Last reply

Replies

3

Views

6600

Users

3

Frequent Posters

prithvi lover thumbnail
Posted: 16 years ago
crap hain!!!!!!!!!!!
future koi nahin dekh sakta meri jaan!!!!!!!!!!!
sab kuch khud apne haatho kuch kardikhana hota hain!
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago

Well, I do believe in destiny, but not in the fact that it lies in the lines on your palms. Ek shair woh bhi hai na...

Hathon ki lakiron per kabhi bharosa na karna
taqdeer to unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote

Hamari taqdeer sirf hamare hathon ki lakiron tak hi mehdud nahi hai... 😊

Mischeivous thumbnail
Posted: 16 years ago
Originally posted by: fariha17

Well, I do believe in destiny, but not in the fact that it lies in the lines on your palms. Ek shair woh bhi hai na...

Hathon ki lakiron per kabhi bharosa na karna
taqdeer to unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote

Hamari taqdeer sirf hamare hathon ki lakiron tak hi mehdud nahi hai... 😊

Very well said Fahira...👏👏