KRISHNABEN KHAKHRAWAL CAST

Sonia Kapoor
Sonia Kapoor

as: Mitali Kapoor

business tycoon and has come to Amba Wadi to inspect the hygiene and the way in which Krishnaben (Indira Krishnan) prepares the Khakra.

Mehul Vyas
Mehul Vyas

as: Uday

Maa ka bahot hi laadala..wo bhi maa se bahot pyar karta hai.. handsome hai.. par use life ki koi decipline pasand nahi hai .. shararati hai...ghar me apni dhamal masti se sab ki zindgi me khushiya bhar deta hai.. ghar ki jaan hai..sab ko pyar ho jaaye itna pyara hai.. damini ko bahot chidhata raheta hai ..dono me bahot nokjok chalati raheti hai...bindas jhooth bolata hai .. wo ghar me sab se 20 rupaya 40 rupaya padata raheta hai..uski yeh lobh vriti beginning me innocent hai fir aaage jaake wo badhti jaayegi aur use galat raaste par le jaayegi..Wo bhi damini ke saath 12th me hai..par use padhai me bikul ruche nahi hai.. wo yahi kaheta hai maa ko ki tune padhai nahi ki thi fir bhi ghar chala raha hai na.. aur xyz film stars..cricketers bhi kaha padhe the..aise examples deta raheta hai.. achche kapado ka shoukin hai..use life me sab kuch chahiye par mahenat mazduri murkh log karte hai aisa manata hai.. wo ‘shortcut’ me manata hai..aur shortcut se paise kamane ke , career banana ken aye naye raste aazmaata raheta hai.. isi shortcut me.. aur ‘LOBH ‘ vriti me wo apna sarvanash bhi kar lega aur maa ko bhi ghar se bahar nikalane ka plan bana lega..der se uthana..music sunana.. man chahe aise jina.. bade bade kharche.. par Krishna uski har zid puri karne ke saath use sanskar bhi deti hai..

Indira Krishnan
Indira Krishnan

as: Krishnaben Khakhrawala

A 45 yr old lady.. duniya ke liye ‘vidhwa’ hai par apne bachcho ki khushi ke liye sajdhaj kar raheti hai.. bahot hi garv se samaj me sar uncha karke jiti hai. Very hardworking , loving,caring, woman of substance.. strong willpower, positive thinking rakhne wali aurat jis ki duniya hai uske bachche.. unke sapane pure karna hi uski zindgi ka maksad hai. Purusho ki barabari karne wali strong lady ho gai hai.. bahot hi sangharsh kar ke apna khakharaudhyog gharelu level se grihudhyog ke rup me vistarit karti hai. .. .. she has a very good sense of humour... light hearted hai.. .. aurato par hote atychar nahi dekh sakti.. bahot hi religious hai.. ishwar ko apna dost manati hai..gujratan hai isliye bhale padhilikhi nahi hai par business ka hisaab barabar rakhti hai..gharelu hisab kar leti hai par business ka costing..bank ka hisab yeh nahi rakh sakti.. apni budhdhi aur mahenat se apna karobaar faila saki hai..kabhi apne aansoo bachche ya duniya ke samane nahi dikhati..agar dard bhi hai to akele me ro leti hai. ..apna ghar achche se saja hua rakha hai.. apni saathi workers ke liye bahot hi daya rakhti hai.. she is a woman of principles.. never compromises..! juth se use sakht nafarat hai.. khana lahezat dar to pakati hi hai par saath me itna saara khana pakati hai ki aur char paanch log bhi kha le.. ! Annapurna ka avtar hai. .. sab ke khane ke baad khati hai ... dhakkan dhank kar parosati hai.. Pados me sab se bahot pyar karti hai..milansaar hai.. sab ki laadli hai.. ! Krishnaben gaati bahot achcha hai..bhajan aur garaba gaane ka shouk hai.. sajne sanwarne me bhi badi sujbuj se taiyar hoti hai.. artistic saadiya pahenati hai.. lambi choti rakhti hai .! ..uska takiya kalam hai ,’’ howwe ho...’’[yes].. itne lachakdar lahze me bolati hai aur uske piche unki philosophy hai always say yes..be positive to har kaam honge.. kabhikabhar pati ki mithi yaade use kamzor bana deti hai emotionally weak kar deti hai.. akele me use yaad kar leti hai ro leti hai.. KRISHNABEN APNE KHAKHARA BUISNESS ME TEZ HAI, APNE BACHCHO KA BARABAR DHYAN RAKHTI HAI.. PAR US ME EK SAHAJ INNOCENCE BHI HAI.. AUR ITNI MAHENAT AUR SAMARPAN KE BAAD JAB BACHCHE US SE DUR HO JAAYENGE TAB USE MAHESOOS HOGA KI LAAKH KOSHISHO KE BAAD WO MAA TO BAN PAAI PAR PITA NAHI BAN PAAI.. EK PITA JO BACHCHO KO CHANTA MARKAR SHIKSHA DETA HAI..BAHAR KI DUNIYA ME SAHI RASTA DIKHATA HAI WO NAHI KAR PAAI..!

Druvraj Sharma
Druvraj Sharma

as: Nilay

Nilay apni maa se bahot pyar karta hai.. use M.B.A karna hai maa use M.b.a. karwana chahti hai.. par M.b.a ki fees bahot badi hoti hai .Nilay padhane me bahot tez hai ..jo sochta hai karna chahta hai.. USKE character ko ‘kaam’ se define karte hai..’ kaam ‘ yaha kaam matlab..desires.. ambitions...wo bilkul compromise nahi karta...apne emotions vyakta nahi karta.. ek baar jo thaan leta hai karta hai.. maa ke saare kaam kar deta hai.. wazan uthana.. ..ghar ke saare bhari kaam bhi kar deta hai.. maa se bahot pyar karta hai ...M.b.a paas kar leta hai par naukari milana mushkil ho jaata hai corruption ki wajah se..tab uski zindgi nai karwat leti hai.. jab beautiful richa uski zindgi me aati hai.. par maa ka dahina haath sabit hone wala nilay maa se dur ho jaata hai jab andha hota hai glamourous richa ke pyar me..

up-open TOP